Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Meri Mohabbat Teri Jafa, Saaath Dono Ki Nibhaayi Ham Ne..
Old
  (#1)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
Meri Mohabbat Teri Jafa, Saaath Dono Ki Nibhaayi Ham Ne.. - 8th July 2004, 01:24 PM

Meri Mohabbat Teri Jafa, Saaath Dono Ki Nibhaayi Ham Ne..
Ye Soch Ke Teri Jafa Zaahir Hogi.. Mohabbat Apni Chhipaayi Ham Ne...

Ham Sochte The Tum Doge Har Pal Saath Mera,
Soch Kar Ye Chhoodh Di Apni Hi Parchhayi Hum Ne...

Jab Jaana Tere Ghar Mai Chiraag Jaltaa Nahii,
Apne Mehfil Mai Shama Bhi Na jalaayi Ham Ne...

Khuda Ko Khwaabh Mai Bhi Na Dekhaa Kabhii,
Teri Hi Ulfat Samjhi Thi Khudaayi Ham Ne...

Khabar Mili Ki Tere Haathon Mai Kisi Aur Ki Mehndi Saj Gayii,
Ye Sun Kar Apni Maiyat Khud Hi Sajaayi Ham Ne...

Mat Soch Ki Abhii Din Aa Pahunchaa Meri Mout Kaa,
Tere Thukraane Ke Baad Hi Raah~E~Kaza Apnaayi Ham Ne...

Fariste Aa Ke Puche Meri lehad Pe Barbaadii Ki DaastaaN,
Meri Wafa To Dekh Teri Jafa Bhi Na Bataayi Ham Ne...

Jafa-Tyranny Of A Beloved, oppression, injustice
ulfat-Mohabbat
Maiyat- zanaazaH
lehad-Kabar

-MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
8th July 2004, 03:56 PM

Khub...dard~e~dil bayan kiya hain aapne. Daad kubool kijiyega. Dilse shukriya bhi kubool kijiyega...younhi likhte rahiyega. Achha laga jo aap yeaha wapas aa gaaye hain aur phirse likhrahe hain...Khushi houi. "Tumharein liye hain baharon ke mousam Na aaye kabhi Zindegi mein koi gham Humara hain keya yaar Hum hain deewane Humari tadap ko koi bhi na jaane Mile na tumhein Ishq mein bekarari sada khush rahon tum Duwa hain humari"....... Haan, maine bhi Pyaar kiya hain...film ki naam yehi hain. Humein jinse Pyaar hojaata hain unke khushi ke liye keya kuch nahin karjaate.......Pyaar haan, yeh Pyaar hi tou hain. Ek gana hain: Bhagwan ik kusoor ki itni badi saza Duniya teri yehi hain tou Duniya se main chala~Duniyake zaleemon ne chalayi woh andhiya~saarein charaag bujhgaaye Main dekhta hi raha, Singer: Mohd. Rafi Jee, aur mujhe bohot hi achha lagta hain yeh gana. Main theek houn...(Jiyada kehgaayi ho tou mujhe mafh kardijiyega, waise bhi aaj kal main younhi likhdeti houn aur kabhi kabhi tou mujhe khudh nahin pata hota hai ke kyun)...Aapna khayal rakhiyega. God bless you.

Keep smilling.......

*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#3)
san04
ansoon aur muskan....
san04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nice
 
san04's Avatar
 
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 24
hi - 8th July 2004, 04:08 PM

hello mayank ji,,,
apne jis andaz se apne mohabat ke derd ko bayan kiya hai,,uskey liye mere pass shabd nahi hai,,per ye bhi ek haqeeqat hai ,ki dil bhi un derd ke sath khud ko jorta hai,,jo sach me hi kahin apne jaise lagey aur,,gehra ehsas kera jayein....apke ye ashrar bahut pasand aye...

Meri Mohabbat Teri Jafa, Saaath Dono Ki Nibhaayi Ham Ne..
Ye Soch Ke Teri Jafa Zaahir Hogi.. Mohabbat Apni Chhipaayi Ham Ne...

Ham Sochte The Tum Doge Har Pal Saath Mera,
Soch Kar Ye Chhoodh Di Apni Hi Parchhayi Hum Ne...

