Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 3.67 average. Display Modes
bhol gaye
Old
  (#1)
wafa
Registered User
wafa will become famous soon enoughwafa will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 97
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
bhol gaye - 18th January 2003, 08:32 AM

hi friends!
mujhe umeed hai aap sab log theek hon gey
,
ETNI SHIDAT SE CHAHA KE KHUD KO HUM BHOL GAYE
YAD RAHE TU SIRF TUM ,SARI DUNIA HUM BHOL GAYE

DIN SAARA GUZARA TUMHARE HI KHEYALOON MAIN
RAAT BHI AAI PAR HUM SOONA HI BHOL GAYE

SOOCHTE RAHE TERI BAATAIN ,TERI CHAHAT KO HUM
APNE SAARE GHUM,, SAARE DARD ,,HUM BHOL GAYE

UTHA KE HATH MANGI KHUDA SE SIRF TUMHARI HI KHUSIAN
APNE LEYE TU HUM KUCH BHI MANGNA BHOL GAYE

DEKH KE ON HONTOON KI HUNSI KO WAFA
AAJ HUM APNI ANKH KE ANSOO BHI BHOL GAYE
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
adena
Registered User
adena is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 14
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 0
28th January 2003, 02:47 AM

hi
hamain adena khatay hain
ap na theak bola anas miss wafa ka name be acha hay
or in ki shayare be
lakin mr anas ap ki taraf say parhanay ko kuch nahee mila
wafa jee ap apnay ustad ka name humain be bata dain
hum be islah lay sakain gay
regards
adena
   
Reply With Quote
thanx
Old
  (#3)
wafa
Registered User
wafa will become famous soon enoughwafa will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 97
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
thanx - 28th January 2003, 05:45 PM

salam friends!
umeed hai ke aap sab thek hongey ,anas and adena,uger aaplog tanz nahi kur rahe ke main ne acha likha tu thanx ,uger aap log mujh par tanz kur ke yeh keh rahe ho ke main ne acha likha oor main sekhti hon oor mere ustad kon hain ,tu es baare main kuch nahi kahon gi ,ustaad tu haalaat oor waqt hota hai jo bohet kuch sikha deta hain insaan ko ,main ne jo dil main aaya likh dia acha ya bura yeh pata nahi ,llekin mujhe umeed nahi thi ke koi mazak main bhi taref kure ga ,any way thanx ,
oor romana ji mujhe yakeen hai ke aap ne mazak nahi kia hoga kyon ke aapki post main parhti rehti hon ,bohet juld kuch oor likhon gi ,,,



hujome ghum meri fitrat badl nahi sakta
main keya kuroon mujhe aadat hai muskurane ki
   
Reply With Quote
hello
Old
  (#4)
wafa
Registered User
wafa will become famous soon enoughwafa will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 97
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
hello - 29th January 2003, 08:50 AM

hi anas ji!
asal main baat yeh hai ke mujhe nahi lugta ke main ne kuch easa likh dia ke koi tareef kure ,es leye mujhe aapki baat mazak hi lugi i'm sorry uger aap hurt howe tu ,aapne mere naam ki dad di aapko mera naam acha luga ,thanx ,muger aapka naam anas ,esko ulta parho tu sana banta hai ,keya yeh aapka real name hai ya bas ease hi rakh lia ,zroor bateye ga ,oor rahi baat ke meri shayri main wazan ki baat tu yakeen karain main shayri shair banene ke leye nahi kurti na hi mujhe koi shair banene ka shooq hai yeh tu bas dil ki ghutan ko kam kurne ka samaan hai ,ustaad han ustaad zroori hai muger mere koi ustaad nahi abhi tak leekin ek ko keh sakti hon jis ki waja se likhna shuro kia ,oor woh sahir hain ,sirf onke leye hi likhna shuro kia ,i think dosti tu aap se ho hi gai hai ,aap shyri .com ke membar jo ho ,

kush raho
bye
wafa
jo ab nahi hoti
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
adena
Registered User
adena is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 14
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 0
29th January 2003, 10:08 PM

