Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 6 votes, 5.00 average. Display Modes
Old
  (#81)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th February 2011, 03:05 PM

Meri majburiyon ko samjho, mere khayalat samajh jaao,
Din raat khmaaosh rahun to kyaa, jazbaat samajh jaao.

Maanta hoon ke door raha tumse, barsoN tak meri jaan,
Yakeen kar ke muaaf kar do, mere halaat samajh jaao...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#82)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
11th April 2011, 10:25 AM

Story khatm hogayi ya abhi baaqi hai shaad sahab......??????/

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#83)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
11th April 2011, 07:28 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Story khatm hogayi ya abhi baaqi hai shaad sahab......??????/

Ajee kyaa bataeN, beech me world cup jo shuru ho gaya thaa to sereal ko pause karna padaaa thaa... asal me channel waale permission nahi de rahe they.. Ab dekhiye IPL chaluu ho gaye...

next episode jald hi aayega mohtarmaa... intezaar kijiyega.
thanks for showing your interest here... take care

shaad

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#84)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
11th April 2011, 08:05 PM

.Janaab world cup ko khatam huye poore 9 din hogaye haiN.....ab tak tou baqi deshoN ne agle world ki tayyari bhi shuru kar di hogi......

hadd hogayi....ab kya Ipl khatm hone ka intezaar karne padega ..?...

khair jab bhi story complete hojaaye mujhe ittela zaroor kar dijiyega.....
taaki
main bhi isay padh luun..

suna hai bohat interesting story hai....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#85)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
11th April 2011, 09:34 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
.Janaab world cup ko khatam huye poore 9 din hogaye haiN.....ab tak tou baqi deshoN ne agle world ki tayyari bhi shuru kar di hogi......

hadd hogayi....ab kya Ipl khatm hone ka intezaar karne padega ..?...

khair jab bhi story complete hojaaye mujhe ittela zaroor kar dijiyega.....
taaki
main bhi isay padh luun..

suna hai bohat interesting story hai....

Acchaa aisa sunaa kyaa aapne.... bhai kinne tareef kar dii is nikamme kii???
wese sach kahun to behad khushi hui jo aapne bhi chupke chupke aana gawaraa samjha aur aapko ab iski kami mahsoos ho rahi hai... theek hai saab koi zarurat nahi hai IPL end ka wait karne ka next episode jald pesh kiyaa jaaega.. intezaar kijiyegaa....

Allah hafiz.....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#86)
Kavita Negi
Registered User
Kavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to all
 
Kavita Negi's Avatar
 
Offline
Posts: 651
Join Date: Apr 2010
Location: Chandigarh
Rep Power: 19
19th April 2011, 12:22 PM

Iss story ka end dekhne ke liye lagta hai agla janam lena hoga......!!! kyun Shaad Saheb ?

KAVITA NEGI

Hame ehbab ki lambi qataron sy nahi matlab..........!!
Jo dil sy hamara ho hame wo ik shaksh kaafi he......!!
  Send a message via Yahoo to Kavita Negi  
Reply With Quote
Old
  (#87)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
20th April 2011, 11:15 AM

Quote:
Originally Posted by Kavita Negi View Post
Iss story ka end dekhne ke liye lagta hai agla janam lena hoga......!!! kyun Shaad Saheb ?

naa jee naa.... aisa hargiz nahi hai.. bas zaraa daure-masrufiyat tal jaae fir aap shaad kaa kamaal dekhiyegaa.... muaafi chaahunga magar thodaa intezaar kijiye.

shukriyaa.....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#88)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
23rd April 2011, 06:59 PM

ab tak ki kahaani me aapne padhaa ke....

GharwaaloN ki wajah se Mukhtar ko ghar chhodkar Lucknow jaana padaa doctory padhne ke liye, bachpan me wo bahot hi shaant ladkaa tha sabse kata kata hi rahta thaa, aur jab uske walid saab ne zidd ki wo Lucknow jaaeN to wo majboor ho gaye aur unhe sab kuch chhodkar jana pada, apni muhabbat Rakshi ko bhi. farha aur aadil bhi pareshan they bhai ke jaane par lekin khamosh hi rahte the.
Farha ke aksar ghar aane jane pe aadil ke dil me muhabbat ke phool khil gaye they, lekin wo taiyaaar nahi hui, idhar zarina ki shaadi bhi Ashraf se ho gai thee, aur wo dono amsterdam me shift ho gaye they.
Apne walid aur Firoz chacha se kiye hue vaade ke mutaabik Obaid saahab ne Mukhtar ki shaadi farha se karni chahi, na chahte hue bhi bahot majboor hokar wo is shaadi ke liye taiyaar ho gaya, magar khud ko farha ka banane ke liye kabhi taiyar na kar paaya, Parween ke is ghar ke aane ke baad Aadil bhi kaafi mutmaeen hue they, Mukhtar aur farha ki bacche ke paida hone par Mukhtar dubai se wapas loute aur ghar pe jo haalaat dekhe to wo khud bhi pareshan ho gaye they..............

bahot hi jald abb aagey padhiye......

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#89)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
23rd April 2011, 08:19 PM

shukar hai....kahani phir se shuru to hue.......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
part 14
Old
  (#90)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
part 14 - 24th April 2011, 02:31 AM

Naa jaane kya soochkar Mukhtar ne apni car ka rukh MoD diya aur unhi RaastoN pe unki car dandanaati hui dauDee chali jaa rahi tha, Jo raaste unke liye bahot jaane pahchaane huaa karte they, Zindgi ke kitne saal hi unhone is raah par
apni muhabbat ke saath kadam se kadam milaa ke chale they, lekin aaj na jaane kyon sab kuch unhe ajnabi sa jaan paDtaa thaa, wo na jaane kin khayaaloN me gum ek haanth se drive kiye jaa rahe they aur ek haath se cigarette ke kash le rahe they, is umr me wo aur bhi sanjeeda ho gaye they, ruaabdaar personality ke maalik they, suit hi pahente aksar, aankhoN ke power ki nazuk si Aenak, unki personality me chaar chaand lagaate they..

Achanak se unhone Car ka break Zor se dabaaya, wo apne khayaloN me is qadar doob chuke they ke unhe khabar bhi na ho paai ke jis manzil ki taraf unhone rukh kiya tha wo shayad peeche choot gai..unhone car side me park kar di, utar kar baahar aaye, ye ghar bhi unhe kaafi badlaa huaa sa lag raha thaa, unke qadam pahle dagmagaae, fir dil mazboot karke kuch sochte hue wo aage badhne lage, Door bell bajaai to wahaaN se ek buzurgwaar baahar nikle, unhone poocha, " jee farmaaiye, kisse milnaa hai aapko???" Mukhtar thodaa sa hairaan hue fir khud ko sambhalte hue bole, " janaab, yahaaN pahle Mrs Sameena raha karti theeN, main unhi se milne aaya hoon."
to wo itminaan se bole, " Accha wo log, wo to kuch baras pahle hi ye ghar bechkar yahaaN se jaa chuke hain, asal me unki beti Rakshi ki tabiyat theek nahi rahti thee, bahot pareshan thee bechaari Sameena, wo Log ye shahar
chhodkar jaa chuke hain, ya ho sakta hai ye Mulq chhodkar hi, kisi ko unke baare me koi khabar nahi."

Itna sunte hi Mukhtar ko yoon laga ke kuch bahot zor se toota ho unke bheetar, lekin wo khmoshi se apne dil ke tukdon ko sambhaalte hue us shakhs se ijaazat lekar wapas ho liye, raaste bhar unhe ye khayaal khaae jaa raha tha ke aakhir ye log gaye kahaaN???, kya amma se ya zarina se poochne par kuch maloom pad sakegaa??, lekin itne me hi wo ghaabraa gaye aur sochne lage, " nahi Mukhtar, ab tum shadishuda ho, tum pe tumhari Bivi aur bacche ki
zimmedaari hai, aur agar unhe is baat ki bhanak bhi hui ke Rakshi ka pyaar aaj bhi kahin na kahin panapta rahta hai Tumhaare dil me to Farha ye sadma bardaasht nahi kar paaegi, Rakshi door hui hai apni khushi ke liye, tumhaari
khushi ke liye, bas wo jahaaN kahin bhi ho Allah use khush rakkhe.." itnaa sochkar wo car ki speed badhaate hue ghar ki taraf rukh kar diye...

"Abhi to aaye ho Mukhtar, itni bhi jaldi hai waapsi ki?? ho sake to kuch din aur ruk jaao.." Aamnaa thodi udaas theeN, magar ye bhi samajhti theeN bechaari ke naukri paani ke liye ghar to chhodna hi padaa hai, Mukhtar bole,
"Amma mera bas chale to main yahiN rah jaauN, pardes me kise accchaa lagta hai, gharwaalon se door, magar majburi bhi koi cheez hoti hai." udaasi kitni hi badh jaae magar haqiqat kaa saamna to use karna hi padtaa hai..

Farha aur parween ne dinner lagaa diya mez par, Aadil, Mukhtar aur Abba, teeno hi khaane ke liye aa gaye they, Mukhtar se bole, " Beta kab ki flight hai tumhaari??" to wo bole, "bas abba jumeraat ki shaam ko hai, 1 din aaraam
karne ke baad wapas kaam pe jaana padegaa, wese bhi itne din ki chuttiyoN me kaam bahot pending ho gayaa hai.."
Aadil ne bhi apna bussiness shuru kiya tha yaheeN aur sabki duaaon se unka bussiness bhi acha khaasa phal phool raha thaa.. Ab Amma ko uski shaadi ki bhi chintaa sataane lagi thee, magar Aadil se is baat ki pahel tak karne se
wo katraati theeN, shayad unhe kisi baat ki fikr thee, magar unhone ab aur chup rahnaa gawaara nahi samjhaa, aur

Mukhtar se ek roz bolne lageeN, " Beta Mukhi, ab Aadil ki bhi umr ho rahi hai, mujhe uska khayaal bhi aata hai magar wo hamesha hi shaadi ki baateN taal jaata hai, tum bade bhai ho uske, dekho agar tumhe kuch bole...."
Mukhtar khamoshi se unki baateN sunkar haami bharte hue bole, "theek hai Amma main usse baat karuNgaa.."

