Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

View Poll Results: aapko kya lagta hain ye nazrein hamesha sach kehti hain
kya inmein nasha hota hain 1 9.09%
kya inemein khwab hote hain 4 36.36%
kya inemin masumiyat hoti hain 1 9.09%
kya inmein sachai hoti hain 5 45.45%
Voters: 11. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ye nazrein
Old
  (#1)
muskaan arora
Registered User
muskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the rough
 
muskaan arora's Avatar
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 19
Smile ye nazrein - 1st February 2008, 02:24 PM


kya kehti hai ye nazrein
kya ye dhadkano ki aawaz ko sunti hain
kya ye us andekhe anjaane dhundhle chehre ko dekh paati hain
kya ye yaadon ki kitab mein uski tasweer dhundh paati hain
kya ye haya ki rangat se bani muskaan pe uska aks dhundh paati hain
kya ye khamoshi ki chadar ode shabdo se us ajnabee ka naam puchh pati hain
kya ye un uth ti palko se aur un jhukti palko se uska pata jaan paati hain
kya ye un ehsaaso ko mehsus kar paati hain jo hamesha hamein us ajnabee ki yaad dilati hain
kya kahu
gehri hain par inmein khwabo ki rangat hain
khamosh hain par ankahe shabdo ka inmein sagar hain
kaali gehri hain par inmein haya ka noor hain
jo kuch na kehkar bhi bahot kuch keh jaati hain
har kisi ko sirf apna deewana bana jaati hain
ye nazrein
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
muskaan arora
Registered User
muskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the rough
 
muskaan arora's Avatar
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 19
1st February 2008, 02:41 PM

kuch khoyee khoyee si hoti hain
kuch bekhabar si hoti hain ,
kuch nashe ka kaam karti hain
to kuch madhosh kar jaati hain
kuch khwabo mein yakeen dilati hain
kuch armaano ke sath udne ka hausla deti hain
kuch bhigi hui palko ko muskurana sikhati hain
kuch khamoshi ko shabdo mein badalne ka kaam karti hain
nazrein jab bhi uth ti hain
woh nishana kisi chahne walo ke dil pe karti hain
kabhi behekti hain to kabhi behkaati hain
har pal ye sirf ehsaaso ko pyar karna sikhla jaati hain

ye nazar
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
muskaan arora
Registered User
muskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the rough
 
muskaan arora's Avatar
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 19
Thumbs up 29th February 2008, 07:16 PM

yaadein
khoyee khoyee si, khwabo mein ghabrati hui,
ghunghat mein haya mein dubi hui,
chandni raat mein muskaati hui,
raaho mein na jaane kiska pata puchhti hui,
aus ki bundo mein nami dhundhti hui,
dhadkano ko apne sambhalti hui,
khushboo ko samet ti hui,
chahat ka pata nahin kaun sa rang bikherti hui,
pagal si par masum si ,gudgudi se bhari hui meri yaadein
   
Reply With Quote
very nice
Old
  (#4)
alone anum
DANIYAL ANUM
alone anum is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 37
Join Date: Mar 2008
Rep Power: 0
Smile very nice - 3rd March 2008, 12:15 PM

ASSALAM O ALIKUM
kia baat hai muskaan kia poetry likhi hia aap nay dear i like it
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
alone anum
DANIYAL ANUM
alone anum is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 37
Join Date: Mar 2008
Rep Power: 0
3rd March 2008, 12:23 PM

Agar hum ek ansu hote,
To apki ankhon se hokar apke hothon
Par marna pasand karte.
Agar ap meri ankhon ke ansu hote,
To vaada he jaan hum zindgi bhar N rote..
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
alone anum
DANIYAL ANUM
alone anum is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 37
Join Date: Mar 2008
Rep Power: 0
3rd March 2008, 12:40 PM

