Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Kahe do tum iss
Old
  (#1)
ajay nidaan
nida
ajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud of
 
ajay nidaan's Avatar
 
Offline
Posts: 1,824
Join Date: Aug 2009
Location: Vaishali Nagar,Bhilai ,(Deep Vision & Analysis Thinkings then way )
Rep Power: 27
Love Kahe do tum iss - 24th February 2012, 08:31 PM

Dosto
aaj is section me mai apni ek ghazal jise maine appki shayri pariwaar se jo guidence mila aur meri ek diary me jo ghazal ka ek meter hotaa hai usi ke anusaar likhane ki koshish ki hai....yadi koi khata hue ho radeef aur kaafiye aur maktaa me to batayegaa.

Kahe do tum iss zamaane se
kaun bacha hai is afsaane se.

aate ho paas karte ho baate
na jaane kaise-2 bahaane se.

dil kaa pyar zubaa pe aaye
aag badhti hai bujhaane se.

tumhe pana chahta hai ye dil
pake fir se tumhe ganwane se.

ek aarzoo to poori ho gayi
mile liye apne is deewaane se.

kya batye kisi ko raaz-e-dil
dard ye rukta nahi sunaane se.

ab bhula do is pal ko achha hai
ehsaan rehta nahi jataane se.




Ajay Nidaan (09630819356)
http://www.anidaan.@gmail.com
All right reserved with Poet@Ajay nidaan

Kisi ek chehare ki talash me bhatakti rahee zindagi
par mila nahi zindagi ko apni pahchaan ka chehara.

 Send a message via ICQ to ajay nidaan Send a message via Yahoo to ajay nidaan Send a message via Skype™ to ajay nidaan 
Reply With Quote
Old
  (#2)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
25th February 2012, 12:44 PM


Kahe do tum iss zamaane se
kaun bacha hai is afsaane se.

Ajay Nidaan Ji…. Yahan Aap Saani Misra Me Keh Rahay Hain…”Kaun Bacha Hai Is Afsaanay Se”…… Magar Yahan Bilkul bhi Waazeh Nahi Ho Raha ke Kis Afsaanay Se…. Aisay Sher Ko Be-wazan Kehtay Hain….


aate ho paas karte ho baate
na jaane kaise-2 bahaane se.


hmmmmmmm….acha hai

dil kaa pyar zubaa pe aaye
aag badhti hai bujhaane se.


khoob kaha…. Acha laga… DAAD

tumhe pana chahta hai ye dil
pake fir se tumhe ganwane se.


“Ganwaane se” Kia hota Hai…? Ganwanay Ke Liye TO Theak Hai… Magar Jo aap ne Kaha , Is Se Matlab Waazeh Nahi Ho Raha…..

ek aarzoo to poori ho gayi
mile liye apne is deewaane se.

Theak Hai Janab….


kya batye kisi ko raaz-e-dil
dard ye rukta nahi sunaane se.


Wahhh Wahhh… Khoob Kaha…

ab bhula do is pal ko achha hai
ehsaan rehta nahi jataane se.

Wah… Boht Khoob…..

Janab Ajay Nidaan ji…..! Achi Lagi aap Ki ye Kawish…… Likhtay Rahiye…..Khush Rahiye….




Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote
mere dost
Old
  (#3)
ajay nidaan
nida
ajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud ofajay nidaan has much to be proud of
 
ajay nidaan's Avatar
 
Offline
Posts: 1,824
Join Date: Aug 2009
Location: Vaishali Nagar,Bhilai ,(Deep Vision & Analysis Thinkings then way )
Rep Power: 27
Love mere dost - 25th February 2012, 01:09 PM

Ahmad Bhai

shukriya janaab bas koshish kar raha hu ki ek sahi meter me ghazal ko dhal saku. aage aur gahari koshish karta hu.



Ajay Nidaan (09630819356)
http://www.anidaan.@gmail.com
All right reserved with Poet@Ajay nidaan

Kisi ek chehare ki talash me bhatakti rahee zindagi
par mila nahi zindagi ko apni pahchaan ka chehara.

 Send a message via ICQ to ajay nidaan Send a message via Yahoo to ajay nidaan Send a message via Skype™ to ajay nidaan 
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com