Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
for everyone who writes something
Old
  (#1)
vinaydugar
Registered User
vinaydugar is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 71
Join Date: Apr 2002
Location: calcutta
Rep Power: 23
for everyone who writes something - 24th December 2003, 07:29 PM

yuggon pehele jab kisi ladke ne kisi ladki se peheli baar apne pyar ka izhar kiya hoga to besak koi mithi baat kahi hogi,bas wohi mithi baat peheli kavita ya shayari bani.

main samajta hoon koi bhi aisa manav mann nahi hai jo kavitaon shayarion ya aur kisi hanshi khushi ki baton se parre ho,jishne kisi ne kisi roop main kabhi na kabhi koi kavita ya shayari padhi, likhi, ya suni na ho.

jab shondraya sabdhon mein dhal jata hai,jab shamvadnaon aur anubhawo ko abhivakti mil jati hai,jab meri aur apki baat hum sab ki baat ban jati hai to kavita ya shayari ban jati hai, kavita ya shayari rishton ko jodne wali ek kadi to hoti hi hai,saath hi hamare samaj hamari shabhayata aur hamari jivan ka iana bhi hoti hai.

tho phir kyon na hum rupiayon ke khaton ke saath saath ek sabdhon ka bhi khata khole aur ushme apne mann ki sundar abhivakhtion,samrition aur anubhaon ko sabdhon ke roop main jama kare,kionki dhan gum ho jata hai,kharch ho jata hai,per sundar sabdh bhawnain aur abhivakhtian hamare baad bhi barshon tak kisi ne kisi ko toh hamari yaad dilati hi rehati hai.

anguliyan uthaiya aur ushe key board per rakhiya,kavita khud be khud ban jayagi.kavita ya shayari dekhkar muhe na modiye,ishe padhiye,sunayae,maza lijea,apne jivan sathi se khayea.

main to samajta hoon kavita ,shayari,gazal manav ki sundartam kartiyonse ek hai,ishe vanchit mat rahey.

main bhi pehele bas yunhi kuch kuch likha karta tha.shayari karunga............. yeh to kabhi socha hi nahi tha.aur woh "kuch kuch"jo likhta rehata tha,kabhi kisi dost ko suna deta tha ya likh deta tha,varna apne tak hi simit reh jata.
ek roz phone per kuch padhkar sunaya to kisi ne kaha---
"aray!yeh to nazm hai------
shayari hai yeh!"

ushi roj se jis kitab per "diary" lafaz likh rakha tha ushi ke aage do lafz aur judh gaye-
"nazhmo ki diary"

suruwat yun hui................

koi lamha......................
koi awaz.......................
koi naam.......................
koi khwab......................
koi pechaan...................
ya dard koi.....................
jindji main jo kuch bhi ab tak kareeb se chukar gujra hai,aun tazurbon ki saari rasiden ekhatti karke es kitab main darj kar raha hoon.

maine thoda bahut ab tak jo bhi aap sab ke saath share kiya hai woh bhi apni ushi kitab se likha hai.


vinaydugar
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
24th December 2003, 08:06 PM

Vinay Jee, achha tha. jo bhi kaha aapne. Yehi toh hein sab kuch, Lamha* awaz* naam* khwab* pehchan* dard.......Shukriya. Likhte rahiyega. Take care. God bless you.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
To Everyone who writes something Chota Sa Dil Shayri-e-Ishq 47 17th September 2008 11:31 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com