Jab Jaana Tere Ghar Mai Chiraag Jaltaa Nahii,
Apne Mehfil Mai Shama Bhi Na jalaayi Ham Ne...

Khuda Ko Khwaabh Mai Bhi Na Dekhaa Kabhii,
Teri Hi Ulfat Samjhi Thi Khudaayi Ham Ne...

Khabar Mili Ki Tere Haathon Mai Kisi Aur Ki Mehndi Saj Gayii,
Ye Sun Kar Apni Maiyat Khud Hi Sajaayi Ham Ne...
...

Fariste Aa Ke Puche Meri lehad Pe Barbaadii Ki DaastaaN,
Meri Wafa To Dekh Teri Jafa Bhi Na Bataayi Ham Ne...
really too much heart touching.....

swati...............some words about tears in!
   
Reply With Quote
Re: Meri Mohabbat Teri Jafa, Saaath Dono Ki Nibhaayi Ham Ne..
Old
  (#4)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Re: Meri Mohabbat Teri Jafa, Saaath Dono Ki Nibhaayi Ham Ne.. - 9th July 2004, 07:53 PM

Quote:
Originally posted by Anjana Rahi
Meri Mohabbat Teri Jafa, Saaath Dono Ki Nibhaayi Ham Ne..
Ye Soch Ke Teri Jafa Zaahir Hogi.. Mohabbat Apni Chhipaayi Ham Ne...

Ham Sochte The Tum Doge Har Pal Saath Mera,
Soch Kar Ye Chhoodh Di Apni Hi Parchhayi Hum Ne...

Jab Jaana Tere Ghar Mai Chiraag Jaltaa Nahii,
Apne Mehfil Mai Shama Bhi Na jalaayi Ham Ne...

Khuda Ko Khwaabh Mai Bhi Na Dekhaa Kabhii,
Teri Hi Ulfat Samjhi Thi Khudaayi Ham Ne...

Khabar Mili Ki Tere Haathon Mai Kisi Aur Ki Mehndi Saj Gayii,
Ye Sun Kar Apni Maiyat Khud Hi Sajaayi Ham Ne...

Mat Soch Ki Abhii Din Aa Pahunchaa Meri Mout Kaa,
Tere Thukraane Ke Baad Hi Raah~E~Kaza Apnaayi Ham Ne...

Fariste Aa Ke Puche Meri lehad Pe Barbaadii Ki DaastaaN,
Meri Wafa To Dekh Teri Jafa Bhi Na Bataayi Ham Ne...

-MayanK
ufffffffffffffff.... yeh pyar karne vaalo ko itna dard kyun sehna parta hai?

Poori nazm bahut hi khoobsoorti se pesh ki aapne.

Bas ek baat kehna chaahungi....

Zindagi mein kabhi khushi milti hai.. kabhi dher se gam..
Kabhi aansoo milte hain... to kabhi tanhaai...
Lekin sab humesha ke liye nahi rehte..
Mausam ki tarah zindagi bhi badalti rehti hai..

Pyar sabhi karte hain... kisi ka mukkammal ho pata hai, kisi ka nahi...
Jo pa lete hain, woh to jaise jannat mein rehte hain..
Lekin jo nahi paate.. woh is tarah kabristaan jaane ki baatein kyun karte hain???

Aapne bhi apne last vaalo 2-3 sheron mein yahin likha hai...

Dost, agar tum kabristaan jaaoge.. to kya tumhari mohabbat ko dukh nahi hoga... theek hai ek min ke liye maan leti hun, ki shayad unhe tumse mohabbat nahi...
lekin tumhari mohabbat mein to koi kami nahi...

to phir agar rehna hi apni mohabbat ki yaadon mein.. to woh sab yaad rakho jab tum unke saath khush the muskuraate the...

us vakt ko jab bhi yaad karoge muskuraaoge...

Lekin woh vakt jab tumhe gam aur dard mila.. use bhula do.. main jaanti hun mumkin nahi hai par koshish karne se sab haasil ho jata hai..

Chalo aise soch liya karo ki woh tumhare the hi nahi... woh to kisi aur ki amanat thi.. lekin us amanat ne kuch vakt ke liye tumhe bhi dher saari khushiyan di...

