Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 10 votes, 5.00 average. Display Modes
Majaz....Shayer of the month..MAR 2013
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Majaz....Shayer of the month..MAR 2013 - 2nd March 2013, 03:25 PM

Asrar ul Haq Majaz (19 october 1911 – 5 December 1955) was an Indian Urdu poet.He was known for his romantic and revolutionary poetry. He composed ghazals and nazams in urdu

Majaz was born in Rudauli, bara banki, UP, India. He received his early education in Lucknow and Agra, and did his B.A. at Aligarh muslim university He considered Fani badayuni as his 'ustad'.
He hails from a family of poets and litterateurs. Muztar khairabadi, one of the great masters of Urdu poetry, was among his ancestors.He has a sister Safiya, who married to Jan Nisar Akhtar, father of Javed akhter

Majaz started writing poems while in Aligarh and soon became a popular among the masses and well respected among the literati. He became one of the front-ranking poets of the Taraqqi Pasand Tahreek or Progressive Writers’ Movement.

He is also well known for composing the anthem, tarana, for Aligarh Muslim University, 'Ye meraa chaman, hai mera chaman, Main apne chaman ka bulbul huun.' "Aahang" and "Saaz-e-Nau" are two of his poetry compilations.

Majaz was madly in love with a woman. She married another man which he could not come to terms with. His poetry was greatly influenced by her and he remained unmarried all his life

After liberation of India, condition deteriorated and with the help of Josh malihabadi Majaz was sent to the mental hospital of Raanchi. There he met kazi nasrul islam and recognized the poet. It is reported that he told the poet, "Why are you silent Nazrul, Lets go to Lahore/Dhaka, though they are in foreign country, there are asylums!"

Majaz, a heavy drinker, died alone in a tavern located in the Beldari Lane of Lalbagh, on the cold winter night of 5 December 1955 in the heart of the city of Lucknow.
Major works include
  • Shab-e-taab
  • Aahang
  • Saaz-e-Nau
One of his famous poems Ae Gham-e-Dil Kia Karoon, Ae Wahshat-e-Dil Kia Karoon was sung by singer Talat Mehmood for a film. This was one of the very early attempts to bring literary poems to film industry. Jagjit Singh the famous ghazal singer has sung a number of his ghazals in a very popular television series named Kehkashan directed by Majaz's friend Ali Sardar Jafri. The series was based on life of Majaz.

one of his ghazals:

maiN aaheN bhar nahiiN sakta ke naGhmeN gaa nahiiN sakta
sukuuN lekin mere dil ko muyassar aa nahiiN sakta

koi naGhme to kya ab mujh se mera saaz bhi le lo
jo gaana chahta huuN , aah , vo maiN gaa nahiiN sakta

mataa-e-soz-o-saaz-e-ziNdagii , paimaana-o-barbat
maiN khud ko in khilonoN se bhi ab behlaa nahiiN sakta

voh baadal sar pe chhaye haiN ke sar se haT nahiiN sakte
milaa hai dard voh dil ko ke dil se jaa nahiiN sakta

hawaskaari hai jurm-e-khudkushii meri shar'iiyat meN
ye hadd-e-aakhiri hai maiN yahaaN taq jaa nahiiN sakta

na tuufaaN rok sakte haiN na aaNdhii rok sakti hai
magar phir bhi maiN us kasr-e-hasiiN taq jaa nahiiN sakta

voh mujhko chaahti hai aur mujh taq aa nahiiN sakti
maiN usko poojtaa huuN aur usko paa nahiiN sakta

ye majboori si majboori ye laachaari si laachaari
kie uske geet bhi jee khol kar maiN gaa nahiiN sakta

zabaaN par bekhudi meiN naam uska aa hi jaata hai
agar puuche koi "ye kaun hai ?" , batlaa nahiiN sakta

kahaaN taq qissa-e-aalaam-e-furqat, mukhtsar ye hai
yahaaN vo aa nahiiN sakti, vahaaN maiN jaa nahiiN sakta

hadd'eN voh kheNch rakhi haiN haram ke paasbaanoN ne
ki bin mujrim bane pai'gaam bhi pahuNchaa nahiiN sakta

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st April 2013 at 01:26 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#2)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
2nd March 2013, 05:32 PM

masha Allah.. khoobsuraat intekhaaab zainy saahiba..... bahot khushi hui ye informative thread dekh kar.... Ummeed hai aage aur bhi jaankari se rubaro hone ka mauqaa milega yahan...

keep sharing his best...

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
2nd March 2013, 06:59 PM

mere mehboob shayar

Zainy sahiba aapka iNtehaayi shukurguzaar huuN jo aapne yeh thread shuru kiya

Isi section meiN maine Majaz saahab ki jeevni par ek tafseeli thread bhi khola tha

maiN inke sukhan ka bohat qaayal hooN, ab haaziri darj ki hai to lage haaTh Majaz saahab ki ek Ghazal pesh-e-khidmat hai

Khuub pahachaan lo asrar huuN maiN
jins-e-ulfat kaa talabgaar huuN maiN

ishq hii ishq hai duniyaa merii
fitanaa-e-aql se bezaar huuN maiN

chheDatii hai jise mizaraab-e-alam
saaz-e-fitarat kaa vahii taar huuN maiN

aib jo haafiz-o-Khayyaam meiN thaa
haaN kuchh is kaa bhii gunahgaar huuN maiN

zindagii kyaa hai gunaah-e-aadam
zindagii hai to gunahgaar huuN maiN

merii baatoN meiN masiihaaii hai
log kahate haiN ki biimaar huuN maiN

ek lapakataa huaa sholaa huuN maiN
ek chalatii huii talavaar huuN maiN

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#4)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
2nd March 2013, 07:54 PM

Majaz Lukhnawi saahab ki nazm "nazr-e-dil" :

apne dil ko donoN aalam se uThaa sakta hooN maiN
kya samajhtee ho ke tumko bhi bhulaa sakta hooN maiN

tum agar ruuTho to ik tumko manaane ke liye
geet gaa sakta hooN maiN aaNsoo bahaa sakta hooN maiN

tum ke ban sakti ho har mehfil meiN firdaus-e-nazar
mujhko ye daava ke har mehfil pe chaa sakta hooN maiN

aao mil kar Inqalaab-e-taaza-tar paidaa kareiN
dahar pe is tarah chaa jaaeyN ke sab dekha kareiN

dafn kar sakta hooN seene meiN tumhaare raaz ko
aur tum chaaho to afsaana banaa sakta hooN maiN

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#5)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
2nd March 2013, 10:08 PM

Majaz sahiib ki aik aur khoobsurat gazal mahfil ki nazar

Khud dil me.n rah ke aa.Nkh se pardaa kare ko_ii

haa.N lutf jab hai paake bhii Dhuu.NDhaa kare ko_ii

tum ne to hukm-e-tark-e-tamannaa sunaa diyaa
kis dil se aah tark-e-tamannaa kare ko_ii

duniyaa laraz ga_ii dil-e-hiramaa.N_nasiib kii
is tarah saaz-e-aish na chhe.Daa kare ko_ii

[hiramaa.N_nasiib=nasiib ke maare hue]

mujh ko ye aarazuu vo uThaaye.n naqaab Khud
un ko ye intazaar taqaazaa kare ko_ii

rangiinii-e-naqaab me.n Gum ho ga_ii nazar
kyaa be-hijaabiyo.n kaa taqaazaa kare ko_ii

yaa to kisii ko jurrat-e-diidaar hii na ho
yaa phir merii nigaah se dekhaa kare ko_ii

hotii hai is me.n husn kii tauhiin ai 'Majaz'
itanaa na ahal-e-ishq ko rusavaa kare ko_ii

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#6)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
3rd March 2013, 11:09 AM

siine me.n un ke jalve chhupaaye huye to hai.n
ham apane dil ko tuur banaaye huye to hai.n