adena here
yes u are right anas i should say sorry to both of romana and wafa
but belive me i did not mean to make ffun of wafa
i am sorry anyway
and u mr anas
yes romana is right u have a beautiful name
u can use that for ur takhulas
i hope anas u got my private email which i send u last day
sorry for that too
adena na anas ki poetry to par lee(ap sab log lucky ho kay anas na wo ap ko send nahee ki na he post ki {kidding anas jee mind mat ki jeya ga})
but nothing from u miss romana
and miss wafa we all waitng some thing from u
take care guys
adena
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#6)
Chota Sa Dil
Registered User
Chota Sa Dil will become famous soon enoughChota Sa Dil will become famous soon enough
 
Chota Sa Dil's Avatar
 
Offline
Posts: 176
Join Date: Oct 2001
Location: Canada,Vancouver
Rep Power: 24
hi - 30th January 2003, 02:23 AM

Just wanted to say its been some time since I have come here to read any shayri. I must say this is the first one that i read today and its very sweat and simple. bahoth achai tarekai sai likha hai apne, baree saadhkee ke saath. Keep up the good work.

Chota Sa Dil


"Work like you dont need money,
Love like you have never been hurt,
and
Dance like no one is watching."

"Janee kya likha hai us Rub ne apne kismat par, roz hathon ko dekh kar unee parne ke koshish karthe hai"
   
Reply With Quote
adab
Old
  (#7)
wafa
Registered User
wafa will become famous soon enoughwafa will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 97
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
adab - 31st January 2003, 06:42 PM

salam ,anas ji adena ji ,romana ji ,oor chota sa dil ,

aap sab logoon ki hosla afzai ka shukria ,mujhe sach main khushi hoi ,anas ji plz aap bhi kuch likheye jub aap kuch likhain gey apne baare main kuch batain gey tu hi aap ke leye koi takhalus sooch sakon gi wese main es kabil nahi leekin mushwara zroor don gi ,leekin abhi main kuch nahi maswara de sakti ,plz mujhe yakeen hai aap log meri esi turran hosla afzai kurain gey .anas ji yeh sahir woh wale sahir nahi hain jo bohet burhe shair hain ,hain tu yeh bhi shair ,muger woh nahi ,
wafa ab kahaan hoti hai ,
tu aap bataeye keya ab wafa kaheen hoti hai keya ,
any way
take care
bye
wafa
'''' hunsoo aaj etna ke es shor main
'''''' sada siskeoon ki sunai na de
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
suman
Registered User
suman is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Oct 2002
Location: Mumbai
Rep Power: 0
1st February 2003, 12:44 PM

assalam walikkum everybody.
hum to abhi naye hain is site mein wafa ji to hum kya aapke umda shayriyon pe apni opinion pesh kare?? par hum sirf itna keh sakte hain ki bahutt hi khoob likha hai aapne. bahut hi umda likha hai aapne.hume to bahutt pasand aaya. Humne bhi kuch likhi hai wafa ji aap zaroor hume batayiyega ki aapko kaisa laga.
ummeed hai aap hume apni raay zaroor batayenge.
anas ji hume bhi aapke shers ka intezar hai

***
Kyon chup-chup ke roya karte ho,
Kyon ghut-ghut ke tadpa karte ho,
Le chal hume bhi apne gum ki dariya mein,
Kyon reh-reh ke tarsa karte ho.....!!!

***
Hum chod chale hain mehfil ko,
Yaad aaye kabhi to mat rona!!!

***
wasim ki pyaar
Zindagi Hai.. Isiliye jiye ja rahe hain...!!!

khuda haafiz
suman

Last edited by suman; 1st February 2003 at 12:46 PM..
   
