Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

View Poll Results: I think this may be Ghazal of the month:
Vaah kya khoob hai unka hunar!!(chaahat) 0 0%
abke ai dost tumhara yeh hunar dekhainge(Rajveer) 15 60.00%
Teri panaah me.N shaqs ruswa kis kadar hoga(pooja) 3 12.00%
"ISHQ KA HUNAR"(Sunita Virender) 5 20.00%
to.D de dil ko aisaa hunar to nahiiN.......!(Dhaval) 2 8.00%
Voters: 25. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Poetry submitted for ghazal of the month July2007
Old
  (#1)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
Poetry submitted for ghazal of the month July2007 - 25th July 2007, 06:21 PM

Azeez dostoN,

Ghazal of the month'july' ke liye hame kul 5 Ghazal mile haiN, Aur un meiN se hii kisii Ghazal ko chun,na hai. maiN sab se pahle un dostoN ka shukr-guzaar huuN jinhone 'ghazal of the month' meiN hissa liya aur apnii poetry hame bheji... maiN sabhii poetry yahaaN post kar raha huuN... aage jald hii Praveen jee aur Maikash jee apnii raa'ey deNge... Shukriyah!

*****************************************

1) Ghazal submitted by Chaahat:

Title : Vaah kya khoob hai unka hunar!!

HonTh bhi nahi hilTe.. aur keh jaaTe hain haal-e-jigar..
Aankhon se baaT karTe hain huzoor, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Band karke sapne kayi, apni naazuk palkon par..
Dikha jaaTe hain har zarra mujhe, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Padh leTe hain meri aankhen, mera dard-e-jigar..
KarTe hain mukarrarr khud hi saza, Vaah kya khoob hai unka hunar..

SiTam karke bhi mujhe, anjaan banTe hain woh magar..
LaaTe hain mere aansoon apni aankhon mein, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Unki har nazar ka, mujhpe hoTa hai ek ajeeb asar...
Har baar pehchaan leTe hain meri har dhadkan, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Hunar unke iTne hain, ki bayaan karTi rahun main saari sahar..
Unke har hunar se ikraar hai, Saath nibhaayegi 'ChaahaT' ye Zindagi ka safar..

2) Ghazal submitted by Rajveer

Title: abke ai dost tumhara yeh hunar dekhainge

abke ai dost tumhara yeh hunar dekhainge
kaise jeete ho leke dard-e-jigar dekhainge..

mo'ajije dekhe hain ham ne yooN to pehle bhii bahut
abke barish mein jhulastaa apna ghar dekhainge.....

pehle nazaron se zamaane ki bacha to le.n tujhe
phir yeh hoga ki tujhe ek nazar dekhainge.....

yun to raahon mein kati zindagi apni ab tak
hoga tai kaise tire dil ka safar dekhainge.....

gam ki taariikiyon se gar yeh huwaa bach paaye
tab kahin hoga sakoo.n ki bhii sehar dekhainge..

umr bhar fikr men jinke liye rahna hai huwaa
kyaa unheiN kuchh hai hamari bhii fikr dekhainge....

chal diye pyaar hamaaraa to yooN hi Thukraake
zindagi tanha karoge jo basar dekhainge.....

gair ki baahon mein jis roz wo soye honge
'veer' us roz tumhara bhii sabar dekhainge.....

3) Ghazal submitted by Pooja4588

Title: Teri panaah me.N shaqs ruswa kis kadar hoga

Teri panaah me.N shaqs ruswa kis kadar hoga
Khaak bhi panaah na de, uska sayaa jidhar hoga

rafta rafta dam nikal hi gaya taNhaa raah me.N
MaNzil dikha ke chhod janaa bhi ek hunar hoga

gaalo.N pe ye lakiir nishaan'e'lahoo sii nazar aai
zaroor nigaaho.N me.N kisi Qaatil ka basar hoga

mere yaar ko bhii maar daale gum'e'bewaffaaii
tere dushman ki duao.N me.N to koi asar hoga

kab tak Kharch karoge ess kadar kaffan pe mere
Ab to Pooja ke marne ka silsilaa bhii aksar hoga

4) Ghazal submitted by Sunita Virender

Title: "ISHQ KA HUNAR"

kar husan ko tanha dikha ishq ka hunar gaye
muskurati aankho ko ashkon se kar tar gaye.....

chhor teri galion ko jab ham door nikal gaye
thaa har jaanib tera hii charcha ham jidhar gaye......

pa to lete ham bhi mohabat ki manzil shayad
par aap sar-e-rah chhor manzil ka safar gaye......

dhundha kiye hum unhe har gali har shehar
jalane ko dil mera wo rakeebon ke ghar gaye.....

dekha jo sawan ne bhi dil mera jalta huaa
uske aansu barish ban patton pe bikhar gaye......

thii ab bhi kush shikayatain yaaron ko hamse
hamko thaa ye guma.n ki ham sudhar gaye......

jal rahi thii saanso ki loo tim timati huyii aur
wo jaate jaate kar hawaon ko khabar gaye......

sar-e-bazm jo kiya haal-e-dil byaa.n hamne
hamari is aada ko woh kah shayri ka hunar gaye......

thaa wada ki rukhsatii pe aaounga jaroor
leke khuli palkain ham intzaar mein guzar gaye.....

suna na doon zamane ko daasta.n bewafaii kii
isii dar se jaate jaate 'sunita' ko de zehar gaye........

5)Ghazal submitted by Dhavalrami4u

Title::to.D de dil ko aisaa hunar to nahiiN.......!

to.D de dil ko aisaa hunar to nahiiN,
raah me.N chho.De wo hamsafar to nahiiN

yaadoN kii chaadareN kaam le leNge ham,
sard raatoN ki itnii fikar to nahiiN

baab-e-dil par chale raat din haaN magar,
teri chaahat ka ko'ii asar to nahiiN

baab-e-dil: dil ke raste par...

aarazoo ho bahaaroN ki jiske liYe,
paas apne haaN aisaa Shajar to nahiiN

Shajar: pe.D

nuZhat aaYegi kahaaN sey yeH to bataa,
ess dil kaa haal tujHe Khabar to nahiiN

nuZhat: KhuShii

dil ko taaboot saa maan ke kahti haii,
ke "Dhaval" yeH tirii hii kabar to nahii
N

Last edited by Mayank; 25th July 2007 at 06:24 PM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Your comments about the poetry submitted for "Ghazal of the month july-2007"
Old
  (#2)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
Your comments about the poetry submitted for "Ghazal of the month july-2007" - 27th July 2007, 06:58 PM

Azeez dostoN,

aap Ghazal of the month meiN submitted poetry ke liye yahaaN comments de sakte haiN mujhe ummeed hai kii aisa karne se Ghazal of the montyh meiN shaamil huye dostoN kii hausila afzaayii hogii....

Shukriyah!

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Vaah kya khoob hai unka hunar!!
Old
  (#3)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
Vaah kya khoob hai unka hunar!! - 28th July 2007, 01:38 PM

Quote:

HonTh bhi nahi hilTe.. aur keh jaaTe hain haal-e-jigar..
Aankhon se baaT karTe hain huzoor, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Band karke sapne kayi, apni naazuk palkon par..
Dikha jaaTe hain har zarra mujhe, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Padh leTe hain meri aankhen, mera dard-e-jigar..
KarTe hain mukarrarr khud hi saza, Vaah kya khoob hai unka hunar..

SiTam karke bhi mujhe, anjaan banTe hain woh magar..
LaaTe hain mere aansoon apni aankhon mein, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Unki har nazar ka, mujhpe hoTa hai ek ajeeb asar...
Har baar pehchaan leTe hain meri har dhadkan, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Hunar unke iTne hain, ki bayaan karTi rahun main saari sahar..
Unke har hunar se ikraar hai, Saath nibhaayegi 'ChaahaT' ye Zindagi ka safar..

Chaahat jee:

Namsate: Aap kii nazm achchhi lagiii... Par aap ko 'hunar' lafz ko bataur qaafiye istemaal kar aap ko Ghazal kahnii hai, par aap ne ek dilkash nazm kahii daali Aap kii yeh nazm behad achchhi lagii, ess ke liye mere taraf se daad aur mubaarakbaad qubool keejiye

ooparwaale se duaa hai kii aap ko aur hunarmand kare, aur aap ke kalaammeiN aur nikhaar aaye: Shukriyah!

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
28th July 2007, 01:44 PM

Rajveer jee:

Namsate:

aap kii Ghazal achchhi lagii: aur KhaaS taur se ehsaas behad achchhe lage ... aap ne wazn meiN likhane kii koshish kii hai yeh khushii kii baat hai........ lekin mujhe kahiiN kahiiN kuchh kamiyaaN nazar aayii...... aap kii nazr kar raha huuN.. par yeh meri nijii raa'ey hai aur aap se ittefaaaq rakkheN aisa zaruuri nahiiN hai

Quote:
abke ai dost tumhara yeh hunar dekhainge
kaise jeete ho leke dard-e-jigar dekhainge..
Pahela misra wazn meiN nahiiN hai(dost=dos+t)... Duusra misra kuchh yuuN kar deejiye...

'kaise le kar jeete ho dard-e-jigar dekheNge'

Sher ka khayaal achchah hai, daad!
Quote:
mo'ajije dekhe hain ham ne yooN to pehle bhii bahut
abke barish mein jhulastaa apna ghar dekhainge.....
pahla misre ess tarah tar sakte haiN:

Moajije dekheN haiN ham ne yuuN bahuut pahle bhii, duusa misra behtar hai...

Khayaal achchha hai , daad!

Quote:
pehle nazaron se zamaane ki bacha to le.n tujhe
phir yeh hoga ki tujhe ek nazar dekhainge.....
YahaaN pahle misre meiN shutrgurba hai, Tujhe>>>> DekheNge,
Duusre misre meiN bhii yeh aib hai, Tujhe>>>> tumHe
wazn se bhiii khaariz hai dono misre:

Sher yuuN likh sakte haiN:

Pahle nazaroN se zamaane kii bachaaleN tum ko
Phir tumHe jee bhar ke jaanam ek nazar dekheNge

Quote:
yun to raahon mein kati zindagi apni ab tak
hoga tai kaise tire dil ka safar dekhainge.....
Sher kuchh kamzor hai,

Quote:
gam ki taariikiyon se gar yeh huwaa bach paaye
tab kahin hoga sakoo.n ki bhii sehar dekhainge..
Yeh Sher koo ess tarah likh sakte haiN: Khayaal achchah hai , daad!

Gham kii taariikiyoN se gar ham kabhii bach nikle
tab kahiiN jaa kar sukuuN kii ham saHar dekheNge..
Quote:
umr bhar fikr men jinke liye rahna hai huwaa
kyaa unheiN kuchh hai hamari bhii fikr dekhainge....
Sher kuchh kamzor hai: wazan maiN nahiiN hai,, khayaal bayaaN nahiiN ho paaya hai..

Quote:
chal diye pyaar hamaaraa to yooN hi Thukraake
zindagi tanha karoge jo basar dekhainge.....
Rajveer jee koshish keejiye kiii bharti ke lafz bilkul bhii na daaleN, pahle misre meiN 'to' bharti ke lafz haiN, ess se sher behad kamzor lagta hai.....

Quote:
gair ki baahon mein jis roz wo soye honge
'veer' us roz tumhara bhii sabar dekhainge.....
Sher ke ehsaas bohat achche haiN Rajveer jee, Ghazal of the month ke liye aap kii yeh koshish achchhi lagii... ummeed hai aap aage bhii yuuN hii likhate raheNge.... koii baat buri lagii ho to mu'aaf keejiyegaa...

ooparwaale se duaa hai kii aap ko aur hunarmand kare, aur aap ke kalaammeiN aur nikhaar aaye: Shukriyah!

Mayank

  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#5)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
28th July 2007, 01:46 PM

hmmmmm...mayank ji hamarey liye bhi kuch likh detey....

asal mei.n mera likha es kabil hi nahi laga na...esi liye...koi baat nahi next time sahi.....

majaak kar rahi hoon.....sach mat samaj lena

kush rahiye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#6)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
28th July 2007, 01:52 PM

Puuja jee:

aap kii Ghazal achchhi lagii ess ke liye mere taraf se daad! haazir hai... do-ek baateN arz karna chaahata huuN, joo kii meri nijii raa'ey hai.. ummeed hai aap bura nahiiN maaneNgii...