Teri Masoom Nigahon Ke Fasano Main,
Mera Zikr Bhi Shayad Ho Jaye Kahin,

Khamosh Mohabbat Se Aziz Hoon Is Qadar,
Ya Khudaya Main Mar Na Jaoon Kahin,

Maut Ka Nahin Teri Judai Ka Dar Hai,
Is Dar Se Hi Dar Na Jaoon Main Kahin,

Tere Ishq Main Itna Na Badal Jaoon,
Anjan Bankar Apne Brabar Se Guzar Na Jaoon Kahin..
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
alone anum
DANIYAL ANUM
alone anum is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 37
Join Date: Mar 2008
Rep Power: 0
3rd March 2008, 12:44 PM

kiya kare...
gairo ki parchaayi se nahi
apno ki judaai se darte hai
nafrat vo kare humse toh kiya
mohobat hum unhi se karte hai
dil todh diya usne mera
gila fir bhi nahi karte hai
hum dil tutne ki dard se nahi
unke dil todne ki ada pe marte hai
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
muskaan arora
Registered User
muskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the rough
 
muskaan arora's Avatar
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 19
3rd March 2008, 01:09 PM

shukriya ji
anumji'
aapki har baat hamein pasand aayee.
kuch ankahe shabdo ki hamein mehek aayee,
ehsaaso ki baarish mein aaj phir bhigne ka dil karta hain
aaj phir aapse milne ka dil karta hain
ye baat juthi hain
par ismein mithas wahi hain
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
muskaan arora
Registered User
muskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the rough
 
muskaan arora's Avatar
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 19
3rd March 2008, 01:22 PM

khamoshi
khamoshi ankahe shabdo ka sagar hain.
mithe ehsaaso ka kaarwa hain,
jhukti kuch na kehti nazro ko ye samajhta hain,
khwabose saji palko pe ye rehta hain
kehna kuch chahkar bhi khayalo mein hamein gudgudata hain
chandni raat mein ye taaro ki doli mein sajkar baith jaata hain
haya se bhari chunari mein dabi apni muskaan mein na jaane ye kisi dhundhta hain,khoyee khoyee si lamho se bhari tanhai mein ye kiske saaye ko dekh apni nazro ko jhukata hain

na jaanu mein na jaane woh bekraar bhi hain ye dil
thoda pareshaan bhi hain ye dil
kehna chahkar bhi kuch nahin kehta
pata nahin shabdo ka saath na dekar ye dil khamoshi se kyon dosti nibhata hain
khamoshi yaani pyaar aur kuch nahin
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Prince Jain
Registered User
Prince Jain is a jewel in the roughPrince Jain is a jewel in the roughPrince Jain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 417
Join Date: May 2008
Location: Gamoo Kay Saath
Rep Power: 18
14th May 2008, 12:38 PM

Muskaan ji Good afternoon
aapki poetty mugay bahut pasand aai.Nazar vastav may subkuch bayan kar deti hai, is baat ko may b manta hu. fhir b mugay lagta hai her koi in nazro ki baaty nahi samgta hai.
" usnay chaa hi nahi halat badal saktay thy. uskay aanso meri asko say nikal saktay thay.
vo to thar gay jhil kay pani ki tarah, dariya bantay to dur tak nikal saktay thay.
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Prince Jain
Registered User
Prince Jain is a jewel in the roughPrince Jain is a jewel in the roughPrince Jain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 417
Join Date: May 2008
Location: Gamoo Kay Saath
Rep Power: 18
14th May 2008, 12:44 PM

Muskaan ji
Wo to pani ki bund hai jo aankho say beh jay. Ansu to wo hai jo tadap kar ankho me hi reh jaye, Wo pyar kya jo lafjo me bayan ho , pyar wo hai jo ankho me hi nazar aye.
prince
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
muskaan arora
Registered User
muskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the roughmuskaan arora is a jewel in the rough
 
muskaan arora's Avatar
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 19
11th September 2009, 08:15 PM

shukriya nazro ki khamoshi ko samajhne ke liye
thnx once again
keep smiling
tc
bye
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Nazrein minus Shayri-e-Ishq 0 20th February 2006 10:51 AM
nazrein young_prince11 Humourous Shayri 0 2nd October 2005 06:19 PM
nazrein gaurav_ahl Shayri-e-Ishq 0 17th May 2005 12:49 AM
nazrein iflookscankill Shayri-e-Ishq 0 28th September 2002 09:20 PM
Nazrein sweet_nashaa Shayri-e-Ishq 8 19th June 2002 03:05 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com