Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 4.33 average. Display Modes
Old
  (#121)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
23rd January 2004, 02:05 PM

"Daal"

lamho.n ke aazaab sah rahaa huu.N
mai.n apane vajuud kii sazaa huu.N

Athar Nafees


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#122)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
23rd January 2004, 02:21 PM

H.......

Hoshwalon ko khabar keya bekhudi keya cheez hein
Ishq kijiye phir samajhiye zindegi keya cheez hein
hoshwalon ko khabar keya bekhudi keya cheez hein
Unse nazre keya mili roshan fiza meh hogayi
aaj jaana Pyaar ki jaadoo gadi keya cheez hein
Ishq kijiye phir samajhiye zindegi keya cheez hein.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#123)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
23rd January 2004, 06:39 PM

zindagi kya cheez hai ?.................

Haif us chaar girah kapde ki qismat ya rab
Jis ki qismat mein ho aashiq ka garebaan hona

Mirza Ghalib


Hona......... Na se ya N se shuroo karna hai

regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#124)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
23rd January 2004, 09:24 PM

Na.......

Na tha kuch toh Khuda tha
kuch na hota toh Khuda hota
dooboya mujhko hune meh
na hota toh keya hota.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#125)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
23rd January 2004, 10:36 PM

teri naazuki se jaana jo bandha tha ehad bodha,
jise tu na tod sakta agar ustavaar hota.

hue hum jo marke ruswa, hue kyon n garq-e-darya
na kabhi janaza uThta na kahin mazaar hota.

Ghalib...


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#126)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
23rd January 2004, 10:55 PM

T.......

Tere ane ki jab khabar mehke
Tere khushboo se sara ghar mehke
Tere ane ki jab khabar mehke
Tere khushboo se sara ghar mehke
Shaam mehke tere tasabbur se.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#127)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
24th January 2004, 01:27 PM

Shaam mehke tere tasavvur se
shaam ke baad phir sahar mehke

mehke...........

Kaam aahir jazbaa-e-beikhtiyaar aa hi gayaa
dil kuchh is soorat se tadpaa un ko pyaar aa hi gayaa

jab nigaahein uth gaeen allaah re meraaj-e-shauq
dekhtaa kyaa hoon vo jaan-e-intzaar aa hi gayaa

Jigar Moradabadi


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#128)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
24th January 2004, 04:22 PM

Dear Sahi Jee, aapko Se se shuru karna tha. By the way, can you please write the word as you did in your earlier post? Jeise ke ab gayaa toh Y yea A? Please do write next time, thanks. Keya baat hein jee aapka collection ke. Bohot khub. Likhte rahiyega.
A.......

Aasman se utada gaya aasman se utara gaya
zindegi deke maara gayaa zindegi deke maara gayaa
aasman se utada gayaa
Ishq jishne kiya sochle Ishq jishne kiya sochle
woh toh bemout maara gayaa
aasman se utara gayaa.......



*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#129)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
26th January 2004, 03:43 PM

aa.....

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii 'Yamini' kam hai

By..Yamini Das


Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....
   
Reply With Quote
Old
  (#130)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
26th January 2004, 09:01 PM

H.......

Haazaro khwaishe aisi ke haar khwaish pe daam nikle
bohot nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#131)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
26th January 2004, 09:24 PM

e...

ek tuuti huyi zanjiir ke fariyaad hain hum
aur duniya yeh samajhti hai ke azaad hain hum

Meraj Faizabaadi

Khan Bhayyia

Dekhiey aapne ek baar kaha, aur hum aate rahte hain aapki bazm mein...par muddat huyi aapko apne bazm-e-lazzat mein dekhe huye...aayiye naa wahan bhi fursat mein....shukriya...

...aapki behna paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#132)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
26th January 2004, 09:43 PM

H.......

Humari saasho meh aaj tak woh
heena ki khushboo mehek rahi hein
labo pe nagme machal rahe hein
nazar se masti chhalak rahi hein
humari saasho meh aaj tak woh
heena ki khushboo mehek rahi hein.......