Quote:
Teri panaah me.N shaqs ruswa kis kadar hoga
Khaak bhi panaah na de, uska sayaa jidhar hoga
ess meiN thoRa sa radd-o--badal kar deejiye, Shaayad koii baat bane kis qadar>>> ess qadar
uska saaya>>>> Saaya us ka

Quote:
rafta rafta dam nikal hi gaya taNhaa raah me.N
Man.zil dikha ke chhod janaa bhi ek hunar hoga
taNha>> tanha
raah meiN... RaahoN meiN,

pahle misre meiN likha hai aap ne, 'Tanhaa raah meiN dam nikalna' ess ka matlabb yeh hota hai kii aap raah maiN tanha the, par duusre misre meiN 'Manzil dikha kar chhor jaana' dono misroN meiN rabt nahiiN huaa...

Quote:
gaalo.N pe ye lakiir nishaan'e'lahoo sii nazar aai
zaroor nigaaho.N me.N kisi Qaatil ka basar hoga
lakiir>> lakiireN
Nazar aai>lagti hai

Sher ke ehsaas bohat achchhe haiN Daad!

Quote:
mere yaar ko bhii maar daale gum'e'bewaffaaii
tere dushman ki duao.N me.N to koi asar hoga
Khayaal uljha huaa sa laga mujhe

Quote:
kab tak Kharch karoge ess kadar kaffan pe mere
Ab to Pooja ke marne ka silsilaa bhii aksar hoga
yeh sher paRh kar bahut hasii aayee....
kafan par kharch yeh to physical hua,
aur marne ka silsila yeh logical hai..kyuN kii insaan physically ek baar hi mar sakta hai..

Puuja jii aap kii yeh koShish achchhi lagii, daad!Ummeed hai aage bhii aap yuuN hii likhati raheNgii.. ooparwaale se duaa hai kii aap ko aur hunarmand kare, aur aap ke kalaamoN meiN aur nikhaar aaye: Shukriyah!

Mayank

Last edited by Mayank; 3rd August 2007 at 07:43 PM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
28th July 2007, 01:56 PM

Sunita jee:

Namsate:

aap kii yeh koshish nazar nawaaz huii, aur yeh ek achchhi koshish hai, ess ke liye mere taraf se daad haazir hai qubool keejiyegaa...

Quote:
kar husan ko tanha dikha ishq ka hunar gaye
muskurati aankho ko ashkon se kar tar gaye.....
husan>husn

Khayaal achchha hai,

Quote:
chhor teri galion ko jab ham door nikal gaye
thaa har jaanib tera hii charcha ham jidhar gaye......
Teri>>> tumHaari
Tera>> tumHaara

ess Sher ka bhii Khayaal achchha hai , daad!

Quote:
pa to lete ham bhi mohabat ki manzil shayad
par aap sar-e-rah chhor manzil ka safar gaye......
Sher kuchh ulajh gaya hai, baat saaf nahiiN huii,
Quote:
dhundha kiye hum unhe har gali har shehar
jalane ko dil mera wo rakeebon ke ghar gaye.....
Dhundha kiye >>> dhundha hai
ham>>> ham ne
rakeeboN>> raqeeboN

Khayaal achchah hai, daad!
Quote:
dekha jo sawan ne bhi dil mera jalta huaa
uske aansu barish ban patton pe bikhar gaye......
Khayaal bayaaN nahiiN ho paaya puuri tarah se...

Quote:
thii ab bhi kush shikayatain yaaron ko hamse
hamko thaa ye guma.n ki ham sudhar gaye......
waah!

kush>> kuchh

Quote:
jal rahi thii saanso ki loo tim timati huyii aur
wo jaate jaate kar hawaon ko khabar gaye......
Sher kamzor laga mujhe:

Quote:
sar-e-bazm jo kiya haal-e-dil byaa.n hamne
hamari is aada ko woh kah shayri ka hunar gaye......
waah! kyaa baat hai
Quote:
thaa wada ki rukhsatii pe aaounga jaroor
leke khuli palkain ham intzaar mein guzar gaye.....
aauNga>> aaYeNge, khayaal achchha hai daad!

Quote:
suna na doon zamane ko daasta.n bewafaii kii
isii dar se jaate jaate 'sunita' ko de zehar gaye........
daastaan bewafaai kii>>> daastaan-e-bawafaai

Sunita jee: aap kiii Gahzal achchhi lagii, daad haazir hai.. qubool kejeiyegaa.. ummeed hai aap meri kahii huii koii bhii baat ko bura nahiiN maaneNgii aur aage bhii yuuN hii likhte raheNgii... ooparwaale se duaa hai kii aap ko aur hunarmand kare, aur aap ke kalaamoN meiN aur nikhaar aaye: Shukriyah!

Mayank

Last edited by Mayank; 3rd August 2007 at 07:44 PM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#8)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
28th July 2007, 02:01 PM

Dhaval jee:

Sab se pahle maiN aap ka shukriyah adaa karna chaahata huuN jo aap ne yahaaN hissa lioya, aur apne ehsaas bayaaN kiye..... kuchh ek baateN arz kar raah huun, jo meri nijii raa'ey haiN..

Quote:
to.D de dil ko aisaa hunar to nahiiN,
raah me.N chho.De wo hamsafar to nahiiN
Matla bayaaN nahiiN ho paaya Khayaal ulajh gaye haiN)

Quote:
yaadoN kii chaadareN kaam le leNge ham,
sard raatoN ki itnii fikar to nahiiN
yahaaN bhii ehsaas ulajh gaye haiN

Quote:
baab-e-dil par chale raat din haaN magar,
teri chaahat ka ko'ii asar to nahiiN
Sher kamzor hai:
Quote:
aarazoo ho bahaaroN ki jiske liYe,
paas apne haaN aisaa Shajar to nahiiN

nuZhat aaYegi kahaaN sey yeH to bataa,
ess dil kaa haal tujHe Khabar to nahiiN
Khayaal achchhe hain par bayaaN nahiiN ho paa raha hai..

Quote:
dil ko taaboot saa maan ke kahti haii,
ke "Dhaval" yeH tirii hii kabar to nahii
ess sher par kya kahuuN par paRh kar laboN par muskurahat chha gayee

Dhaval jee: aap kii yeh koshish achchhi lagiii.. ummeed hai aap aage bhii yuuN hii likhte raheNge... Merii koii baat burii lagii ho darkinaar kar deejiyega... ooparwaale se duaa hai kii aap ko aur hunarmand kare, aur aap ke kalaamoN meiN aur nikhaar aaye: Shukriyah!

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#9)

28th July 2007, 02:03 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
hmmmmm...mayank ji hamarey liye bhi kuch likh detey....

asal mei.n mera likha es kabil hi nahi laga na...esi liye...koi baat nahi next time sahi.....

majaak kar rahi hoon.....sach mat samaj lena

kush rahiye
Aap ne kuchh kaha maiN ne kitna kuchh likh diya hai.. itna kii mujhe lagta hai kii mujeh yahaan se bhaagna paregaa..

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#10)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
28th July 2007, 02:40 PM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
Aap ne kuchh kaha maiN ne kitna kuchh likh diya hai.. itna kii mujhe lagta hai kii mujeh yahaan se bhaagna paregaa..

Mayank

arreeee bhaag kar kaha jaogey......

hum aise hi aapka peecha chorrney wale nahi.....

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#11)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
28th July 2007, 04:10 PM

wellll..........

Meri tarafse sabko best wishes....................

Ab main kisiek ki tarif nahin akr sakti...sab mere apne hi hain...sabko best luck compeitition ke liye.....agli baar main bhi shayad part lungi..is baar dhyan hi nahin raha....

mausam

Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
28th July 2007, 04:45 PM

Quote:
Dhaval jee:

Sab se pahle maiN aap ka shukriyah adaa karna chaahata huuN jo aap ne yahaaN hissa lioya, aur apne ehsaas bayaaN kiye..... kuchh ek baateN arz kar raah huun, jo meri nijii raa'ey haiN..
Mayank bhaiyaa namaskaaR:

"Ghazal of the month" meiN hissaa leke mujHe bhii baRaa achchhaa lagaa.. yahaaN sey bahot kuch seeKhne ko mileNgaa mujHe... aur KhuShii ess baat kii hay kii maiN kuch kadam aage baRh sakuNgaa ess safar meiN... to maiN aapkaa shurKriyaaH adaa karnaa chaahtaa huuN tah-e-dil sey kii aapne mujHe yeH maukaa diYaa...!
Quote:
Matla bayaaN nahiiN ho paaya Khayaal ulajh gaye haiN)
aapne jo matle kii baat kii hay...matle ke Zar'iiye maiN yeH kehnaa chaahtaa huuN kii... mere paas aisaa hunar nahiiN kii maiN kisii kaa dil to.D duN..aor kisii ko akele raah meiN chHo.D jaaYeN waisaa humsafar maiN bannaa nahiiN chaahtaa.....par be-Shak maiN itnii achchhii tarah sey bayaaN nahiiN kar sakaa ess baat ko aapkii baat bilkul durust hay...
Quote:
yahaaN bhii ehsaas ulajh gaye haiN

jee bhaiyaa...

Quote:
Sher kamzor hai:
jee zaroor aage sey Khayaal raKhuNgaa...Khayaal mujHe bhee kamzor lageN
Quote:
Khayaal achchhe hain par bayaaN nahiiN ho paa raha hai..

aapko Khayaal pasaNd aaYeN...KhuShii hu'ii..jee haaN sahii tarah sey bayaaN karne kii aglii baar poorii kosiSh karuNgaa...
Quote:
ess sher par kya kahuuN par paRh kar laboN par muskurahat chha gayee
yeH to merii KhuShkismatii... huzoor duaa haii aapke laboN par muskuraahat haMeShaa banii raheN..
Quote:
Dhaval jee: aap kii yeh koshish achchhi lagiii.. ummeed hai aap aage bhii yuuN hii likhte raheNge... Merii koii baat burii lagii ho darkinaar kar deejiyega... ooparwaale se duaa hai kii aap ko aur hunarmand kare, aur aap ke kalaamoN meiN aur nikhaar aaye: Shukriyah!

Mayank bhaiyaa...maiN baRaa hii mamnoon huuN..aapne ess kosiSh ke liYe apnaa qeemtii waQt diYaa..aor ess kosiSh ko apnii raa'ey sey nawaazaa...KhuShii hu'ii... Bahot kuch seeKhne ko milaa..aur kosiSh yehiii raheNgii yahaaN sey aage aur bhii seeKhtaa rahuN...aor aapkii baatoN ko darkinaar kyuuN karuN?? aapkii baateN sahii haii aor maiN kosiSh karuNgaa kii apnii GhaltiYoN ko door karuN...aapkaa aik baar fir sey shurKriyaaH...!

Quote:
Mayank
KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...

Last edited by Dhaval; 28th July 2007 at 04:50 PM..
   
Reply With Quote
Ghazal No. 1
Old
  (#13)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
Ghazal No. 1 - 30th July 2007, 06:28 PM

1) Ghazal submitted by Chaahat:

Title : Vaah kya khoob hai unka hunar!!

HonTh bhi nahi hilTe.. aur keh jaaTe hain haal-e-jigar..
Aankhon se baaT karTe hain huzoor, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Band karke sapne kayi, apni naazuk palkon par..
Dikha jaaTe hain har zarra mujhe, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Padh leTe hain meri aankhen, mera dard-e-jigar..
KarTe hain mukarrarr khud hi saza, Vaah kya khoob hai unka hunar..

SiTam karke bhi mujhe, anjaan banTe hain woh magar..
LaaTe hain mere aansoon apni aankhon mein, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Unki har nazar ka, mujhpe hoTa hai ek ajeeb asar...
Har baar pehchaan leTe hain meri har dhadkan, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Hunar unke iTne hain, ki bayaan karTi rahun main saari sahar..
Unke har hunar se ikraar hai, Saath nibhaayegi 'ChaahaT' ye Zindagi ka safar..

.................................................. ........

chaahat saahiba aadaab,namaste aur sat sri akaal

aapki Ghazal ke muttalliq chaNd baateiN aapse kehna chahta huuN :-

Ghazal ka format Ghalat hai, ya to matle meiN bhi "Vaah kya khoob hai unka hunar" ba'ta'ur radeef istemaal kiya hota ya aapne Ghazal Ghair-muraddaf kahi hoti to theek hai, yahaaN Ghalati huii hai

**Band karke sapne kayi, apni naazuk palkon par..
**Dikha jaaTe hain har zarra mujhe, Vaah kya khoob hai unka hunar

palkoN par "sajaa" sakte haiN "rakh" sakte haiN, "palkoN par baNd karna" sahi tarqeeb nahiiN hai, she'r ka khayaal behadd kamzor hai aur donoN misroN meiN koii rabt mujhe nazar nahiiN aaya

**Padh leTe hain meri aankhen, mera dard-e-jigar..
**KarTe hain mukarrarr khud hi saza, Vaah kya khoob hai unka hunar..

yeh she'r bhi bohat kamzor hai, donoN misroN meiN rabt yahaaN bhi nadaa'rad hai

**SiTam karke bhi mujhe, anjaan banTe hain woh magar..
**LaaTe hain mere aansoon apni aankhon mein, Vaah kya khoob hai unka hunar..

