Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho
Old
  (#1)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho - 5th January 2006, 07:12 PM

Sabhi ahbaab ko naye saal ki nek Khahishaat pesh karta huuN. Bade dinoN baad aap se muKhatib huuN, ye Ghazal pesh-e-Khidmat hai. Aapki aara ka intezaar rahega.
----------------------------------
GHAZAL

Ret ka dil tatol kar dekho
Ek paTthar se bol kar dekho

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

Unke peeche chhupa hua hai kya
Apne patte to khol kar dekho

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Baat uski zabaan meiN to karo
Waqt bolega bol kar dekho

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho
---------------------------------------------------

Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
5th January 2006, 07:37 PM

sir,ek bahut hi umda rachna jo khayalon se bharpoor thi aur aur bahut hi umda flow bhi liye hui thi.har tarah se ek umda aur paripurn rachna padh kar behad khushi hui.bas darkhwast hai ki kabhi kabhi yunhi bazm me aa jaya kijiye aap.

aapka LUCKY



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#3)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
5th January 2006, 10:27 PM

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho


mere dost praveen,

bahut khub... kya kahu...

tumhari dost meena
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
5th January 2006, 10:33 PM

Ret ka dil tatol kar dekho
Ek paTthar se bol kar dekho

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

Khoob kaha hai Paveen ji!


Unke peeche chhupa hua hai kya
Apne patte to khol kar dekho

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

WaaaaaH.. bahut khoob !


ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Baat uski zabaan meiN to karo
Waqt bolega bol kar dekho

First sher was just tooo good...very well said...!


Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho

waah..!

Dear Praveen ji,

Namaste.. kaise hain? ummeed hai sab acche se hi hoga...

Bahut hi khoobsurati se chand lafzon me ehsaas piroye hain aapne.. har sher bahut khoobsurat laga....Meri dil se daad kubool lijiyega...Yun hi mehfil sajaate raha kijiye...!

Apna khayal rakhiyega....Hope to get to meet u soon....


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#5)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
6th January 2006, 01:27 AM

Namaste praveen ji..


saaf aur seedhe khayal .. man moh liya aapne

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#6)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
6th January 2006, 08:15 AM

Chotti beher ki ghazlein khaas pasandida hai meri, shayad isliye ke main unhe likh nahin paata!!

Banno (Afshan) ko aaj miss karr raha huun, choti beher main likhne ki ustaaadi ho gayi thi usse..

Achha laga pad kar..

Varinder


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
6th January 2006, 09:30 AM

bahoot achha likha hai Praveen sir


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Re: Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho
Old
  (#8)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho - 6th January 2006, 10:35 AM

Ret ka dil tatol kar dekho
Ek paTthar se bol kar dekho

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Baat uski zabaan meiN to karo
Waqt bolega bol kar dekho

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho


wah
Praveen bhai saheb
Namashkar
kya khubsurat tohfe se nawaza hai aapne apne chahnewalon ko...!!!ek behtreen gazal...aapki ek trademark gazal..!!har sher chota hai,,magar apne ander bahoot gehri baat samete hai...
meri dil se nikli daad kuboool kijiye....
take care
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#9)
sandhaya
Registered User
sandhaya will become famous soon enoughsandhaya will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 233
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 20
6th January 2006, 11:55 AM

Praveen Ji.......aapki ye Choti CHoti Panktiyan Dil Ko Choo Gai ..........bahut khoob Likha Hai Daad Kabul Farmaiye.......aur yunhi likhte rahiye.....

Kho Gayi Hun Main Najaane Kisme, Kahan Par
Jo Dekhun Aanine Mein Tuh TUhi Nazar Aata Hai
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
anjaani awaaz
Registered User
anjaani awaaz is on a distinguished road
 
anjaani awaaz's Avatar
 
Offline
Posts: 417
Join Date: Jan 2005
Location: Office 24x7
Rep Power: 20
6th January 2006, 01:13 PM

Praveen Ji,
Aapke naye saal ki nek khahishaat bahut khoob hai. Khaaskar yeh

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

It's true. It requires guts to fulfill ambitions. Thanks for sharing this with us.