Abhi shaam ko Mukhtar chhat pe baithe chaay ki chuskiyaaN le rahe they aur bagal me Aadil baithe kahkashaaN se khel rahe they, "Mukhi bhai, kahkashaaN bilkul aap par gai hai, wahi shaqlo surat, wahi aankheN, wahi sanjeedgi..
Allah kare hamaari Gudiyaa ko kisi ki nazar naa lage..." itna sunkar Mukhtar muskuraa diye aur uski taraf dekhkar bole, " sahi kahte ho Aadil, Allah mujhe itni taufeeq ataa farmaae ke iski har muraad poori kar sakooN, iske chehre pe hamesha yahi muskaan bani rahe.." kuch paloN ke liye dono khamosh rahe apne apne kaamo me masroof fir Mukhtar ne Aadil ko tokaa, " Ab dekhaa jaae to tum bhi kaam dhandhe me settle ho gaye ho, shaadi ka kuch iraada hai ya nahi??"
" kyaa bhai aap bhi, Amma ne hi bolaa hoga aapko, hainaa..??" itna kahkar aadil Unki aankhon me jhanakar jaise jawaab ka intezaar kar rahe they..is par wo bole " haan unhi ne kaha hai, agar tumne kahin dekh rakkhi ho to bataa
do, warna fir gharwaaloN ko ijaazat do ke dhundne ki pahel kareN, aur wese bhi tum ab chote nahi rah gaye ho, 27,28 sal ke gabru ho gaye ho..." itna kahkar Mukhtaar to muskura diye magar aadil kisi soch me doob gaye..
Aadil unhe kuch bataane hi waale they lekin na jane kya sochkar khaamosh rah gaye...

Idhar Farha ne bhi jaise kasam khaai ho ke apne har aansu ka badlaa jab tak naa le legi mukhtaar ko chain na lene degi, haalaki wo jaankar aisa nahi kartee thi, magar wo aisi ho hi gayee thii...ab Mukhi usse kuch kahna chahte to wo bhi unhe aise zaher bujhe alfaazoN se bhedtee ke bechare khamosh ho jaate.. use dekhte rahte aur sochte , "Farha main tumse naraaz nahi hoon, jaanta hoon ke tumhari is nafrat ka zimmedaar main khud hi hoon.."

Wo chahte they ke farha ko saath le jaaen ab, magar uska ye rawaiyaa dekhkar unki kuch poochne ki himmat bhi nahi ho rahi thee... aur wo ye bhi jaante they ke kahkashaaN abhi chotee hai aur is ghar se behtar parwarish use kahaaN milegii...

Mukhtar aaj Dubai waapas jaa rahe they, chuttiyaaN kaise khatam ho gayeeN unhe kuch pataa hi nahi chalaa, aur aulaad ki muhabbat aisi ki unka dil hi nahi bhar raha tha, jee chahta tha ke kuch waqt aur ruk jaaeN magar wo aisa nahi kar sakte they. Unhe see off karne ke liye Zarina aur Ashraf bhi aaye hue they.. Sabne unhe vidaa kiya aur ghar ko waapas ho liye.. Idhar Plane aasmaan ko cheerta huaa mulq se judaa ho raha thaa, Udhar farha ke dil ko bhi kuch cheertaa huaa sa jaa raha thaa aur uske aansu uski palkoN se judaa ho rahe they....

To be continued..............................

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#91)
Kavita Negi
Registered User
Kavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to all
 
Kavita Negi's Avatar
 
Offline
Posts: 651
Join Date: Apr 2010
Location: Chandigarh
Rep Power: 19
24th April 2011, 11:52 AM

Bahut dino baad Story ka next part padhkar achaa laga......!!! Thanx shaad Jee....!!! ab story ka the end kar ke hi dum lena

KAVITA NEGI

Hame ehbab ki lambi qataron sy nahi matlab..........!!
Jo dil sy hamara ho hame wo ik shaksh kaafi he......!!
  Send a message via Yahoo to Kavita Negi  
Reply With Quote
Old
  (#92)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
24th April 2011, 01:56 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
shukar hai....kahani phir se shuru to hue.......
sachee mujhe bhi bahot intezaar thaa, ke naa jaane aage kya hone waaala hai... chalo shukar hai kahaani aage badhi to, kaash ke aise hi badhti jaae...

shukriyaa....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#93)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
24th April 2011, 01:59 PM

Quote:
Originally Posted by Kavita Negi View Post
Bahut dino baad Story ka next part padhkar achaa laga......!!! Thanx shaad Jee....!!! ab story ka the end kar ke hi dum lena
bahot bahot shukriya kavita jee.. jo aap aaiN.. aap sabhi ko intzaar karaane ke liye muaafi ka arzmand hooon.. abke poori koshish rahegi ke kahaani ka THE END ho hi jaae isi session me... duaa me yaad rakhiyega..

shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
part 15
Old
  (#94)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
part 15 - 25th April 2011, 01:22 AM

Mukhtaar ko gaye hue kaafi samay ho gaya thaa, waqt badee tezi se guzar raha tha, aur ab to unke dil me apne gharwaaloN ki muhabbat badhtee ja rahi thi, ab wo pahle jaise kaDak-mizaaj nahi rah gaye they, jab bhi waqt miltaa gharwaaloN se baat kar lete they, aur unki baatoN me ab zyadatar zikr kahkashaaN ka hi hota tha, yahi baat saabit karti thi ke door hoke bhi unke dil me apni aulaaad ke liye kitni muhabbat qaayam hai..

Subah subah jab phone ki ghanti bajee to farha bhaagi bhagai aai, " Hello!! jee kaun?? "
" Main bol raha hoon Farha... janm din bahot bahot mubaarak ho tumhe.." Us taraf se Mukhtar ki aawaz sunkar wo pahle to thodaa chouki fir itminaan se unhe shukriya kahaa.. aaj uska mood bhi kaafi khush gawaar thaa, aur wahi farha jo apne shouhar ka naam sunte hi apni shaqal ke saare deep bujhaa leti thee, aaj na jaane kya huaa ke kitni der tak unse baat karti rahi, aur kahkashaaN ki baateN batati rahi... "Mukhtar, na jane kyon magar hum aaj aapko bahot miss kar rahe hain."

Udhar wo bhi kaafi khush they aaj, jo barsoN ke baad unki muhabbat rang laane lagi thi shaayad dheere dheere... "Farha main bhi tumhe bahot miss karta hoon yahaaN, dekho agar Allah ne chaha to bahot jald tumhe yahaaN se apne saath le jaauNga.." Itna sun kar dono taraf ke chehron pe muskaan utar gai aur salaam duaa hone ke baad call disconnnet kar di gayee..

sabne naashta kar liyaa tha, Farha aur parween bartan sametne me lagi hui theeN, kitchen me parween ne farha ke Chehre pe saji hui muskaan dekhi to usse raha na gaya aur boli.. "kya baat hai bhabhi, aaj to jaise chaandni utar ke aa gai ho aapke chehre me, Allah nazar na lagaae kisi ki." itna sunte hi farha ne sharmaate hue use dheeere se chapat lagaai... " bhabhi aap aise hi hasti muskuraati raha kijiye bahot khoobsurat dikhti hain.." aur farha bhi neeeche muh kiye bina kuch jawaab diye, bas halki si muskaan ke saath bartan dhone me lagi hui thee, apne dil ke jazbaat bhalaa kaise use bataati.Itne baras jiski muhabbat ke liye wo tarasti rahi, ek muddat ke baad jab us shakhs ke chehere me use beintehaan pyaar nazar aaya to kuch waqt use samajhne me lag gaya ki ye haqiqat hai ya khwaab..aur ab shaayad rafta rafta wo bhi pighalne lagi thi unki muhabbat dekh kar..

Itne me doorbell bajee to Amma chillaaiN, " Aree parween zara dekh to kaun aaya hai..??"
" jee amma.." itna kahte hue wo bhaagi bhaagi darwaaze ki taraf badhi.. dekha to saamne ek aadmi phooloN kaa basket liye khada tha, usne farha ke kuch poochne se pahle hi use basket thama diyaa aur thank you ke saath smile detaa huaa waapas palat gaya, wo kuch samajh paaati ke amma ne fir chillayaa...
" Pata nahi kaun hai Amma, ek aadmi aaya tha, tohfaa leke aaya hai phooloN ka , lekin ye naa bataaya kise denaa hai." Itne me andar se Farha aai aur kaha , "Laa dekhun to kaun hamaari Parween ke liye ye tohfaa de gaya hai."

Parween ne kaha, "kyaa bhabhi aapko bhi har waqt mazaaq hi suujhta hai, bhala mujhe kaun bhijwaaega itna mahngaa tohfaa.. aap dekhen to sahi kya likha hai.."

farha ne basket ke andar rakkhi chitthi kholi aur jab padhne ko hui, to uski aankhoN me chamak ubhar gai, honth khudbakhud muskuraane ko bechain ho gaye they, uski is haalat ka andaaza lagaane ki parween poori koshish me thee magar nakaamyaab hi rahi bechaari, udhar Amma khatiya me baithi apnaa paan lagaane me lagi theeN.

"Kya hua bhaabhi, kisne bheje hain ye phool, kya likhaa hai chitthi me...???" ek hi saans me jaane kitne sawaal dag gai wo unse, jawaab me farha ne bas itna hi kahaa, "tere mukhi bhai ne..." itna sunkar farhaa apne kamre ki taraf bhaagi, parween ne raaz ka pardafaash hone pe raahat ki saans lee aur amma ka dhaayN paan se hat kar poori tarah se farha ki baaton pe gaya, unhe bhi tasalli mili ye nazaara dekhkar ke uske bacchon ke diloN se nafrat ki jadeN khatm ho rahi hain...

Shaam ko ghar ka mahaul hi judaa thaa, farha ke ammi, abbu, samreen aur dono bhai aaye hue they, idhar Zarina bhi Ashraf aur Munsif ko lekar aa gai thee, Aadil ne baazaar se Chocklate flavour ka ek badaa sa cake order kiyaa thaa apni pyaari si bhabhi ke liye... sab farha ko janmdin ki mubaarakbad dene me lage they, samreen kahkashaaN ko god me latkaaye yahan se wahaan bhaag rahi thee... Aisa khushiyon bhara Aalam aaj arsoN ke baad Obaid-house me dekhne ko milaa, bas farha zara si mayoos thi ke uske Aaqaa uske saath maujood naa they...HonthoN pe uske khushi thee magar aankhoN me muhabbat ke motee chamak rahe they..

to be continued..........................

Chaadni raat me agar tum bhi saath hotee,
HaathoN me haath hote,laboN pe baat hotee.

Is qurb ki nishaani ye qaaynaat hotee,
saath hamaare sitaaron ki baaraat hotee.

Charaag MunderoN pe kya dil me bhi jalaa karte,
Tere husn se kuch aur bhi haseeN ye raat hotee......

shaad....

Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 25th April 2011 at 01:31 AM..
   