"laate haiN mere aaNsoo apni aaNkhoN meiN" kaha jaana Ghalat hai, "meri aaNkhoN meiN tere aaNsoo" vaghera theek hai, ga'ur farmaaiyega, rabt ka mas'alaa yahaaN bi barqaraar hai

**Unki har nazar ka, mujhpe hoTa hai ek ajeeb asar...
**Har baar pehchaan leTe hain meri har dhadkan, Vaah kya khoob hai unka hunar..

bohat kamzor she'r hai, khayaal aur bayaan donoN ke hisaab se, maf'huum saaf nahiiN haiN

**Hunar unke iTne hain, ki bayaan karTi rahun main saari sahar..
**Unke har hunar se ikraar hai, Saath nibhaayegi 'ChaahaT' ye Zindagi ka safar..

radeef aur qafiya maiN pehle hi keh chuka huuN ke aapne sahi istemaal nahiiN kiya hai isliye is par aur kuch nahiiN kahuuNga, aapne yahaaN bhi radeef badal diya hai jo ke Ghalat hai, "hunar se iqraar" Ghalat hai

Notes :

1. aapke kalaam ka koii bhi misra wazan meiN nahiiN hai, jise mayank miyaaN "rawaani" kehte haiN

2. aapne "..." ka jo istemaal kiya hai voh be'maani hai roman urdu script meiN dots,commas aur exclamation points vaGhera ka khaas matlab hota hai isey vahiiN istemaal kiya jaata hai jahaaN zaroorat hoti hai, jaise ke agar koi jumlaa adhuura choRaa jaaye to us na'muqammal misrey ke aakhir meiN dots istemaal kiye jaate haiN, kahiiN hai'raani ki taraf tavvajo darkaar ho to vahaan "!" lagaay jaata hai vaGhera vaGhera

3. aapne kayi jagah bewajah capital letters istemaal kiye haiN jo ke Ghalat hai,roman urdu script meiN capital letters bhi bohat khaas matlab rakhte haiN jaise ke hindi meiN jahaaN "biNdu" lagaaya jaata hai roman urdu meiN us biNdu ko capital N likha jaata hai , example : hindi ka shabd hai "biNdiya" , yahaaN ba ke uupar jo biNdi hai usey roman urdu meiN capital N se likha jaayega, ab sochiye "saadhu ki kuTiya" meiN aap capital T istemaal nahiiN kareNge to padhne waala kya samjhega !

edit : "t" aur "T" ka farq bataana maiN bhool gaya tha isliye post edit kar raha huuN. taras,taraf,tujhe jaise alfaaz meiN "t" lagta, ab is lafz par dhyaan dijiye "TuuTa" jaise dil todna, sheesha todna, voh waala TuuTa, is lafz meiN capital T ka istemaal kiya jaayega, agar aisa nahiiN kareNge to iski aawaaz aisi ban'tii hai jaise koi tot'lee zabaan meiN bol raha ho, ummiid hai ye wajaahat aapke kaam aayegi, aap agar saahib-e-ilm ke kalaam ga'ur se padheNge to ye tam'aam farq badi aasaani se aapki samajh meiN aa jaayeNge

aapne yeh kalaam judgement ke liye haazir kiya hai isliye aapko awwal to kisi baat ka bura nahiiN lagna chahiye agar laga ho to maiN mazrat chahta huuN, mashq jaari rakhiye

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 31st July 2007 at 01:10 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#14)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
30th July 2007, 08:24 PM

2) Ghazal submitted by Rajveer

Title: abke ai dost tumhara yeh hunar dekhainge

abke ai dost tumhara yeh hunar dekhainge
kaise jeete ho leke dard-e-jigar dekhainge..

mo'ajije dekhe hain ham ne yooN to pehle bhii bahut
abke barish mein jhulastaa apna ghar dekhainge.....

pehle nazaron se zamaane ki bacha to le.n tujhe
phir yeh hoga ki tujhe ek nazar dekhainge.....

yun to raahon mein kati zindagi apni ab tak
hoga tai kaise tire dil ka safar dekhainge.....

gam ki taariikiyon se gar yeh huwaa bach paaye
tab kahin hoga sakoo.n ki bhii sehar dekhainge..

umr bhar fikr men jinke liye rahna hai huwaa
kyaa unheiN kuchh hai hamari bhii fikr dekhainge....

chal diye pyaar hamaaraa to yooN hi Thukraake
zindagi tanha karoge jo basar dekhainge.....

gair ki baahon mein jis roz wo soye honge
'veer' us roz tumhara bhii sabar dekhainge.....

.................................................. ...............

Rajveer saahab sat sri akaal

aapki Ghazal pe chaNd ta'suraat haazir haiN :-

aapne Ghazal wazan meiN kehne ki kohshish ki hai jiski mujhe bohat khushi hai

**abke ai dost tumhara yeh hunar dekhainge
**kaise jeete ho leke dard-e-jigar dekhainge..

matle par mujhe koii khaas aitraaz nahiiN hai thoda tabdeel kar diya jaaye to aur achcha ho jaayega, ye suurat dekhiye :

abke ai yaar tumhaara bhi hunar dekheNge
tum saNbhaaloge kaise dard-e-jigar dekheNge

note kijiye ke pehle misre meiN "bhi" lagaane se ye aapki khud ki dard-e-jigar se kash-ma-kash ki baat bhi bayaan meiN aa jaati hai aur duure misre ke "tum" ki wajah se bayaan meiN rabt bhi badh jaata hai

***mo'ajije dekhe hain ham ne yooN to pehle bhii bahut
***abke barish mein jhulastaa apna ghar dekhainge.....

ek duusre thread meiN mayank miyaaN ne pehle misra ki duusri suurat tajveez ki hai mujhe uss se puura itte'faaq hai go lafz-e-moji'zey aapne Ghalat likha hai sahi lafz hai "moji'zey" :-

moaj'izey dekheN haiN ham ne yuuN bahuut pahle bhii

duusra misra mere hisaab se wazan meiN nahiiN hai, yuuN dekhiye

abke baarish meiN jhulas'taa huaa Ghar dekheNge

lekin is suurat meiN she'r ke mafhuum saaf nahiiN hue, aap khud dekh lijiyega

**pehle nazaron se zamaane ki bacha to le.n tujhe
**phir yeh hoga ki tujhe ek nazar dekhainge.....

is she'r ke mutt'alliq mayank saahab ne aapko jo islaah di hai vo durust hai go duusra misra maiN chahta huuN ke aap phir se kehne ki kohshish kareiN

**yun to raahon mein kati zindagi apni ab tak
**hoga tai kaise tire dil ka safar dekhainge

bhai yeh she'r bohat kamzor hai,duusre misre ke wazan meiN bhi gaRbaRation hai,tavvajo dijiyega

**gam ki taariikiyon se gar yeh huwaa bach paaye
**tab kahin hoga sakoo.n ki bhii sehar dekhainge..

phir se kahiye!

**umr bhar fikr men jinke liye rahna hai huwaa
**kyaa unheiN kuchh hai hamari bhii fikr dekhainge....

"fiqr" yahaaN is qafiya meiN nahiiN khap sakta, qafiya badaliye aur phir se kahiye

**chal diye pyaar hamaaraa to yooN hi Thukraake
**zindagi tanha karoge jo basar dekhainge.....

mayank saahab ne jo aitraaz uThaaya hai vo jaayaz hai,pehla misra yuuN kaha jaa sakta hai :

aaj tanhaa to aap humko choRe'y jaate ho

**gair ki baahon mein jis roz wo soye honge
**'veer' us roz tumhara bhii sabar dekhainge.....

maqta mujhe khusuun pasaNd aaya lekin ismeiN jo qafiya aapne istemaal kiya hai voh munaasib nahiiN hai goya "fiqr" pe aitraaz uThaaya gaya hai "sabar" dar-asl punjabi ka lafz hai aur urdu meiN sahi lafz "sabr" hai, duusra misra yuuN bhi keh sakte haiN :

veer us roz tera haal-e-jigar dekheNge

Notes :

jis baat ki mujhe sabse zyada khushi hai (jaise ke maine uupar darj kiya hai) voh yeh hai ke aapne Ghazal wazan meiN kehne ki bhar'puur kohshish ki hai aur aap is kohshish meiN kisi hadd taq kaamyaab bhi hue haiN isliye meri mubarakbaad qabuul kijiye aur roman urdu script ke baare meiN maine kuch zaroori baateiN isi thread meiN darj ki haiN aap usey zaroor padhiyega aur mashq jaari rakhiye

aapka ko'ii sawaal ho to maiN taa'bedaar huuN

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#15)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
3rd August 2007, 09:15 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
1) Ghazal submitted by Chaahat:

Title : Vaah kya khoob hai unka hunar!!

HonTh bhi nahi hilTe.. aur keh jaaTe hain haal-e-jigar..
Aankhon se baaT karTe hain huzoor, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Band karke sapne kayi, apni naazuk palkon par..
Dikha jaaTe hain har zarra mujhe, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Padh leTe hain meri aankhen, mera dard-e-jigar..
KarTe hain mukarrarr khud hi saza, Vaah kya khoob hai unka hunar..

SiTam karke bhi mujhe, anjaan banTe hain woh magar..
LaaTe hain mere aansoon apni aankhon mein, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Unki har nazar ka, mujhpe hoTa hai ek ajeeb asar...
Har baar pehchaan leTe hain meri har dhadkan, Vaah kya khoob hai unka hunar..

Hunar unke iTne hain, ki bayaan karTi rahun main saari sahar..
Unke har hunar se ikraar hai, Saath nibhaayegi 'ChaahaT' ye Zindagi ka safar..

.................................................. ........
.................................................. ........

chaahat saahiba aadaab,namaste aur sat sri akaal

aapki Ghazal ke muttalliq chaNd baateiN aapse kehna chahta huuN :-

Ghazal ka format Ghalat hai, ya to matle meiN bhi "Vaah kya khoob hai unka hunar" ba'ta'ur radeef istemaal kiya hota ya aapne Ghazal Ghair-muraddaf kahi hoti to theek hai, yahaaN Ghalati huii hai

**Band karke sapne kayi, apni naazuk palkon par..
**Dikha jaaTe hain har zarra mujhe, Vaah kya khoob hai unka hunar

palkoN par "sajaa" sakte haiN "rakh" sakte haiN, "palkoN par baNd karna" sahi tarqeeb nahiiN hai, she'r ka khayaal behadd kamzor hai aur donoN misroN meiN koii rabt mujhe nazar nahiiN aaya

**Padh leTe hain meri aankhen, mera dard-e-jigar..
**KarTe hain mukarrarr khud hi saza, Vaah kya khoob hai unka hunar..

yeh she'r bhi bohat kamzor hai, donoN misroN meiN rabt yahaaN bhi nadaa'rad hai

**SiTam karke bhi mujhe, anjaan banTe hain woh magar..
**LaaTe hain mere aansoon apni aankhon mein, Vaah kya khoob hai unka hunar..