Kisi ek ke rukne se zindagi nahi rukti... aage badho... khushiyan tumhara intzaar kar rahi hain....

Aur yeh baat sirf aapke liye nahi hai Manish ji, yeh baat har pyar karne vaale ke liye hain...

If u love someone, let him go, If he comes back to you, then he's yours, otherwise he was never meant to be."

Khush rahiye!

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Old
  (#5)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
10th July 2004, 11:16 AM

Shimul ji..

Aadaab!

Kaise haiN aap? Bahut khushi huyi aap ko ek arse ke baad apne page par dekh kar... In fact ham to ye soch rahethe ki aap ham se kahiiN naaraaz tou nahi hai... Chaliye ye baat tou clear huyi ki aap naaraaz nahi haiN.. Aap ko yah ghazal pasand aayi tou hame behad achchhaa lagaa.. Aap ki housla afzaayi ke liye tah~e~dil se sukriyaa.. Apna khayaal rakhiegaa...

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
10th July 2004, 11:18 AM

Swati ji...

Hi! Aap ko yah qalam pasand aaya iss ke yah jaan ke bahut khushi huyi.. Housla afzaayi ke liye bahut bahut sukriyaa.. Aap ka likhaa hua qalam bhi hame behad pasand aata hai.. Bhale hi hame reply karne ka mouka na bhi mile par aap ka qalam padh kar dil se daad hameshaa nikalti hai.. Umeed hai aap ka saath barkaraar rahegaa... Apna khayaal rakheN.. aur likhte raheN..

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
dard bhari shayri
Old
  (#7)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
dard bhari shayri - 10th July 2004, 12:34 PM

Namaskar Mayank Ji

Apki shayri padi bahut dard bhari hay.Zindagi dard ka doosra naam na hoti to kya hoti.Jo shayri Dil se likhey na jati to kya shayri hoti.Mughey apki shayri padkar ek Harivansh Rai Bachan ki kavita yaad aa gayee jo kabhi bachpan mein pade thi ........Jeevan Nahi mara karta hay..........Chahey kitna bhi dard ho Jab Aap kissey ke chehrey ko ek Muskurahat dein fir dekhiyega Dard kaise chala Jayega.

Muskurate Rahiye
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
10th July 2004, 01:46 PM

Chaahat ji...

Aray aap to teacher ki samjhaane lag gayi....!!!! lolZ:d

Aap ne mere baare mai itna sochaa...Bahut achchhaa laga aap ka likhaa ye message padh kar...

Ye sab puraani baateN ho chuki hai chaahat ji... Aur ye ghazal bhi puraani hi hai... Aur filhaal mera marne ka koyi iraadaa nahi hai.. Aur jina marna tou uparwale ke haath mai hai.. wo jab bhi bulaayegaa hame jaana padegaa..Zindagi ki koyi koyi nischitta tou hoti nahi.... Pata nahi koun abb hamaare saath hai aur kab door ho jaaye...

Aur rahi baat mere pyaar ki tou...hamaaraa milna..Naa-moom-kiim hai.... ye tou dil ke wo gham hai jo kabhi kabhi ubhar aati hai.. Kuch pal ki khusiyaaN aur umar bhar ka.....

Kher...aap ne likha hame behad achchhaa laga...Khush rahiye..

MayanK

Last edited by Mayank; 10th July 2004 at 01:48 PM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#9)
roopali
sifar
roopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the roughroopali is a jewel in the rough
 
roopali's Avatar
 
Offline
Posts: 957
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 24
10th July 2004, 02:08 PM

Mayank….har sher apni ek kahani keh raha hai….behad khoosurati se dard jahir kiya hai ….bahut khoob..dil se nikli daad kabool kijiyega.

Fariste Aa Ke Puche Meri lehad Pe Barbaadii Ki DaastaaN,
Meri Wafa To Dekh Teri Jafa Bhi Na Bataayi Ham Ne.….wah ..kya khoob kaha…

Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhayi na doon
tadap uthoon bhi toh zalim teri duhayi na doon
(NM)
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
10th July 2004, 08:20 PM

Sukanya ji..