Reply With Quote
NICE
Old
  (#9)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
Love NICE - 1st February 2003, 02:05 PM

hello WAFA ji

IT is one of very nice creations i've ever come acrossed

sach boloon to aapki bhoolne ki is adaa par to hum fida ho gaye


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
salam
Old
  (#10)
wafa
Registered User
wafa will become famous soon enoughwafa will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 97
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
salam - 1st February 2003, 08:34 PM

hi anas ji !
kease hain aap ?
aap ne bilkul theek kaha ke main yehi kahon gi ke aap ne jo kehna hai yahaan kahain ,
mera nahi kheyaal ke main aapko mail kur paoon gi ,bura luge tu i'm sorry , muger aap yaheen baat kurain ,
any way
thanx
bye



zehr milta raha zehr peete rahe
roz marte rahe roz jeete rahe
zindagi bhi humain azmati rahi
oor hum bhi ese azmaate rahe
take care ,bye
wafa
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#11)
wafa
Registered User
wafa will become famous soon enoughwafa will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 97
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
hi - 4th February 2003, 12:59 PM

salam!
anas ji kease hain aap ?

uger aapko mujhe kuch batana nahi hai tu bar bar mail kurne ka kyon bolte hain main ne tu sirf esi leye aapko bola ke aap hi kur lain mail,kyon ke main tu nahi kuron gi ,any way lugta hai aap apni shaiyri humain nahi sunana chahte ya phir yeh bhi hosakta hai woh jo aap likhte hon sirf kisi ek keleye mukhsos ho oor kisi ko sunana nahi chahte ,chulain jease aapki murzee ,hum mujbore nahi kurte ,
khush rahye bas yehi dua hai ,
oor salam romana ji !

keasi hain aap ,aap bohet acha likhti hain ,oor sab ki hosla afzai bhi kurti hain yeh bohet achi baat hai ,wese romana ji lugta hai anas ji chupe rustam hain yeh jub kuch likhain gey na tu hum sab ko chunka dain gey ,ese logoon ke dil main bohet kuch hota hai bas bahir nikalne ka raasta hona chaeye ,jease hi enhon ne ek bar likha tu bas phir yeh likhte hi jain gey ,wese aap donoo bohet ache ho ,bulke bohet ache ho bas humari dua hai aap log humesha khush rhain ,take care
bye
wafa
   
Reply With Quote
Anas ji
Old
  (#12)
Ishiqka
Ishiqka
Ishiqka is on a distinguished road
 
Ishiqka's Avatar
 
Offline
Posts: 293
Join Date: Oct 2002
Location: toronto
Rep Power: 22
Anas ji - 5th February 2003, 05:39 AM

as u said to edit it. i think its well written just some punctuation marks otherwise its totally fine. i hope u write more, take care
Ishiqka


Jee rahe hai kaise ye hum hi jaane
   
Reply With Quote
salam
Old
  (#13)
wafa
Registered User
wafa will become famous soon enoughwafa will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 97
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
salam - 5th February 2003, 08:30 AM

anas ji !
aap ne tu kamal kur dia aap tu bohet acha likhte ho ,main ne kaha tha na ease log jub likhte hain tu chunka dete hain ,aap sach main bohet acha likhte ho ,mujhe tu koi kami es main nazer nahi aati ,aap ne acha likha oor llikhte rahe entzar rahe ga,
take care
bye
wafa
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
wafa
Registered User
wafa will become famous soon enoughwafa will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 97
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
5th February 2003, 11:45 AM

ok anas ji aap ne jis ke leye bhi likha acha likha,hum ustad na sahi par jo acha likhe ga oosko acha bolain gey zroor,woh aap hon ya zeshan,zeba romana ya jo bhi ho,hum tarif zroor kurain gey
be happy,uger aap nahi chahte ke main aapki shayri ki tarif kuron ,tu sach main achi cheez ki tarif zroor kurti hon ,han bura likho gey tu nahi kuron gi
jease pehle likha tha jo bhi main kuch nahi kaha tha ,
es leye hum tarif kurain gey aap chahin ya na chahin
bye
wafa
   