"laate haiN mere aaNsoo apni aaNkhoN meiN" kaha jaana Ghalat hai, "meri aaNkhoN meiN tere aaNsoo" vaghera theek hai, ga'ur farmaaiyega, rabt ka mas'alaa yahaaN bi barqaraar hai

**Unki har nazar ka, mujhpe hoTa hai ek ajeeb asar...
**Har baar pehchaan leTe hain meri har dhadkan, Vaah kya khoob hai unka hunar..

bohat kamzor she'r hai, khayaal aur bayaan donoN ke hisaab se, maf'huum saaf nahiiN haiN

**Hunar unke iTne hain, ki bayaan karTi rahun main saari sahar..
**Unke har hunar se ikraar hai, Saath nibhaayegi 'ChaahaT' ye Zindagi ka safar..

radeef aur qafiya maiN pehle hi keh chuka huuN ke aapne sahi istemaal nahiiN kiya hai isliye is par aur kuch nahiiN kahuuNga, aapne yahaaN bhi radeef badal diya hai jo ke Ghalat hai, "hunar se iqraar" Ghalat hai

Notes :

1. aapke kalaam ka koii bhi misra wazan meiN nahiiN hai, jise mayank miyaaN "rawaani" kehte haiN

2. aapne "..." ka jo istemaal kiya hai voh be'maani hai roman urdu script meiN dots,commas aur exclamation points vaGhera ka khaas matlab hota hai isey vahiiN istemaal kiya jaata hai jahaaN zaroorat hoti hai, jaise ke agar koi jumlaa adhuura choRaa jaaye to us na'muqammal misrey ke aakhir meiN dots istemaal kiye jaate haiN, kahiiN hai'raani ki taraf tavvajo darkaar ho to vahaan "!" lagaay jaata hai vaGhera vaGhera

3. aapne kayi jagah bewajah capital letters istemaal kiye haiN jo ke Ghalat hai,roman urdu script meiN capital letters bhi bohat khaas matlab rakhte haiN jaise ke hindi meiN jahaaN "biNdu" lagaaya jaata hai roman urdu meiN us biNdu ko capital N likha jaata hai , example : hindi ka shabd hai "biNdiya" , yahaaN ba ke uupar jo biNdi hai usey roman urdu meiN capital N se likha jaayega, ab sochiye "saadhu ki kuTiya" meiN aap capital T istemaal nahiiN kareNge to padhne waala kya samjhega !

edit : "t" aur "T" ka farq bataana maiN bhool gaya tha isliye post edit kar raha huuN. taras,taraf,tujhe jaise alfaaz meiN "t" lagta, ab is lafz par dhyaan dijiye "TuuTa" jaise dil todna, sheesha todna, voh waala TuuTa, is lafz meiN capital T ka istemaal kiya jaayega, agar aisa nahiiN kareNge to iski aawaaz aisi ban'tii hai jaise koi tot'lee zabaan meiN bol raha ho, ummiid hai ye wajaahat aapke kaam aayegi, aap agar saahib-e-ilm ke kalaam ga'ur se padheNge to ye tam'aam farq badi aasaani se aapki samajh meiN aa jaayeNge

aapne yeh kalaam judgement ke liye haazir kiya hai isliye aapko awwal to kisi baat ka bura nahiiN lagna chahiye agar laga ho to maiN mazrat chahta huuN, mashq jaari rakhiye

rab raakha
maikash
Maikash Bhai,

Aapki saari baatein padhi.. ji haan jaanti hun... meri ghazal me rabt ki kami hai.. par kya hai.. dil ke aage kalam me her pher karne pad jaate hain.. lekin aapka bahut bahut shukriya.. jo aapne har ek cheez itne ache se explain ki.. aage se behter likhne ki koshish zaroor karungi..

Bas aapse do baatein kehna chaahti thi.... ek to mere yeh '...' dots ki... yeh meri aadat hai.. mujhe urdu nahi aati, urdu me kaise kis shabd par vazan dete hain, nahi jaanti... bas apne mann se likhti hun.. aur doosri baat "T" ki... samjhti hun main, ki kisi akshar ko Capital ltrs me likhne se us akshar par vazan padta hai, lekin maine "T" vazn ke liye nahi likha... agar aap meri koyi bhi rachna padhenge, usmein "T" capital hi paayenge.. iski vajah shaayad aapko mere signatures ki last line de paaye.

Aur aapki baaki saari baaton ne mujhe sochne ke liye majboor kiya.. aur yehi aawaaz aayi.. ki priya bache bahut improvement ki zaroorat hai Thanx to you, jo aapne mujhe meri kamzoriyon se aagaah karvaya.

Thanx once again!

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Old
  (#16)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
3rd August 2007, 08:03 PM

3) Ghazal submitted by Pooja4588

Title: Teri panaah me.N shaqs ruswa kis kadar hoga

Teri panaah me.N shaqs ruswa kis kadar hoga
Khaak bhi panaah na de, uska sayaa jidhar hoga

rafta rafta dam nikal hi gaya taNhaa raah me.N
MaNzil dikha ke chhod janaa bhi ek hunar hoga

gaalo.N pe ye lakiir nishaan'e'lahoo sii nazar aai
zaroor nigaaho.N me.N kisi Qaatil ka basar hoga

mere yaar ko bhii maar daale gum'e'bewaffaaii
tere dushman ki duao.N me.N to koi asar hoga

kab tak Kharch karoge ess kadar kaffan pe mere
Ab to Pooja ke marne ka silsilaa bhii aksar hoga

.................................................. .................

namaste Pooja jee

aapki Ghazal pe chaNd khayalaat haazir haiN :

pehla mash'viraa aapko yeh hai ke kohshish kijiye ke aap thoda bohat bahuur ka ilm haasil kareiN, internet pe aapko bohat se links mil jaayeNge jahaaN se aapko wazan ki baa'riikiyoN ki jaankaari mil sakti hai

**Teri panaah me.N shaqs ruswa kis kadar hoga
**Khaak bhi panaah na de, uska sayaa jidhar hoga

she'r ke maf'huum saaf nahiiN hai, aap kya kehna chaah rahi haiN ye zaahir nahiiN ho raha, pehle misre meiN aapne kahaa hai voh shakhs(go kaun hai aur kiski panaah meiN hai,ye saaf nahiiN hua,in donoN meiN se ek situtation bhi clear hoti to baat ban jaati) "panaah meiN hai" aur duusre misre meiN aap keh rahi haiN ke "panaah nahiiN mili", yeh Ghalat ho gaya, mayank saahab ne ek duusre thread meiN jo "kis qadar" ki baja'ye "is qadar" tajveez kiya hai, us par bhi ga'ur kijiye

**rafta rafta dam nikal hi gaya taNhaa raah me.N
**MaNzil dikha ke chhod janaa bhi ek hunar hoga

mayank saahab ki islaah padh lijiye, mujhe unki islaah se itte'faaq hai

**gaalo.N pe ye lakiir nishaan'e'lahoo sii nazar aai
**zaroor nigaaho.N me.N kisi Qaatil ka basar hoga

mayank miyaaN ne yahaaN bhi mere kaam aasaan kar diya hai, unke islaah par tavvajo dijiye, thodi wajaahat maiN kar deta huuN, pehle misre meiN aapne "gaaloN" ka zikr kiya isliye "lakeer" ki jagah "lakeereiN" hona chahiye, agar ek gaal ka zikr hota to lakeer bartaa jaa sakta tha

**mere yaar ko bhii maar daale gum'e'bewaffaaii
**tere dushman ki duao.N me.N to koi asar hoga

yeh she'r meri guzaarish hai ke phir se kahiye, aapne kaha hai ke mere yaar ko "bhi" Gham-e-bewafaii ne maar daala iska matlab yeh hua ke aap khud ko bhi bewafa keh rahi haiN jo ke mera khayaal hai ke aap nahiiN kehna chahti, duusre misre meiN aapne kahaa hai "tere dushman", yeh dushman kiska hai yeh saaf nahiiN hua, misroN meiN rabt nahiiN banaa aur she'r ka khayaal kya hai ye bhi wajeeh nahiiN hua

**kab tak Kharch karoge ess kadar kaffan pe mere
**Ab to Pooja ke marne ka silsilaa bhii aksar hoga

ye she'r bhi, muaaf kijiyega, bohat kamzor hai,jis marne pe kafan ki zaroorat pade voh marna sirf ek hi baar hota hai, isliye kafan ke kharche ki baat be'maani aur Ghair-zaroori hai

aapne kohshish ki hai isliye aap shab'aashii ki haqdaar haiN, mubarakbaad haazir hai, aur aapse darkhuvaast hai ke meri kisi baat ko dil pe mat lijiyega, judgement dena badaa hi na'shukraa kaam hai,aur mehnat kareNgi to ek din yaqeenan kaamyaab hoNgii, mashq jaari rakhiye

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 3rd August 2007 at 08:05 PM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#17)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
3rd August 2007, 09:30 PM

4) Ghazal submitted by Sunita Virender

Title: "ISHQ KA HUNAR"

kar husan ko tanha dikha ishq ka hunar gaye
muskurati aankho ko ashkon se kar tar gaye.....

chhor teri galion ko jab ham door nikal gaye
thaa har jaanib tera hii charcha ham jidhar gaye......

pa to lete ham bhi mohabat ki manzil shayad
par aap sar-e-rah chhor manzil ka safar gaye......

dhundha kiye hum unhe har gali har shehar
jalane ko dil mera wo rakeebon ke ghar gaye.....

dekha jo sawan ne bhi dil mera jalta huaa
uske aansu barish ban patton pe bikhar gaye......

thii ab bhi kush shikayatain yaaron ko hamse
hamko thaa ye guma.n ki ham sudhar gaye......

jal rahi thii saanso ki loo tim timati huyii aur
wo jaate jaate kar hawaon ko khabar gaye......

sar-e-bazm jo kiya haal-e-dil byaa.n hamne
hamari is aada ko woh kah shayri ka hunar gaye......

thaa wada ki rukhsatii pe aaounga jaroor
leke khuli palkain ham intzaar mein guzar gaye.....

suna na doon zamane ko daasta.n bewafaii kii
isii dar se jaate jaate 'sunita' ko de zehar gaye........

.................................................. .....................

Sunita jee namaskaar

pehle to aapse mazrat chahta huuN jo aapke khatoN ka jawaab dene meiN mujhse aksar "chook" hoti rahi hai, ummiid hai ke aapne muaaf kar diya hoga

ab aapki Ghazal pe aate haiN :

riivaayat ke hisaab se aur urdu literature ke mutaabiq ishq ke hunar kitne bhi hoN lekin un meiN husn ko tanhaa karna shumaar nahiiN hai, jo husn ko tanhaa choR jaaye usko ishq nahiiN keh sakte ye meri z'yaati ra'ye hai isliye isko Ghalat to maiN nahiiN kahuuNga lekin iss se itte'faaq mujhe nahiiN hai,she'r meiN agar aap ishq ki baja'ye aadam ko guneh'gaar theh'raatiiN to zyada theek tha, duusri baat yeh ke "kar tar" kuch jam nahiiN raha, ismeiN koii taqniiquii nuqs to nahiiN hai lekin zabaan ka lehja dekha jaate to ajeeb sa jaan paRtaa hai,matlaa wazan meiN nahiiN hai us par tavvajo dijiyega

**chhor teri galion ko jab ham door nikal gaye
**thaa har jaanib tera hii charcha ham jidhar gaye......

khayaal ko madd-e-nazar rakheiN to yeh she'r be'aib hai, wazan ka mas'alaa barqaraar hai isliye aur kuch nahiiN kahuuNga

**pa to lete ham bhi mohabat ki manzil shayad
**par aap sar-e-rah chhor manzil ka safar gaye......

safar ki ibtedaa maNzil ke liye hi hoti hai isliye "maNzil ka safar" kehna Ghair-munaasib hai, go aapne "be-maNzilaa-safar" se ta'lluq rakhte bohat se she'r padhe hoNge lekin unmeiN bhi aapko maNzil ke wajood ka ishaara kahiiN na kahiiN zaroor milega, chaahe voh shaayir ki soch meiN ho,ummiid meiN ho, khwaab meiN ho, bayaan meiN ho, taNz meiN ho ya lehje meiN

**dhundha kiye hum unhe har gali har shehar
**jalane ko dil mera wo rakeebon ke ghar gaye.....

pehle misre meiN aapne "hum" kahaa hai aur duusre meiN "mera" ye Ghalat hai, "hum" ke saath hamesha "hamaara" aur "maine" ke saath "mera" ka istemaal hota hai, iska khyaal rakhiye, yeh ek bohat hi aam Ghalati hai jo anjaane meiN ho jaati hai, aap apna kalaam ga'ur se padheNgi to aapki aisii LaGhziishoN ka aNdaaza ba'khoobi ho jaayega, she'r achcha hai, mubarak ho

**dekha jo sawan ne bhi dil mera jalta huaa
**uske aansu barish ban patton pe bikhar gaye......

ye she'r theek se bayaaN nahiiN ho paaya, misroN meiN rabt nadaa'rad hai aur mafhuum saaf nahiiN hue, phir se kahiye

**thii ab bhi kush shikayatain yaaron ko hamse
**hamko thaa ye guma.n ki ham sudhar gaye......

she'r achcha hai, behtar ho sakta hai, ga'ur farmaaiyega

mujhe yaqeen hai ke aap "loo" nahiiN "la'u" kehna chahti haiN, pehle misre meiN "jalne" aur "Tim'Timaane" donoN ka zikr Ghair-zaroori hai, duusri baat yeh ki agar saaNsoN ki la'u pehle hi "Tim'Timaa" rahi haiN to iska matlab yeh hua ke hawaa pehle se hi chal rahi hai aur jab hawaa hai to unke hawaa ko khabar karne se kya farq padaa ? haaN agar aap yuuN kehti ke "mad'ham hai" vaGhera to kuch baat ban jaati, she'r kamzor hai, phir se dekh lijiye

