ghar kaheeN aur hai saamaan kaheeN aur mera -
18th May 2024, 08:51 PM
घर कहीं और है सामान कहीं और मेरा
मैं हूँ मौजूद कहीं ध्यान कहीं और मेरा
जिस्म हो जाता है हल्कान* कहीं और मेरा
दिल है हैरान-परेशान कहीं और मेरा
*थका-मांदा
मेरी महफ़िल तो कहीं और ही आरस्ता* है
और मिलता मुझे मेहमान कहीं और मेरा
*अलंकृत
भीड़ कहती है चलो दैर-ओ-हरम* की जानिब
मन ये कहता है कि भगवान कहीं और मेरा
*मंदिर और मस्जिद
दुश्मनो आओ कि मज़बूत बना दो मुझको
यही मौक़ा है निगहबान* कहीं और मेरा
*अभिरक्षक
बेरुख़ी तेरी बहाना है उदासी के लिए
दिल तो टूटा है मेरी जान कहीं और मेरा
फ़ायदा मिलता है सोहबत में बड़े लोगों की
हाँ मगर होता है नुक़सान कहीं और मेरा
बस लिए एक दलील आया हूँ मैदान-ए-जंग
भाला तलवार धनुष-बान कहीं और मेरा
मैं जहाँ पर भी पहुँचता हूँ मुझे लगता है
“ज़र्रा” कुछ और है इमकान* कहीं और मेरा
*संभावना
ख़ाली हाथों से हुआ पेश हुज़ूर-ए-ग़ालिब
मैं छुपा आया हूँ दीवान कहीं और मेरा
- ज़र्रा
ghar kaheeN aur hai saamaan kaheeN aur mera
main hooN maujood kaheeN dhyaan kaheeN aur mera
jism ho jaata hai halkaan* kaheeN aur mera
dil hai hairaan-pareshaan kaheeN aur mera
*fatigued
meri mahfil to kaheeN aur hi aarasta* hai
aur milta mujhe mehmaan kaheeN aur mera
*adorned
bheeD kahti hai chalo dair-o-haram* ki jaanib
man ye kahta hai ki bhagvaan kaheeN aur mera
*temple and mosque
dushmano aao ki mazboot bana do mujhko
yahi mauqa hai nigahbaan* kaheeN aur mera
*protector
beruKHi teri bahaana hai udaasi ke lie
dil to TooTa hai meri jaan kaheeN aur mera
faayda milta hai sohbat meN baDe logoN ki
haaN magar hota hai nuqsaan kaheeN aur mera
bas lie ek daleel aaya hooN maidaan-e-jaNg
bhaala talvaar dhanush-baan kaheeN aur mera
maiN jahaan par bhi pahuNchta hooN mujhe lagta hai
“zarraa” kuchh aur hai imkaan* kaheeN aur mera
*possibility
KHaali haathoN se hua pesh huzoor-e-Galib
maiN chhupa aaya hooN deevaan kaheeN aur mera
- zarraa
maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
|