^^^Shalini^^^
... jab se kisi ne
karli hai suraj ki chori
aao
chal ke suraj dhoondhein
aur na mile toh
kiran kiran phir jama karein hum
aur ik suraj naya banyein
-NM
  Send a message via Yahoo to anjaani awaaz  
Reply With Quote
Shukriya
Old
  (#11)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukriya - 10th January 2006, 03:17 PM

Lucky sahab

Ghazal pasand farmaane ka shukria. MaiN muaaafi chaahta huuN is lambi ghair haaziri ke liye. Koshish karuuN ga ke aage aisa na ho aur aap logoN se mulaqaat hoti rahe.

Preveen


Quote:
Originally posted by ghayal_shayar
sir,ek bahut hi umda rachna jo khayalon se bharpoor thi aur aur bahut hi umda flow bhi liye hui thi.har tarah se ek umda aur paripurn rachna padh kar behad khushi hui.bas darkhwast hai ki kabhi kabhi yunhi bazm me aa jaya kijiye aap.

aapka LUCKY


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Shukriya
Old
  (#12)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukriya - 10th January 2006, 03:20 PM

Meena

aapko kuch kehne ki zaruurat bhi nahiiN. Aap iss thread par aayee yahi daad ho gayee.

Khush raho
Praveen

Quote:
Originally posted by meena chheda
Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho


mere dost praveen,

bahut khub... kya kahu...

tumhari dost meena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Re: Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho
Old
  (#13)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
Re: Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho - 10th January 2006, 03:23 PM

Quote:
Originally posted by prasaxena
Sabhi ahbaab ko naye saal ki nek Khahishaat pesh karta huuN. Bade dinoN baad aap se muKhatib huuN, ye Ghazal pesh-e-Khidmat hai. Aapki aara ka intezaar rahega.
----------------------------------
GHAZAL

Ret ka dil tatol kar dekho
Ek paTthar se bol kar dekho

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

Unke peeche chhupa hua hai kya
Apne patte to khol kar dekho

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Baat uski zabaan meiN to karo
Waqt bolega bol kar dekho

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho
---------------------------------------------------

Praveen Saxena
praveen ji aapke kalaamo.n ke baare me ek baat kehna chaahungi ki bahut halke fulke hote hain lafzo .n ko dekha jaaye to.. lekin meaning se vo behad wazandaar aur asardaar hote hain.. ek ek alfaaz poori kahaani kehta hai.. behad pasand aayi aapki ye gazal praveen ji.. lekin humme bhi yahi shikayat hai ki aap bahut kam nazar aate hain..
khayaal rakhiye apna


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Shukriya
Old
  (#14)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukriya - 10th January 2006, 03:39 PM

Pulkit Bhai

Aapki daad ka to andaaz hi nirala hai. Sach jis tafsel se aapne daad di hai paRh kar dil Khush ho gaya.

Tah-e-dil se shukria
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Shukriya
Old
  (#15)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukriya - 10th January 2006, 03:41 PM

Kunal Bhai


Aapki daad ka shukria. Aise hi nigah-e-karam rakhiyega

Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Shukriya
Old
  (#16)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukriya - 10th January 2006, 03:45 PM

Bhai Varinder

Thread par aapki aamd hui dil Khush ho gaya.
Phir aapki daad mili Khushi aur badh gayee.
Bohat shukria

Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Shukriya
Old
  (#17)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukriya - 10th January 2006, 03:46 PM

Garima ji

Taarif aur hausla afzaai ka shukria

Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Re: Re: Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho
Old
  (#18)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Re: Re: Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho - 10th January 2006, 03:49 PM

Manoj Bhai

Aapki daad ka bhi andaaz kuch alag hai aapki hi tarah.
Dil khush ho gaya. Bohat shukria

Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Shukria
Old
  (#19)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukria - 13th January 2006, 08:55 PM

Sandhya ji

Aapko ye panktiyaaN pasand aayeen jaan kar achcha laga. aage bhi aise ho hausla badhati rahiyega

Shukria
Praveen


Quote:
Originally posted by sandhaya
Praveen Ji.......aapki ye Choti CHoti Panktiyan Dil Ko Choo Gai ..........bahut khoob Likha Hai Daad Kabul Farmaiye.......aur yunhi likhte rahiye.....

