Aap kii yaad... -
4th May 2006, 11:20 PM
aap kii yaad aatii rahii raat bhar
chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar
aap kii yaad aatii rahii ...
raat bhar dard kii shamaa jalatii rahii
gam kii lau tharatharaatii rahii raat bhar ...
baa.Nsurii kii suriilii suhaanii sadaa
yaad ban banake aatii rahii raat bhar ...
yaad kii chaa.Nd dil me.n utaratii rahii
chaa.Ndanii Dagamagaatii rahii raat bhar ...
koI dIvaanaa galiyo.n me.n phirataa rahaa
koI aavaaz aatii rahii raat bhar ...
Maqdoom Mohiuddin
|