Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
tere ghar se badi duur
Old
  (#1)
karan q
Registered User
karan q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of light
 
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 26
Love tere ghar se badi duur - 4th June 2004, 07:18 PM

Tere ghar se badi duur

Tera cehra hai harr aaine me sanam,Tera pehra hai harr saans me jaanemann
Ye dariya tere, mere pyaar ka,gehra hai najaane kitne janam

Tere ghar se badi duur hai mera ghar ,mai jamee pe khdaa tu hai badalon per
Mile bhee to kaise mile ye nazar, hai khaali pdaa mere dil ka nagar,
Na jaane kab jaayen ye raahen guzar, ye dil dhoondhta hai teri khabr
Mil jao mujhko , tera naam lene ko janmo se pyaase hain mere adhar
Jaane kaisa ye saal hai koi nahi hai mere paas me, bas tera he khyaal hai,
Bas tera he khyaal hai,,,,
Jo pyaar tera chooth jaaye sanam, ye jaan meri rooth jaaye sanam
Aaine jaisa hai dil mera, na jaane kahaan tuut jaaye sanam
Teri dewaangi ka huaa youn asar , na kuch ker paaye hum chaah ker
Humko bhee yaara ptaa ye nahi hai, kab chodh jaayenge tera sahar

Dekho ye kaise nazaare meri aankho pe chaaye hue hain,
Chaand nazar se log meri duniya me aaye hue hain,
Bas tujhe sochker he machalta hai mann,hosh khoo detahai na sambhalta hai mann
Hai aarzoo bas tujhe paane ki raaton ko karwat badalte hain hum,
Jaane kaisa mera pyaar hai, tuute hue ek tare se hum ker rahe intzaar hain
Ker rahe intzaar hai,
Tujhko ho ya na ho jaana meri qadar, hum tujhe sochte hain aathon pahar,
Ehsaas tera jab se mila meetha lagne lagaa zindgi ka zahar

Chaand or sitaaron ki sugaat lekar aayenge wo humse milne
Khwaabon ki mehki hui raat lekar aayenge wo humse milne
Bas teri chaahaton ki panaahon me hum,
Youn he bachte rahen sab gunaahon se hum
Gar ye khuda humko ik khwaab de de
Baithe rahen teri raahon me hum,
Jaane kaisa mera yaar hai, tuute hue ek tare se hum, ker rahe intzaar hain,
Kar rahe intzaar hai
Ruk bhee jaayengi jmeri saanse augar,khatm ho jaayegi chaahaton ki dagar
Ye pyar mera ik duniya ko roshan karega,badhega ye mera safar……………
Tere ghar se badi duur hai mera ghar , mai jamee pe khdaa tu hai baadalon per
Mile bhee to kaise mile ye nazar hai khaali padaa mere dil ka nagar

Karan.q


Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye

Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
  Send a message via Yahoo to karan q  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
tere ghar ke log EkDharkan Aapki Shayri 0 15th May 2007 10:31 PM
Tere ghar se mere ghar talak AnilMoradabadi Aapki Shayri 1 18th January 2006 10:50 AM
duur se duur talak ek bhii daraKht na thaa... Pulkit_gupta Shayri-e-Dard 16 15th March 2005 04:16 PM
pyaar kii gaadii duur duur hii jaati lage mrinal Shayri-e-Ishq 0 8th February 2005 05:09 PM
tere ho kar bhi duur rahe dard_thesorrow Shayri-e-Ishq 3 10th October 2004 03:17 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com