Kho Gayi Hun Main Najaane Kisme, Kahan Par
Jo Dekhun Aanine Mein Tuh TUhi Nazar Aata Hai


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Shukria
Old
  (#20)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukria - 13th January 2006, 08:57 PM

Shalini

Jawaab meiN deri ke liye muafi chahta huuN. Ghazal par daad ka bohat shukria. ummeed hai aage bhi tumse aise Khitaab hota rahega

Khush raho
Praveen

Quote:
Originally posted by anjaani awaaz
Praveen Ji,
Aapke naye saal ki nek khahishaat bahut khoob hai. Khaaskar yeh

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

It's true. It requires guts to fulfill ambitions. Thanks for sharing this with us.


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#21)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
14th January 2006, 12:08 PM

parveen ji,
aaj pahli baar aapko pada .ek ek sabad se main to stunned rah gayi.sach bahut hi achha likha hai.

shrdh


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
Re: Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho
Old
  (#22)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
Re: Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho - 14th January 2006, 01:39 PM

Quote:
Originally posted by prasaxena
Sabhi ahbaab ko naye saal ki nek Khahishaat pesh karta huuN. Bade dinoN baad aap se muKhatib huuN, ye Ghazal pesh-e-Khidmat hai. Aapki aara ka intezaar rahega.
----------------------------------
GHAZAL

Ret ka dil tatol kar dekho
Ek paTthar se bol kar dekho

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

Unke peeche chhupa hua hai kya
Apne patte to khol kar dekho

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Baat uski zabaan meiN to karo
Waqt bolega bol kar dekho

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho
---------------------------------------------------

Praveen Saxena
praveen sahab....

aapki ghazal bahaut hi khoobsurat lagi...saaf aur seedhe lafzon ka istemal karke aapne iski khoobsurti aur badha di hai......

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho

bahaut khoob kaha hai aapne...yuhin likhte rahiyega aur mehfil ko sajate rahiyega...apna khyaal rakhiye.


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#23)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
14th January 2006, 04:28 PM

Huzur-e-aala.....

wah.....bahut khoob rahi ye beher ghazal......ek saaf aur saral tarike se gi gayi thereer ne maano dil ki baat keh di ho.......

daad kabool farmayein...............



**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#24)
anjelz_princess
Registered User
anjelz_princess will become famous soon enoughanjelz_princess will become famous soon enough
 
anjelz_princess's Avatar
 
Offline
Posts: 223
Join Date: Nov 2005
Location: kuwait.
Rep Power: 20
14th January 2006, 05:28 PM

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho


aisa lagta hai aapne meri dil ki bata kahi hai i'm speechless it was amazing keep writing..

Aap Ki Sukoon


Dooriyon ki na parwah kiya keejiye,
Dil jab bhi pukaare bula leejiye
Ae dost hum door ziyaada nahin aap se,
Bus apni palkon ko mila leejiye
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
15th January 2006, 09:00 AM

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho

khoob...!