Reply With Quote
salam
Old
  (#15)
wafa
Registered User
wafa will become famous soon enoughwafa will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 97
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
salam - 5th February 2003, 06:39 PM

anas ji mera nahi kheyaal ke main ne kuch ghult keh dia hai,
ok its my last reply main ab aapki shayri achi bhi lugi tu kuch nahi likhon gi na tarif oor eslah kurne ke kabil main kahan,
bye and take care





wafa
----------------------------
hi romana ji!
keasi hain aap ?
aap ne kaha aap donoo larh kyon rahe ho tu mera nahi kheyaal ke main ne koi larhai ki wese bhi larahi tu apno se hoti hai mera anas ji se taluq sirf shyri .com ki waja se tha humari na kubhi dosti thi na hi ab koi larhai ,
main tu bas ek achi shayri ki tarif kur rahi thi ,anas ji ne esko ghult samjh lia ke shaid main oon ko tung kur rahi hon,
aap bhi kuch mazeed likheye na humain entezar hai ,
ok take care
bye
wafa
   
Reply With Quote
hey wafa
Old
  (#16)
a_khushi2001
Registered User
a_khushi2001 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 60
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 22
Smile hey wafa - 5th February 2003, 09:44 PM

hi wafa ji
bahutt khoob likha hai aap ne aap ke pyaar karne ka andazz pasand aaya
lekin wafa ji aap bahut santi hoo logon ki baataon per dhyaan mat diyaa karo unhe to aadat hoti hai mazzak karne ki.mian shayed bahut bol rahin hoon sorry
waise aap ne thik kahan humare ustadd to waqt aur halat hote hai
likhte rahiyye
bye
khushi
--------
"mera yaar milade mujhe ko doo lakhe duwayee tujh koooo"
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#17)
wafa
Registered User
wafa will become famous soon enoughwafa will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 97
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
hi - 6th February 2003, 09:11 PM

hi!khushi
how r u ?
thanx aapko mera andaz pasand aaya ,warna main nahi samjhti ke kuch ziada acha likha main ne ,yeh tu aap sab dostoon ki hosla afzai hai ,thanx,aapne bilkul thik kaha main logoon ki baatain sunti hon mujhe easi baaton par tawjo hi nahi deni chaeye ,ab nahi don gi ,mujhe umeed hai aap meri hosla afzai kurte rahain ge sab log,
be happy
take care
bye


wafa
   
Reply With Quote
hello
Old
  (#18)
wafa
Registered User
wafa will become famous soon enoughwafa will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 97
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
hello - 6th February 2003, 09:27 PM

hi!
romana ji keasi hain aap?
sorry reply late kur rahi hon bas thora bzi thi romana ji aap befiker rahin ab larai nahi hogi larai pehle bhi nahi thi ab bhi nahi hai or na hi hogi kisi se bhi nahi ,main bohet kuch jan chuki hon ,khair jub bhi aap farigh hon tu kuch likhain zroor aajkul main bhi kuch nahi likh pa rahi leekin bohet juld kuch na try kuron gi ,take care
bye

wafa
   
Reply With Quote
wafa jo ab hoti nahi ------ ?
Old
  (#19)
m_kashif17
Registered User
m_kashif17 is on a distinguished road
 
m_kashif17's Avatar
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Jan 2007
Rep Power: 0
wafa jo ab hoti nahi ------ ? - 24th May 2007, 06:02 PM

Why
wafa jo ab hoti nahi ------ ?
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
31st July 2008, 02:56 PM

bahut acche ahsaas hai wafa ji.....


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
~~~Raste badal gaye to Rista badal gaye~~~ Diya_Jale Shayri-e-Dard 5 31st August 2008 12:56 AM
apanaa gam bhul gaye teri jafaa bhul gaye.. LAMHA Shayri-e-Dard 4 7th June 2008 07:21 PM
hum pee bhi gaye chalka bhi gaye. land_cruiser Shayri-e-Ishq 0 9th September 2006 10:52 PM
tumhe paakar ham ameer ho gaye....kho kar ham saheed ho gaye... dard_thesorrow Shayri-e-Ishq 126 9th April 2005 03:25 PM
Halat Badal Gaye,swalat Badal Gaye naresh Shayri-e-Ishq 0 1st April 2005 09:27 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com