[tuur=the mountain on which Moses had his vision]

taasiir-e-jazb-e-shauq dikhaaye huye to hai.n
ham teraa har hijaab uThaaye huye to hai.n

[taasiir=effect/result; jazbaa=emotion; hijaab=veil]

haa.N vo kyaa huaa vo hausalaa-e-diid ahal-e-dil
dekho na vo naqaab uThaaye huye to hai.n

[hausalaa-e-diid=courage to see/view]

tere gunaaha_aar gunaah_gaar hii sahii
tere karam kii aas lagaaye huye to hai.n

allaah re qaamayaabii-e-aavaaragaan-e-ishq
Khud gum huye to kyaa use paaye huye to hai.n

ye tujh ko iKhtiyaar hai taasiir de na de
dast-e-duaa ham aaj uThaaye huye to hai.n

[iKhtiyaar=control; taasiir=result; dast-e-duaa=hands raised in prayer]

miTate huo.n ko dekh ke kyo.n ro na de.n 'Majaz'
aaKhir kisii ke ham bhii miTaaye huye to hai.n

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#7)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
3rd March 2013, 06:37 PM

Bahot khoobsurat silsile ko anjaam de rahe hain aap sab..... jaari rakkheN...

shukriyaa....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)

  (#9)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
4th March 2013, 06:23 PM

Asraar sahab ki kahaani Maikash ji ki zubaani..............

aadaab dosto

aaj aapko aik aise shaayir ka qalaam aur uski dastaan sunaane ko jee chaha jise jab bhi yaad karta huuN to dil zaar-zaar ho jaata hai......

janaab asrar-ul-haq "majaz".......

jinheN koi sharaabi kehta to koi genius

inka janam 1909 meiN awadh ke aik kasbe "radauli" meiN hua.

taa'liim ki shuruvaat lukhnow ke ameenabaad high school se hui.....bachpan meiN khelne-kuudne ki bajaye majaz khoobsuurati ke qaayil rahe.....kisi suNdar khaa'tuun ko dekh lete to uske saath GhaNToN baateN karte rehte........

school ke baad aagra ke saint johns college meiN daaKhilaa liya......jahaaN unki mulaqaat muin ehsan "jazbi" aur "fani badayuni" jaise shayiroN se hui aur yahiiN se unke shayraana safar ka aaghaz hua. fani badayuni ko majaaz ne ustaad tasleem kiya.

aligarh university se B.A ki degree haasil ki......

yeh voh daur tha jab saara aligarh girls college majaz ka deewana tha.....laRkiiyaN majaz ke qalaam taqiyoN ke neeche chhupa kar rakhti thiiN.....uske she'r gungunaati thiiN.....kahaaN rehta hai ? kya karta hai ? kisi se mohabbat to nai karta ? yeh sawaal kiya karti thiiN......

phir 1936 meiN radio magazine "aawaaz" ke editor ki haisiiyat se majaaz ka "dilli" (delhi) aana hua.......

aur inko aik aisi ladki se mohabbat ho gayi jiski shaadi ho chuki thi.....bohat khoobsuurat aur aik ameer gharaane se ta'lluqaat rakhne waali is laRki ke saath majaz ki mohabbat ziyada der na chal saki.....sirf aik saal ke baad hi majaz ne naukri choR kar lukhnow waapis jaana ka iraada kiya......lekin ishq meiN khataa khaaye majaaz dard ki shiddat se kis tarah tadap rahe the iska andaaza aap unki iss nazm se lagaa sakte haiN jo unhone delhi choRne se pehle likhi :-

rukhsat ai dilli teri mehfil se ab jaata huuN maiN
nauhagar* jaata huuN maiN , naala-b-lab* jaata huuN maiN

nauhagar = vilaap karte hue, rote hue
naala-b-lab = hoThoN par aah liye

tera dil dhaDkaa chuke haiN mere ehsaasaat bhi
tere aivaanoN* meiN goonje haiN mere naGhmaat bhi

aivaan = mahal

jannateN aabaad haiN tere dar-o-deewar meiN
aur tu aabaad hai shaayir ke qalb-e-zaar meiN*

qalb-e-zaar = TuuTaa hua dil

yaad aayegi mujhe be-tarah yaad aayegi tu
ae'n waqt-e-maikashi aaNkhoN meiN phir jaayegi tu

kya kahuN kis shauq se aaya tha teri bazm meiN
choR kar khuld-e-aligarh* ki hazaaroN mehfileN

khuld-e-aligarh = aligarh ki jannat

kitne raNgiiN ahd-o-paimaaN toD kar aaya tha maiN
dil nawaazaan-e-chaman ko choR kar aaya tha maiN

ik nasheman maine choRa ik nasheman chuT gaya
saaz bas cheDa hi tha maine ki gulshan chuT gaya

dil meiN soz-e-Gham ki ik duniya liye jaata huuN maiN
aah , tere maikade se be-piye jaata huuN maiN

jaate-jaate lekin ik paimaaN kiye jaata huuN maiN
apne azm-e-sarfaroshi* ki kasam khaata huuN maiN

azm-e-sarfaroshi = jaan par khel jaane ka iraada

phir teri bazm-e-hasiiN meiN lauT kar aauNga maiN
aauNga maiN aur ba-aNdaaz-e-digar* aauNga maiN

ba-aNdaaz-e-digar = aik alag andaaz ke saath

aah, voh chakkar diye haiN gardish-e-ayyaam ne
khol kar rakh di haiN aaNkheN talKhi-e-aalaam* ne

talKhi-e-aalaam = dukhoN ki kaDvaahat

fitrat-e-dil dushman-e-naGhma hui jaati hai ab
ziNdagi ik barq* ik shol'aa hui jaati hai ab

barq = bijli

sar se paa taq aik khooni raag ban kar aauNga
laalaazaar-e-raNg-o-buu meiN aag ban kar aauNga

dilli se jab lukhnow waapis aaye to betahaasha sharaab peena shuru kar diya........peene ki latt aisi lagi ke nervous breakdown ho gaya.....paagalpan ke daure paDne lage......aur majaz paagalpan meiN kehte rahte "falaaN ladki mujhse shaadi karna chahti hai lekin raqeeb usey zahar dena chahte haiN"

kuch der ye silsila chala aur jab ilaaj se zahan ka tavvajun barqaraar hua to ghar waaloN se socha ke shaadi kar di jaaye.....lekin aik baar paagal ho chuke majaz ke saath apni laRki ki shaadi karna kisi ko gawara na hua......vohi log jo majaz ke dewaane the ab katraane lage.....

ab majaz ne saNbhalne ka iraada kiya.....kuch dinoN taq "bombay information" meN kaam kiya......wahaan se lauT kar lukhnow university meiN L.L.B meiN daakhila le liya......"sardar jafri" saahab ke saath mil kar "naya adab" naam ki aik magazine bhi nikaali.......aur phir harding library,delhi meiN assistant librarian ki naukrii karne lage......

inhiiN dinoN ghar waalon ne aik rishta talaash kiya.....majaaz ne bhi yeh soch kar haami bhar di ke shaayad ziNdagi meiN sukuun aur khushi ka mahaul bane.......lekin jab apne hone waale sasur se mile to unko 150 rupaye mahina kamaane waale majaaz ki haisiiyat bohat choTi lagi aur rishte se inkaar kar diya......

mohabbat meiN khata khaaye majaz ko is baar unki gariibi ne is qadar kuchlaa ke 1954 meiN duusri baar paagalpan ka daura paDa......is baar dimaag par itna gehra asar hua ke apni mahaanta ke raag alaapne lage......shayaroN ke naamoN ki list banaate aut "Ghalib" aur "iqbaal" ke baad apna naam likh dete......doctors se jee-jaan se koshish ki , ghar waaloN ne koi kasar baaqi na rakkhi.....aur is baar bhi dimaagi bimaari se to nijaat mil gayi lekin zindagi meiN koi badlaav na aaya.......sharaab-noshii badhti gayi........