*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#133)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
30th January 2004, 06:31 PM

h...se

haal usakaa tere chehare pe likhaa lagataa hai
vo chup chaap kha.Daa hai teraa kyaa lagataa hai


yuu.N to har chiiz salaamat hai merii duniyaa me.n
ek ta'alluq hai jo TuuTaa huaa lagataa hai

shehzad ahmed




nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#134)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
31st January 2004, 03:36 PM

H.......
ham nay hii lotnay ka iraadaa nahin kiyaa
usnay bhii bhool jaanay ka waadaa nahin kiyaa

dukh auRhtay nahin kabhii jashn-e-tarab main ham
malboos-e-dil ko tun ka libaada nahin kiyaa

joh gham milaa hai boaj uttaayaa hai uska khud
sar zair-e-baar-e-saghar-o-baada nahin kiyaa

kaar-e-jahaan hamain bhii bohet they safar kii shaam
usnay bhii iltafaat ziyaada nahin kiyaa

aamad peh tairii itr-o-charaagh-o-suboo na hon
itnaa bhii bood-o-baash ko sadaa nahin kiyaa
By Parveen Shakir Jee.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#135)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
22nd February 2004, 11:56 AM

ya...se

yaa rab, Gam-e-hijraaN mein itanaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hotaa

ik ishq kaa Gam aafat aur us pe ye dil aafat
yaa Gam na diyaa hotaa yaa dil na diyaa hotaa

Charag Hasan Hasrat


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#136)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
22nd February 2004, 10:49 PM

Ta se...


Taqat nahi rahi ke dil se aah bhi nikle..
keh de tu "haan" ya na "jaan" to jaayegi har-su.

Har-su=har soorat mein (any how)


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#137)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
22nd February 2004, 10:57 PM

sunane ke kaabil thhi jo baat oonko,
wahi rah gayi darmiyaan aate aate.

- daag dahelvi
   
Reply With Quote
Old
  (#138)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
22nd February 2004, 11:24 PM

Quote:
Originally posted by meena chheda
sunane ke kaabil thhi jo baat oonko,
wahi rah gayi darmiyaan aate aate.

- daag dahelvi
Dear Meena, keisi ho? Hope you are well. Mein bilkul theek thakh hu. Nice one.

A.......Don't know what to write.......

Aaina mujhse meri peheli si surat mange
mere aapne mere honeki nishani mange
aaina mujhse meri peheli si surat mange
mein vhatakta hi raha dard ke virane meh.......
Forgot the write name. Waise yaad bhi toh aur koi nehi sivaye.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#139)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
25th February 2004, 01:03 PM

eh...

ek pal me.n ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye
do din kii zindagii kaa mazaa ham se puuchhiye

bhuule hai.n unhe.n raftaa raftaa mudatto.n me.n ham
qishto.n me.n Khud_kushii kaa mazaa ham se puuchhiye

khumar barabankvi


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#140)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
1st March 2004, 12:40 PM

Ye jo ham hijr mein deevaar-o-dar ko dekhte hain
kabhi sabaa ko kabhi naamaabar ko dekhte hain

vo aaye ghar mein hamaare Khudaa ki qudrat hai
kabhi ham un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain

nazar lage na kaheen uske dast-o-baazoo ko
ye log kyun mere zaKhm-e-jigar ko dekhte hain

Mirza Ghalib


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#141)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
1st March 2004, 04:44 PM

H.......

Humne jaana tha likhhega tu koi harf aye Meer
par tera naama toh ek shauq ka dafter nikla.......

Meer Taki Meer

Smile plz.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#142)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
2nd March 2004, 08:45 PM

Nikala chaahta hai kaam kya taano se too Ghalib
Tere bemehar kehne se wo tujh pe meherbaan kyun ho?

Mirza Ghalib


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#143)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
2nd March 2004, 08:51 PM

H.......