**sar-e-bazm jo kiya haal-e-dil byaa.n hamne
**hamari is aada ko woh kah shayri ka hunar gaye......

she'r ka lehja, muaaf kijiyega, bohta bachkaana hai, aapki tavvajo darkaar hai

**thaa wada ki rukhsatii pe aaounga jaroor
**leke khuli palkain ham intzaar mein guzar gaye.....

lafz-e-"ruKhsat'ii" amooman (note kijiye :amooman,hamesha nahiiN) shaadi ke waqt dulhan ko rukhsat karne ke ma'haul ko reflect karne ke liye bartaa jaata hai, "waqt-e-ruKhsat" zyada theek hai shayad, again this is my personal opinion, others may have a different view, aapne jis lehje meiN "guzar gaye" istemaal kiya hai adb-e-sukhan ko khaatir meiN laate hue mujhe us par bhi thoda sa ait'raaz hai, phir se dekh lijiye

**suna na doon zamane ko daasta.n bewafaii kii
**isii dar se jaate jaate 'sunita' ko de zehar gaye........

khayaal bohat kamzor hai aur bayaan us se bhi zyada, Ghazal ka maqta bohat ehmiiyat rakhta hai,tam'aam Ghazal meiN yeh ek akela she'r hota hai jis meiN shaayir apne ehsa'saat aur apne takkhayyul ko apne-aap se joRne meiN puuri aazaadi mehsuus karta hai isliye is par zyada dhyaan dijiye

Notes :-

aapne ek achchi kohshish ki hai iske liye meri mubarakbaad qabool kijiye

jaise ke maine uupar darj kiya hai ke aapne yeh Ghazal judgement ke liye pesh ki hai isliye aapko kisi baat ka usoolan bura lagna to nahiiN chahiye agar lagaa ho to muaaf kar dijiyega

dots aur urdu roman script se ta'lluq rakhti kuch baateiN maine is thread ki pehli reply meiN darj kii haiN use'y aap zaroor padhiyega, jaise ki mohtarma chaahta ne arz kiya hai ke yeh unki aadat hai lekin burii aadaateiN badalne meiN hi aql'maNdii hoti hai aur agar aap kuch seekhna chaahte haiN to apni GhalatiiyoN ko nazar'aNdaaz mat kijiye, aaj-kal kisi ke paas itna waqt nahiiN hai ke be'wajah aapna waqt kharch karke aapko aapki laGhziishoN se do-chaar karaaye aur mera yaqeen kijiye kisi kalaam ko ga'ur se padhna aur uss par apne khayaal bayaan karna koi do-chaar minute ka kaam nahiiN hai, rasmii "vaah-vaah" se aapko koii fai'daa nahiiN hone waala isliye meri yahi advice hai ke jitna ho sake seekhne ki kohshish kijiye, achche likhne waaloN ke kalaam padhiye aur note kiya kijiye ke unhone kaun sa lafz kaise likha hai, iss se aapki roman urdu theek ho jaayegi

aapko koii sawaal puuchna ho to maiN haazir huuN

mashq jaari rakhiye

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 3rd August 2007 at 09:38 PM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#18)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
3rd August 2007, 09:54 PM

Quote:
Originally Posted by chaahat View Post
Maikash Bhai,

Aapki saari baatein padhi.. ji haan jaanti hun... meri ghazal me rabt ki kami hai.. par kya hai.. dil ke aage kalam me her pher karne pad jaate hain.. lekin aapka bahut bahut shukriya.. jo aapne har ek cheez itne ache se explain ki.. aage se behter likhne ki koshish zaroor karungi..

Bas aapse do baatein kehna chaahti thi.... ek to mere yeh '...' dots ki... yeh meri aadat hai.. mujhe urdu nahi aati, urdu me kaise kis shabd par vazan dete hain, nahi jaanti... bas apne mann se likhti hun.. aur doosri baat "T" ki... samjhti hun main, ki kisi akshar ko Capital ltrs me likhne se us akshar par vazan padta hai, lekin maine "T" vazn ke liye nahi likha... agar aap meri koyi bhi rachna padhenge, usmein "T" capital hi paayenge.. iski vajah shaayad aapko mere signatures ki last line de paaye.

Aur aapki baaki saari baaton ne mujhe sochne ke liye majboor kiya.. aur yehi aawaaz aayi.. ki priya bache bahut improvement ki zaroorat hai Thanx to you, jo aapne mujhe meri kamzoriyon se aagaah karvaya.

Thanx once again!

Chaahat jee namaste

aapne kahaa ke dots barat'naa aapki aadat hai aur "T" aapne wazan ke liye nahiiN likha, achchi baat hai

yaqeen kijiye capital alphabets aur dots ke istemaal ka urdu zabaan se duur-duur taq koii lena-dena nahiiN hai, aap jo hindi aur urdu ke lafz english meiN type karte haiN isii ko "roman urdu script" ka naam diya gaya hai aap chaaheN to isse'y "hindi roman script" ya "devanagiri script" bhi keh sakti haiN, iss script ke apna ek format hai aur apne rules haiN, maine aaj-taq kisi ko bhi iss script ko 100% theek istemaal karte hue nahiiN dekha hai and thats including me, har koii apne hisaab se likhta hai "lekin" jo log urdu/hindi shayri meiN internet pe apna kuch maqaam banaa paaye haiN un meiN se kam-se-kam 95% log iss script ke basics follow karte haiN, maine aapko ek salaah di thi jisko maan'ne ya na maan'ne ke liye aap puuri tarah se aazaad haiN

ab maine aapki kan'paTTi pe "dambooKH" thode na rakhii hai

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#19)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
3rd August 2007, 11:46 PM

5)Ghazal submitted by Dhavalrami4u

Title::to.D de dil ko aisaa hunar to nahiiN.......!

to.D de dil ko aisaa hunar to nahiiN,
raah me.N chho.De wo hamsafar to nahiiN

yaadoN kii chaadareN kaam le leNge ham,
sard raatoN ki itnii fikar to nahiiN

baab-e-dil par chale raat din haaN magar,
teri chaahat ka ko'ii asar to nahiiN

baab-e-dil: dil ke raste par...

aarazoo ho bahaaroN ki jiske liYe,
paas apne haaN aisaa Shajar to nahiiN

Shajar: pe.D

nuZhat aaYegi kahaaN sey yeH to bataa,
ess dil kaa haal tujHe Khabar to nahiiN

nuZhat: KhuShii

dil ko taaboot saa maan ke kahti haii,
ke "Dhaval" yeH tirii hii kabar to nahii

Dhaval bhaii kem chho?

bhaii rajveer saahab aur aapki tarr'aqii se maiN bohat khush huuN, jeete rahiye

aa'iiye aapki Ghazal pe kuch baateiN ho jaaye :-

**to.D de dil ko aisaa hunar to nahiiN,
**raah me.N chho.De wo hamsafar to nahiiN

matle'y ke maf'huum zaahir nahiiN ho paaye, pehle misra agar aap durust kar paayeiN to kuch baat bane aur misraa-e-awwal ke aakhir meiN comma's ki zaroorat nahiiN hai

**yaadoN kii chaadareN kaam le leNge ham,
**sard raatoN ki itnii fikar to nahiiN

muaaf karna miyaaN bayaan kamzor hai aur khayaal meiN kuch khaas wazan nahiiN hai aur duusre aapse bhi vohii Ghalati ho gayi jo Rajveer saahab se huii, "fiqar" Ghalat hai, sahii lafz hai "fiqr" lihaaza ba'taur qaafiya yahaaN istemaal nahiiN kiya jaa sakta

**baab-e-dil par chale raat din haaN magar,
**teri chaahat ka ko'ii asar to nahiiN

mere khayaal se "baab" ke may'iine aksar ba'taur "chapter" wajuud meiN laaye jaate haiN, agar aap koi misaal ataa kar sakeiN jahaaN "baab" ko "maNzil" ke hawaale se kahaa gaya hai to aapki badi mehr'baani hogi aur mujhe bhi kuch seekhne ka mauqa milega, fai'daa hi hoga, kam se kam mera to zaroor hoga

**aarazoo ho bahaaroN ki jiske liYe,
**paas apne haaN aisaa Shajar to nahiiN

achcha she'r hai, daad qabuul kijiye, duusre misrey meiN shayad aapne lafz-e-"haaN" beh'r ko wazan dene ke liye istemaal kiya hai, mera mash'viraa hai ke iss se parhez kareiN, khayaal achcha hai

**nuZhat aaYegi kahaaN sey yeH to bataa,
**ess dil kaa haal tujHe Khabar to nahiiN

yeh she'r padhne ke baad jo pehli baat zahan meiN aayi voh arz hai :-

maine aksar ye dekha hai ke kuch naye likhne waale jo urdu zabaan seekhne ki zaroorat shiddat se mehsuus karte haiN voh ka'ii baar ek bohat badi Ghalati kar jaate haiN aur voh Ghalati hai "mushkil urdu alfaaz ko pehle se chun kar unheiN zabardastii apne kalaam meiN istemaal karna", bhai yaqeen kijiye is se fai'daa kam aur nuqsaan z'yaada hota hai, aise aap apni soch se na'iNsaafii karte haiN,sabse behtar tareeqaa hai aap asti'zaa ke kalaam padhiye aur sirf padhiye hi nahiiN unheiN samajhne ki kohshish kijiye, samjheNge to padhne ka lutf do-baala ho jaayega aur seekheNge bohat kuch, maiN ye nahiiN kehta ke aapne bhi aisaa hi kiya hai lekin aap khud aqlmaNd haiN aur ummiid hai ke "ishaara" dhooNdh leNge

duusre misre'y ka wazan yuuN shayaad theek ho jaaye :

"haal-e-dil ki tujhe kuch khabar to nahiiN"

**dil ko taaboot saa maan ke kahti haii,
**ke "Dhaval" yeH tirii hii kabar to nahii

aapne phir vohii Ghalati yahaaN doh'raii hai, "qabar" nahiiN hai, sahi lafz hai "qabr" isliye qaafiye meiN nahiiN khap sakta aapko maqta phir se kehna padega

Notes : -

maiN pehle hi keh chuka huuN ke aapke sukhan meiN bohat nikhaar aaya hai aur sabse badi baat yeh hai ke aap wazan meiN likhne ki kohshish kar rahe haiN aur aapki seekhne ki tam'anna is baat se saaf zaahir hoti hai ke aap beh'r pe tavvajo de rahe haiN.

aapne mehnat ki hai aur yaqeen kijiye zaaya nahiiN gayi, meri mubarakbaad tasleem kijiye, aapka koii sawaal ho to maiN aapki khidmat meiN haazir huuN

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#20)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
4th August 2007, 03:22 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
4) Ghazal submitted by Sunita Virender

Title: "ISHQ KA HUNAR"

kar husan ko tanha dikha ishq ka hunar gaye
muskurati aankho ko ashkon se kar tar gaye.....

chhor teri galion ko jab ham door nikal gaye
thaa har jaanib tera hii charcha ham jidhar gaye......

pa to lete ham bhi mohabat ki manzil shayad
par aap sar-e-rah chhor manzil ka safar gaye......

dhundha kiye hum unhe har gali har shehar
jalane ko dil mera wo rakeebon ke ghar gaye.....

dekha jo sawan ne bhi dil mera jalta huaa
uske aansu barish ban patton pe bikhar gaye......

thii ab bhi kush shikayatain yaaron ko hamse
hamko thaa ye guma.n ki ham sudhar gaye......

jal rahi thii saanso ki loo tim timati huyii aur
wo jaate jaate kar hawaon ko khabar gaye......

sar-e-bazm jo kiya haal-e-dil byaa.n hamne
hamari is aada ko woh kah shayri ka hunar gaye......

thaa wada ki rukhsatii pe aaounga jaroor
leke khuli palkain ham intzaar mein guzar gaye.....

suna na doon zamane ko daasta.n bewafaii kii
isii dar se jaate jaate 'sunita' ko de zehar gaye........

.................................................. .....................
.................................................. .....................

