Gullo me rang bhare baade nubhaar chale,
Chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale.
Kafas udass hai yaaro saba se to kuch kaho,
Kahin to Behre khuda aaj jikare yaar chale.
Kabhi to subah teri kunje lab se ho aagaz,
Kahin to shab sar e kakul se mushqbar chale.
Bada hai dard ka rishta, yeh dil garib sahi,
Tumhare naam pe ayenge, gumgusar chale.
Jo hum pe gujri so gujri, magar shab e hijra,
Humare ashq teri aakbat sawar chale.
Huzzure yaar hue dafatre junnu ki talab,
Girah me leke gareba ka taar taar chale.
Mukaan 'FAIZ' ka koi raah me jancha nahi,
Jo ku e yaar se nikale, to su e daar chale.