Reply With Quote
part 16
Old
  (#95)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
part 16 - 27th April 2011, 01:12 AM

Waqt beet raha thaa apni hi raftaar se, is baar unhe Dubai loute kareeb ek saal se zyada ka waqt ho gaya thaa, aur wo soch hi rahe they ke is baar jo Eid pe ghar jaaeNge to apni biwi aur bacchee ko saath le aaenge. Farha ki muhabbat ko haasil kar ke Mukhtaar ke andar hausloN ka izaaafa kucch is qadar huaa ke iska asar unke office aur kaam me dikhta thaa. Sabse muskuraa kar milte, baat karte.. kaam me bhi taraqqi par taraqqi milti jaa rahi thee, ab mukhtar saahab shahar ke jaane maane Doctors me shumaar they, har koi unki bahot izzat, ehteraam karta tha.. Wo bhi bahot suqoon se raha karte.

Pichle kai dino se Mukhtaar apne kaam me kuch iss qadar masroof ho gaye they ki unhe ghar pe baat karne ki bhi Fursat na mili, haalaki ek roz unhone ghar pe try bhi kiya thaa magar baat na ho saki, shaayad unke ghar ki line me kharaabi aai hogi..

Ek roz shaaam ko lawn me baithe koi kitaab padh rahe they ke itne me koi aaya aur ek chitthi daal kar chalaa gaya.. Naukar ne chitthi unko lakar dii, jaise jaise wo us chitthi ko padhte gaye unke maathe pe lakeereN aur bhi zyaada gahree hoti chali gaeeN, chehre pe paseene ki boondeN chamak utthi.. unhone chitthi side me rakkhi, aankhoN se chashma nikaala aur bas khamoshi se aaankhen mooNd ke gardan peeche tikaa ke baith gaye...

" kyon kiyaa tumne aisa Aadil, kya tumhe Amma aur abba ka bilkul bhi khayaal na aaya.." wo isi soch me doobe they, tabhi unke dil se ye aawaaz aai.
"Mukhtaar jis tarah tum apni muhabbat apne Dar ki wajah se haar gaye, agar Aadil ne jhukne se inkaar kar diyaa to isme kya buraa hai, aur wese bhi kisi ki izzat aur vaade uski muhabbat ke liye daanV par nahi lage hue they, Tumhe to khush honaa chahiye uske pyaar ki jeet par..." Aise hi na jaane kitni der tak wo apne dil aur dimaag ki baatoN se ulajhte rahe aur khud ko tasalli dene ki nakaam koshsisheN karte rahe..

" kya baat hai Mukhtar, bahot pareshan se lag rahe ho??" Dr. Ahmad ne uski is haalat pe gaur karke poocha to wo zyada kuch kah to naa paaye par haaN itna zaroor kah diyaa ke kuch bechaini si mahsoos ho rahi hai.. " Theek hai Mukhi tum ghar jaakar Aaraam karo, yahaaN main sab sambhaalta hoon" lekin wo inkaar kar diye aur chal pade operation theatre ki taraf..

Raat bhar unhe bhai ki harkat se zyaada dukh is baat ka ho raha thaa ke us waqt agar wo himmat dikhaae hote to ho saktaa hai zindgi ke har kadam pe unhe aise samjhoute naa karne hote. Lekin ab in sab baaton ko sochne ka faayda bhi kyaa, ab us moD ko wo bahot peeche chhodkar aa gaye they, aur zindgi ke is safar me kai baar hum waapas palatne ka sochte zaroor hain magar waapas lout paana lagbhag namumkin ho jaata hai...

Idhar ghar pe bhi sabke hosh faaqhta they, sabne sochaa bhi na tha ke Aadil jaisaa hassas ladkaa itni himmat dikhaa sakegaa.. Gharwaalon ka shaadi ke liye dabaaw din badin badhta hi jaa raha thaa. Aadil ke dimaag ko kuch suujh bhi nahi raha thaa ke kya kare kya na kare, ek taraf uske kiye hue vaade they kisi se aur dusri taraf ye samaaj aur gharwaloN ki izzat.. bahot sochaa aur thak-haar kar ek din usne wahi kiyaa jo uske dil ne kahaa..

Ghar pe sab thode se hairaan aur thode ghamzadaa they, Amma to bas khamosh hi ho gayee theeN, unke samajh me hi na aaya ke sabki zabaan ko kaise khamosh karaaengi, idhar Obaid saahab bhi thode pareshan they, magar is baar tasalliyaaN dene ka kaam wahi kar rahe they, raat apne kamre me baithe they begum se khne lage " dekho Aamnaa main jaanta hoon ye kisi sadme se kam nahi hogaa tumhaare liye, har Maa baap ke bahot armaan hote hain apne bacchoN se ke unki zindgi ke kuch faisle wo khud karenge, magar kabhi tumne ye sochaa ke Mukhtaar ke saath humne wo kiya jo uski zindgi badal ke rakh diyaa.. Wo to Allah ke shukar se ab sab kuch theek ho raha hai warna main khud ko kabhi maaf naa kar paata..." Unki baat sunkar Aamna ne bhi haami bhari, unki aankhoN ke saamne bhi wo manzar naach gaya jab mukhtar ne apni muhabbat ka galaa ghont kar rishtoN aur vaadoN ki suli par chadh gaya thaa..

" Ab hame kuch aisaa karna hoga jisse Aadil bhi humse khush rahe aur duniyaa me izzat bhi bachee rahe, ikka dukka hi sahi magar logoN ko khabar to ho gayee hai ke Aadil ne chupke se Parween ke saath nikaah kar liya hai, baat aur phaile iske pahle hi hum unka nikaah zaahiri taur pe bhi kara dete hain.." unhone aage kaha to Amma ne bas haami bhar dee.. unhe to kuch samajh hi nahi aa raha tha ke kyaa kahen.. Lekin apne miyaaN ki ye baat unhe bhali lagi..

YooN to Parween khud bilkul anjaan thi ke aisa bhi kuch hone waala hai, Aadil ne unhe shopping ka kah kar baahar chalne ko kaha aur raaste bhar use apne dil ki baateN bataate rahe aur apni majburi bhi, " Dekho Parween main ek dafaa judaai aur badnaseebi ka bojh uthaa chukaa hooN aur ab meri itni himmat nahi bachee hai ke dobara kuch aisaa mere saath ho aur main use bardaasht kar sakoon.."

Yoon to Parween khud unse muhabbat karne lagi thee, magar usne itni aage ka sochaa bhi nahi thaa,ke itni jaldi aisa kuch ho jaaega.. aur naa hi use itni ummeed thi ke uske bhaag ka sitaara aise chamkegaa..

"Magar Aadil kya aapke gharwaale is baat se sahmat honge, kya wo ek bewaa ko apne ghar ki bahu qubool kar paaenge..??" itna kahkar usski aankhon me aansu aa gae to Aadil ne uske AansuoN ko pocchte hue kaha, " Agar tumhaare saath aisa hua to isme tumhara kya kasoor hai parween, kya kisi
be-sahaare ko sahaara dena gunaah hai, kya duniya tamaam umr tum pe zulm dhaati rahe, aur tum tanha hi apni itni badee zindgi guzaaro, isi me duniyaa ki khushi hai...??" parween ke kuch samjh me nahi aa raha tha ke kya kare, wo musalsal roe jaa rahi thee...

Aadil ne aage kaha, "Agar yahi duniya ki khwaahish hai Parween to mujhe maaf karna, fir na mujhe is duniya ki koi parwaah hai aur na hi duniyawaaloN ki.." Parween unki baaton sunkar khud ko sambhaal na sakee bas aadil ke shaano pe sar rakhkar aansuoN bahaati rahi aur dil hi dil me rab ko yaaad karne lagee, Aadil ne bhi uske sar pe haath pherte hue use chup karaa bhi rahe the aur kuch soch bhi rahe they...

Shaam ko jab ghar pahuche to Aadil ne Haajra taai ke haath choome aur duaaoN ki talab karte hue kahne lage "taai Parween ab aapke taraf ki nahi rahi, ab ye aapki betii nahi aapki bahu hai."

Itna sunaa to haajra ne jhat se haanth kheech liye aur pareshaan si hoke kahne lageeN, " ye kyaa bahki bahki baateN kar rahe ho Aadil, jo bhi kahna hai saaf kaho." itna sunkar aadil ne unse saari sacchaai kah daali, "maine parween se nikaah kar liya hai."

Itna kahna hi tha ke tab tak amma bhi baahar aa gayeeN, itna suna hi thaa ke yoon laga unke pairoN ke neeche se kisi ne zameen kheench li wo aur wo zameeN ke andar samaane ko hoN.. Parween apne kamre me chali gai aur na jane kab tak rotee rahi, farha use samjhaane ki koshish me lagee hui thi, "Parween, main to kahungi ke Aadil ne bahot acchaa kaam kiya hai, aur wese tumne shaadi ki hai, koi galat kaam nahi kiya hai, roti kyon hai paglee ye waqt to khushiyoN ka hai." to parween ne rundhe hue gale se kaha, "bhabhi, ye bewaa hone kaa jo daag hotaa hai na uspar itni tohmateN lagti hain ke koi uske daag mitaane ki koshish bhi kare to duniya use hi galat karaar deti hai, kya Aadil ke gharwale kabhi mujhe apni bahu Qubool kar paaenge, kya is ghar ki naukraani ko is ghar ki beti ke roop me dekh paaenge.???"

to Farha ne kaha, "meri paaro, tu aisa na samajh, tu is ghar ki naukraani nahi is ghar ki jaan hai, aur mujhe poori ummeed hai ke ghar ke sabhi log tujhe zaroor qubool karenge, main unhe samjhaaungi"

Obaid saahab ne Farha ko kamre me bulaaya to Amma aur Haajra taai pahle hi wahaaN maujood theeN, "aao beti baitho yahaaN hamaare paas." unhone use bulaya to wo jaake unke paas baith gayee aur bolee, "jee abba farmaaiye, kuch zaruri baat kahni thee mujhse." Tab unhone kuch pal khamosh rahne ke baad kaha, "dekho betaa tum ab hamaare ghar ki zimmedar beti ho, aur hum chaahte hain koi faislaa karne se pahle tumhara mashwira bhi le leN." tab unhone use saari baat bataai to wo kahne lagee, " Abba isse achee baat aur kyaa hogi, main aapke is faisle ke poori tarah saath hoon, wese bhi ab padhaa likha zamaana aa gaya hai, log kya kahenge iski hame parwaah na karte hue ye dekhna chahiye ke kya hamaare bacche khush hain ya nahi, aur waise bhi kisi bewaa ka dobaara nikaah karaana sabaab ka kaam hai, Abba Allah hamaare saath hai, main to kahti hoon ke is kaam ko jald se jald niptaa denaa chahiye.."

