Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Sharaab

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Sharab ki zaroorat
Old
  (#1)
PunjabiBoy
Aapka Ek Sharabi!
PunjabiBoy will become famous soon enoughPunjabiBoy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 49
Join Date: Apr 2003
Location: Texas, U.S.
Rep Power: 0
Wink Sharab ki zaroorat - 8th April 2003, 10:34 AM

Toofan mein saahil ki zaroorat hai dosto
Ik laash hoon qatil ki zarrorat hai dosto
Dil jalaati hai sharaab maana buri hai
Lekin kise ab dil ki zaroorat hai dosto

Auron ko bhi humne is dil mein basaaya thaa
Pyaar ko samajh humne imaan nibhaaya thaa
Nafrat ke qabil bhi na nikle vo meherban
Jaam ki jagah jinko hontho se lagaaya thaa
Pyar ke qabil mili to bas mili sharaab
Is pyaar ke qaabil ki zaroorat hai dosto
Dil jalaati hai sharaab maana buri hai
Lekin kise ab dil ki zaroorat hai dosto

Qaazni ne kaha humko sharaab chod do
Humne bhi keh diya tum namaaz chod do
Hakeem keh raha hai dil ke mareez ko
Apney is dard-e-dil ka ilaaz chod do
Sharabi ki manzil huaa karti hai yeh sharaab
Sharabi ko manzil ki zaroorat hai dosto
Dil jalaati hai sharaab maana buri hai
Lekin kise ab dil ke zaroorat hai dosto

Aaghaaz ho chuka hai anjaam baaqi hai
Uth kar na jaao yuum abhi to shaam baaqi hai
Abhi se ladkhada ke girta hai kyun dost
Pena hai aur tujhko yeh jaam baaqi hai
Akele hi pee lee magar tanha bahut hai
Tanhaaiyon ko mehfil ki zaroorat hai dosto
Dil jalaati hai sharaab maana buri hai
Lekin kise ab dil ki jaroorat hai dosto.


Never love a love that hurts, never hurt a love that loves.
  Send a message via Yahoo to PunjabiBoy Send a message via AIM to PunjabiBoy  
Reply With Quote
Reply2sher
Old
  (#2)
Mzsoniye
Registered User
Mzsoniye is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 31
Join Date: Apr 2003
Rep Power: 0
Love Reply2sher - 8th April 2003, 11:04 AM

Hey Punjabi Boy,
AWSOME sher, really touched the heart!
I'm sure alot of people can relate to it as well,
You got some talent, keep it up & bring on some
more of that work....!
Yours,
Unknown Giggles
  Send a message via Yahoo to Mzsoniye  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Dard ki daastan
Registered User
Dard ki daastan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 43
Join Date: Feb 2003
Location: U.S.A
Rep Power: 0
18th April 2003, 08:41 AM

Punjabiboy, this is very well written

"Qaazni ne kaha humko sharaab chod do
Humne bhi keh diya tum namaaz chod do
Hakeem keh raha hai dil ke mareez ko
Apney is dard-e-dil ka ilaaz chod do"

Such hakeem ko kya pata sharab dil ka dard bhula deti hai. Bahut hi khoob likha hai aapne. I hope u don't drink much dost. Take care and keep writing this way. Shukria


Doston...pyar ki baatain na karo

Guzare hain mohabbat main aise mukaam se
Nafrat si ho gayi hai mohabbat ke naam se

Jai Mata Di
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is Off
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
zaroorat samyasar1 Shayri-e-Ishq 0 5th August 2008 01:36 PM
zaroorat kya hai! hayat Shayri-e-Dard 2 20th January 2006 11:16 AM
Zaroorat saajan_1545 Shayri-e-Ishq 0 27th May 2005 08:31 PM
nashe me sharab ya sharab me nasha Taish Shayri-e-Sharaab 0 26th April 2005 04:34 PM
zaroorat zamir Shayri-e-Ishq 2 13th April 2005 09:37 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com