Zindagi dard ka doosra naam na hoti to kya hoti.
Shayri jo Dil se likhey na jati to kya shayri hoti.

waah bahut khoob kaha hai aap ne aur Haribansh Ray bachan jo Kavita likhi hai aap ne wo bhi bahut achchhi lagii.. Tah~e~dil se sukriya isse ham sab ke saath share karne ke liye.. Housla afzayi ke liye bhi bahut bahut sukriyaa.. Umeed hai aage bhi aap ka saath milta rahegaa...

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#11)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
10th July 2004, 08:22 PM

Roopaalii ji...

Aap ko yah sher pasand aayi yah jaan kar bahut achchha lagaa...Humesha ki tarah iss baar bhi aap yah hosla afzaayi ke liye sukriyaa..Umeed hai saath barkaraar rahegaa... Take care...

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Shukriya
Old
  (#12)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
Shukriya - 10th July 2004, 08:40 PM

Namaskar MayanK Ji

Bahut Acha laga Apka reply sunkar.Aapke aur Vipin Ji ki Shayri sabse Alag hoti hay.Lafz bhi kam padtey hain aapke tareef karne kay liye.

Aise shayri likho Jo zamana dekey,
Jo dard se door le jaye woh Zamana Sochey,
Aisey hi Dua kartey hain aap is se bhi jyada Acha likhein.

Muskurate rahiye
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#13)
shayri12345
Registered User
shayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 2,408
Join Date: Sep 2001
Location: New York
Rep Power: 27
hi - 11th July 2004, 09:40 AM

dear mayank
hamesha se aapka likha padti aa rahi hu
kaafi time pehley aapne meri raaye maangi thi apni ek kahani me...that days i was too upset and the reply i wrote i alwys thought was rude.....but kuch dil ki kasak thi ki kya kaha jaanaa hi nahi....hamesha socha tumhe uska reply karu par...bas...kabhi waqt kabhi khud hi haaath tham gaye.....par dost..i must say that..i luv ur work....the pain their is in it..pyar karne wale hi samajh saktey hai..aur yahi sacha pyar hai ki ...teri jafa kibaat bhi ki na humney.....great piece of work...there is a lot of pain inside ur hrt as i can see....i wish u the best....u r a master of writing and today i salute u for it

Meri Mohabbat Teri Jafa, Saaath Dono Ki Nibhaayi Ham Ne..
Ye Soch Ke Teri Jafa Zaahir Hogi.. Mohabbat Apni Chhipaayi Ham Ne...

Ham Sochte The Tum Doge Har Pal Saath Mera,
Soch Kar Ye Chhoodh Di Apni Hi Parchhayi Hum Ne...

Khuda Ko Khwaabh Mai Bhi Na Dekhaa Kabhii,
Teri Hi Ulfat Samjhi Thi Khudaayi Ham Ne...

in lines ka kuch jawaab hi nahi hai dost..jaise aapka jawab nahi hai.

Priya

Akhihaan milaake chan'na paavi na Judayi Vey .......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jisnu Lagey, ohi'yo jaane, Kaun Jaane peer parayi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
11th July 2004, 08:00 PM

sukanya ji...

Housla afzayi ke liye bhaut bahut sukriya...Yah to aap ki meharbaani hai jo aap is naachiz ka likha qalam pasnad karte haiN..

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
ThanX!
Old
  (#15)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
ThanX! - 11th July 2004, 08:03 PM

Quote:
Originally posted by LuvPriya
dear mayank
hamesha se aapka likha padti aa rahi hu
kaafi time pehley aapne meri raaye maangi thi apni ek kahani me...that days i was too upset and the reply i wrote i alwys thought was rude.....but kuch dil ki kasak thi ki kya kaha jaanaa hi nahi....hamesha socha tumhe uska reply karu par...bas...kabhi waqt kabhi khud hi haaath tham gaye.....par dost..i must say that..i luv ur work....the pain their is in it..pyar karne wale hi samajh saktey hai..aur yahi sacha pyar hai ki ...teri jafa kibaat bhi ki na humney.....great piece of work...there is a lot of pain inside ur hrt as i can see....i wish u the best....u r a master of writing and today i salute u for it

Meri Mohabbat Teri Jafa, Saaath Dono Ki Nibhaayi Ham Ne..
Ye Soch Ke Teri Jafa Zaahir Hogi.. Mohabbat Apni Chhipaayi Ham Ne...