Us ki aisi baaateN sunkar Obaid saahab aur Haajra taai ki aankhoN me itminaan utar aaya thaa, obaid saahab ko naaz tha apni bahu pe, wahiN Aamna but banee baithee raheeN, magar dil hi dil me unhe bhi Farha ki baat sahi lag rahi thee....

To be continued............

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#96)
AnjAAn!!!
Registered User
AnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud of
 
AnjAAn!!!'s Avatar
 
Offline
Posts: 686
Join Date: Sep 2010
Location: Rewa, Madhya Pradesh
Rep Power: 28
17th November 2011, 04:04 AM

Sameer bhai ko khaaksaar ka salaam

Bhai hath jodkar, bade pyar se, muskurate hue, dil mein bechaini liye, aankhoN meiN lalak, kuch apni kahani ko bhulane ki koshsh karte hue, kuch aapki kahaani ko dimaag meiN banaaye rakhte hue, shaad mann se, bechain tann se, sir sambhaalte hue, gidgidate hue, even badbadate hue, ghadi ko bhi dekhte hue, calender nazar karte hue,.............................................. ......................pyar se kaha raha hu post kar do............... nai to soch bhi nai sakte kya hoga Razia ka. Dekho story ko do baar padhke dimaag mein pakka bhi kar liya maine. Par lag raha hai aap bhool gaye haiN is thread ka raasta.

Chup chaap likh do. Nahee to allah kasam is khaamosh jaan ka bhi gussa wajah ho jayega yahaaN.

Khuda haafiz............................................ .............Kehke jaun????:confused

chalo nai kehta

_____________________________________
  Send a message via Yahoo to AnjAAn!!!  
Reply With Quote
Old
  (#97)
*AnAmikA*
Registered User
*AnAmikA* is a glorious beacon of light*AnAmikA* is a glorious beacon of light*AnAmikA* is a glorious beacon of light*AnAmikA* is a glorious beacon of light*AnAmikA* is a glorious beacon of light*AnAmikA* is a glorious beacon of light
 
*AnAmikA*'s Avatar
 
Offline
Posts: 98
Join Date: Nov 2011
Rep Power: 18
23rd November 2011, 11:34 AM

uffffffffffffffff ......... aap story bhi likhte hain..... maine to last me padha.... ab shuru se padhna padega......... kuch samjh hi nahin aaya k kahan kya ho gaya..........

Aaj fir dil shayar hona chahta hai..
Dard lafzon me pirona chahta hai..

Reply With Quote
Old
  (#98)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
25th November 2011, 06:01 PM

Anjaan bhai,, Anamika jee.. koshish karooNgaa ke bahot jald aapki shiqaayateN door karuN.. waqt ka zaraa taqaaza hai ke main sharmindgii ki hadd pe hoon... koshish karooNga ke jald se jald is museebat ka samaadhan nikle.. shukriyaa

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#99)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
31st July 2012, 11:19 AM

Ajeeb sa mahaol tha ghar ka, Yoon lag raha tha jaise khushiyaaN aai hain magar hijaab me.. logoN ke chehroN pe muskaan to thee magar dabee dabee si, koi baatoN se mahol khushgawaar karne me lagaa hua tha to koi kaam dhaam me man lagaa raha tha ke jaise ye shaadi acche se nipat jaae bas, fir bhi bolne waale bol hi rahe they. Chand khaas logoN ko hi daawat di gayee thi Aadil ki shaadi ki, masjid me Qaazi saahab ne nikah padhwa diya tha aur muhalle me hi hall book karaaya gaya thaa jahaan par daawate-waleema ke liye rishtedaaroN aur kuch kareebi logoN ko nyotaa diyaa gaya thaa..

Parween green suit me thi bilkul apsaraa dikh rahi thee, simple sa kadhaai kiya huaa saada sa libaas tha magar ye bhi uske saraapa me chaar chaand lagaane ke liye kaafi tha.. wahi chehre pe saadgi wahi aankhoN me roshni, magar khamoshi thi ke peecha na chhod rahi thi, Aadil sabse badee khushi se mil rahe they, aur Parween rawaayati taur pe sabki mubaarakbaad ka badlaa apni pyari si muskuraahat se chukaa raahi thii..

Raat kareeb 12 baje tak saare mehmaan ja chuke they, gharwale bhi waapas lout rahe they, sabne ghar pahuch kar itminaan ki saans li ke Maalik ke karam se sabkuch itne acche se nipat gayaa. Abba ne Aadil ko tohfe me ek bahot hi khoobsurat si ghaDii di aur kaha, "ise sambhal kar rakhna barkhurdaar, aur waqt ki hamesha qadr karna, sahi maoqe ko agar sahi samay pe jakaD liya to kismat chamak jaati hai.." Aadil ne Abba ko gale se lagaate hue kaha, " shukriya Abba, har cheez ke liye shukriya.. aapne agar mere jazbaatoN ko na samjha hota, mera yoon saath na dete to shaayd ye khushiyaaN meri zindgi me kabhi na aa paatiN.."

Idhar shaadi ke 2 din baad Mukhtar bhi ghar aaye, haalaki is baar unhone kisi ko khabar nahi ki thi aane ki bas yoonhi unka dil nahi laga wahan to seedhe Hospital se nikle aur India pahuch kar hi dam liyaa.. Sabne unhe dekh kar apni khushi zaahir kari, Farha aur Aadil to maaano khushi se jhoom uthe unhe yoon saamne paa kar, Mukhtar ke bhi dil ko bahot tasalli aur itminaan hua ghar aane ke baad.. Aadil ko badhaaiyaan dete waqt soch rahe they ke kisi aur ko khush dekhkar apni khushiyoN me bhi izaafa hota hai aaj mahsoos ho raha hai.. unhe na jane kyon aaj ye bhi lag raha tha jaise unhone apni muhabbat fateh kar li ho.. jitne bhi gile shiqve unke chehre pe wahaaN dikhte they, yahan aane ke baad jaise saare kahin gaayab ho gaye hoN aur chehre pe khushiyaaN jhalakne laagi theeN.. Ab ghar ka samaa kaafi badal gaya thaa, haalaki log wahi they magar rishtoN ke badal jaane se jo badlaav aate hain use sab baDe kareeb se mahsoos kar rahe they..

"Ammi, main ye soch raha tha ke ab to Farha ka Passport bhi ban gaya hai aur kehkashaan bhi kuch badee ho gayee hai , to agar aap ijaazat deiN to main is baaar Farha ko bhi apne saath le jaauN.." Mukhtaar ne Aamna ke Godd me sar rakh kar dheere se kaha , to wo kehne lageeN, " haan mere laal. main to khud tujhse kab se yahi baat kehna chaahti thee. Farha ne waise bhi bahot waqt bitaa liyaa hai Tanhaa aur ab is waqt use teri sab se zyada Zaruurat hai." Maa bade pyaar se bacche ko dulaar kartee huee kehtee jaa rahi theeN tabhi Mukhtaar bole, " Amma itne kam waqt me Farhaa ne saara ghar sambhal liyaa aur aap sab ki Muhabbat ki haqdaar huee, par meri wajah se uski badnaseebi qaayam rahee, maine bahot zulm kiye hain us par Amma, Duaa karnaa ke Allah mujhe meri is galtee ki muaafi de.."
" Betaa, wo to waqt ki mmaar thee jo tuune chupchaap seh lee, aur apne maa baap ki chaahat ki khaatir us bebas ko qubool kiyaa, dekh lenaa mere laal, Allah tujhe iski Neki kaa silaa zaroor degaa aur meri duaa hai ke anjaane me huee jo bhool hain teri, Allah unhe Maaf karegaa , Aameen..."
Mukhtar ke muh se bas " Summa Aameen " dheere se niklaa aur wo khaamoshi se na jaane waqt ki kis daur ki sair karne me lag gaye..

Dopahar me kafreeb 3 baj rahe they, achaanak se Mukhtara ko na jaaane kyaa suujhi aur wo bhaaagte hue kitchen ki taraf lapke, dekhaa to Farha kisi kaam me mashgool thee, unhone aaw dekha na taaw aur peeche se uski aankhen Moond leeN, Farhaa becchaaari ka to ghabraaahat ke maare buraa haaal thaaa, use aisii kisi harkat ki bilkul bhi ummeed naa thee.. tabhi Mukhtaar ne uske kaano me dheere se kahaa, " jaan, aaj tumhe chaand ki sair karaaane ka Dil kar raha hai.."
"haaye Allah.. chhodiye, koii aa jaaaegaa," us bechaari ke to smajah me hi nahi aa raha tha ke ye sab chal kya raha hai, wo to bas khud ko chuRaane ki beintehaan koshishoN me lagii huee thee..
"Main kuch nahi sunnaa chaahtaa, tum fauran taiyaar ho jaao main Lawn me tumhaara intzaaar kar raha hoon.." Itnaa kehkar mukhtaar ek smile dete hue baahar ho liye aur Farhaa bhi na jaaane kya sochkar muskuraaaye jaaa rahi thee aur apne Rab ke shukraane karne me lagii rahi, jo uska haq thaa, wo deyr se hi sahii magar use mil to rahaa hai, apne Shauhar ki muhabbat se zyaaada aur kya ummeed hogi kisi ladki ki.. Wo bhi kitchen se nikal kar apne Room ki taraf badh gayee..

Raste bhar Mukhtaar ne khoob enjoy kiyaa aur car ko seedhe le jaakar Sahara Shopping Mall me park kiyaa.. Aaj Farhaa ne dil khol kar Shauhar ki jeben khaali karaai aur na jaane kya kya shopping kar lii jo usne sochaa bhi nahi thaa, Kehkashaan bhi saath aai thee apne mummy papa ke , aur sab ne snacks liye aur fir palat gaye waaapsii ke liye.. Kitne haseen lag rahe they dono Miyaan bivi aur may kehkashaan ke ek poori family itni khush aaj muddaton ke baad dikhi thee, naa dil me kisi teesre ki bewafaai ka malaal aur naa hi zabardasti ke rishtoN ka bojh..

Raat ka wo paher kitnaa haseen thaa.. Farhaa, mukhtaar ke pehloo me thee aur Mukhtaar uske naazuk se haathon ko choomte hue kehne lage, " Farro tumhe pata hai, aaj na jaane kyon bahot mutmaeen ho gayaa hoon, itne dino se jo adhuraapan ka bojh liye fir raaha thaa, aaj jaake pooraa huaaa hoon." Farhaa ne kuch na kaha bas muskuraaate hue sun rahi thee.
wo aage bole, "Kaash ke mujhe pataa hotaaa ke in sab ke peeche tumhaari judaai hai to main kab ka tumhe apne saath le jaata meri jaan." unki baaaton se shadeeed Muhabbat ki jhalak nazar aaa rahi thee..