1948 meN aik raat janaab prakash paNdit ( the credit for this story goes to him) aur "saahir ludhianvi" saahab delhi ke "naya mohhala", "pul baNgash" ke makaan meiN meN apna samaan rakh rahe the to prakash saahab ke saamne aik shakhs laDkhaDaata huaa , hawaa meiN uNgliiyoN se kuch likhne ki koshish karta hua , aa khaDa hua aur chill'aa-chill'aa kar kehna laga : "Akhtar sheerani mar gaya, haye akhtar tu urdu ka bohat bada shaayar tha - bohat bada" .....

......itne meiN "josh malihabadi" saahab aa gaye aur kehne lage "isey saNbhaalo prakash , ye majaz hai"

majaz prakash saahab ke ghar kuch arsa rahe.....lekin aksar gaayab ho jaaya karte......phaTe-puraane kapde pehne , bina khaaye-peeye kayi dionoN taq galiiyoN ki khaak chhan'te rehte ke sharaab kahiiN se mil jaaye......aur log majaz ko sharaab pilaate aur apne manoranjan ke liye unki shayri sunte.....jab uktaa jaate to sab apne-apne ghar chale jaate aur majaz vahiiN pade rehte........

aap meiN se kayi dostoN ne jagjit singh ki album "kahkashan" se yeh nazm "ai gham-e-dil kya karun" zaruur suni hogi jiska unvaan hai "aawaara" ......yeh nazm majaz ki hi hai aur mere khayaal se jagjit singh saahab ne majaz ke saath insaaf nai kiya jo nazm "aadhi" hi gaayi......

puuri nazm yuuN hai ......... :-

...............................................Aaw aara.......................................

shahar kii raat aur mai.n naashaad-o-naakaaraa* phiruuN
jag_magaatii jaagatii saDakoN pe aavaaraa phiruuN
Gair kii bastii hai kab tak dar badar maraa phiruuN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

***naashaad-o-naakaaraa = udaas aur be-kaar****

jhil_milate qum_qumoN kii* raah meN zanjiir sii
raat ke haathoN meN din kii mohanii tasviir sii
mere siine par magar chalatii hu_ii shamashiir sii

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

*****jhil_milate qum_qumoN kii = bijli ki raushniiyoN ki******

ye rupahalii* chhaaoN ye aakaash par taaroN kaa jaal
jaise suufii kaa tasavvur jaise aashiq kaa Khayaal
aah lekin kaun jaane kaun samajhe jii kaa haal

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

******rupahalii = chaaNdi ke raNg jaisi********

phir vo TuuTaa ik sitaaraa phir vo chhuuTii phul_jhaDii
jaane kis kii god meN aaye ye motii kii laDii
huuk sii siine meN uThii choT sii dil par paDii

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

raat haNs haNs kar ye kahatii hai ke maiKhaane meN chal
phir kisii shah_naaz-e-laalaaruKh* ke kaashaane* meN chal
ye nahiiN mumkin to phir ai dost viiraane meN chal

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

*******shah_naaz-e-laalaaruKh = phuuloN se chehre waali ladki , kaashaana = makaan*********

har taraf bikharii hu_ii rangiiniyaaN raanaa_iiyaaN
har qadam par isharateN letii huii angaDaiiyaa.N
ba.Dh rahii hai god phailaaye hue rusavaa_iiyaaN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

raaste meN ruk ke dam le luuN merii aadat nahiiN
lauT kar vaapas chalaa jaa_uuN merii fitarat nahiiN
aur ko_ii ham_navaa mil jaaye ye qismat nahiiN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

muntazir hai ek tuufaan-e-balaa* mere liye
ab bhii jaane kitane daravaaze haiN vaa* mere liye
par musibat hai meraa ahad-e-vafaa* mere liye

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

******tuufaan-e-balaa = musiibatoN ka tuufaan , vaa = khule hue , ahad-e-vafaa = vafaa karne ke vaada

jii meN aataa hai ki ab ahad-e-vafaa bhii toD duuN
un ko paa sakataa huuN maiN ye aasaraa bhii chhoD duuN
haaN munaasib hai ye zanjiir-e-havaa bhi toD duuN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

ik mahal kii aaD se nikalaa vo piilaa maah_taab*
jaise mullaah kaa amaamaa* jaise baniye kii kitaab
jaise muflis* kii javaanii jaise bevaa kaa shabaab

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

******maah_taab = chaand , amaamaa = pagRii , muflis = gareeb********

dil me ek sholaa bhaDak uThaa hai aaKhir kyaa karuuN
meraa paimaanaa chhalak uThaa hai aaKhir kyaa karuuN
zaKhm siine kaa mahak uThaa hai aaKhir kyaa karuuN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

jii meN aataa hai ye murdaa chaaNd-taare noch luuN
is kinaare noch luuN aur us kinaare noch luuN
ek do kaa zikr kyaa saare ke saare noch luuN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

muflisii aur ye mazaahir* haiN nazar ke saamane
saikaDoN sultaan-e-jaabar* haiN nazar ke saamane
saikaDoN changez-o-naadir haiN nazar ke saamane

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

******mazaahir = nazaare , sultaan-e-jaabar = zulm karne vaale baadshaah******

le ke ik changez ke haathoN se Khanjar toD duuN
taaj par us ke damakataa hai jo patthar toD duuN
ko_ii toDe yaa na toDe maiN hii baDhakar toD duuN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

baDh ke is indar-sabhaa kaa saaz-o-saamaaN phuuNk duuN
is kaa gulshan phuuNk duuN us kaa shabistaaN* phuuNk duuN
taKht-e-sultaaN kyaa maiN saaraa qasr-e-sultaaN* phuuNk duuN

ai Gam-e-dil kyaa karuuN ai vahashat-e-dil kyaa karuuN

******shabistaaN = aaraam karne ka kamra , qasr-e-sultaaN = shaahi mahal**********

.................................................. .................................................. .

ye prakash paNdit saahab ke alfaaz haiN ke unhone dilli ki kai aisi mehfiloN ki yaad hai jahaaN uuNche-uuNche gharaane ki aurateN jamaa hoti thiiN aur majaz ko khoob sharaab pilaayi jaati aur phir unse taabaD-toD ghazleN aur nazmeiN suniiN jaati aur jab majaz ki saaNs jawaab dene lagti aur unke mezbaan ko lagne lagta ke ab yeh kuch na suka sakega to unheN "driver" ke hawaale kar diya jaata aur driver unheiN kisi sunsaan gali ya maidaan ya kisi railway station ke bench par choR aata.........

lekin khud majaz ko ab apni koi parvaah nahiin thi.....unhin ka aik sher hai :-

meri barbaadiioN ke ham-nasheeno
tumheN kya , khud mujhe bhi Gham nahin hai

us raat bhi kuch logoN ne aisi hi mehfil jamai aur majaz ko khoob sharaab pilaayi gayi.......aur jab boriyat hone lagi to sab uth kar apne-apne ghar chal diye........lekin mere mehbuub shaayir ko vahiiN khuli chhat par choR gaye..... december ki us barfiili raat meiN saari raat maikhaane ki chhat par pade rehne ki wajah se majaz ke dimaag ki nas fatt gayi aur 6 december 1955 ko balrampur hospital lukhnow meiN voh is faani duniye se kinaara kar gaye.....