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
Old
  (#26)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
1st May 2007, 10:06 PM

namaskaaR praveen jee:

aapkii teHreer ke aSh'aar dil ko chhu gaYe ..bahot hi khoob andaaz-e-bayaaN hai aapkaa..aapko paRH ke kuch seeKHne ko bhi milaa khuShii huYii

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho


yeH sher bahot hi pasaNd aayaa mujHe..!

dil se niklii daad ko qabool kijiYeNgaa

apnaa khayaal raKheN aur khuSh raheN

duaoN ke saath ijaazaT

aapkaa dost
dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
kishor
Darde Dil Ke Tukde
kishor is a jewel in the roughkishor is a jewel in the roughkishor is a jewel in the rough
 
kishor's Avatar
 
Offline
Posts: 1,035
Join Date: Mar 2003
Location: NEW PANVEL,NAVI MUMBAI,MAHARASHTRA,INDIA
Rep Power: 25
2nd May 2007, 01:28 PM

wahhhhhh ek dum sahi likha,,,,


******************************
Dil Itna Naazuk Hota Hai Ke,
Isski Tootne Ki Awaaz Bilkul Nahi Aathi,

******************************
MEIN TUJHKO BHOOL JAUN YE KISSS KITAAB MEIN LIKHA HAI.
------------------------------------------------
socha tha woh hame tut kar chahenge
par chaha bhi hami ne aur tute bhi hum

KISHOR R KARKERA
NEW PANVEL
NAVI MUMBAi,410206
PH:-09322764070
  Send a message via Yahoo to kishor  
Reply With Quote
Old
  (#28)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
2nd May 2007, 07:38 PM

dear bandhu

meine itne din baad dekla ise kitni galat baat hai na

par chalo mil to gayee mujeh padne ko ...i m happy


Ret ka dil tatol kar dekho
Ek paTthar se bol kar dekho

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

wah kya baat hai sahi baat kahi tufaan se lad kar ek baar dekho phir bahare mil hi jayengi

Unke peeche chhupa hua hai kya
Apne patte to khol kar dekho

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

such kaha ehsaas agar jinda hai to sab kuch hai

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Baat uski zabaan meiN to karo
Waqt bolega bol kar dekho

sahi baat kahi ....bas apke jakhm sil jaye yahi dua hai

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho

aaj tak to mile nahi ho haan?? kahan tatol kar dekhu

bahut acha likha hai apne meri daad kubul karna

sakhi


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#29)
Dard-e-sush
Registered User
Dard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the rough
 
Dard-e-sush's Avatar
 
Offline
Posts: 605
Join Date: Jul 2003
Location: Moscow, Russia
Rep Power: 23
3rd May 2007, 01:50 AM

Resp. Saxena jee

All I can say is "This one is probably one of the best poetries I have ever read"

Wish to see u here more often.

Warm Regards
Susheel


लब पे मुस्कान को लिए ऐ दोस्त, काँधों पे लाश अपनी ढोते हैं,
इस भरे शहर में हम Dard-e-Sush, जो न पाया उसे भी खोते हैं!

lab pe muskaan ko liye ae dost, kandhon pe laash apni dhote hein
is bhare sheher me ham dard-e-sush, jo na paaya use bhi khote hein
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
4th May 2007, 12:26 PM

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Bahut khuub...Praveen Sahib...Chand lafzon mein gehri soch...yeh aap samaan hi koyi shaksiyat kar sakti hai...Itne khuubsurat kalaam ko kaise miss kar diya...meri badqismeti rahi hogi...kabhi kabaar hi sahi...kuchh keh diya kijiey...taaki hum bhi kuchh seekh sakein...khayaal rakhiey apna...Namaskaar!


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Shukria
Old
  (#31)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukria - 8th May 2007, 04:10 PM

Dhaval Bhai

Ye kaise dhoond nikaali aapne itni puraani Ghazal?
Aapki is baat ki daad dena chaahunga ke aapne ye zehmat ki, iss nacheez ke liye. Aapki daad aaur tareef ka bohat-bohat shukria.