Achaanak se uth ke baith gaye aur kehne lage, "Farhaa maine ammi se baat kar li hai"
Farhaa chaouki.. " Kiss baat ke liye"
"Tumhe apne saath le jaane ke liye, aur tumhe pataa ke unhone razaamandi bhi de di hai" keh ke muskuraane lage..

"Ab main kyaa kahuun jaisaa aap sahee samjheN, magar yahaan ghar kaun sambhaalegaa" farha ki baaaton se fikrmandii nazar aai to Mukhtaar ne baat ko sambhaalte hue kahaa, " Dekho Farhaa, main jaanta hoon ke tumhaaari kamii beshaqq gharwaalon ko zaroor khalegii, tumne to sabko apni aadat daal di hai, magar ab Parveeen aaa gai hai ghar pe aur Masha Allah se wo bhi kaafi zaheen aur samajhdaar ladki hai, wo sambhaal legi yahaan, bas ab tumhaarii razaamandi ki derii hai ke ab chal ke mere saath meraa ghar sambhaal lo.."

Farhaa bechaari kyaa is baat ki khilaafat kar paati, wo to khud shaayad yahi chaahati thee, magar itni hasssas ke apne muh se ek baar bhi ye baaat na kahi, na hi kabhi zaahir hone diyaa, magar aaj uski duaaoN ka silaa mil rahaa hai aur wahii ho rahaa hai jiski uske Dil ne din raat duaaen ki theen apne paak parwardigaar se..

Wo uth ke jaaane lagee 2 raqaat Shukraana padhne ke liye aur Dil me yahii duaaen thee ke "Aye Allah, jis tarah tuuune merii saari duaaaen qubool ki hain usi tarah se aaj meraa Shukraana bhi qubool kar le.... Aameen"

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#100)

31st July 2012, 01:34 PM

still to come.............................................. .....

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#101)
AnjAAn!!!
Registered User
AnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud of
 
AnjAAn!!!'s Avatar
 
Offline
Posts: 686
Join Date: Sep 2010
Location: Rewa, Madhya Pradesh
Rep Power: 28
31st July 2012, 05:31 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post

Waahh waahhh lajawaab peshkash Shaad bhai. Dilkash aise hi likhte rahiye. Abki baar beech mein gayab mat ho jana, kahani ko poora keejiye......

_____________________________________
  Send a message via Yahoo to AnjAAn!!!  
Reply With Quote
Old
  (#102)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
31st July 2012, 07:22 PM

Quote:
Originally Posted by AnjAAn!!! View Post
Waahh waahhh lajawaab peshkash Shaad bhai. Dilkash aise hi likhte rahiye. Abki baar beech mein gayab mat ho jana, kahani ko poora keejiye......
Insha Allah Insha Allah.. zaroor mere bhai is baar to meri taraf se bhi koshish poori hai, aur aap bhi duaa karnaa ke is dafaa kahaani poori hokar hi damm le...
Shukriyaa bhai jo aapne saath banaae rakhaaa hai... Yoonhi mehfil me aakar iski roshni me izaafa karte raheN... Apna khayal rakkhen...

Shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#103)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
31st July 2012, 08:52 PM

"Aadil, Are O Aadil.. betaa sun to le, kahaan bhaage jaa raha hai." Aamnaa bee chillaain to Aadil ne Bread ka tukdaa jhapaTte hue aur bhaagte hue itnaa hi kahaa,
" Ammi bas abhi mat roko, bhai ki flight sham ko hai, aur mujhe kaam se itnii fursat na milee ke apni bhateeeji ke liye kuch le sakoon.. Parweeen fataaafat bag uthaao aur niklo mere saath.."

wo itnee jaldii me they ke amma ka kaha ansunaa karte hue nikalte jaa rahe they, to Aamnaa ne fir kahaa, "betaa bas aate waqt, Zarro ko apne saath lete aana, Ashraf shaaam hone se pehle aa jaaenge"..

"Theek hai meri pyaari Ammaa le aaungaaa, waise bhi bahot din ho gaye acchi chaay piye hue, Zarro ke haath ki chaay to naseeb hogi.." itnaa kehkar wo muskuraate hue Parween ki taraf palte , to wo NazreN tarer ke unki taraf Ghoorne lagii, aur Aamnaa mand mand muskuraane lageeN...

Lagbhag pair patakte hue jaise hi Zarina andar daakhil huee, to Aamnaa maare pareshan hote hue poochne lageeN, "kyaa hua meri bacchi sab khairiyat" to zarinaa ne Salaam karte hue kahaa, "Ab aisi bhi kyaa bhatiiji ki muhabbat ke bahen nazar na aai"

"Aaye Allah, meri bacchi, ab is baar kyaa zulm dhaa diyaa meri phulwaa pe is shaitaan Aadil ne" ... Aamna ne kahaa to Zarinaa ne rotaa hua muh banate hue kehne lagee,

"Aadil bhai se main kehte kehte thakk gai ke bhai 2,4 suit mujh gareeeb behen ko bhi dilwwaaa dein, magar majaaal hai jo bhatiji ki muhabbat ke aage majboor bahen ki aaheN sunaai dii hon, baad me karte karte lunch kaa waqt ho gayaa to ghar nikalne ki jaldi aur is bechaari majloom bahen ko khaali haath hi aana padaa.."

Aadil ne muskuraate hue apne kaan pakde aur apni bahen se muaafi ki darkhaast kii, is par Zareena ne bhi bhaai ko maaf karte hue rahmat ka farishta bante hue kehne lagee,
"theek hai, theek hai.. Malikaae pareestaan ne aapko muaaf kiyaa magar agli baar is gustaakhi ki muaafi na hogee.."

"Acchaa wo sab chodo mere pyari bhabhi aur kehkashaan kahan hai" usne poocha to Ammi ne room ki taraf ishaara kiyaaa to wo bhaagte hue us oor badh gayee..

"Assalaamoalaikum, tumne pukaara aur hum chale aaye..." itnaa kehte hue wo jaise hi kamre me daakhil huii to farhaa to jaise maare khushi ke ucchal padee, Zarro ko gale lagaate hue kehne lageen, " kaisi hai meri bahen, itne dino se apni bhabhi ki yaad na aai tujhe.." wo shikvaa bharee nazron se ye kehne lageen to Zareena ne kahaa, " haaye meri pyaari bhabhi, aaj to Allah tumhe buri nazar se bachaae, chehre pe jo surkhii utar aai hai usse to bhai Allah bachaae.."

itnaa kahte hue wo dono zor zor se hasne lageen..

Aaj yaqeenan wo dono bhabhi nanad ke rishte se nahi balki wahi puraani doston ki tarah badee muhabbat se mil rahee theeN, Zarina aaj behad khush thee kyonki barson ke intzaar ke baad aaaj uski dost ki Muhabbat Khudaae paak ne qubool ki thee..

Wo bahot der tak baaten kartee raheen,
itne me hi Parween ne khaaaNste hue kamre me aane ki ijaaazat maangi. "Ahem ahem, agar rajkumaariyon ki guftgoo ho gai ho to kya kaneez andar aa sakti hai, unhone haste hue kahaa, "khushaamdeed, khush aamdeed" Chaay ki chuskiyaan lagaate hue wo teeno baateN kartee raheen aur saath saath Farhaa, apne bag packing me lagee rahee..

Aamnaa bee Farha ki judaai me yooN Roe jaa rahee theeN jaise koi Sagee Maa apnii betee ki bidaai me rotee hai.. "Farhaa , mujh besahaara ko pardes jaake bhool na jaanaa, Hum log tumhaare bina bahot akele ho jaaenge, dekho betaa beech beech me aati rahnaa, aur KehkashaaN ka bhi khayal rakhna.." isi tarah ek maa ki tarah na jaane kitne vaade aur kitnii hidaayaton kaa daur chal rahaa thaa....

Is beech, Farhaa ki khushiyaaN bhi na jaane kahaan gaayab ho gayeen theen aur Ro Ro ke uskaa bhi buraa haal huaa jaa raha thaa.. Kisi taarah rawaayton ka daur khatam huaa aur Flight take off kar gayaa.. aur jis tarah Plane Aasmaan ki bulandiyoN ko choota chalaaa ja rahaa thaa isi tarah Farhaa ka naseeb bhi Parwaan chadhne lagaa thaa..

Mukhtaar Aaalam to Seat pe tek lagaaa kar so chuke they Magar Farhaa ka dil na jaane kitne beete dino ki yaadon me khoyaa huaa thaa, kehkashaan ab bhi uski Godd me baith ke khele ja rahi thee, na Maa ki aankh me Neend thee aur Naa hi us masoom se Farishte ki aaankh me..

to be continued......................................... ..

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#104)
AnjAAn!!!
Registered User
AnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud ofAnjAAn!!! has much to be proud of
 
AnjAAn!!!'s Avatar
 
Offline
Posts: 686
Join Date: Sep 2010
Location: Rewa, Madhya Pradesh
Rep Power: 28
31st July 2012, 11:10 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post

"Aadil, Are O Aadil.. betaa sun to le, kahaan bhaage jaa raha hai." Aamnaa bee chillaain to Aadil ne Bread ka tukdaa jhapaTte hue aur bhaagte hue itnaa hi kahaa,
" Ammi bas abhi mat roko, bhai ki flight sham ko hai, aur mujhe kaam se itnii fursat na milee ke apni bhateeeji ke liye kuch le sakoon.. Parweeen fataaafat bag uthaao aur niklo mere saath.."

wo itnee jaldii me they ke amma ka kaha ansunaa karte hue nikalte jaa rahe they, to Aamnaa ne fir kahaa, "betaa bas aate waqt, Zarro ko apne saath lete aana, Ashraf shaaam hone se pehle aa jaaenge"..

"Theek hai meri pyaari Ammaa le aaungaaa, waise bhi bahot din ho gaye acchi chaay piye hue, Zarro ke haath ki chaay to naseeb hogi.." itnaa kehkar wo muskuraate hue Parween ki taraf palte , to wo NazreN tarer ke unki taraf Ghoorne lagii, aur Aamnaa mand mand muskuraane lageeN...