unki aik Ghazal hai :-

meri masti meN ab hosh hi ka taur hai saaqi
tere saaghar meN ye sehba nahiiN kuch aur hai saaqi

bhaDakti jaa rahi hai dam-ba-dam ik aag si dil meN
ye kaise jaam haiN saaqi ye kaisa daur hai saaqi

vo shay de jis se neeNd aa jaaye aql-e-fitna-parvar ko
ke dil aazurdah-e-tam'iiz-e-lutf-o-zaur hai saaqi

jawaani aur yuuN ghir jaaye tuufaan-e-hawadis meN
khuda rakkhe abhi to bekhudi ka daur hai saaqi

chhalakti hai jo tere jaam se uss ma'i ka kya kehna
tere shaadaab hoNthoN ki magar kuch aur hai saaqi

mujhe peene de, peene de ke tere jaam-e-la'lee meN
abhi kuch aur hai , kuch aur hai , kuch aur hai saaqi

majaz ne itna ziyada nahin likha jitna meer , ghalib aur faraz ne likha hai lekin unke sukhan meiN jo dard aur jo kashish hai kam-az-kam mujhe kahiiN aur dikhaayi nai deti

ba-har-haal

aap sab dostoN se meri guzaarish hai ke majaz ka koi qalaam kisi se post karna ho to isi thread meN kijiye......

maiN chahta huuN ke aise kayi thread aur shayiroN ke bhi shuru kiye jaayeN........

lekin yeh is baat par munhasir hai ke aur ehbaab kitna contribute karte haiN......

ijaazat dijiye
maikash

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#10)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
5th March 2013, 01:47 PM

Very Nice informations.....

but mujeh lagta hai aisii information publicaly nahi honi chahiye.... this should be limited for genuine SDC users...

Warna aapko to pata hi hai.. koi bechara mehnat kare, articles likhe... aur copy paste duniya bhar ki websites me ho jata hai.... asal credit kisi aur kaa aur waahwahi kisi aur ki...

hope u understand.....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
5th March 2013, 01:57 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post

Hahahaha.....lol.......

Sdc.......kuch logon ke liye survive karne ka sahaara.....let them live......

Aqalmand log original aur copy paste me farq kar hi lenge.....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#12)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
5th March 2013, 03:24 PM

Saaraa aalam gosh bar aavaaz hai
aaj kin haatho.n me.n dil kaa saaz hai

haa.N zaraa jurrat dikhaa ai jazb-e-dil
husn ko parde pe apane naaz hai

kam_nashii.n dil kii haqiiqat kyaa kahuu.N
soz me.n Dubaa hu_aa ik saaz hai

aap kii maKhmuur aa.Nkho.n kii qasam
merii maiKhvaarii abhii tak raaz hai

ha.Ns diye vo mere rone par magar
un ke ha.Ns dene me.n bhii ek raaz hai

chhup gaye vo saaz-e-hastii chhe.D kar
ab to bas aavaaz hii aavaaz hai

husn ko naahaq pashemaa.N kar diyaa
ai junuu.N ye bhii ko_ii andaaaz hai

saarii mahafil jis pe jhuum uTThii 'Majaz'
vo to aavaaz-e-shikast-e-saaz hai

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#13)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
8th March 2013, 02:17 AM

Taskiin-e-dil-e-mahazuu na huii vo sa_ii-e-qaram faramaa bhii gaye
us sa_ii-e-qaram kaa kyaa kahiye bahalaa bhii gaye ta.Dapaa bhii gaye

Ek arz-e-vafaa bhii kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake
yahaa.N ham ne zabaa.N hii khole thii vahaa.N aa.Nkh jhukii sharamaa bhii gaye

Aashuftagii-e-vahashat kii qasam hairat kii qasam hasarat kii qasam
ab aap kahe kuchhh yaa na kahe ham raaz-e-tabassum paa bhii gaye

Ruudaad-e-Gam-e-ulfat un se ham kyaa kahate kyo.nkar kahate
ek harf na nikalaa hoTho.n se aur aa.Nkh me.n aa.Nsuu aa bhii gaye

Arbaab-e-junuu.N pe furkat me.n ab kyaa kahiye kyaa kyaa guzaraa
aaye the savaad-e-ulfat me.n kuchhh kho bhii gaye kuchhh paa bhii gaye

Ye rang-e-bahaar-e-aalam hai kyaa fiqr hai tujh ko ai saaqii
mahafil to terii sunii na huii kuchhh uTh bhii gaye kuchhh aa bhii gaye

Is mahafil-e-kaif-o-mastii me.n is anjuman-e-irafaanii me.n
sab jaam-ba-kaf baiThe rahe ham pii bhii gaye chhhalakaa bhii gaye

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#14)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
8th March 2013, 02:21 AM

http://www.youtube.com/watch?v=aGCbxsdsiOQ

ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho
maine maana ke tum ik paikar-e-raanaee ho
chaman-e-daher mein rooh-e-chamanarayee ho
tallat-e-meher ho firdaus ki barnai ho
bint-e-mehtaab ho gardoo se utar aayee ho
mujhse milne mein abandesha-e-ruswaayee hai
maine khud apne kiye ki ye saza paayee hai

un dino mujpe qayamat ka junoon taari thaa
sar pe sarshaari-o-ishrat ka junoon taari thaa
maahpaaron se mohabbat ka junoon taari thaa
shehri yaaron se raqabat ka junoon taari thaa
bistar-e-makhmal-o-sanjaab thee duniya meri
ek rangeen-o-haseeN khwaab thee duniya meri

kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar
meri fariyaad-e-jigar doz mera lala-e-zaar
shiddhat-e-kard mein doobi huyee meri guftaar
main ke khud apne mazak-e-tarabgee ka shikaar
wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahan se laaoon
ab mein wo Jazba-e-masoom kahan se laaoon
ab mere pass tum aayee ho to kya aayee ho

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 8th March 2013 at 02:23 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#15)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
8th March 2013, 10:03 PM

A FILM ON MAJAZ SAHAB

http://www.youtube.com/watch?v=XnpUW1zBU7c

http://www.youtube.com/watch?v=TKd011Jzqtc

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#16)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
9th March 2013, 01:15 AM

izn-e-Khiraam lete huye aasamaaN se ham
haTakar chale haiN rahaguzar-e-kaaravaaN se ham

kyoN'kar huaa hai faash zamaane pe kyaa kaheN
vo raaz-e-dil jo keh na sake raazadaaN se ham

ham_dam yahii hai rahaguzar-e-yaar-e-Khush_Khiraam
guzare haiN laakh baar isii kahakashaaN se ham

kyaa kyaa huaa hai ham se junuuN meiN na puuchhiye
uljhe kabhii zamiiN se kabhii aasamaaN se ham

Thukaraa diye haiN aql-o-Khiraad ke sanam_kade
ghabraa chuke haiN kashamakash-e-imtehaaN se ham

baKhshii haiN ham ko ishq ne vo jurrateN 'Majaz'
Darte nahiiN siyaasat-e-ahal-e-jahaaN se ham

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 9th March 2013 at 01:26 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#17)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
9th March 2013, 01:18 AM

junuun-e-shauq ab bhi kam nahiiN hai
magar vo aaj bhi barham nahiiN hai

bahut mushkil hai duniyaa kaa saNvarnaa
terii zulfoN ke pech-o-Kham nahiiN hai

bahut kuchh aur bhii hai is jahaaN meiN
ye duniyaa mahaz Gham hi Gham nahiiN hai

merii barbaadiyo ke ham_nashinoN
tumheN kyaa Khud mujhe bhi Gham nahiiN hai

abhii bazm-e-tarab se kyaa uThuuN maiN
abhii to aaNkh bhii pur_nam nahiiN hai

'Majaz' ek baadaakash to hai yaqeenan
jo ham sunate the vo aalam nahiiN hai

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#18)

