Tum se mil kar hua hoon main poora...
Sadiyon se tha tanha...
Sadiyon se awara,
Sadiyon se tha bechara,
Sadiyon se besahara,
Sadiyon se tha dard ka maara,
Bhari duniya me koi nahi tha mera,
Bheed mein bhi tha akela,
Veerana sa lagta tha duniya ka mela,
Jab se mila hai saath tumhara,
Meri doobti hui kashti ko mila hai kinara,
Ek hamdam, ek hamsafar mil gaya hai,
Jab se mila hai saath tumhara.
Meri duniya pe chhaya hua tha ghana andhera,
Tumhare aane se ho gaya hai ek naya savera.
Sadiyon se tha pyaar ka bhookha,
Sadiyon se tha ishq ka pyaasa,
Sadiyon se tha aadha,
Sadiyon se tha adhura,
Tum se mil kar mit gayi har bhookh aur har pyaas,
Tum se mil kar hi hua hoon main poora.
----
Tell me what you think of my poem.
More on my blog at this link:
http://beingchinmayjoshi.blogspot.in...ain-poora.html