Sunita jee namaskaar

pehle to aapse mazrat chahta huuN jo aapke khatoN ka jawaab dene meiN mujhse aksar "chook" hoti rahi hai, ummiid hai ke aapne muaaf kar diya hoga

ab aapki Ghazal pe aate haiN :

kar husan ko tanha dikha ishq ka hunar gaye
muskurati aankho ko ashkon se kar tar gaye.....

riivaayat ke hisaab se aur urdu literature ke mutaabiq ishq ke hunar kitne bhi hoN lekin un meiN husn ko tanhaa karna shumaar nahiiN hai, jo husn ko tanhaa choR jaaye usko ishq nahiiN keh sakte ye meri z'yaati ra'ye hai isliye isko Ghalat to maiN nahiiN kahuuNga lekin iss se itte'faaq mujhe nahiiN hai,she'r meiN agar aap ishq ki baja'ye aadam ko guneh'gaar theh'raatiiN to zyada theek tha, duusri baat yeh ke "kar tar" kuch jam nahiiN raha, ismeiN koii taqniiquii nuqs to nahiiN hai lekin zabaan ka lehja dekha jaate to ajeeb sa jaan paRtaa hai,matlaa wazan meiN nahiiN hai us par tavvajo dijiyega

**chhor teri galion ko jab ham door nikal gaye
**thaa har jaanib tera hii charcha ham jidhar gaye......

khayaal ko madd-e-nazar rakheiN to yeh she'r be'aib hai, wazan ka mas'alaa barqaraar hai isliye aur kuch nahiiN kahuuNga

**pa to lete ham bhi mohabat ki manzil shayad
**par aap sar-e-rah chhor manzil ka safar gaye......

safar ki ibtedaa maNzil ke liye hi hoti hai isliye "maNzil ka safar" kehna Ghair-munaasib hai, go aapne "be-maNzilaa-safar" se ta'lluq rakhte bohat se she'r padhe hoNge lekin unmeiN bhi aapko maNzil ke wajood ka ishaara kahiiN na kahiiN zaroor milega, chaahe voh shaayir ki soch meiN ho,ummiid meiN ho, khwaab meiN ho, bayaan meiN ho, taNz meiN ho ya lehje meiN

**dhundha kiye hum unhe har gali har shehar
**jalane ko dil mera wo rakeebon ke ghar gaye.....

pehle misre meiN aapne "hum" kahaa hai aur duusre meiN "mera" ye Ghalat hai, "hum" ke saath hamesha "hamaara" aur "maine" ke saath "mera" ka istemaal hota hai, iska khyaal rakhiye, yeh ek bohat hi aam Ghalati hai jo anjaane meiN ho jaati hai, aap apna kalaam ga'ur se padheNgi to aapki aisii LaGhziishoN ka aNdaaza ba'khoobi ho jaayega, she'r achcha hai, mubarak ho

**dekha jo sawan ne bhi dil mera jalta huaa
**uske aansu barish ban patton pe bikhar gaye......

ye she'r theek se bayaaN nahiiN ho paaya, misroN meiN rabt nadaa'rad hai aur mafhuum saaf nahiiN hue, phir se kahiye

**thii ab bhi kush shikayatain yaaron ko hamse
**hamko thaa ye guma.n ki ham sudhar gaye......

she'r achcha hai, behtar ho sakta hai, ga'ur farmaaiyega

jal rahi thii saanso ki loo tim timati huyii aur
wo jaate jaate kar hawaon ko khabar gaye......

mujhe yaqeen hai ke aap "loo" nahiiN "la'u" kehna chahti haiN, pehle misre meiN "jalne" aur "Tim'Timaane" donoN ka zikr Ghair-zaroori hai, duusri baat yeh ki agar saaNsoN ki la'u pehle hi "Tim'Timaa" rahi haiN to iska matlab yeh hua ke hawaa pehle se hi chal rahi hai aur jab hawaa hai to unke hawaa ko khabar karne se kya farq padaa ? haaN agar aap yuuN kehti ke "mad'ham hai" vaGhera to kuch baat ban jaati, she'r kamzor hai, phir se dekh lijiye

**sar-e-bazm jo kiya haal-e-dil byaa.n hamne
**hamari is aada ko woh kah shayri ka hunar gaye......

she'r ka lehja, muaaf kijiyega, bohta bachkaana hai, aapki tavvajo darkaar hai

**thaa wada ki rukhsatii pe aaounga jaroor
**leke khuli palkain ham intzaar mein guzar gaye.....

lafz-e-"ruKhsat'ii" amooman (note kijiye :amooman,hamesha nahiiN) shaadi ke waqt dulhan ko rukhsat karne ke ma'haul ko reflect karne ke liye bartaa jaata hai, "waqt-e-ruKhsat" zyada theek hai shayad, again this is my personal opinion, others may have a different view, aapne jis lehje meiN "guzar gaye" istemaal kiya hai adb-e-sukhan ko khaatir meiN laate hue mujhe us par bhi thoda sa ait'raaz hai, phir se dekh lijiye

**suna na doon zamane ko daasta.n bewafaii kii
**isii dar se jaate jaate 'sunita' ko de zehar gaye........

khayaal bohat kamzor hai aur bayaan us se bhi zyada, Ghazal ka maqta bohat ehmiiyat rakhta hai,tam'aam Ghazal meiN yeh ek akela she'r hota hai jis meiN shaayir apne ehsa'saat aur apne takkhayyul ko apne-aap se joRne meiN puuri aazaadi mehsuus karta hai isliye is par zyada dhyaan dijiye

Notes :-

aapne ek achchi kohshish ki hai iske liye meri mubarakbaad qabool kijiye

jaise ke maine uupar darj kiya hai ke aapne yeh Ghazal judgement ke liye pesh ki hai isliye aapko kisi baat ka usoolan bura lagna to nahiiN chahiye agar lagaa ho to muaaf kar dijiyega

dots aur urdu roman script se ta'lluq rakhti kuch baateiN maine is thread ki pehli reply meiN darj kii haiN use'y aap zaroor padhiyega, jaise ki mohtarma chaahta ne arz kiya hai ke yeh unki aadat hai lekin burii aadaateiN badalne meiN hi aql'maNdii hoti hai aur agar aap kuch seekhna chaahte haiN to apni GhalatiiyoN ko nazar'aNdaaz mat kijiye, aaj-kal kisi ke paas itna waqt nahiiN hai ke be'wajah aapna waqt kharch karke aapko aapki laGhziishoN se do-chaar karaaye aur mera yaqeen kijiye kisi kalaam ko ga'ur se padhna aur uss par apne khayaal bayaan karna koi do-chaar minute ka kaam nahiiN hai, rasmii "vaah-vaah" se aapko koii fai'daa nahiiN hone waala isliye meri yahi advice hai ke jitna ho sake seekhne ki kohshish kijiye, achche likhne waaloN ke kalaam padhiye aur note kiya kijiye ke unhone kaun sa lafz kaise likha hai, iss se aapki roman urdu theek ho jaayegi

aapko koii sawaal puuchna ho to maiN haazir huuN

mashq jaari rakhiye

rab raakha
maikash
ufffffffffff... mera to sar chakra gaya hai padkar kitna bekaar likha hai maine...

hmmmmmmmmmmmmmm......maikash ji aapne kitni gaur se padda hai sabhi ko...aur har ek ki galtiyaN etne pyar se samjai haiN....bahut bahut shukriya....koshish karuNgi ki next time behtar likh sakku......aapne apne keemti waqt se etna jayada waqt hum na-samjoN ki shayri padne meiN lagaya aur humey sahi rai di...tahe-dil se shukargujar hoon.....humey koi shikayat nahi hai....balki aapke ahsaan-mand haiN

es baar to nahi par agli baar meri hi gazal hogi no. 1

bahut bahut shukriya maikash ji

kush rahiye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
shukriyah!
Old
  (#21)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
shukriyah! - 4th August 2007, 07:45 PM

maikaSh bhaaii,

ssa,

maiN aap ka tah-e-dil se Shukr-guzaar huuN, jo aap ne yahaaN sabhii aihbaab-e-sukhan ke liye apnii masruufiyat zindagii meiN se kuchh Ghadi yahaaN ke liye jaaya kiya.. aur aap ne jis peshawar dhaNg se ta'assuraat diye haiN us ke liye Shukriya ka lafz bohat kam hai aur yeh ham sab kee khush qismatii hai kii aap jaise suKhan dost ke ess forum kii raah-numaa'ii kar rahe haiN.. maiN jaan,ta huuN kii yeh bohat meHnat ka kaam hai aur aap apnii zindagii maiN pahle se hii bohat masruuf haiN aur yeh kaam aap sa kuSHaadah dil aur nek insaan hi kar sakta hai.. maiN ummeed karta huuN kii aap ke ta'assuraat se zaruur dostoN ko kaafii faa'eda hoga(mujeh to huaa hi hai bhaaii )aur dostoN ko aage likhane meiN madad milegii.. ummed-o-yaqeen hai kii aap saath hamesha yuuN hee bana rahega... Apna Khayaal rakhiyega..

aap ka behad mamuun,

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#22)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
6th August 2007, 11:47 PM

DostoN,

mujhe ess baat kaa behad dukh aur afsoos hai kii maikash jee itnii hausilah afzaa'ii ke babjuud sabhee dostoN ne yahaaN apnee maujuudgee kaa ehsaas dilaana tak zaruuri nahiiN samjha.

so, maiN chaahta huuN kii aage ess silsile ko na baRhaauN.

Shukriyah!,

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#23)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Sad 7th August 2007, 11:04 AM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
DostoN,

mujhe ess baat kaa behad dukh aur afsoos hai kii maikash jee itnii hausilah afzaa'ii ke babjuud sabhee dostoN ne yahaaN apnee maujuudgee kaa ehsaas dilaana tak zaruuri nahiiN samjha.

so, maiN chaahta huuN kii aage ess silsile ko na baRhaauN.

Shukriyah!,

Mayank
mayank ji.....aise baat nahi hai...main tahe-dil se shukar-gujaar hoon ki humey etni badiya nasihat padne ko milli...maiN to padne ke baad yehi soch rahi thi....ki abhi to shayri meiN kuch bhi nahi aata mujhe ....bahut kuch kaya..sab kuch seekhna abhi bakki hai.....aur Maikash ji ne jo waqt humey diya....uske liye maiN kushnaseeb hoon ki meri adna si koshish unki nazroN ke saamne se gujri.....aur unhoney ek ek baat ko etni bareeki se samjaya hai...kaya kahu....shukriya lafaz shayad eske liye kaffi nahi....sar jukati hoon unke liye.

regards

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#24)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
7th August 2007, 12:43 PM

are mayankjee aap itne gusse main kyun hain??????????

Plzzz compeition ko bandh na karna...............

Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
7th August 2007, 01:16 PM

Quote:
Dhaval bhaii kem chho?
maikaSh bhaiya SSA:
huN majaamaa chhu..

Quote:
bhaii rajveer saahab aur aapki tarr'aqii se maiN bohat khush huuN, jeete rahiye
ShuKriyaaH bhaiyaa... bas kosisSh kar rahe haiN seeKHne kii...

Quote:
aa'iiye aapki Ghazal pe kuch baateiN ho jaaye :-
Zaruur...

Quote:
**to.D de dil ko aisaa hunar to nahiiN,
**raah me.N chho.De wo hamsafar to nahiiN

matle'y ke maf'huum zaahir nahiiN ho paaye, pehle misra agar aap durust kar paayeiN to kuch baat bane aur misraa-e-awwal ke aakhir meiN comma's ki zaroorat nahiiN hai
jee huzuur... usskey liYe mu'aafii chaahtaa huuN.. kosiSh to yahii rehtii hai kii jo bhee likhuN usska matlab saaf saaf bayaaN ho.. aage sey ess baat kaa Khayaal raKhuNgaa...

Quote:
**yaadoN kii chaadareN kaam le leNge ham,
**sard raatoN ki itnii fikar to nahiiN

muaaf karna miyaaN bayaan kamzor hai aur khayaal meiN kuch khaas wazan nahiiN hai aur duusre aapse bhi vohii Ghalati ho gayi jo Rajveer saahab se huii, "fiqar" Ghalat hai, sahii lafz hai "fiqr" lihaaza ba'taur qaafiya yahaaN istemaal nahiiN kiya jaa sakta
jab maine yeH Sher liKhaa tha tab aik baar aisaa Khayaal aaYaa thaa zehen meiN "fiqar" ki jaGah "fiqr" ho saktaa haii.. par maine Ghaltii kar hi dii...shuKriyaaH ess baat ko samjHaane ke liYe...

Quote:
**baab-e-dil par chale raat din haaN magar,
**teri chaahat ka ko'ii asar to nahiiN

mere khayaal se "baab" ke may'iine aksar ba'taur "chapter" wajuud meiN laaye jaate haiN, agar aap koi misaal ataa kar sakeiN jahaaN "baab" ko "maNzil" ke hawaale se kahaa gaya hai to aapki badi mehr'baani hogi aur mujhe bhi kuch seekhne ka mauqa milega, fai'daa hi hoga, kam se kam mera to zaroor hoga
maikaSh bhaiya Bahot baRii Ghaltii kar di maine,"baab" lafz Ghalat haii.. sach kahuN.... mujHe apney aap par bahot haNSii aa rahi haii...mu'aaf kijiYeNgaa

Quote:
**aarazoo ho bahaaroN ki jiske liYe,
**paas apne haaN aisaa Shajar to nahiiN

achcha she'r hai, daad qabuul kijiye, duusre misrey meiN shayad aapne lafz-e-"haaN" beh'r ko wazan dene ke liye istemaal kiya hai, mera mash'viraa hai ke iss se parhez kareiN, khayaal achcha hai
aapkii daad sar'aankhoN par...