9th March 2013, 01:33 AM

hijaab-e-fitna parwar ab utha leti to achha thaa
khud apne husn ko parda bana leti to achha thaa

teri neechi nazar khud teri ismat ki muhafiz hai
tu is nashtar ki tezi aazma leti to achha thaa

tere maathe ka teeka mard ki kismat ka taara hai
agar tu saaz-e-bedaari uThaa leti to achha thaa

tere maathe pe ye aaNchal bahut hi khoob hai lekin
tu is aaNchal se ik parcham bana leti to achha thaa

agar khilwat meiN tuune sar uThaaya bhi to kya haasil
bharii mehfil meiN aa kar sar jhukaa leti to acchha tha

dil-e-majrooh ko majrooh'tar karne se kya haasil
tu aaNsoo poNchhkar ab muskura leti to acchha tha

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#19)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
9th March 2013, 09:23 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
junuun-e-shauq ab bhi kam nahiiN hai
magar vo aaj bhi barham nahiiN hai

bahut mushkil hai duniyaa kaa saNvarnaa
terii zulfoN ke pech-o-Kham nahiiN hai

bahut kuchh aur bhii hai is jahaaN meiN
ye duniyaa mahaz Gham hi Gham nahiiN hai

merii barbaadiyo ke ham_nashinoN
tumheN kyaa Khud mujhe bhi Gham nahiiN hai

abhii bazm-e-tarab se kyaa uThuuN maiN
abhii to aaNkh bhii pur_nam nahiiN hai

'Majaz' ek baadaakash to hai yaqeenan
jo ham sunate the vo aalam nahiiN hai
ShuKriyaah ees ehsaas ko baaNTne ke liye bhaiya

bahot hi Khoob Ghazal !

aapka

~Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
10th March 2013, 08:17 AM

Dekhna Jazbe Mohabbat Ka Asar, Aaj Ki Raat

Mere Shaane Pe Hai Us Shokh Ka Sar, Aaj Ki Raat

Noor Hi Noor Hai Kis Simth Uthaoon Aankhen
Husn Hi Husn Hai Taahath-E-Nazar Aaj Ki Raat
Husn Hi Husn Hai

Naghma-O-Mai Ka Ye Toofan-E-Tarab Kya Kehna
Mera Ghar Ban Gaya Khaiyyam Ka Ghar Aaj Ki Raat

Dekhna Jazbe Mohabbat Ka Asar Aaj Ki Raat
Mere Shaane Pe Hai Us Shokh Ka Sar Aaj Ki Raat

Nargis-E-Naaz Mein Woh Neendh Ka Halka Sa Khumaar
Woh Mere Naghma-E-Shireen Ka Asar Aaj Ki Raat

Dekha Jazbe Mohabbat Ka Asar Aaj ki Raat
Mere Shaane Pe Hai Us Shokh Ka Sar Aaj Ki Raat

http://hindigeetmala.com/song/dekhna...at_ka_asar.htm

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#21)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
10th March 2013, 12:26 PM

Bahut bahut shukriya zainy saahiba..

Mere pasandida shayroN meiN se ek haiN majaaz saaheb

Ghar pe nahi huN aur mobile se mumkin nahi ..par safar se laut Te hi majaaz saaheb ka ek nagma aapki buzm meiN humari taraf se bhi pakka ..

Apna khyaal rakhiye

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
11th March 2013, 08:36 AM

One of my most fav. nazm of Majaaz sahab...I dedicate this to my beloved shayri.com ..

TARAANA E ALIGARH MUSLIM UNIVERSITY

ye meraa chaman hai meraa chaman,
maiN apne chaman kaa bulbul huuN
sarshaar-e-nigaah-e-nargis huuN,

paa-bastaa-e-gesuu-sumbul huuN

(chaman : garden; bulbul : nightingale; sarshaar : overflowing, soaked; nigaah : sight; nargis :flower, Narcissus; paa-bastaa : embedded; gesuu : tresses; sumbul : a plant of sweet odor)

ye meraa chaman hai meraa chaman,
maiN apne chaman ka bulbul huuN
jo taaq-e-haram meN roshan hai
vo shamaa yahaaN bhii jaltii hai

is dasht ke goshe-goshe se,
ek juu-e-hayaat ubaltii hai
ye dasht-e-junuuN diivaanoN kaa,

ye bazm-e-vafaa parvaanoN kii
ye shahr-e-tarab ruumaanoN kaa,

ye Khuld-e-bariiN armaanoN kii
fitrat ne sikhaii hai ham ko,

uftaad yahaaN parvaaz yahaaN
gaaye haiN vafaa ke giit yahaaN,

chheRaa hai junuuN kaa saaz yahaaN

(taaq-e-haram : vault in the sacred territory of Mecca; roshan : glowing; shamaa : flame; dasht : wilderness, desert; goshaa : corner; juu-e-hayaat : stream of life; junuuN : frenzy; bazm : gathering; vafaa : faithfulness; shahr-e-tarab : city of mirth; Khuld-e-bariiN : sublime paradise; armaan : hopes; fitrat : nature; uftaad : beginning of life; parvaaz : flight; saaz : song on an instrument)

ye meraa chaman hai meraa chaman,
maiN apne chaman ka bulbul huuN
is bazm meN teGheN khenchiiN haiN,
is bazm meN saGhar toRe haiN
is bazm meN aanKh bichaa’ii hai,

is bazm meN dil tak joRe haiN
har shaam hai shaam-e-Misr yahaaN,
har shab hai shab-e-Sheeraz yahaaN
hai saare jahaaN kaa soz yahaaN

aur saare jahaaN kaa saaz yahaaN

zarraat kaa bosaa lene ko,
sau baar jhukaa aakaash yahaaN
Khud aankh se ham ne dekhii hai,

baatil kii shikast-e-faash yahaaN

(teGh : swords; saGhar : goblets; shaam-e-Misr : evenings of Egpyt; shab-e-Sheeraz : nights of Sheeraz, a famous city of Iran; soz : pain; zarraat : dust; bosaa : kiss; baatil : evil; shikast-e-faash: clear defeat)

ye mera chaman hai mera chaman,
main apne chaman ka bulbul hun
jo abr yahaaN se uThThega,
vo saare jahaaN par barsegaa
har juu-e-ravaan par barsegaa,

har koh-e-garaaN par barsegaa
har sard-o-saman par barsegaa,

har dasht-o-daman par barsegaa
Khud apne chaman par barsegaa,

GhairoN ke chaman par barsegaa
har shahr-e-tarab par garjegaa,

har qasr-e-tarab par kaRkegaa

(abr : cloud; juu-e-ravaan : flowing streams; koh-e-garaaN : big mountains; sard-o-saman : open and shelter; dasht-o-daman : wild and subdued; qasr-e-tarab : citadel of joy)

ye abr hameshaa barsaa hai, ye abr hameshaa barsegaa

barsegaa, barsegaa, barsegaa…………………..

Asrarul Haq Majaz

http://www.youtube.com/watch?v=VIos_YTJ3po

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 11th March 2013 at 08:42 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#23)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
12th March 2013, 12:54 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
mere mehboob shayar

Zainy sahiba aapka iNtehaayi shukurguzaar huuN jo aapne yeh thread shuru kiya

Isi section meiN maine Majaz saahab ki jeevni par ek tafseeli thread bhi khola tha
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Bahot khoobsurat silsile ko anjaam de rahe hain aap sab..... jaari rakkheN...

shukriyaa....
Quote:
Originally Posted by Dhaval View Post
ShuKriyaah ees ehsaas ko baaNTne ke liye bhaiya

bahot hi Khoob Ghazal !

aapka

~Dhaval
Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
Bahut bahut shukriya zainy saahiba..

Mere pasandida shayroN meiN se ek haiN majaaz saaheb

Ghar pe nahi huN aur mobile se mumkin nahi ..par safar se laut Te hi majaaz saaheb ka ek nagma aapki buzm meiN humari taraf se bhi pakka ..

Apna khyaal rakhiye

Aap sab ka tah e dil se shukriyah dostoN....