HAAWAAZ KA JAAHAN SATH LE GAAYA
WOH SAARE BADBAN SATH LE GAAYA
BATAYE KEYA WOH AFTAB THA KOI
GAAYA TOH AASMAAN SATH LE GAAYA

GULZAR JEE.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#144)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
3rd March 2004, 08:13 AM

YA...

yaad nahii.n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyo.n se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye

tujh ko bhii jab apanii qasame.n apane vaade yaad nahii.n
ham bhii apane Khvaab terii aa.Nkho.n me.n rakh kar bhuul gaye

mujh ko ji.nho.ne qatl kiyaa hai ko_ii u.nhe.n batalaaye "Nazeer"
merii laash ke pahaluu me.n vo apanaa Khanjar bhuul gaye

Nazeer Baqri


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#145)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
3rd March 2004, 03:10 PM

G.......

Ghaafhil na aapni deeda-daraai se humko jaan
sab dekhte hein par nehi kehte hayaa se hum

daagon se hi bhadi rahe chaatii tamam umr
yeh phool gul chunaa kiye baagh-e-wafa se hum.......

Meer Taqi Meer Jee.

Smile plz.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#146)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
4th March 2004, 01:01 PM

Maanind-e-shamaa majalis-e-shab ashkabaar paayaa
al qissaa 'Meer ko hamane beikhtiyaar paayaa

shahar-e-dil ek muddat ujdaa basaa Ghamon mein
aakhir ujaad denaa uskaa qaraar paayaa

Meer Taqi "Meer"


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#147)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
4th March 2004, 06:09 PM

A.......ek Gazal.

Ankhon meh jalraha hein kyu bujhta nehi dhooya
udta toh hein ghata sa barasta nehi dhooya
ankhon meh jalraha hein kyu bujhta nehi dhooya
Choole nehi jalaye yea basti hi jalgaayi
kuch roz woh gaaye hein ab uthta nehi dhooya
ankhon meh jalraha hein kyu bujhta nehi dhooya.......

smiles not working.

Keep smilling.......plz.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#148)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
5th March 2004, 12:57 PM

dhooya nahin dhooaan..............

Naavak andaaz jidhar diidaa-e-jaanaan honge
neem-bismil kai honge kai bejaan honge

taab-e-nazaaraa nahin aaeenaa kyaa dekhne doon
aur ban jaayenge tasveer jo hairaan honge

Momin Khan Momin


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#149)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
5th March 2004, 03:25 PM

H.......

Humne hi lotney ka iiraadaa nahin kiya
Ushney bhi bhul jaaney ka waadaa nahin kiya
Dukh aurthe nahin kabhi jashn-e-tarab mein hum
Mailboos-e-dil ko tun ka libaada nahin kiya
Jo gum mila hein boaj uttaaha hein ushka
Khudh sar zair-e-saghar-o-baada nahin kiya.......

Parveen Shakir Jee.
Smile plz.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#150)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
8th March 2004, 01:30 AM

Yaaden chaleen Khayaal chalaa ashq-e-tar chale
lekar payaam-e-shauq kaee naamabar chale

dil ko sambhaalte rahe har haadse pe ham
ab kyaa karen ki Khud tere gesuu bikhar chale

Hosh Tirmazi


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#151)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
8th March 2004, 02:25 AM

Cha.......

Chaand ke sath kayi dard purane nikle
Kitne gum the jo tere gum ke bahane nikle.......

Smile plz,,,,,,,


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#152)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
8th March 2004, 03:03 PM

Nikle.........

Nikalna khuld se Aadam ka sunte aaye hain lekin
Bohot be aabroo hokar tere kooche se ham nikle

Mirza Ghalib


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#153)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
8th March 2004, 04:18 PM

N.......

Na tum mere na dil mera na jaan-e-natava meri
Tasavvur mein bhi aa sakti nehin majburiyaa meri
Na tum aye na chain aya na mout ayi shab-e-wada
Dil-e-muztar tha mein tha aur thi betabeeya meri.......

Smile plz.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#154)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
8th March 2004, 08:42 PM

meri.........

Rone se aur ishq mein bebaak ho gaye
dhoe gaye ham aise ki bas paak ho gaye

karne gaye the us se taghaaful ka ham gilaa
kee ek hi nigaah ki bas Khaak ho gaye

Mirza Ghalib


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#155)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
8th March 2004, 08:52 PM

Ye.......