Quote:
**nuZhat aaYegi kahaaN sey yeH to bataa,
**ess dil kaa haal tujHe Khabar to nahiiN

yeh she'r padhne ke baad jo pehli baat zahan meiN aayi voh arz hai :-

maine aksar ye dekha hai ke kuch naye likhne waale jo urdu zabaan seekhne ki zaroorat shiddat se mehsuus karte haiN voh ka'ii baar ek bohat badi Ghalati kar jaate haiN aur voh Ghalati hai "mushkil urdu alfaaz ko pehle se chun kar unheiN zabardastii apne kalaam meiN istemaal karna", bhai yaqeen kijiye is se fai'daa kam aur nuqsaan z'yaada hota hai, aise aap apni soch se na'iNsaafii karte haiN,sabse behtar tareeqaa hai aap asti'zaa ke kalaam padhiye aur sirf padhiye hi nahiiN unheiN samajhne ki kohshish kijiye, samjheNge to padhne ka lutf do-baala ho jaayega aur seekheNge bohat kuch, maiN ye nahiiN kehta ke aapne bhi aisaa hi kiya hai lekin aap khud aqlmaNd haiN aur ummiid hai ke "ishaara" dhooNdh leNge

duusre misre'y ka wazan yuuN shayaad theek ho jaaye :

"haal-e-dil ki tujhe kuch khabar to nahiiN"
Zaruur bhaiya.. aage sey aisii Ghaltii dobaaraa nahiN hoNgii.. aapne jo kahaa haii usssey Bahot hi faa'edaa huaa hai mujHe..shuKriyaaH..!.

Quote:
**dil ko taaboot saa maan ke kahti haii,
**ke "Dhaval" yeH tirii hii kabar to nahii

aapne phir vohii Ghalati yahaaN doh'raii hai, "qabar" nahiiN hai, sahi lafz hai "qabr" isliye qaafiye meiN nahiiN khap sakta aapko maqta phir se kehna padega
fir sey wahi Ghalti kar dii maine...

Quote:
Notes : -

maiN pehle hi keh chuka huuN ke aapke sukhan meiN bohat nikhaar aaya hai aur sabse badi baat yeh hai ke aap wazan meiN likhne ki kohshish kar rahe haiN aur aapki seekhne ki tam'anna is baat se saaf zaahir hoti hai ke aap beh'r pe tavvajo de rahe haiN.

aapne mehnat ki hai aur yaqeen kijiye zaaya nahiiN gayi, meri mubarakbaad tasleem kijiye, aapka koii sawaal ho to maiN aapki khidmat meiN haazir huuN
maikaSh bhaiyaa.... apnii kosiSh par aapkaa jawaab paane kii hardam mujHe ik KhwaahiSh sii rehti hai.. aaj wo KhwaahiSh fir sey poori ho gaii.. aur itnaa sab seeKhne ko milaa haii ..bahot hi KhuShi hu'ii mujHe.. aapne apney qeemtii waQt meiN sey merii kosisSh ko jo waQt diYaa.. usske liye maiN aapkaa be-had mamnuun huuN.. aur aapkaa tah-e-dil sey shuKriyaaH adaa kartaa huuN... bas KhwaahiSh yahii haii maiN aapsey YuuNhii seeKhtaa rahuN aage bhee...

Quote:
rab raakha
maikash
apnaa Khayaal raKheN... KhuSh raheN...

Jai Shree KriShnaa..

aapka

~ Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
7th August 2007, 01:25 PM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
DostoN,

mujhe ess baat kaa behad dukh aur afsoos hai kii maikash jee itnii hausilah afzaa'ii ke babjuud sabhee dostoN ne yahaaN apnee maujuudgee kaa ehsaas dilaana tak zaruuri nahiiN samjha.

so, maiN chaahta huuN kii aage ess silsile ko na baRhaauN.

Shukriyah!,

Mayank
namaskaaR Mayank bhaiya:

aap aisaa na kaheN.. maikaSh jee sey hum sab ko Bahot kuch seeKhne ko milaa haii.. aur hum sab kii khwaahiSh haii kii aage aor bhee Bahot kuch seeKheN.. to plz aap yeH silsilaah aage baRhaaYeN,, ess ko baNdh na kareN..

duaaoN ke saath ijaazat

Khair Khwaah
Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
7th August 2007, 01:57 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
3) Ghazal submitted by Pooja4588

Title: Teri panaah me.N shaqs ruswa kis kadar hoga

Teri panaah me.N shaqs ruswa kis kadar hoga
Khaak bhi panaah na de, uska sayaa jidhar hoga

rafta rafta dam nikal hi gaya taNhaa raah me.N
MaNzil dikha ke chhod janaa bhi ek hunar hoga

gaalo.N pe ye lakiir nishaan'e'lahoo sii nazar aai
zaroor nigaaho.N me.N kisi Qaatil ka basar hoga

mere yaar ko bhii maar daale gum'e'bewaffaaii
tere dushman ki duao.N me.N to koi asar hoga

kab tak Kharch karoge ess kadar kaffan pe mere
Ab to Pooja ke marne ka silsilaa bhii aksar hoga

.................................................. .................
.................................................. .................

namaste Pooja jee

aapki Ghazal pe chaNd khayalaat haazir haiN :

pehla mash'viraa aapko yeh hai ke kohshish kijiye ke aap thoda bohat bahuur ka ilm haasil kareiN, internet pe aapko bohat se links mil jaayeNge jahaaN se aapko wazan ki baa'riikiyoN ki jaankaari mil sakti hai

**Teri panaah me.N shaqs ruswa kis kadar hoga
**Khaak bhi panaah na de, uska sayaa jidhar hoga

she'r ke maf'huum saaf nahiiN hai, aap kya kehna chaah rahi haiN ye zaahir nahiiN ho raha, pehle misre meiN aapne kahaa hai voh shakhs(go kaun hai aur kiski panaah meiN hai,ye saaf nahiiN hua,in donoN meiN se ek situtation bhi clear hoti to baat ban jaati) "panaah meiN hai" aur duusre misre meiN aap keh rahi haiN ke "panaah nahiiN mili", yeh Ghalat ho gaya, mayank saahab ne ek duusre thread meiN jo "kis qadar" ki baja'ye "is qadar" tajveez kiya hai, us par bhi ga'ur kijiye

**rafta rafta dam nikal hi gaya taNhaa raah me.N
**MaNzil dikha ke chhod janaa bhi ek hunar hoga

mayank saahab ki islaah padh lijiye, mujhe unki islaah se itte'faaq hai

**gaalo.N pe ye lakiir nishaan'e'lahoo sii nazar aai
**zaroor nigaaho.N me.N kisi Qaatil ka basar hoga

mayank miyaaN ne yahaaN bhi mere kaam aasaan kar diya hai, unke islaah par tavvajo dijiye, thodi wajaahat maiN kar deta huuN, pehle misre meiN aapne "gaaloN" ka zikr kiya isliye "lakeer" ki jagah "lakeereiN" hona chahiye, agar ek gaal ka zikr hota to lakeer bartaa jaa sakta tha

**mere yaar ko bhii maar daale gum'e'bewaffaaii
**tere dushman ki duao.N me.N to koi asar hoga

yeh she'r meri guzaarish hai ke phir se kahiye, aapne kaha hai ke mere yaar ko "bhi" Gham-e-bewafaii ne maar daala iska matlab yeh hua ke aap khud ko bhi bewafa keh rahi haiN jo ke mera khayaal hai ke aap nahiiN kehna chahti, duusre misre meiN aapne kahaa hai "tere dushman", yeh dushman kiska hai yeh saaf nahiiN hua, misroN meiN rabt nahiiN banaa aur she'r ka khayaal kya hai ye bhi wajeeh nahiiN hua

**kab tak Kharch karoge ess kadar kaffan pe mere
**Ab to Pooja ke marne ka silsilaa bhii aksar hoga

ye she'r bhi, muaaf kijiyega, bohat kamzor hai,jis marne pe kafan ki zaroorat pade voh marna sirf ek hi baar hota hai, isliye kafan ke kharche ki baat be'maani aur Ghair-zaroori hai

aapne kohshish ki hai isliye aap shab'aashii ki haqdaar haiN, mubarakbaad haazir hai, aur aapse darkhuvaast hai ke meri kisi baat ko dil pe mat lijiyega, judgement dena badaa hi na'shukraa kaam hai,aur mehnat kareNgi to ek din yaqeenan kaamyaab hoNgii, mashq jaari rakhiye

rab raakha
maikash

Namaste Maikash ji,

Ji sabse pahale to shukriyaa ke apne itni kiimti raay dii mujhe, pahali dafaa shayri ke itne bariik pahalu se ru'b'ru hui hu yahaa aake......ji main jaruur behar ki study karungi...apki saari baate maine gour se padhi hain...inpe jaruur amal karungi...
aur bura lagne ki to koi baat hi nahi hai, mujhe to khushi hai ke mujhe apke dvaraa itna kuch sikhne ko mila aur chaahungi ke aage bhi milta rahe...main aage behatar likhne ki puri koshish karungi...

Quote:
**mere yaar ko bhii maar daale gum'e'bewaffaaii
**tere dushman ki duao.N me.N to koi asar hoga

yeh she'r meri guzaarish hai ke phir se kahiye, aapne kaha hai ke mere yaar ko "bhi" Gham-e-bewafaii ne maar daala iska matlab yeh hua ke aap khud ko bhi bewafa keh rahi haiN jo ke mera khayaal hai ke aap nahiiN kehna chahti, duusre misre meiN aapne kahaa hai "tere dushman", yeh dushman kiska hai yeh saaf nahiiN hua, misroN meiN rabt nahiiN banaa aur she'r ka khayaal kya hai ye bhi wajeeh nahiiN hua
maaf kijiye Maikash ji...aapne shayad yahaa galat padh liya...maine likha hai ke ''mere yaar ko bhii maar daale gum'e'bewaffaaii'' maine ''maar daale'' likha hai ''maar dalaa'' nahi likhaa....aur ise thhoda clear kar du kyuki Mayank bhaiya ne kaha ye thhoda saaf nahi ho saka sher...
kahane ka maksad thha ki....Mere yaar ne bewaffai ki mujhse(kewal shayri me, hakikat me nahi) jab tak usne mujhse pyaar kiya tab tak main lover ki hessiyat se uski salaamati ki dua karti tthi, lekin usi bewafaai ke baad mujhe usse pyaar nahi dushmani sii ho gai....to dua ye ki maine ki usne jo mujhse bewaffai ki, use bhi koi mile jo usse bewaffai kare aur use bhi gum ho bewffai ka, iilm ho use bhi....aur ye dua maine dushman banke ki....meri yaari me to asar naa thha lekin ab dushman hu to dushman ki duao me to asar hoga...

Mayank bhaiya ke reply bhi padh liye hain maine...aap dono ko bahot shukriya honsla'afzaahi ke liye aur itna kuch samjhaane ke liye...

Ijaazat chaahungi....

Grazie

Aapki dost
Pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
7th August 2007, 02:03 PM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
DostoN,

mujhe ess baat kaa behad dukh aur afsoos hai kii maikash jee itnii hausilah afzaa'ii ke babjuud sabhee dostoN ne yahaaN apnee maujuudgee kaa ehsaas dilaana tak zaruuri nahiiN samjha.

so, maiN chaahta huuN kii aage ess silsile ko na baRhaauN.

Shukriyah!,

Mayank
Sorry bhaiya late aane ke liye.

aur apko iski ijaazat hargiz nahi di jayegi ke aap is sil'sile ko band kare..hume bahot kuch sikhna hai Maikash ji se, aap se...to aage waqt ke paaband rahenge hum...is baar maafi dedijiye bhaai...

ummid hai aap ise aage badhayenge aur bahot jald Gazal of the month August 2007 shuru hogi

Ijaazat!!!

Grazie

Aapki dost
Pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Reply With Quote
Old
  (#29)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
7th August 2007, 03:14 PM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
Puuja jee:

aap kii Ghazal achchhi lagii ess ke liye mere taraf se daad! haazir hai... do-ek baateN arz karna chaahata huuN, joo kii meri nijii raa'ey hai.. ummeed hai aap bura nahiiN maaneNgii...

ess meiN thoRa sa radd-o--badal kar deejiye, Shaayad koii baat bane kis qadar>>> ess qadar
uska saaya>>>> Saaya us ka

taNha>> tanha
raah meiN... RaahoN meiN,

pahle misre meiN likha hai aap ne, 'Tanhaa raah meiN dam nikalna' ess ka matlabb yeh hota hai kii aap raah maiN tanha the, par duusre misre meiN 'Manzil dikha kar chhor jaana' dono misroN meiN rabt nahiiN huaa...

lakiir>> lakiireN
Nazar aai>lagti hai

Sher ke ehsaas bohat achchhe haiN Daad!