Ham Sochte The Tum Doge Har Pal Saath Mera,
Soch Kar Ye Chhoodh Di Apni Hi Parchhayi Hum Ne...

Khuda Ko Khwaabh Mai Bhi Na Dekhaa Kabhii,
Teri Hi Ulfat Samjhi Thi Khudaayi Ham Ne...

in lines ka kuch jawaab hi nahi hai dost..jaise aapka jawab nahi hai.

Priya

Luv-Priya Ji...

Bahut khooB! Itna izzat diya aap ne...Such..Bahut bahut khushii huyi aap ka yah reply padh kar...aur uss se bhi jyaada khushii huyi yah jaan kar ki aap hamaarii likhii huyi har qalam padhte haiN... Kisi ke qalam ka iss se jyada kya kimat ho sakti hai ki log uss ka kaam pasand kareN.... Mai pahle jab aap ko kuch likhaa huaa padhta thaa tou aap ko ek elderly lady samajh raha thaa kyun ki aap ke qalam mujhe anubhav nazar aa raha thaa.. Lekin aaj aap ka profile dekhaa tou...Pata chal ki aap tou bahut chhoti haiN...Itna izzat diya aap ne ehsaan rahegaa ham par...

Dhersaare pyaar ke saath ab izaazat...Apna khayaal rakheN..

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#16)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
13th July 2004, 12:01 AM

Quote:
Originally posted by Anjana Rahi
Aray aap to teacher ki samjhaane lag gayi....!!!! lolZ:d

Aap ne mere baare mai itna sochaa...Bahut achchhaa laga aap ka likhaa ye message padh kar...

Ye sab puraani baateN ho chuki hai chaahat ji... Aur ye ghazal bhi puraani hi hai... Aur filhaal mera marne ka koyi iraadaa nahi hai..
MayanK
Woh kya hai ki Teacher ko samjhaane mein bahut maza aata hai.. lolz...

Aakhir Teacher ko bhi pata chalta rahe ki student ko kitna samjh aa raha hai.. lolz...
Khush rahiye

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Old
  (#17)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
13th July 2004, 10:56 AM

Mayank Sahib...

aane mein deri ke liye kshma chahti hoon...lekin aapki yeh post aate jaate bahut baar padhi...aap tau waise hamesha hee badhiya kalaam pesh karte hain...aur iss kalaam mein bhi wahi dard wahi mohabbat rubaroo hai...mujhe yeh dono sher bahot hee pasand aaye...

Jab Jaana Tere Ghar Mai Chiraag Jaltaa Nahii,
Apne Mehfil Mai Shama Bhi Na jalaayi Ham Ne...

just loved it...

Khuda Ko Khwaabh Mai Bhi Na Dekhaa Kabhii,
Teri Hi Ulfat Samjhi Thi Khudaayi Ham Ne...

kya baat hai...yeh gumaan bahut se pyaar ke saudaayion ko hota hai..hai na...

sada yoonhi likhte rahein...aur apna khayaal rakhein...

paras

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
13th July 2004, 07:28 PM

Hi Chaahat...

Is teacher ko samjhaate samjhaate khud hi ghanchakkar ban jaaogii...Kyun ki yah teacher ko pata hai ki uss ka student kitna samjhta hai aur kitna samjhaane ki kosish karta hai ...

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#19)

13th July 2004, 07:29 PM

Parastaar sahibaa....

Namsakaar

Kshyama kisliye??? Ye ti aap ka badappan hai ki aap is nachiz ka likha huaa padhne ke liye apne kimti paloN mai se kuch pal nikal leti hai..aur reply bhi karti haiN... aap ko yah qalam pasand aayaa iss ke liye tah~e~dil se sukriya...In fact hame intezaar bhi thaa ap ke reply ka... Humeshaa ki tarah iss baar bhi housla afzaayi ke liye bahut bahut bahut bahut sukriyaa...