Ummid hai is thread ko aagay badhane me aap sab ki madad milti rahegi.....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#24)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
12th March 2013, 01:55 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Aap sab ka tah e dil se shukriyah dostoN....

Ummid hai is thread ko aagay badhane me aap sab ki madad milti rahegi.....
Zaroor.......................................... kyon nahi

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
13th March 2013, 01:45 AM

kuchh tujh ko Khabar hai ham kyaa kyaa ai shorish-e-dauraaN bhuul gaye
vo zulf-e-pareshaaN bhuul gaye vo diidaa-e-giriiyaaN bhuul gaye

ai shauq-e-nazaaraa kyaa kahiye nazaroN meiN koii suurat hii nahiiN
ai zauq-e-tasavvur kyaa kahiye ham suurat-e-jaanaaN bhuul gaye

ab gul se nazar milatii hii nahiiN ab dil kii kalii khil'tee hii nahiiN
ai fasl-e-bahaaraaN ruKhasat ho ham lutf-e-bahaaraaN bhuul gaye

sab ko to madaavaa kar Daalaa apanaa hii madaavaa kar na sake
sab ke girebaaN sii Daale apanaa hii girebaaN bhuul gaye

ye apanii vafaa kaa aalaam hai ab un kii jafaa ko kyaa kahiye
ek nashtar-e-zahar-e-aagaahii rakh kar nazdiik-e-rag-e-jaaN bhuul gaye

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 13th March 2013 at 08:02 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#26)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
14th March 2013, 06:09 PM

Khud dil meiN reh ke aaNkh se pardaa kare koii
haaN lutf jab hai paake bhii DhuuNDhaa kare koii

tum ne to hukm-e-tarq-e-tamannaa sunaa diyaa
kis dil se aah tarq-e-tamannaa kare koii

duniyaa laraz gayi dil-e-hiramaaN nasiib kii
is tarah saaz-e-aish na chheRaa kare koii

mujhko ye aarazuu vo uThaayeN naqaab khud
un ko ye iNtezaar taqaazaa kare koii

raNgeeni-e-naqaab meiN gum ho gayi nazar
kyaa be-hijaabiyoN kaa taqaazaa kare koii

yaa to kisii ko jurrat-e-diidaar hi na ho
yaa phir meri nigaah se dekhaa kare koii

hoti hai is meiN husn ki tauheen ai 'Majaz'
itnaa na ahal-e-ishq ko rusavaa kare koii

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#27)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
14th March 2013, 06:24 PM

ai shauq-e-nazaaraa kyaa kahiye nazaroN meiN koii suurat hii nahiiN
ai zauq-e-tasavvur kyaa kahiye ham suurat-e-jaanaaN bhuul gaye

waaahhhhh..............

mujhko ye aarazuu vo uThaayeN naqaab khud
un ko ye iNtezaar taqaazaa kare koii

subhan Allah........ kyaa khoob sher hain , majaaz ki baat hi aur hai...... TFS both of you....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
14th March 2013, 06:29 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post

http://www.youtube.com/watch?v=aGCbxsdsiOQ

ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho
maine maana ke tum ik paikar-e-raanaee ho
chaman-e-daher mein rooh-e-chamanarayee ho
tallat-e-meher ho firdaus ki barnai ho
bint-e-mehtaab ho gardoo se utar aayee ho
mujhse milne mein abandesha-e-ruswaayee hai
maine khud apne kiye ki ye saza paayee hai
ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho

un dino mujpe qayamat ka junoon taari thaa
sar pe sarshaari-o-ishrat ka junoon taari thaa
maahpaaron se mohabbat ka junoon taari thaa
shehri yaaron se raqabat ka junoon taari thaa
bistar-e-makhmal-o-sanjaab thee duniya meri
ek rangeen-o-haseeN khwaab thee duniya meri

kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar
meri fariyaad-e-jigar doz mera lala-e-zaar
shiddhat-e-kard mein doobi huyee meri guftaar
main ke khud apne mazak-e-tarabgee ka shikaar
wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahan se laaoon
ab mein wo Jazba-e-masoom kahan se laaoon
ab mere pass tum aayee ho to kya aayee ho

muqammal nazm yeh rahi :

ab mere paas tum aayii ho to kyaa aayii ho
maine maanaa ke tum ek paikar-e-raana’ii ho
chaman-e-dah’r meN ruuh-e-chaman-aara’ii ho
tal’at-e-mah’r ho, firdaus kii barnaa’ii ho
bint-e-mahtaab ho, garduuN se utar aa’ii ho

(paikar-e-raana’ii : portrait of beauty; chaman-e-dah’r : terrestial garden; ruuh-e-chaman-aara’ii : soul of beautified garden; tal’at-e-mah’r : appearence as that of Sun; barnaa’ii : youth; bint-e-mahtaab : daughter of moon; garduuN : fortune and her revolving wheel)

mujh se milne meN ab andeshaa-e-rusvaa’ii hai
maine Khud apne kiye kii ye sazaa paa’ii hai

(andeshaa-e-rusvaa’ii : chance of disrepute)

Khaak meN aah milaa’ii hai javaanii maiN ne
shoala-zaaroN meN jalaa’ii hai javaanii maiN ne
shah’r-e-KhuubaaN meN ganvaa’ii hai javaanii maiN ne
Khvaab-gaahoN meN jagaa’ii hai javaanii maiN ne

( shoala-zaaroN : flaming lamentations; shah’r-e-KhuubaaN : city of the beautiful)

husn ne jab bhii inaayat kii nazar Daalii hai
mere paimaan-e-muhabbat ne sapar Daalii hai

(inaayat : favour; paimaan-e-muhabbat : assertion of love; sapar : journey)

un dinoN mujh pe qayaamat kaa junuuN taarii thaa
sar pe sarshaarii-o-ishrat kaa junuuN taarii thaa
maahpaaroN se muhabbat ka junuuN taarii thaa
shah’ryaaroN se raqaabat ka junuuN taarii thaa

(sarshaarii-o-ishrat : drinking and pleasure; maahpaaroN : beautiful person; shah’ryaaroN : people in power )

bistar-e-maKhmal-o-sanjaab thii duniyaa merii
ek rangiin-o-hasiiN khvaab thii duniyaa merii

(bistar-e-maKhmal-o-sanjaab : bed of velvet and fur; rangiin-o-hasiiN : colorful and beautiful)

jannat-e-shauq thii begaana-e-aafat-e-samuum
dard jab dard na ho, kaavish-e-darmaaN ma’aluum
Khaak the diida-e-bebaak meN garduuN ke nujuum
bazm-e-parviiN thii nigaahoN meN kaniizoN kaa hujuum

(jannat-e-shauq : paradise of desire; begaana-e-aafat-e-samuum : carefree of troubles of hot blowing wind; kaavish-e-darmaaN : efforts for finding a medicine; diida : perception; garduuN : heaven; nujuum : stars; bazm-e-parviiN : a gathering of stars; kaniiz : maid)

lailii-e-naaz baraaf-gandah niqaab aatii thii
apnii aaNkhoN men liye da’avat-e-Khvaab aatii thii

(lailii-e-naaz : night of coquetry, playfulness; da’avat-e-Khvaab : an invitation to dream)

sang ko gohar-e-naayaab-o-garaaN jaanaa thaa
dasht-e-purKhaar ko firdaus-e-javaaN jaanaa thaa
reg ko silsilaa-e-aab-e-ravaaN jaanaa thaa
aah ye raaz abhii maiN ne kahaaN jaanaa thaa

(sang : rock; gohar-e-naayaab-o-garaaN : rare and expensive gem; dasht-e-purKhaar : forest full of thorns; firdaus-e-javaaN : paradise of youth; aab-e-ravaaN : water flow)

merii har fat’h meN hai aik haziimat pinhaaN
har masarrat meN hai raaz-e-Gham-o-hasrat pinhaaN