Khaaksaar
Praveen

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
namaskaaR praveen jee:

aapkii teHreer ke aSh'aar dil ko chhu gaYe ..bahot hi khoob andaaz-e-bayaaN hai aapkaa..aapko paRH ke kuch seeKHne ko bhi milaa khuShii huYii

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho


yeH sher bahot hi pasaNd aayaa mujHe..!

dil se niklii daad ko qabool kijiYeNgaa

apnaa khayaal raKheN aur khuSh raheN

duaoN ke saath ijaazaT

aapkaa dost
dhaval


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Shukria
Old
  (#32)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukria - 8th May 2007, 04:11 PM

Janab Kishore Sahab

Thread par aane aur Ghazal ko daad se nawaazne ka shukria.

Praveen

Quote:
Originally Posted by kishor View Post
wahhhhhh ek dum sahi likha,,,,


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Shukria
Old
  (#33)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukria - 8th May 2007, 04:17 PM

Janab Kishore Shab

Thread par aane aur Ghazal ko daad se nawaazne ka shukria.

Praveen

Quote:
Originally Posted by kishor View Post
wahhhhhh ek dum sahi likha,,,,


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Shukria
Old
  (#34)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukria - 8th May 2007, 04:18 PM

Sakhi

Bad dinoN baad tumse baat hui. Aur bade dinoN baad hi sahI chalo tumne ye Ghazal paRhi. Aur us par itni tfseel se tumhari daad paRh kar baRa achcha lagA. Bohatbohat shukria iss hausla afzah daad ka.

Khush raho
Praveen

Quote:
Originally Posted by sakhi1909 View Post
dear bandhu

meine itne din baad dekla ise kitni galat baat hai na

par chalo mil to gayee mujeh padne ko ...i m happy


Ret ka dil tatol kar dekho
Ek paTthar se bol kar dekho

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

wah kya baat hai sahi baat kahi tufaan se lad kar ek baar dekho phir bahare mil hi jayengi

Unke peeche chhupa hua hai kya
Apne patte to khol kar dekho

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

such kaha ehsaas agar jinda hai to sab kuch hai

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Baat uski zabaan meiN to karo
Waqt bolega bol kar dekho

sahi baat kahi ....bas apke jakhm sil jaye yahi dua hai

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho

aaj tak to mile nahi ho haan?? kahan tatol kar dekhu

bahut acha likha hai apne meri daad kubul karna

sakhi


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#35)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
8th May 2007, 04:20 PM

Janab Susheel Shab

Aapki in chand linoN ne mujhe behad achcha ehsaas diya hai. Aapki daad mujhe zaroor aur behtar likhne ka hasla degi. Phir ek baar bohat-bohat shukria ke saath

Praveen

Quote:
Originally Posted by Dard-e-sush View Post
Resp. Saxena jee

All I can say is "This one is probably one of the best poetries I have ever read"

Wish to see u here more often.

Warm Regards
Susheel


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Shukria
Old
  (#36)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Shukria - 8th May 2007, 04:22 PM

Paras Sahiba

Chaliye der se hi sahi aapki nigaaheN iss Ghazal par to paR hi gayeeN. Aapki daad ka behad shukria. Ummeed hai bKhair hoN gi.

Praveen

Quote:
Originally Posted by Parastaar View Post
Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Bahut khuub...Praveen Sahib...Chand lafzon mein gehri soch...yeh aap samaan hi koyi shaksiyat kar sakti hai...Itne khuubsurat kalaam ko kaise miss kar diya...meri badqismeti rahi hogi...kabhi kabaar hi sahi...kuchh keh diya kijiey...taaki hum bhi kuchh seekh sakein...khayaal rakhiey apna...Namaskaar!