Khuda Ko Khwaabh Mai Bhi Na Dekhaa Kabhii,
Teri Hi Ulfat Samjhi Thi Khudaayi Ham Ne...

Such kaha hai aap ne... Yah gumaan tou har mohabbat karne waloN ko ho hi jaata hai.. Apna khayaal rakheN...

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#20)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
21st July 2004, 12:55 AM

Quote:
Originally posted by Anjana Rahi
Hi Chaahat...

Is teacher ko samjhaate samjhaate khud hi ghanchakkar ban jaaogii...Kyun ki yah teacher ko pata hai ki uss ka student kitna samjhta hai aur kitna samjhaane ki kosish karta hai ...

MayanK
ufffffffff

O Teacher ji, aapke students bhi itne saral nahi hain... hahaha...

hum student hain hum sab jaante hain.. hum student hai..

Keep smiling always!

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Old
  (#21)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Post 31st July 2004, 05:04 PM

Mayank Ji....
Kya baat hai......bahut accha kaha hai aapne....
aise hee likhtey rahiye...Sir

विपिन

Reply With Quote
Old
  (#22)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
2nd August 2004, 11:03 AM

Vipin Saahab...

Kaise haiN aap? Aap ko yah qalam pasand aaya khushkismati hamaarii.. .. bahut khushi huyi aap ko yahaan dekh kar, housla afzaayi ke liye bahut bahut sukriyaa. Umeed hai aage bhi aap ka protsahan miltaa rahegaa.. Take care..

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#23)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
25th October 2004, 01:25 PM

Mushkan ji..

Kaisi haiN aap? Maaf chaahunga kyuN ki reply karne mai kaafi deri ho chuki hai.. Aap ko hamaara likha hua kuch pasand aaya yah tou hamaari khush kismati hai.. Apna khayaal rakhiye..

MayanK

Last edited by Mayank; 21st July 2007 at 04:07 PM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Hello
Old
  (#24)
Mushkan
Registered User
Mushkan is on a distinguished road
 
Mushkan's Avatar
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Aug 2003
Rep Power: 21
Thumbs up Hello - 25th October 2004, 08:53 PM

Hello Anjanji

bahote khube likha hia padte hi ajise laga ki kai dinose chupe ansoon in ankho se bahare nikle pade very nice

Mushkan
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
28th October 2004, 09:25 AM

Meri Mohabbat Teri Jafa, Saaath Dono Ki Nibhaayi Ham Ne..
Ye Soch Ke Teri Jafa Zaahir Hogi.. Mohabbat Apni Chhipaayi Ham Ne...

waise to puri nazm hi bahut acchi hain..par yeh first para hume kuch apna sa laga...bahut sacchai hain puri nazmmein..dil se daad kubool kijeye...

door se tha woh kai chehro mein
paas se koi bhi waisa na laga
bewafai bhi usi ka tha chalan,
fir kisi se yeh shikayat na hui..
-----nida fazli-------

mausam

Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
UDAS
Registered User
UDAS has a spectacular aura aboutUDAS has a spectacular aura about
 
UDAS's Avatar
 
Offline
Posts: 652
Join Date: Aug 2004
Location: India
Rep Power: 21
28th October 2004, 02:16 PM

Mayank ji...dairi k liye maafi chahti hu..

dard kitna hai...dil tees se bhar uthhta hai...aur koi bol hi mukh se nahi nikalte...ha.n. ek thandi aah jaroor nikalti hai...dard bhari daad hi maun roop se kabool kare...
chalti hu..