(fat’h : victory; haziimat : defeat, ; pinhaaN : hidden; raaz-e-Gham-o-hasrat : secret of suffering and desire)

kyaa sunogii merii majruuh javaanii kii pukaar
merii fariyaad-e-jigar doz, meraa naala-e-zaar
shiddat-e-karb meN Duubii hu’ii merii guftaar
maiN ke Khud apne mazaaq-e-tarab aagiiN kaa shikaar

(naala-e-zaar : tears of lamentation; shiddat-e-karb : intensity of grief;
mazaaq-e-tarab : taste of desire; aagiiN : full)

vo gudaaz-e-dil-e-marhuum kahaaN se laauuN
ab maiN vo jazba-e-ma’asuum kahaaN se laauuN

(gudaaz-e-dil-e-marhuum : lost tender heart; jazba-e-ma’asuum : innocent passion)

mere saaye se Daro tum merii qurbat se Daro
apnii jurraat kii qasam ab merii jurraat se Daro
tum lataafat ho agar merii lataafat se Daro
mere va’ade se Daro merii muhabbat se Daro

(qurbat : proximity; jurraat : audacity; lataafat : delicateness)
ab maiN altaaf-o-inaayaat kaa sazaavaar nahiiN,
maiN vafaadaar nahiiN, haaN maiN vafaadaar nahiiN,
(altaaf-o-inaayaat : favours and kindness)

ab mere pass tum aayii ho to "kyaa" aayii ho.........

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#29)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
14th March 2013, 06:34 PM

Jigar aur dil ko bachaanaa bhii hai
nazar aap hii se milaanaa bhii hai

muhabbat kaa har bhed paanaa bhii hai
magar apnaa daaman bachaanaa bhii hai

jo dil tere Gham kaa nishaanaa bhii hai
qateel-e-jafaa-e-zamaanaa bhii hai

ye bijlii chamaktii hai kyuN dam-ba-dam
chaman meN ko’ii aashiyaanaa bhii hai

Khirad kii ata’at zaruurii sahii
yahii to junuuN kaa zamaanaa bhii hai

ye duniyaa, ye aqbaa kahaaN jaaiye
kahiiN ahl-e-dil kaa thikaanaa bhii hai!

mujhe aaj saahil pe rone bhii do
ke tuufaan meN muskuraanaa bhii hai

zamaane se aage to baRhiye “Majaz"
zamaane ko aage baRhaanaa bhii hai

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#30)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
15th March 2013, 12:13 AM

"Majaz had gone insane twice - he is drunk all the time and wanders aimlessly." Sahir Ludhianvi introuduced Majaz in this fashion in the journal 'Savera' published from Lahore. Majaz was terribly hurt. This is how he responded :

Kuch to hote haiN mohabbat meiN junuuN ke aasaar
aur kuch log bhi deewana bana dete haiN!

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#31)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
15th March 2013, 09:43 PM

barbaad tamannaa pe ataab aur zyaadaa
haa.N merii mohabbat kaa javaab aur zyaadaa

roye na abhii ahal-e-nazar haal pe mere
honaa hai abhii mujh ko Kharaab aur zyaadaa

aavaaraa-va-majanuu.N hii pe maukuuf nahii.n
kuchh milane hai.n abhii mujh ko Khitaab aur zyaadaa

uThe.nge abhii aur bhii tuufaa.N mere dil se
dekhuu.Ngaa abhii ishq ke Khvaab aur zyaadaa

Tapakegaa lahuu aur mere diidaa-e-tar se
dha.Dakegaa dil-e-Khaanaa_Kharaab aur zyaadaa

ai mutrib-e-bebaak ko_ii aur bhii naGmaa
ai saaqii-e-fayyaaz sharaab aur zyaadaa

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 15th March 2013 at 09:45 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#32)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
17th March 2013, 12:46 AM

husn phir fitnaagur hai kyaa kahiye
dil kii jaanib nazar hai kyaa kahiyeah

phir vahii rahguzar hai kyaa kahiyeah
zindagii raahbar hai kyaa kahiyeah

husn Khud pardaadaar hai kyaa kahiyeah
ye hamaarii nazar hai kyaa kahiyeah

aah to be-asar thii barason se
naGmaa bhii be-asar hai kyaa kahiyeah

husn hai ab na husn ke jalvay
ab nazar hii nazar hai kyaa kahiyeah

aaj bhii hai ‘Majaz’ Khaak nasheen
aur nazar arsh par hai kyaa kahiye

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#33)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
17th March 2013, 02:49 AM

usne jab kahaa mujhse geet ek sunaa do naa
sard hai fizaa dil kii, aag tum lagaa do naa

kyaa haseen tevar the, kyaa latiif lehja thaa
aarzuu thii, hasrat thii, hukm thaa, taqaazaa thaa

gungunaa ke mastii meN saaz le liyaa maine
chheD hii diyaa aaKhir naGhma-e-vafaa maine

yaas kaa dhuvaaN uThaa har navaa-e-Khastaa se
aah kii sadaa niklii barbat-e-shikasta se

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#34)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
17th March 2013, 02:52 AM

partav-e-sagar-e-sahba kya tha
raat ik hashn sa barpa kya tha

kyoN jawaani ki mujhe yaad aayi
maine ik khwab sa dekha kya tha

husn ki aaNkh bhi namnaak hui
ishq ko aapne samjha kya hai

ishq ne aaNkh jhuka li varna
husn aur husn ka parda kya tha

kyoN 'majaz' aapne saagar toda
aaj yeh shehr mein charcha kya tha

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#35)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
17th March 2013, 02:56 AM

husn ko be-hijaab honaa thaa
shauq ko kaamayaab honaa thaa

hijr meiN kaif-e-iztaraab na puuchh
Khoon-e-dil bhii sharaab honaa thaa

tere jalvoN meiN ghir gayaa aaKhir
zarrey ko aafataab honaa thaa

kuchh tumhaarii nigaah kaafir thii
kuchh mujhe bhii Kharaab honaa thaa

raat taaroN kaa TuuTanaa bhii 'Majaz'
baa_is-e-iztaraab honaa thaa

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#36)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
17th March 2013, 03:01 AM

junuun-e-shauq ab bhii kam nahiiN hai
magar vo aaj bhii barham nahiiN hai

bahut mushkil hai duniyaa kaa saNvar'naa
terii zulfoN ke pech-o-Kham nahiiN hai

bahut kuchh aur bhii hai jahaaN meiN
ye duniyaa mahaz Gham hii Gham nahiiN hai

merii barbaadiyoN ke ham_nasheeno
tumheN kyaa Khud mujhe bhii Gam nahiiN hai

abhii bazm-e-tarab se kyaa uThuuN maiN
abhii to aa.Nkh bhii pur_nam nahiiN hai

'majaz' ek baadaakash to hai yaqiinan
jo ham sunate the vo aalam nahiiN hai

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#37)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
19th March 2013, 02:16 AM

kamaal-e-ishq hai deevaanaa ho gayaa huu.N mai.n
ye kis ke haath se daaman chhu.Daa rahaa huu.N mai.n

tumhii.n to ho jise kahtii hai naaKhudaa duniyaa
bachaa sako to bachaa lo ki Duubataa huu.N mai.n

ye mere ishq kii majbuuriyaa.N ma'az-allaah
tumhaaraa raaz tumhii.n se chhupaa rahaa huu.N mai.n

is ik hijaab pe sau be-hijaabiyaa.N sadaqe
jahaa.N se chaahataa huu.N tumko dekhataa huu.N mai.n

bataane vaale vahii.n par bataate hai.n ma.nzil
hazaar baar jahaa.N se guzar chukaa huu.N mai.n

kabhii ye zom ki tuu mujh se chhup nahii.n sakataa
kabhii ye vaham ki Khud bhii chhupaa huaa huu.N mai.n

mujhe sune na ko_ii mast-e-baadaa-e-isharat
'Majaz' TuuTe huye dil kii ik sadaa huu.N mai.n