Lagbhag pair patakte hue jaise hi Zarina andar daakhil huee, to Aamnaa maare pareshan hote hue poochne lageeN, "kyaa hua meri bacchi sab khairiyat" to zarinaa ne Salaam karte hue kahaa, "Ab aisi bhi kyaa bhatiiji ki muhabbat ke bahen nazar na aai"

"Aaye Allah, meri bacchi, ab is baar kyaa zulm dhaa diyaa meri phulwaa pe is shaitaan Aadil ne" ... Aamna ne kahaa to Zarinaa ne rotaa hua muh banate hue kehne lagee,

"Aadil bhai se main kehte kehte thakk gai ke bhai 2,4 suit mujh gareeeb behen ko bhi dilwwaaa dein, magar majaaal hai jo bhatiji ki muhabbat ke aage majboor bahen ki aaheN sunaai dii hon, baad me karte karte lunch kaa waqt ho gayaa to ghar nikalne ki jaldi aur is bechaari majloom bahen ko khaali haath hi aana padaa.."

Aadil ne muskuraate hue apne kaan pakde aur apni bahen se muaafi ki darkhaast kii, is par Zareena ne bhi bhaai ko maaf karte hue rahmat ka farishta bante hue kehne lagee,
"theek hai, theek hai.. Malikaae pareestaan ne aapko muaaf kiyaa magar agli baar is gustaakhi ki muaafi na hogee.."

"Acchaa wo sab chodo mere pyari bhabhi aur kehkashaan kahan hai" usne poocha to Ammi ne room ki taraf ishaara kiyaaa to wo bhaagte hue us oor badh gayee..

"Assalaamoalaikum, tumne pukaara aur hum chale aaye..." itnaa kehte hue wo jaise hi kamre me daakhil huii to farhaa to jaise maare khushi ke ucchal padee, Zarro ko gale lagaate hue kehne lageen, " kaisi hai meri bahen, itne dino se apni bhabhi ki yaad na aai tujhe.." wo shikvaa bharee nazron se ye kehne lageen to Zareena ne kahaa, " haaye meri pyaari bhabhi, aaj to Allah tumhe buri nazar se bachaae, chehre pe jo surkhii utar aai hai usse to bhai Allah bachaae.."

itnaa kahte hue wo dono zor zor se hasne lageen..

Aaj yaqeenan wo dono bhabhi nanad ke rishte se nahi balki wahi puraani doston ki tarah badee muhabbat se mil rahee theeN, Zarina aaj behad khush thee kyonki barson ke intzaar ke baad aaaj uski dost ki Muhabbat Khudaae paak ne qubool ki thee..

Wo bahot der tak baaten kartee raheen,
itne me hi Parween ne khaaaNste hue kamre me aane ki ijaaazat maangi. "Ahem ahem, agar rajkumaariyon ki guftgoo ho gai ho to kya kaneez andar aa sakti hai, unhone haste hue kahaa, "khushaamdeed, khush aamdeed" Chaay ki chuskiyaan lagaate hue wo teeno baateN kartee raheen aur saath saath Farhaa, apne bag packing me lagee rahee..

Aamnaa bee Farha ki judaai me yooN Roe jaa rahee theeN jaise koi Sagee Maa apnii betee ki bidaai me rotee hai.. "Farhaa , mujh besahaara ko pardes jaake bhool na jaanaa, Hum log tumhaare bina bahot akele ho jaaenge, dekho betaa beech beech me aati rahnaa, aur KehkashaaN ka bhi khayal rakhna.." isi tarah ek maa ki tarah na jaane kitne vaade aur kitnii hidaayaton kaa daur chal rahaa thaa....

Is beech, Farhaa ki khushiyaaN bhi na jaane kahaan gaayab ho gayeen theen aur Ro Ro ke uskaa bhi buraa haal huaa jaa raha thaa.. Kisi taarah rawaayton ka daur khatam huaa aur Flight take off kar gayaa.. aur jis tarah Plane Aasmaan ki bulandiyoN ko choota chalaaa ja rahaa thaa isi tarah Farhaa ka naseeb bhi Parwaan chadhne lagaa thaa..

Mukhtaar Aaalam to Seat pe tek lagaaa kar so chuke they Magar Farhaa ka dil na jaane kitne beete dino ki yaadon me khoyaa huaa thaa, kehkashaan ab bhi uski Godd me baith ke khele ja rahi thee, na Maa ki aankh me Neend thee aur Naa hi us masoom se Farishte ki aaankh me..

to be continued......................................... ..
Ek baar fir se zabardast post. mashaallaah. Bahut khoob. Agla part bhi jald pesh kiya jaaye......

_____________________________________
  Send a message via Yahoo to AnjAAn!!!  
Reply With Quote
Old
  (#105)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
1st August 2012, 03:12 PM

Din beet'te jaa rahe they, Idhar Mukhtaar apne Hospital ke kaamo me kuch zyaada hi masroof they, unka plan tha ke jald se jald khud ka ek hospital kholeN aur jisme gareebon ke muft ilaaj ka intezaam ho. Bas isi kashmakash me wo saara din nikaal dete, waqt ke pairoN me to jaise Parr lag gaye hoN, pata hi nahi chalaa kab Din, maheene aur saal beete jaa rahe they. Farhaa ab saara waqt ghar ke kaamo me aur KahkashaaN ke saath hi masroof rahtii thee.. Shaouhar ka saath to mahaz ab naam ka thaa, bahot hi kam waqt hota jab wo dono saath hote..

Kahkashaan ab badee hotee jaa rahi thee aur isi saal uskaa school me daakhilaa bhi karaa diyaa gayaa, bas ab ghar pe saara din Farhaa ya to kaam dhaam me masroof rehtee yaa bacchii ke home work me use madad kartee.. haan beech beech me jab bahot akelapan sataata to Sasuraal me phone kar ke sab se haaal khairiyat pooch letee..

Idhar Aamnaa bee ne Obaid saahab se kahaa, "kahiye to is baar chal ke Dubai ho aate hain, hawaa paaani me tabdeeli hogaa to aapki tabiyat me bhi Insha Allah Sudhaar aayegaa. "

Aamnaa ka itnaa kehna tha ke udhar se razaamandii mil gayee, unhone kaha " Haan Aamnaa kaafi waqt ho gayaa hai kehkashaan ko dekhe hue, na jaane farro kis haal me hogee.. Hum sab chalte hain kuch dino ke liye to unhe bhi accha lagegaa."

Idhar baateN huin udhar packing bhii zoron shoron se shuru ho gayee, Aadil ko bhi business me import export ke liye aage aana tha to unhone socha issse accha mauqaa mil hi nahi saktaa, saath hi bhai se mashwara bhi le lenge aur huaa to Dubai me bhi kaam shuru kar denge.. Bas afra tafree mach gayee.. 15 dino ke baad jaaane ka plan bana tha, Haajra taai ne to khoob jee churaaya, tarah tarah ke bahaane banaae, magar Aamnaa ki Zidd ke aage unki ek na chali, fataafat tatkaal me Haajra bee aur Parween ke passport banwaae gaye, aur saare ghar me jaise raunak aa gai ho... haan bas is baaat ka khyaal rakhaa gayaa ke kisi bhi tarah se ye baaat Mukhtaar aur Farhaa tak na pahoche, wo sab unhe surprise denaa chahte they..

Subah se Ashraf aur Zareena bhi aa gaye they, ittefaq se ittwaar ka din tha to Ashraf ko chuttee lene koi zaruurat na padee, Zareena bhi lag gai un sab ke saath packing ko final touch dene ke liye... Ghar se rawaangee huii, Ghar pe Imraan aur faheem ko rokaa gayaa pehredaari ke liye, bechaare bemann se hi sahii magar rukkne se inkaar na kar paaye..

Idhar Zarro, Ashraf aur Firoz chaachu airport aaye they un sab ko see off karne ke liye, Zareeena ne amma aur bhabhi ko gale lagaaya firr Farhaa aur Mukhtar bhai se Salaam bolne ka keh gayeen.. sabse Ijaazat lee gayee aur fir sab dandanaate hue ghuss gaye ticket counter ki taraf....

Mukhtaar ghar se nikalne hi waale they ke darwaaze par dastak huee.. unhone farhaa se kahaa, "Begum, zaraa deekho to subha subah se kaun aa gayaa."
farhaa ne jaise hi darwaaza kholaa, uskaa muh khulaa ka khulaa rehh gayaa, lafz nikal ke baahar hi nahi aa paa rahe they, uske chehre ka urtaa rang dekhkar, Aadil ne kahaa "Bhaiyaa hame ghar andar bhi koi bulaaegaa ya yahin khade khade vidaai karaane ka plan hai.." Aawaz sunkar Mukhtar bhi isse pehle kuch ssamajh paate ke Aadil ne aage badhte hue kahaa

"Kaise ho bhai" Mukhtaar ki khushi ka bhi koii thikaana na rahaa, unke samajh me nahi aa raha tha kya kahen kya na kahen, khushi ke maare bas itna hi phoot sakaa, "Amaa kam se kam khabar kar di hotii" fir unhone Ammi Abba se salaam kiyaa aur bahot pyaar se ghar me sabka istaqbaal kiyaa.

Farhaa maare khushi se jhoom uthii, aur in sab ke surprise se dono bahot khush hue, Farhaa Parween aur ammi ko lekar room pe chaleee gayee, idhar Mukhtar, Abba aur Aadil ko leker hall me hi baith gaye, Haajra taai bhi wahin Mukhtar ke paas baith gain, aur pata nahi kab tak wo log ek dusre ke saath baaton me mashgool rahe...

Dopaher ke khaane ke waqt Aadil ne sabko bataaya, " Bhai hamaare aane ka plaan aisaa kuch tha nahi, na jaane amma ko kya sujhi aur humne socha ke chalo isi bahaane aap sab ko surprise deN... kahiye kaisaa lagaa hamaara surprise.??""

"Aadil ke baccche, ye bhi koi baat hoti hai, kam se kam khabar kar dete, main tum logon ko lene aa jaata, " Mukhtar ne kaha to Aadil bole, " Choro bhai formalities, hum bacche thode hain ke ghar na pahoch paate, aur waise bhi bataa kar aate to bhai bhabhi ke chehre ka udaa huaa rang aur ye khusshi kaise dekh paaate.."
Mukhtar ne Aadil ke haathon ko pakad kar apni khushi ka izhaar kiyaa..

"Mukhtaar kaafi soch vichaar ke baad maine ye faislaa kiyaa hai." Obaid saab ne kahaa to Mukhtaar bole, "Abbu mujhe to koi pareshani nahi hai, i mean, ye to bahot acchi bbaat hai magar meraa maaNnaa hai ke aap ek baaar fir se Haajra taaii se pooch leiN.."