udas

DARD JAB HAD SE GUZERTA HAI TO GAA LETI HOO
ASHK AANKHO ME CHHUPA KER GAM PE MUSKURA LETI HOO
********
"Haale dil to dil me hi rakhte hai, in ankho ka kya karai.n
Jinse yaad main tumhari hardam aansu behte hai"
~~~~~
**
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
28th October 2004, 02:56 PM

Manayk ji..... kutch phir se yaad aa gaya apka ye likha hua pad kar

" Jab Jaana Tere Ghar Mai Chiraag Jaltaa Nahii,
Apne Mehfil Mai Shama Bhi Na jalaayi Ham Ne...

Ham Sochte The Tum Doge Har Pal Saath Mera,
Soch Kar Ye Chhoodh Di Apni Hi Parchhayi Hum Ne...

Khuda Ko Khwaabh Mai Bhi Na Dekhaa Kabhii,
Teri Hi Ulfat Samjhi Thi Khudaayi Ham Ne..."

Isi tarah humne bhi kisi ko chaha tha... uski ik muskaan ke liye har pal jiya tha....

lekin.......

Kutch nahi raha ab kehne ko.

**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#28)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
30th October 2004, 01:28 PM

Mousam ji..

Kaisi haiN?yah pure ghazal mai se aap ko kuch kuch ek sher apne mehsoosh huye jaan kar khushi huyi.. Aap ki taareef hame tah-e-dil se kabool hai..

Ek baar fir se tah-e-dil se shukriya housla afzaayi ke liye aur Nida Faazli ji ka ek khoobsoorat sher yahaaN pesh karnme ke liye..

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#29)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
30th October 2004, 01:34 PM

Sunita Ji..

Kaisi HaiN aap? Aap ne jis dhang se reply kiya hai wo wakayi kaabil e taareef hai.. Aap ki moun daad bhi hame tah-e-dil se kabool hai..

Bahoot bahoot shukriya is qalam ko pasand karne ke liye..

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#30)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
30th October 2004, 01:44 PM

Aman saahab..

Kaise haiN aap? Pahli baar aap ko yahaaN apne page par dekh ke bahooot khushi huyi.. HAm ne bhi aap ka likha huaa qalam padha thaa.. kaafi behtar likha tha aap ne.. Insaan agar jo sab chaahe usay mil jaaye tou fir gham hi kya??

Ek baar fir se tah-e-dil se shukriya se is qalam ko pasand karne ke liye..

Apna khayaal rakhiyegaa aur yuN hi aate rahiyegaa..

Aap ka dost..

MayanK

Last edited by Mayank; 10th August 2007 at 11:35 AM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Re: Meri Mohabbat Teri Jafaa, Sang Dono Ki Nibhaayi Ham Ne..
Old
  (#31)
kuhulika
Registered User
kuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant future
 
kuhulika's Avatar
 
Offline
Posts: 2,269
Join Date: Jul 2005
Location: New Delhi.(India)
Rep Power: 37
Re: Meri Mohabbat Teri Jafaa, Sang Dono Ki Nibhaayi Ham Ne.. - 18th December 2005, 05:43 PM

Quote:
Originally posted by Anjana Rahi
Meri Mohabbat Teri Jafaa, Sang Dono Ki Nibhaayi Ham Ne..
Ye Soch Ke Teri Jafaa Zaahir Hogi.. Mohabbat Apni Chhipaayi Ham Ne...

Ham Sochte The Tum Doge Har Pal Saath Mera,
Soch Kar Ye Chhoodh Di Apni Hi Parchhaayi Ham Ne...

Jab Jaana Tere Ghar Mai Chiraag Jaltaa Nahii,
Apne Mehfil Mai Shama Bhi Na jalaayi Ham Ne...

Khuda Ko Khwaabh Mai Bhi Na Dekhaa Kabhii,
Teri Hi Ulfat Samjhi Thi Khudaayi Ham Ne...

Khabar Mili Ki Tere Haathon Mai Kisi Aur Ki Mehndi Saj Gayii,
Ye Sun Kar Apni Maiyat Khud Hi Sajaayi Ham Ne...

Fariste Aa Ke Puche Meri lehad Pe Barbaadii Ki DaastaaN,
Meri Wafa To Dekh Teri Jafaa Bhi Na Bataayi Ham Ne...

Jafa-Tyranny Of A Beloved, injustice, bewafaayi
Ulfat-Mohabbat
Maiyat- zanaazaH
lehad-Kabar

-MayanK

kya boloon....

bas itna hi.... bahut hi pyara likha hai...

likhte rahiye

SHWETA

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai

uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai

kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
   
Reply With Quote
Old
  (#32)
mehul jain
haatho se haath milte rah
mehul jain is a jewel in the roughmehul jain is a jewel in the roughmehul jain is a jewel in the rough
 
mehul jain's Avatar
 
Offline
Posts: 1,429
Join Date: Feb 2005
Location: mumbai
Rep Power: 23
18th December 2005, 09:05 PM

bhai saab kabhi to kuch bolne ke liye rakho
kuch alfaaz chodge
to kuch kahenge

meri har chahat se pehle ek chahat hogi
wo chahat hamesha tum hogi
ab to chahna hi reh gaya hai zindagi main
na jane yeh chahat kab puri hogi
   
Reply With Quote
Old
  (#33)
anjelz_princess
Registered User
anjelz_princess will become famous soon enoughanjelz_princess will become famous soon enough
 
anjelz_princess's Avatar
 
Offline
Posts: 223
Join Date: Nov 2005
Location: kuwait.
Rep Power: 20
18th December 2005, 09:09 PM

in short bohot barhiya

sukoon

Dooriyon ki na parwah kiya keejiye,
Dil jab bhi pukaare bula leejiye
Ae dost hum door ziyaada nahin aap se,
Bus apni palkon ko mila leejiye
   
Reply With Quote
Old
  (#34)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
18th December 2005, 11:20 PM

Kya baat hai mayank...kal hi aapse meine kaha ke kuch likkho aur aapne likh bhi diya...aapne meri baat rakh li jaanke khushi horahi hai bahaut.
waah waah..bahaut badhiya likkha hai...padhke ke maza agaya...
dard me mohabbat aur mohabbat me dard yeh dono hi ehsaas maujood the aapke kalaam mein...meri taraf se daad kubool kariyega...apna khyaal rakhiyega.

"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."

**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#35)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
19th December 2005, 12:31 AM

MayaNk bhai

Bohat hi khoob aagaaz se anjaam tak

aapka apna

Kunal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#36)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up 3rd August 2010, 10:59 AM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
Meri Mohabbat Teri Jafa, Saaath Dono Ki Nibhaayi Ham Ne..
Ye Soch Ke Teri Jafa Zaahir Hogi.. Mohabbat Apni Chhipaayi Ham Ne...

Ham Sochte The Tum Doge Har Pal Saath Mera,
Soch Kar Ye Chhoodh Di Apni Hi Parchhayi Hum Ne...

Jab Jaana Tere Ghar Mai Chiraag Jaltaa Nahii,
Apne Mehfil Mai Shama Bhi Na jalaayi Ham Ne...

Khuda Ko Khwaabh Mai Bhi Na Dekhaa Kabhii,
Teri Hi Ulfat Samjhi Thi Khudaayi Ham Ne...

Khabar Mili Ki Tere Haathon Mai Kisi Aur Ki Mehndi Saj Gayii,
Ye Sun Kar Apni Maiyat Khud Hi Sajaayi Ham Ne...

Mat Soch Ki Abhii Din Aa Pahunchaa Meri Mout Kaa,
Tere Thukraane Ke Baad Hi Raah~E~Kaza Apnaayi Ham Ne...

Fariste Aa Ke Puche Meri lehad Pe Barbaadii Ki DaastaaN,
Meri Wafa To Dekh Teri Jafa Bhi Na Bataayi Ham Ne...

Jafa-Tyranny Of A Beloved, oppression, injustice
ulfat-Mohabbat
Maiyat- zanaazaH
lehad-Kabar

-MayanK

wah................dard ki bayaani kya khoob hai, mayank jii aapki kalam ab khamosh kyuN hai....esko khamosh mat hone dijiyega..........!
dil ko hilla gaye ahsaas.

reps +++

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
jiss jagha teri jafa ki inteha ho jayegi dasht e tanhai Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 28th December 2009 05:51 PM
Dono jahan teri Mohabbat main Har Ke m_usmanayub Shayri-e-Dard 0 3rd July 2007 10:04 PM
>>**Meri Mohabbat Teri bewafaayi.............!!**<< farhana Shayri-e-Dard 25 27th December 2005 11:20 PM
Dono Jahaan teri mohabbat........ Pulkit_gupta Shayri-e-Dard 0 16th September 2003 03:55 PM
Dono Jahaan teri mohabbat mein haar ke saqi2000 Shayri-e-Dard 0 26th March 2003 01:31 AM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com