Suna hai Chand bhi takta hai ussay falak se -
20th July 2010, 09:38 PM
Suna hai Chand bhi takta hai ussay falak se
Suna hai sitare chup jate hai uski chamak se
Suna hai uske mahakaar ka aisa asar hai
Suna hai Gul bhi mahakte hai uski mahak se
Suna hai uski gali me dhadkane sunai deti hai
Suna hai dil zoro se dhadakte hai uski chhak se
Suna hai aashqui mijaaz rakhane wale log
Rah mud ke dekte hai uski chudiyo ki khanak se
Suna hai uske husn ka charcha hai har suu
Suna hai zaif bhi ankhbhar ke dekhte hai ainak se
Suna hai andhere bhi ussay ParwaaZ karte hai
Suna hai mehfile roshan ho jati hai uski subak se
Suna pasine chhuth jate hai pahelwano ke bhi
Suna hai waliden bhi ghabra jate hai uski karak se
Faisle taqdeer ke lakeere badal nahi sakti
Eh insaan teri uske aage hargiz chal nahi sakti
Aaj tu zameen par hai kal zameen mein hoga
Maut tujhe aani hai har roz tal nahi sakti
Last edited by Parwaazz; 20th July 2010 at 09:44 PM..
|