"Amaa barkhurdar ye raay meri akele ki nahi hai, isme tumhaari amma aur haajra ka khud ka mashwara bhi shaamil hai.." Abba ne kaha to Mukhtaar ne sukoon ki saans lii..

Farhaa ki to khushi ka koi thikaana na rahaa, use jaise yaqeen hi nahi aa raha tha ke ab Haajra taai unke saaath yahin rahengii..usne kaha, "Haajraa taai main sach kahun, ye ghar akele me kaaatne ko daudtaa hai, Jab tak ghar me koi buzurg naa ho, yaqeeenan us ghar me naa sukoon hotaa hai na barkat"

Haajra kehne lagee, " Betee tum aiise kyon keh rahii ho, tum bhi meree betii ho, aur is waqt meri us ghar se zyaada is ghhar me zarurrat hai, waise bhi tu akele ghar sambhaalegi ya baacchii.." Farhaa ki aankhen bheeg gaiN, unhone Shukriyaaa kehte hue bas Haajra taai ko gale se lagaa liyaa....

Jahaan Amma aur Abba ke is faisle se Mukhtaar aur Farhaa kaafi khush they wahin , Parween ek kashmakash me ghirr gai thee, jaise soch rahi ho ke "Aye Allah us ghar me ek khaala hi to theeN, jo meri apni theen, jinse apne dil ka haal keh saktee theee.." Isi Socho kashmakash me na jaane Aadil kab aa gaye aur uske paas baith kar uske haanthon ko thaama, to use Sukoon aata rahaa, Shauhar ka khayaal kar ke uske Dil ko yoon itminaaan pahochaa, ke wahin aankhen Moond kar leyt gayee aur Neend ki aagosh me jaati rahee..

Still to come..................................

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#106)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
1st August 2012, 06:59 PM

Quote:
Originally Posted by AnjAAn!!! View Post
Ek baar fir se zabardast post. mashaallaah. Bahut khoob. Agla part bhi jald pesh kiya jaaye......
Behad inaayat hai aapki Anjaan bhai.... jis khuloos aur muhabbat se aap saath dete aa rahe hain.. ummeed hai aage bhi yahi saath milta rahegaa.. yahi saath mujhe likhte rahne ke liye prerit karta rehtaa hai... aur jaisaa ke aapka huqm tha agla part bhi aaj pesh kar diyaa gaya hai.. Nosh farmaaaiyegaa...

Shukriyaa

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#107)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
1st August 2012, 11:52 PM

"Chaliye Allah ke shukr se wo waqt bahot acchaa beeta, Sab ke saath raho to waqt ka pataa hi nahi chaltaa." Aamna kehne lageeN to Obaid saab bole " Haan Aamnaa sach hi kehtii ho tum, bacche rehte hain to sab muqammal lagtaa hai. Allah hamare bacchoN ko khoob khush rakhe aur sabhi muraad poori hon unki.."

Waapas aane ke baad Aadil to apne business me masroof ho gaye, wahin Parween ne gahr ke kaamo me aur bhi zyaada ulajhnaa shuru kar diyaa, ab jo waqt wo Haajra taai ke paas bitaaya kartee thee ab us waqt me apne saas sasur ki khidmat me pesh rahtee thee...

Dheeere dheere Saas aur bahu me nazdeekiyan badhtee jaa rahi theeN, ya keh sakte hain dono ko ab ek dusre ki zaroorat mehsoos hone lagee thee..

Idhar Dubai me pahle pahel to haajraa taai ka mann nahi lagtaa tha, magar dheere dheere waqt ke saath aur Farha ki muhabbat ne unhe usi mahaol me sarabor kar diyaa, ab wo saara waqt Kehkashaan ke saath bitaaya kartee theen aur jab wo school me hotee to Farha ke saath kitchen me hoteen.. "

Farro, dekh betaa main to kehtee hoon tu bhi ghar pe khaali baith ke waqt bitaati hai.. agar ho sake to koi chotee motee naukree kar le, isse 2 faayde honge, ek to sara din masrufiyat me guzar jaaega aur dusraa tujhme hauslaa bhi aayegaa.." haaajra taai ne Farhaa ko mashwaraa diyaa to wo kehne lagee..

" Kya taaai, aap dekh to rahee hain sara din ghar me itnaa kaam hotaa hai, kahaan jaa paaungii main daftar.. upar se Kehkashaan bhi to hai.."

"Betaaa kehkashaan ki fikar tuu chhod de, main aaa gai hoon na, rakh loongi uska khayaal.." haajra ne samjhaaya to usne us waqt bas hasss kar baat ko taal diyaa..

"Waise keh to sahi raheee theen taai, agar kaam me masroof rahee to jo saara din gharwaalon ki yaad sataati hai , usse nijaat milegee aur uupar se agar ladkee khud ke pairon me khadee ho to use kisi aur ki zimmedaari ya bojh na ban paane ki bhi fikar nahi hotee.." inhi sab soch me koyee baithee thee ke achanak doorbell bajee..

"Assalaamoalaikum.. aaj badee jaldii aa gaye aap." Mukhtaar ko saamne dekh wo thodaa chouNkii..

"haan baas aaj patient bhi kamm they aur kuch kaam bhi nahi thaa zyada to sochaa ghar chal ke tum logon ke saaath waqt bitaaya jaae, aur waise bhi hame shopping mall gaye hue kaafi waqt beet gaya hai.. kyon?" Mukhtar muskuraaate hue kehne lage..

"Thats like my perfect hubby .." Farha ne Mukhtar ko gale lagaana hi chaaha ke ekdam se haaajra taai ko saamne dekh kar Mukhtar khaaNs ke bahot tez jhep gaye, aur haajra muskuraati huee kitchen ki taraf palat gayeeN..

"taai, abb jaldi se taaiyaaar ho jaaiye.." Haajra ke to samajh me na aaya kuch, kya maajra hai.. "bas kuch nahi aaaj bade dino ke baad inko hum sab ki fikar huee, khud se hi kehne lage chalo kahin ghumaa detaa hoon, ab isse accha mauqaa kab milta hai baar baar.." wo dono bas hass padeen aur apne apne room ki taraf badh gayee taiyaaar hone ko..

Shaam ko jab ghar loute to khaana khaaane ke baad, Mukhtar apne bed par lete koi novel padh rahe they , aur Farhaa ne apne baalon ko suljhaate hue kahaa, " aaj to Haajra taai ne bhi kamaal ki baat ki.."

Wo novell me hi aankhen gadaae hue poochne lage, " kyon aisaa kya kaha unhone tumse.."

"kehtee hain, main koi job kyon nahi kar leti" Farha ke itnaa kehne pe is baar Mukhtar ko novel se aankhen haataani padeeN, wo pahle to muskuraae, fir sanjeeda hote hue poochne lage, " fir aaapne unhe kyaa kaha beghum.."

"main kya kehtee , kahaa ki is baare me maine kabhi sochaaa nahi, waise aap kya kehte hain.." farhaa ne lagbhag unki taraf ghoomte hue sawaaliya nazren unpe jamaa deeN.. to wo kuch sochlee hue bole..

"Hmmmm, waise keh to wo theek rahi hain, upar se sara din ghar pe baithi baithi tum bhi bore ho jaati hogee, waise mujhe to koi problem nahi hai, tum soch lo.."

Us raat to farha isi kashmakash me khoii rahee ke kya kare kya na kare, aur bahot der tak neend se ulajhne ke baad aakhir neend ka padlaa bhari huaa auur wo use apnii aagosh me sameT'tee chalee gayee..

Bil-aakhir Farhaa ne tay kar liyaa ke kuch dino ke liye hi sahee, use job karni chaaahiye, aur isi chalte thodaa dhundne ke baad use ek company me bataur Accounts manager job mil hi gayee, wo apni nayee job se kaafi khush thee... Waqt ki her pher ke chalte ab use city Bus se hi trave kaarnaa padtaaa, lagbhag 9 baje nikaltee aur waapas 5 baje tak ghar aa paaati, ab saaara din office me bitaane ke baad, shaam ko hi use waqt miltaaa ke kehkashaan ke sath khele ya uska home work karaaae..

Magar baat thee us ladki me bhii, ke itnaa thakaan bharaa waqt bitaaane ke baad bhi uski mamta me koyee kami nahii aane paayee.. wo usi garmjoshi ke saath kehkashaan ko waqt deteee aur uski padhaaai likhai karwaati...

Par in sab ke sath saath ye bhi dekhne ko mil rahaa tha ke ab kehkashaan haajra taai ke aur bhi zyaaadaa nazdeeq aaati jaa rahii thee, wo unhe Daadi kehtee, aur jab uskee totlee zabaaan se haajra ye alfaaz sunteeN to khushi ke maare unme pankh lag jaate aur wo uske maathe pe choom ke dher saari DuaaeN dene lagteeN..

Aadil dandanaata huaa kamre me ghusaa aur phoot phoot ke Rone lagaa, Aamnaa ka na jaane kyon ek anjaane se khatre ke baare me soch soch ke haal buraa hotaa ja raha thaa, idhar Parween bhi unhe pakad ke saahara diye jaa rahi theeN aur khaasi pareshaan ke aakhir huaa kyaa... Itna shor sharaaba sunkar ghar me afra tafree mach gayee..
Obaid saahab ne bhi uske kamre ka rukh liya, aur Abba ko dekhte hi Aadil unse lipat kar phoot phoot ke Rone lagaa...

Aisaa kya huaa ke Aadil ka ye haal ho gayaa , Jaan'ne ke liye intzaar karen agli kisht kaa...

To be continued...........................

Shaad...
   
Reply With Quote
part 21
Old
  (#108)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
part 21 - 5th August 2012, 02:53 AM

Kehte hain, Insaan kaa Accha aur Buraa waqt uske saath saath chaltaa hai.. Kabhi accha ya buraaa waqt chipak ke nahi rehtaa.. Magar is baar na jaaane aisaa kyaa huaa ke Mukhtaar kaa Buraa waqt uska peecha hi nahi chhor rahaa thaa.. Kuch pal ki khushiyaaan usne apnii Biwi aur Bacchee ke saath PaaeeN magar achaanak ye haadsa huaa ke uskaa saara Gumaan jaata rahaa..

Aadil kee hichkiyoN ke saath saath zubaan se lafz bhi phooTte chale jaa rahe they, aur har lafz ke saath saath pooraa Obaidullah house gham me saraaabor hotaa chalaaa jaa raha thaaa.. Aamnaa to gash khaa kar farsh par hi chitt ho gayeen , waheeN Obaidullah khan sar pakad kar zor zor se Rote hhue sofe pe baith gaye..