Yeh batade mujhe Zindegi Pyaar ki rahate humsafar
kish tarha bangaaye ajnabi yeh batade mujhe Zindegi
Phool kyu saare murjha gaaye kish liye bujhgaayi Chaandni
yeh batade mujhe Zindegi
Kal jo bahon meh thi aur nigaahon meh thi
ab woh garmi kaha khogaayi
na woh andaz hein na woh aawaaz hein
ab woh narmi kaha khogaayi
yeh batade mujhe Zindegi.......

Smile plz...


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#156)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
8th March 2004, 09:16 PM

zindagi..........

Ghair kyaa jaaniye kyun mujhko buraa kahte hain
aap kahte hain jo aisaa to bajaa kahte hain

vaaqaee tere is andaaz ko kyaa kahte hain
na vafaa kahte hain jis ko na jafaa kahte hain

Firaq Gorakhpuri


regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Old
  (#157)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
8th March 2004, 10:12 PM

N.......

Na tu Zameen ke liye hein na Asmaan ke liye
Tera wajood hein ab sirf dastan ke liye
Na tu Zameen ke liye na Asmaan ke liye.......

Ok? Smile plz.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#158)
bela sagar
*
bela sagar is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 501
Join Date: Feb 2004
Rep Power: 21
8th March 2004, 10:28 PM

hmm sahil sahab apki guzarish par main yahan qadam ranja tu ho gaee hoon magar afsoos ke sath ye arz karna chahoon gee ke abhi tak tu main is baat ki teh tak bhi nahen poohon saki ke mujhko kis lafz see sher kehna hai..........janab ....

i m a very simple poetess..........aur jo dil main ata hai kaghaz par utar dete hoon........so maf kigiyeega....!
mujhko tu in participations ka koi zoq naheen....!
hmmm ab jab yahan aa hi gaee hoon.........tu aik sher zaroor sunaoonge........jo mera favourite hai.

4 all of uuu....

" barha mujh see kaha tha mere dostoon ne wasi...
ishq darya hai jo bachoon ko nigal leta hai............!"

aik aur sher apki khidmat main arz kar rahi hoon..........

"sochate hain tujhey wuzoo kar ke
yoo tera ahtaram karte hain........!"

hmm ye dono sher "syed wasi shah" ke hain.....jin ko shayad ziada loog nahen jante but main inko buhat buhat shoq see read karte hoon........yee bas dil see kehte hain aur mere dil main utar jata hai.

mazrat janab sahil sahab shayad jo sharat ya riwaj apne banaya tha main usko poora nahen karsaki.

but u know i cant participate in this type of any programme.
sorry.....plz
take care n bye u all..........


*..... B e L a !!!!
   
Reply With Quote
Old
  (#159)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
9th March 2004, 11:00 AM

ye din bahaar ke ab ke bhi raas aa n sakae,
ki gunchae khil to sakae khil ke mushkura n sakae.

- jigar muradabaadi
   
Reply With Quote
Old
  (#160)
khan
Nacheez Shayar
khan will become famous soon enough
 
khan's Avatar
 
Offline
Posts: 225
Join Date: May 2003
Location: New Delhi, INDIA
Rep Power: 21
14th March 2004, 02:18 PM

na sake........ "Kaaf" ya "K" se shuroo karna hai....

Kaarvaan guzraa kiyaa ham rahguzar dekhaa kiye
har qadam par naqsh-e-paa raahabar dekhaa kiye

rukh meri jaanib nigaah-e-lutf dushman kee taraf
yuun udhar dekhaa kiye goyaa idhar dekhaa kiye

Fani Badayuni


kiye......... "Ye" se shuroo karen
regards
Sahil Khan
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Baitbaazi Mayank Anjuman-e-Shayri 2599 21st October 2016 03:53 PM
Baitbaazi-e-Sharaab khan Shayri-e-Sharaab 22 1st January 2013 02:03 PM
Baitbaazi-e-Dard khan Shayri-e-Dard 12 2nd September 2008 01:44 PM
Kalaam.... neelo Shayri-e-Dard 5 5th November 2004 01:36 PM
Baitbaazi-e-Ishq khan Shayri-e-Ishq 17 23rd January 2004 02:01 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com