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#38)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
21st March 2013, 04:49 PM

dil-e-Khuu.N_gashtaa-e-jafaa pe kahii.n
ab karam bhii giraa.N na ho jaaye

tere biimaar kaa Khudaa haafiz
nazr-e-chaaraagaraa.N na ho jaaye

ishq kyaa kyaa n aafate.n Dhaaye
husn gar mahar_baa.N na ho jaaye

mai ke aage Gamo.n kaa koh-e-giraa.N
ek pal me.n dhuaa.N na ho jaaye

phir 'Majaz' in dino.n ye Khataraa hai
dil halaak-e-butaa.N na ho jaaye

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#39)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
23rd March 2013, 12:32 AM

Rah-e-shauq se ab haTaa chaahataa huu.N
koshish husn kii dekhanaa chaahataa huu.N

Ko_ii dil-saa dard aashanaa chaahataa huu.N
rah-e-ishq me.n rah_numaa chaahataa huu.N

Tujhii se tujhe chhiinanaa chaahataa huu.N

ye kyaa chaahataa huu.N ye kyaa chaahataa huu.N

Khataao.n pe jo mujh ko maa_il kare phir

sazaa aur aisii sazaa chaahataa huu.N

Vo maKhmuur nazare.n vo mad_hosh aa.Nkhe.n

Kharaab-e-muhabbat huaa chaahataa huu.N

Vo aa.Nkhe.n jhukii.n vo ko_ii muskuraayaa

payaam-e-muhabbat sunaa chaahataa huu.N

Tujhe dhuu.NDhataa huu.N terii justajuu hai

mazaa hai Khud gum huaa chaahataa huu.N

Kahaa.N kaa karam aur kaisii inaayat

'Majaz' ab jafaa hii jafaa chaahataa huu.N

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#40)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
25th March 2013, 03:28 PM

phir chalii hai rel isTeshan se laharaatii hu_ii
niim-shab kii Khaamoshii me.n zer-e-lab gaatii hu_ii

Dag-magaatii, jhuumatii, siiTii bajaatii, khelatii
vaadii-o-kohasar kii Tha.nDii havaa khaatii hu_ii

tez jho.nko.n me.n vo chham chham kaa sarod-e-dil-nashii.n
aa.Ndhiyo.n me.n meh barasane kii sadaa aatii hu_ii

jaise maujo.n kaa tarannum jaise jal-pariyo.n ke giit
ik-ik lay me.n hazaaro.n zam-zame.n gaatii hu_ii

naunihaalo.n ko sunaatii miThii miThii loriyaa.N
naaz-niino.n ko sunahare Khvaab dikhalaatii hu_ii

Thokare.n khaakar, lachakatii, gunagunaatii, jhumatii
sar-Khushii me.n ghu.ngharuuo.n kii taal par gaatii hu_ii

naaz se har mo.D par khaatii hu_ii sau pech-o-Kham
ik dulhan apanii adaa se aap sharmaatii hu_ii

raat kii taariikiyo.n me.n jhil-milaatii, kaa.Npatii
paTariyo.n pe duur tak siimaab chhalakaatii hu_ii

jaise aadhii raat ko nikalii ho ik shaahii baraat
shaadiyaano.n kii sadaa se vazd me.n aatii hu_ii

mu.ntashir kar ke fazaa me.n jaa-ba-jaa chi.ngaariyaa.N
daaman-e-mauj-e-havaa me.n phuul barasaatii hu_ii

tez-tar hotii hu_ii ma.nzil-ba-ma.nzil dam-ba-dam
raftaa raftaa apanaa asalii ruup dikhalatii hu_ii

siinaa-e-kohasar par cha.Dhatii hu_ii be-iKhtiyaar
ek naagan jis tarah mastii me.n laharaatii hu_ii

ik sitaaraa TuuT kar jaise ravaa.N ho arsh par
rifat-e-kohasar se maidaan me.n aatii hu_ii

ik baguule kii tarah ba.Dhatii hu_ii maidaan me.n
ja.ngalo.n me.n aa.Ndhiyo.n kaa zor dikhalaatii hu_ii

yaad aa jaaye puuraane devataao.n kaa jalaal
in qayaamat-Kheziyo.n ke saath balakhaatii hu_ii

ek raKhsh-e-be-inaa.N kii barq-raftaarii ke saath
Kha.ndaqo.n ko phaa.Ndatii Tiilo.n se kataraatii hu_ii

murG-zaaro.n me.n dikhaatii juu-e-shirii.n kaa Khiraam
vaadiyo.n me.n abr ke maani.nd ma.Dalaatii hu_ii

ik pahaa.Dii par dikhaatii aabashaaro.n kii jhalak
ik biyaabaa.N me.n chiraaG-e-tuur dikhalaatii hu_ii

justajuu me.n ma.nzil-e-maqasuud kii diivaanaavaar
apanaa sar dhunatii fazaa me.n baal bikharaatii hu_ii

chhe.Datii ik vazd ke aalam me.n saaz-e-saramadii
Gaiz ke aalam me.n muu.Nh se aag barasaatii hu_ii

re.ngatii, mu.Datii, machalatii, til-milaatii, haa.Npatii
apane dil kii aatish-e-pinhaa.N ko bha.Dakaatii hu_ii

Khud-ba-Khud ruuThii hu_ii, bifarii hu_ii, bikharii hu_ii
shor-e-paiham se dil-e-getii ko dha.Dakaatii hu_ii

pul pe dariyaa ke damaadam kau.Ndatii lalakaaratii
apanii is tuufaan-a.ngezii pe itaraatii hu_ii

pesh karatii biich nadii me.n chiraaGaa.N kaa samaa.N
saahilo.n pe ret ke zarro.n ko chamakaatii hu_ii

muu.Nh me.n ghusatii hai surango.n ke yakaayak dau.D kar
dan-danaatii, chiiKhatii, chi.nghaa.Datii gaatii hu_ii

aage aage justajuu-aamez nazare.n Daalatii
shab ke haibatanaak nazzaaro.n se ghabaraatii hu_ii

ek mujarim kii tarah sahamii hu_ii simaTii hu_ii
ek mufalis kii tarah sardii me.n tharraatii hu_ii

tezii-e-raftaar ke sikke jamaatii jaa-ba-jaa
dasht-o-dar me.n zindagii kii lahar dau.Daatii hu_ii

safaah-e-dil se miTaatii ahad-e-maazii ke nuquush
haal-o-mustaqabil ke dil-kash Khvaab dikhalaatii hu_ii

Daalatii behis chaTTaano.n par hiqaarat kii nazar
koh par ha.Nsatii falak ko aa.Nkh dikhalatii hu_ii

daaman-e-taariikii-e-shab kii u.Daatii dhajjiyaa.N
qasr-e-zulmat par musal-sal tiir barasaatii hu_ii

zad me.n ko_ii chiiz aa jaaye to us ko piis kar
irtiqaa-e-zindagii ke raaz batalaatii hu_ii

zom me.n peshaanii-e-seharaa pe Thokar maaratii
phir subak-raftaariyo.n ke naaz dikhalaatii hu_ii

ek sarkarsh fauj kii suurat alam khole hue
ek tuufaanii garaj ke saath darraatii hu_ii

har qadam par top kii sii ghan-garaj ke saath saath
goliyo.n kii san-saanaahaT kii sadaa aatii hu_ii

vo havaa me.n saika.Do.n ja.ngii duhal bajate hue
vo bigul kii jaa.N-fazaa aavaaz laharaatii hu_ii

al-Garaz u.Datii chalii jaatii hai beKhauf-o-Khatar
shaayar-e-aatish-nafas kaa Khuun khaulaatii hu_ii

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com