Khayaal uljha huaa sa laga mujhe

yeh sher paRh kar bahut hasii aayee....
kafan par kharch yeh to physical hua,
aur marne ka silsila yeh logical hai..kyuN kii insaan physically ek baar hi mar sakta hai..

Puuja jii aap kii yeh koShish achchhi lagii, daad!Ummeed hai aage bhii aap yuuN hii likhati raheNgii.. ooparwaale se duaa hai kii aap ko aur hunarmand kare, aur aap ke kalaamoN meiN aur nikhaar aaye: Shukriyah!

Mayank

Namaste bhaiya,

Aailaa itni galtiyaa.N...meri shayri to galtiyo.N ki misaal ban gai..Mayank bhaiya apka bahot bahot shukriya apne meri galtiyaa.N mujhe bataai..main aage koshish karungi ke itni galtiyaa.N naa ho.N..

Quote:
mere yaar ko bhii maar daale gum'e'bewaffaaii
tere dushman ki duao.N me.N to koi asar hoga

Khayaal uljha huaa sa laga mujhe
Bhaiya ye maine maikash ji ki post pe clear kar diya hai...zehamat uthani hogi waha tak jaane me.N apko hahaah.....

bhaaijaan apki daad aur duao.N ke liye bahot bahot shukriyaa...main age behatar likhne ki puri koshish karungi...ummid hai aap age bhi saath denge..aur aage bhi aapse bahot kuch sikhne ko milega..

Ijaazat!!

Grazie

Aapki dost
Pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
7th August 2007, 05:21 PM

Quote:
Originally Posted by pooja4588 View Post
maaf kijiye Maikash ji...aapne shayad yahaa galat padh liya...maine likha hai ke ''mere yaar ko bhii maar daale gum'e'bewaffaaii'' maine ''maar daale'' likha hai ''maar dalaa'' nahi likhaa....aur ise thhoda clear kar du kyuki Mayank bhaiya ne kaha ye thhoda saaf nahi ho saka sher...
kahane ka maksad thha ki....Mere yaar ne bewaffai ki mujhse(kewal shayri me, hakikat me nahi) jab tak usne mujhse pyaar kiya tab tak main lover ki hessiyat se uski salaamati ki dua karti tthi, lekin usi bewafaai ke baad mujhe usse pyaar nahi dushmani sii ho gai....to dua ye ki maine ki usne jo mujhse bewaffai ki, use bhi koi mile jo usse bewaffai kare aur use bhi gum ho bewffai ka, iilm ho use bhi....aur ye dua maine dushman banke ki....meri yaari me to asar naa thha lekin ab dushman hu to dushman ki duao me to asar hoga...

aapko muaafi maaNg'ne ki zaroorat nahiiN hai maiN apni Ghalatii tasleem karta huuN alba'tta maiN aapse muaafi chahta huuN

ba-har-haal aapne she'r ke maf'huum ki jo tafseel jaari ki hai uske mutaabiq she'r ki position vahiiN ki vahiiN hai jahaaN pehle the

**mere yaar ko bhii maar daale gum'e'bewaffaaii
**tere dushman ki duao.N me.N to koi asar hoga

"mere yaar" aur "tere dushman" meiN koi rabt nahiiN hai, aapke liye ho to ho padhne waale ke liye nahiiN hai, lafz "tere" ko padhte hi she'r ke may'iine hawaa ho jaate haiN aur isii wajah se she'r uljhaa hua hai, aapne jo khayaal darj kiya hai usmeiN koii nuqs nahiiN hai lekin aap us khayaal ko bayaan nahiiN kar paayiiN aur jab aisa ho to she'r raqm karne ka ko'ii fai'daa nahiiN hota agar aapki Ghazal ki ko'ii beh'r pakaD meiN aati to maiN zaroor kohshish karta ke koi duusri suurat tajveez kar sakuuN

mazrat chahta huuN

rab raakha
maikash

Note for all members :

I will not play any part in this competition in the future.

regards

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#31)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
9th August 2007, 03:44 PM

Note for all members :

I will not play any part in this competition in the future.

regards

maikash ji...aapke yeh lafz dil ko dukha gaye.

very sorry........agar hamari koi baat buri lagi ho to..... hum accha nahi likhtey par likhna chahtey haiN....agar aap aise chorr jaogey to hum kaise seekh payNgey

god bless u

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Last edited by sunita thakur; 9th August 2007 at 03:48 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#32)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
9th August 2007, 08:33 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Note for all members :

I will not play any part in this competition in the future.

regards

maikash ji...aapke yeh lafz dil ko dukha gaye.

very sorry........agar hamari koi baat buri lagi ho to..... hum accha nahi likhtey par likhna chahtey haiN....agar aap aise chorr jaogey to hum kaise seekh payNgey

god bless u

yaqeen kijiye maiN yahiiN huuN aur jitna ilm mujhe hai, jo ke bohat zyada nahiiN hai, uske mutaabiq aapke koii bhi sawaal ka jawaab dene ke liye maiN aapki khidmat meiN har waqt haazir huuN

maine uupar jo note likha voh isliye ke is thread par apne khayaalaat darj karne ke liye maine bohat waqt kharch kiya aur jinke fa'iidey ke liye yeh sab kiya gaya unka farz ban'ta hai kam-se-kam apni haaziiri yahaaN darj karaa jaate, agar ehbaab ke paas "apne" fa'iidey ke liye waqt nahiiN hai to mujhe shayad be'wajah apna waqt barbaad nahiiN karna chahiye, aisa karna "saraasar be'wakoofi" samjhaa jaayega.

aapko kisi madadd ki zaroorat ho to bilaa-jhijhak mujhe PM kar saktii haiN

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 9th August 2007 at 08:42 PM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#33)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
12th August 2007, 10:51 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
mayank ji.....aise baat nahi hai...main tahe-dil se shukar-gujaar hoon ki humey etni badiya nasihat padne ko milli...maiN to padne ke baad yehi soch rahi thi....ki abhi to shayri meiN kuch bhi nahi aata mujhe ....bahut kuch kaya..sab kuch seekhna abhi bakki hai.....aur Maikash ji ne jo waqt humey diya....uske liye maiN kushnaseeb hoon ki meri adna si koshish unki nazroN ke saamne se gujri.....aur unhoney ek ek baat ko etni bareeki se samjaya hai...kaya kahu....shukriya lafaz shayad eske liye kaffi nahi....sar jukati hoon unke liye.

regards
Quote:
Originally Posted by mausam View Post

are mayankjee aap itne gusse main kyun hain??????????

Plzzz compeition ko bandh na karna...............
Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
namaskaaR Mayank bhaiya:

aap aisaa na kaheN.. maikaSh jee sey hum sab ko Bahot kuch seeKhne ko milaa haii.. aur hum sab kii khwaahiSh haii kii aage aor bhee Bahot kuch seeKheN.. to plz aap yeH silsilaah aage baRhaaYeN,, ess ko baNdh na kareN..

duaaoN ke saath ijaazat

Khair Khwaah
Dhaval
Quote:
Originally Posted by pooja4588 View Post
Sorry bhaiya late aane ke liye.

aur apko iski ijaazat hargiz nahi di jayegi ke aap is sil'sile ko band kare..hume bahot kuch sikhna hai Maikash ji se, aap se...to aage waqt ke paaband rahenge hum...is baar maafi dedijiye bhaai...

ummid hai aap ise aage badhayenge aur bahot jald Gazal of the month August 2007 shuru hogi

Ijaazat!!!

Grazie

Aapki dost
Pooja

dostoN, maiN jawaab meiN taaKhiir ke liye ma'azraat khwaah huuN... maiN bhii dil se aisa nahiiN chaahta kii, yeh Silsile ko khatm karuuN... lekiN maiN bas itna chaahata thaa, kii maikash jee jin dostoN ke liye itna mehnat kiya, apna beSh qeemati waqt diya aur apne ab tak ke tajribah ke aadhaar par baRe KHuluus ke saath ta'assuraat diye to kam se kam woh dost bhii kuchh sañjiidah ho jaayeN. taa'ki unhe faa'eda ho..aue maikash bhaaii kii mehnat bhii jaaya nah jaaye... aur agar ess silsile se koii kuchh nahiiN sikhana chaahega, nahiiN sikhega , to aise kaaGhazii silsile se kyaa faa'eda.. bas esi baat se mujhe aur maikash bhaai ko dukh pahuNcha tha...

dostoN, aap sab ne yahaaN aakar apnii raa'ey dee ess ke liye maiN, aap sab ka tah-e-dil se Shukr-guzaar huuN.... meri bhii maikaSh bhaaii se yeh guZaariSh hai kii agar kii agar kisii aihbaab-e-sukhan kii baat unhe burii lagii ho to usay dil se nikaal deN kyuN kii yahee baRoN ka farz aur pahle kii tarah as a judge apna waqt dene ka waada kareN... aur maikash bhaaii jaise kuSHaadah dil insaan se hame yeh ummeed bhee hai..

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#34)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
14th August 2007, 09:03 AM

namaskaar mayank ji,
maiN bhi aapki baat se sahmati rakhti hoon.....aur mujhe bhi yakeen hai ki maikash ji hum sab ki baat nahi thukrayNge...aur es thread par phele ki tarah bane raheNge....!

humey unka intjaar hai......

Sunita Virender Singh

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#35)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
14th August 2007, 09:12 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
yaqeen kijiye maiN yahiiN huuN aur jitna ilm mujhe hai, jo ke bohat zyada nahiiN hai, uske mutaabiq aapke koii bhi sawaal ka jawaab dene ke liye maiN aapki khidmat meiN har waqt haazir huuN

maine uupar jo note likha voh isliye ke is thread par apne khayaalaat darj karne ke liye maine bohat waqt kharch kiya aur jinke fa'iidey ke liye yeh sab kiya gaya unka farz ban'ta hai kam-se-kam apni haaziiri yahaaN darj karaa jaate, agar ehbaab ke paas "apne" fa'iidey ke liye waqt nahiiN hai to mujhe shayad be'wajah apna waqt barbaad nahiiN karna chahiye, aisa karna "saraasar be'wakoofi" samjhaa jaayega.

aapko kisi madadd ki zaroorat ho to bilaa-jhijhak mujhe PM kar saktii haiN

rab raakha
maikash
namaskaar maikash ji..........aapne mere ahsaasoN ko samja aur jawaab diya, bahut accha laga. ji aapki baat sahi hai, mujhe bhi aapne dostoN ki yeh baat buri lagi thi, par sabka apna apna nazriya hai.
maikash ji ek baat kahuN, shayad aapko yakeen na aaye....aapne jo meri gazal par suggestion diye thy....maiNe uska print nikaal kar aapne paas rakha hua hai...aur office se jab ghar jati hoon to sab kaam karne ke baad free hokar usko padti hoon aur koshish kar rahi hoon ki usi gazal ko phir se sudhaar kar likh sakuN, par abhi tak na-kaam hoon, likh hi nahi paye, jab kuch likhti hoon to lag raha hai ki nahi baat kuch jam nahi rahi.... par us gazal ko pura jaroor kauNgi. bas aap apna saath yu hi banaye rakhna.

kush rahiye khuda aapko tandrusti de
duaoN ke saath

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#36)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
23rd August 2007, 08:22 PM

Its a shame that this competition has been abandoned!!

No doubt Maikash ji had put in a lot of effort going through every ghazal meticulously and criticise and applaud the poets as they deserved. Through the whole process, he had been directing poets objectively and in the best possible manner citing the examples and explaining in minute details. His sole aim seemed to be helping others to have an honest appraisal of their writing and to give them the inspiration and guidance on writing better.

Going through his posts, I gained a lot of insight into urdu ghazal writing. I totally understand his disappointment at the apparent apathy the participants displayed at acknowledging his efforts. As any other self-respecting teacher, he was obviously hurt and it is conspicuous in his later posts.

I want to congratulate the contestants for their participation as it needed an effort and courage, not exhibited by others including myself. But at the same time I am greatly disappointed at the failure of what could have been a great learning exercise.

My regards to Mayank for his initiative and for Maikash for his invaluable suggestions.

kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ghazal Of The Month Feb '09 zainy Ghazal Section 24 18th March 2009 12:58 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com