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
bhut khub
Old
  (#37)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
bhut khub - 8th May 2007, 04:25 PM

Quote:
Originally Posted by prasaxena View Post
Sabhi ahbaab ko naye saal ki nek Khahishaat pesh karta huuN. Bade dinoN baad aap se muKhatib huuN, ye Ghazal pesh-e-Khidmat hai. Aapki aara ka intezaar rahega.
----------------------------------
GHAZAL

Ret ka dil tatol kar dekho
Ek paTthar se bol kar dekho

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

Unke peeche chhupa hua hai kya
Apne patte to khol kar dekho

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Baat uski zabaan meiN to karo
Waqt bolega bol kar dekho

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho
---------------------------------------------------

Praveen Saxena
parveen ji ko raj ka salaam.......janaab aaj pehli dafa aapki kisi post par reply kar raha hoon umeed hai koii gustakhi gar ho gayii to aap muaaf kar doge......aapke khyaal bhut purasar lagge bhut hii sacchi baat kahi aapne har share mein......yeh share bhut dilfrabe raha......

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho

meri dil ki gehrai se daad hazir hai......umeed hai aage bhii aapko parne ka moka milta rahega............raj...........


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#38)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
8th May 2007, 07:36 PM

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho

kya baat hai huzuur.. bohat khuub

Daad haazir hai... qubool keejiye....

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#39)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
21st November 2007, 05:00 PM

Quote:
Originally Posted by prasaxena View Post
Sabhi ahbaab ko naye saal ki nek Khahishaat pesh karta huuN. Bade dinoN baad aap se muKhatib huuN, ye Ghazal pesh-e-Khidmat hai. Aapki aara ka intezaar rahega.
----------------------------------
GHAZAL

Ret ka dil tatol kar dekho
Ek paTthar se bol kar dekho

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

Unke peeche chhupa hua hai kya
Apne patte to khol kar dekho

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Baat uski zabaan meiN to karo
Waqt bolega bol kar dekho

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho
---------------------------------------------------

Praveen Saxena
parveen ji ....bahut khoob likha hai aapne

regards


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#40)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
Smile 22nd November 2007, 12:48 AM

Quote:
Originally Posted by prasaxena View Post
Sabhi ahbaab ko naye saal ki nek Khahishaat pesh karta huuN. Bade dinoN baad aap se muKhatib huuN, ye Ghazal pesh-e-Khidmat hai. Aapki aara ka intezaar rahega.
----------------------------------
GHAZAL

Ret ka dil tatol kar dekho
Ek paTthar se bol kar dekho

Itni chahat hai gar baharoN ki
Koi toofaN tatol kar dekho

Unke peeche chhupa hua hai kya
Apne patte to khol kar dekho

Maal-o-daulat se hote haiN bhaari
Chand ehsaas tol kar dekho

ZaKhm itne ke gin na paaoge
Meri muskaan khol kar dekho

Baat uski zabaan meiN to karo
Waqt bolega bol kar dekho

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho
---------------------------------------------------

Praveen Saxena
Praveen jee aap kii sab ghazalen padhii, aur yakeen maaniye nugaaho se guzar kar dil ke raaste ho kar roh talak utar gayi, aur khaas kar yeh last ghazal mujhe behad...........behad.......... pasand aayi. bahut khoobsurat jazbaato ko aap ne bakhoobi alphaazo ke moti men piroya hai, aap ki ghazale padh kar dil baag-baag ho gaya, behad khoobsoorat in ghazal ko likhane ke liye aur hamare saath share karne ke liye ham aap ke tah-e-dil se shuktaguzaar hai janaab, aage bhi aap ko padhne ka mauka milta rahega yeh ummid karte hai. Dil se mubarakbad qubool kare apni is dil fareb ghazal ke liye.

yunhee likhate rahe
regards
manu
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho prasaxena Ghazal Section 9 1st August 2015 02:54 PM
kuch aapna sa tatol rahi hai jindagi akhilesh gupta Shayri-e-Dard 2 11th July 2009 09:50 PM
kuch aapna sa tatol rahi hai jindagi akhilesh gupta Shayri-e-Dard 0 23rd November 2007 09:18 PM
Ghazal - Ret ka dil tatol kar dekho prasaxena Aapki Shayri 1 6th January 2006 01:12 PM
ped ke dekho ek derd Shayri-e-Dard 0 7th July 2004 04:10 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com