Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
kamal-e-zabt ko khud bhi to aazmaungi- Parveen Shakir
Old
  (#1)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
kamal-e-zabt ko khud bhi to aazmaungi- Parveen Shakir - 20th February 2010, 05:12 AM

kamal-e-zabt ko khud bhi to aazmaungi
main apne haath se us ki dulhan sajaaungi

supurd kar ke use chaandni ke haathon
main apne ghar ke andheron ko laut aaungi

badan ke karb ko wo bhi samajh na paayega
main dil mein roungi aankhon main muskuraungi

wo kya gayaa ke rafaqat ke sare lutf gaye
main kis se ruth sakungi kise manaaungi

wo ik rishta-e-benaam bhi nahi lekin
main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaungi

bichha diya tha gulabon ke sath apna wajud
wo so ke uthe to khwaabon ki rakh uthaungi

ab us ka fan to kisi aur se mansub hua
main kis ki nazm akele main gungunaaungi

jawaz dhundh raha tha nayi muhabbat ka
wo kah raha tha ke main us ko bhul jaaungi

sa’maaton main ghane jangalon ki saansen hai
main ab kabhi teri aawaz sun na paaungi

-Parveen Shakir
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
mann_chand
Registered User
mann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud of
 
mann_chand's Avatar
 
Offline
Posts: 1,089
Join Date: Jun 2004
Location: Toronto,Canada
Rep Power: 31
21st February 2010, 01:21 AM

Dear Parul ,


bahut aachii lagii ...........
thanx for sharing

take care



~ Mandeep Kaur ~
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Riyaz Ashna
Registered User
Riyaz Ashna will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 8
Join Date: Feb 2010
Rep Power: 0
22nd February 2010, 11:11 AM

Parul ji, Parveen Shakir ki ye behad umdah ghazal hai. Thanks for sharing.
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Mann
Registered User
Mann is just really niceMann is just really niceMann is just really niceMann is just really nice
 
Offline
Posts: 521
Join Date: Feb 2010
Location: New Delhi
Rep Power: 18
3rd March 2010, 05:56 PM

Quote:
Originally Posted by Parul View Post
kamal-e-zabt ko khud bhi to aazmaungi
main apne haath se us ki dulhan sajaaungi

supurd kar ke use chaandni ke haathon
main apne ghar ke andheron ko laut aaungi

badan ke karb ko wo bhi samajh na paayega
main dil mein roungi aankhon main muskuraungi

wo kya gayaa ke rafaqat ke sare lutf gaye
main kis se ruth sakungi kise manaaungi

wo ik rishta-e-benaam bhi nahi lekin
main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaungi

bichha diya tha gulabon ke sath apna wajud
wo so ke uthe to khwaabon ki rakh uthaungi

ab us ka fan to kisi aur se mansub hua
main kis ki nazm akele main gungunaaungi

jawaz dhundh raha tha nayi muhabbat ka
wo kah raha tha ke main us ko bhul jaaungi

sa’maaton main ghane jangalon ki saansen hai
main ab kabhi teri aawaz sun na paaungi

-Parveen Shakir
Parulji, Thanks for sharing this gazal. Just so beautiful! share karte rahiye, khush rahiye, aur muskurate rahiye!!!

Mann
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com