Idhar Parween ne Aamnaa bee ko sambhaala aur khud bhi rote hue unpe paani ke cheente daale, tab jaake Aamna ko hosh aaya aur wo musalsal roye jaa rahi theen aur kai kai baar behosh ho gayeen...

Subah se hi Ghar me aane jaane walon ka taaNtaa lagaa huaa thaa, ghar pe jitni bheeD badh gayee thee, utni hi rone ki aawaazeN badhtee jaa rahee theen, sabki AankhoN ko bas kisi aane waale kaa intezaar thaa.. Sab kaa waqt itnii mushkil se guzar rahaa thaa ke jiskaa andaaza bhi nahii lagaaya jaa saktaaa thaa..

har pal bechaini badhtee hi chalee jaa rahii thee.. Itne me hi darwaaze ke baahar Ambulance aaakar rukii aur usme se Mukhtar nikal kar baahar jaise hi aaye , Aadil aur Ashraf daud pade aurr Rote rote nidhaal hue jaa rahe Mukhtar ko Sambhaalne ki bharpoor koshish karne lagey..

Mukhtaaar kabhi beech beech me patthar ki tarah khaamosh ho jaate to kabhi bacchon ki tarah Bilakh kar rone lagte, idhar Haajra ko gale lagaa kar Aamnaa itnaa roiiiN ke lag raha tha unhe dekh kar aasmaan phatt padegaa..

Farhaa ki achaanak se huii dardnaak maut se saare ghar me afraa tafree mach gayee thee.. Sab ki haaalat paagloN jaisi huee jaa rahii thee.. jahaan Zareena ne ro ro ke aasmaaan sar pe uthaa liyaa tha wahin samreen aur Rukhsaana chachi ke bhi haal aise ke shaayad main yahaan bayaaan bhi na kar paaauN..

Mukhtaar sab ko bataa rahe they ke unhe to khabar hi nahee thee ke aisaa kuch huaa thaa, wo to bas shaam ko jaise hi ghar pahoche, Haajra taai ne pareshaan hote hue unhe bataaya ke Farha abhi tak daftar se ghar nahi pahochii, to wo ulte paaaoN waapas palat gaye aur kaafi chaan been ke baaad jab police me report likhwaai tab tafteesh ke baad maaloom huaa ke jis Bus se wo aa rahi theee us bus ka accident ho gayaa aur darjanoN logon ki mauqaaae-waardaat me hi maut ho gayee, jisme Farha bhi shaamil thee..

Mukhtaar ko apni phooti kismat pe bilkul yaqeeen nahi ho raha tha, ab kis muh se ye baat wo apnii bacchi aur baaki gharwaalon ko ye bataaenge..

Ghabraahat ke haal me jab kuch soojhaa nahi to Aadil ko phone par saarii baat bataai aur ye bhi kahaa ke aglii flight se India waapas aa rahe hain..

Aaj ghar pe Farha ka teeja thaa aur chane padhe jaa rahe they, Sab uski magfirat ki duaaon me lage they, Quraankhaani masjidon me karaai gai marhooma ki Rooh ko jannat naseeeb karaane aur gunaahon ko maaf karaane ke liye.. " Aadil , main barbaad ho gayaa yaar, meraa saara ghar tahas nahas ho gayaa. " Mukhtaaar bilkul phoot phoot ke roye jaa rahe they.. " Allah pe bharosa rakhiye bhai, uski marzii ko kaun taaal saktaa hai." Aadil khud ko poori tarah se sambhaalne ki koshsih kar rahe they aur bhai ko hauslaa dete jaa rahe they, idhar parweeen ne bhi dil pe patthaar rakh kar Zareena aur Aamnaa bee ko sambhaalaa diyaa huaa thaa..

Poora ghar Gham ke Mahol me saraabor thaa, Har ek kee ZubaaN se agar koi baat hotee to bas farha ki.. " Mere to ghar ki raaani thee wo, ab uske binaaa hum kaise rahenge?? sabko apni aadat padaa kar itnii door kyon chaleee gayee tu Farhaa, kyon chalee gayee." Aamnaa bee kaa kalejaa muh ko aa rahaa thaa apni Farha ko yaad kar kar ke..

Idhar Waqt dheeere dheere beet'taa jaa raha thaaa magar Obaidullah House se gham ki shikan mitne ka naam hi nahii le rahee thee.. har kisii ka dil itnaa toot chukaa thaa ke jiskii bharpaai ki unhe koi ummeed nazar nahee aa rahii thee..

Aise mauqe pe sabse zyaada fikar sabko us masoom si kehkashaan ki thee, jise kuch pataa hi nahi thaa ke uskii Maa use chhor kar itnii door chalee gayee hai jahaan se lout kar aana Insaan ke bass me nahii hai...

Sab uskaa behad khayaal rakhte aur koshish karte ke us nanhe se dil ko is baat se rattee bhar ki bhi thes naa pahoche.. Aadil saara din use Kandhe pe taang ke tehlaate rahte, aur tarah tarah se har wo koshish karte ke uske Dil me kabhi ye khayaal na aaye, ke "Merii maa kahaan Chalee gayee...??"

Mukhtaar saara din apne kamre me hi rahaa karte, ab naa to unhe kaaam ki fikar reh gayee aur naa hi kisi cheez me mubtilaa hote, bas saara din Farhaa ki tasweer seene se lagaaye, gham ke andheron me Khoye rehte.. Bas unhe Zindgee kaa maksad is waqt kuch nazar aa raha thaa to bas ye ki unki bacchee ko uski Maa ki kamii kabhii na mehsooos hone paaye aur wo uskaa itnaa khyaal rakkheN ke uskii aankh me Aansuu ka ek katraa bhi na aane paaye..

Khair, Sudhaar ke naam pe agar Mukhtaaar ka kuch huaa to bas itnaa keh sakte hain ke ab wo har shaam chhat pe chale jaaya karte they aur bahot Deyr tak us Doobte hue Sooraj ko ghoorte hue jaise Poochte, " Kyaa yahi silaa hai meri Muhabbat kaa, jis jis ko maine chaaaha use mujhse Door karne kaa to jaise Rab ne Faislaa kar liyaa hai.." Aur bhi na jaane kitne sawaaal hote jo unkaa dil unse har waqt kachoT'te hue poochaaa aur wo doobte hue sooraj se apnaaa paighaam Khudaa ta'aalah ki baargaah tak pahochaane kii koshish karte..

Us Shaam Aadil bhi Chhat par aa gaye aur bhai ki haalat dekh kar shadeed gham ka ehsaas huaa unhe, unhone Dheere se unke kandhe pe haaath rakhaa aur poocha, " Bhai.. aap theek to hain naa..??" Mukhtar palte aur Muskuraate hue kehne lage, " Aadil , Allah ne sabse zyaadaa agar mujhe kuch diyaa haai to bas Intezaar aur Imtihaan, saari zindgee merii kismat me sirf imtihaan rahaa hai, fir chaaahe wo Muhabbat ka ho yaa gharwaaloN ki Zimmedariyon ka.. Itminaan kabhi mayassar na huaa mujhe Aadil, kabhi bhi nahii.."

Aadil ne unhe bahot samjhaane aur hauslaa dene ki koshish kee magar shaayad uske Alfaaz unke kaano tak pahoch hi nahii paa rahe they, bas jo ek baat unke Ird-gird Goonj rahee thee wo bas ye ke " Tumhe aur kitnee kasautee pe utarnaa hogaa Mukhtaar Aalam, kitnee SazaaeN aur hain Tumhaare naseeb me..... Kitnee SazaaeN aur hain........"

To be Continued......................................... ...

Shaad...
   
Reply With Quote
Part 22
Old
  (#109)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Part 22 - 5th August 2012, 08:37 PM

yooN to BahaaroN kaa mausam behad Dilkash aur suhaanaa hotaa hai aur har ek ki zindgee me iski Shiddat us waqt aur bhi badh jaati hai jab wo Shakhs kisi ke ishhq me giraftaar hotaa hai.. Ishq use Yoon rangtaa chalaa jaata hai ke use na to fir kuch dikhaai detaa hai aur naaa hi kuch sunaaai detaa hai.. aur jab ye dhund uski aankhoN se chhaT'ttee hai aur bahaaroN ka kaarwaan dar-guzar hotaa hai to fir sab yooN soona ho jaaata hai jaise Khizaa ke mausam me PedoN se Phool gaayab ho jaate hain, har taraf bas veeraani aur maayusii hi ghar kar letii hai...
Kuch yooN hi KhizaaoN ka daur aa gaya tha Mukhtaar Aalam ki zindgee me bhi, magar is baar ye mausam bahot lambaa thaa...

"Mukhtaaar Betaa chaay pee lo..." Aamnaa bee uske kamre me chaay leke subah ko jab aaiN , to shaayad wo akhbaar me kuch padhne me masroof they.. Amma ki aawaz se dhyaan udhar gayaa, to kahaa, " jee udhar table par hi rakh dijiye.." Aaj unke chehre pe naa to kisi gham ki shikan thee aur naa hi honthoN pe kisi khushii ka tabassum.. bas bahot saaada se ho gaye they.. Kareeb 6 mahiine beet chuke they us haadse ko magar Mukhtaar ke Dil me kuch aise Shole ubaaal maar rahe they , jo waqt ke saath aur bhi zyaaada bhadak uthey they...

Baaaki gharwaaaloN se to pataa nahii magar Haajraa taai se Mukhtaar ke Mizaaaj yooN badle ke us haaadse ke baad ek lafz bhi na unse Mukhaaatib hote hue kah sake..
Wo aksar apne aap me Gumm rahaaa karte, aur kisi ne kuch poochaa to behad saadgee se jawaab bhi de dete aksar.. magar Haajra taai jo khoon ke rishte me naa sahi magar dil ke Rishte se unki maa huaa kaartee thee, aaaj yooN faaslaaa badhaa liyaa ke unse baat karnaa to door , unhe dekhnaa bhi pasand naahii karte they.. Naa jaane kyon magar andar hi andar Wo unhe hi Farhaa ki maut ki zimmedaar maaan'ne lage they..

Haajraa to khud andar se toot chukii theen ke dhang se naa hi khaati peeteeN, aur naa hi kisi se zyaada baat karteeN, magaar Mukhtaar ki nafrat ne unhe aur bhi zyaada kamzor aur lachhaar banaa diyaaa thaaa, sabne unhe bahot samjhaaayaa ke jo ho gayaa usme Haajraa taaii ka kya kasoor , ye sab to Allah ki marzee hai, magaar Mukhtaar ko kisi ki daleeloN pe koii aetbaar nahi aaaya aur wo bass apnii nafrat ko dil me hi kaayam kiye baaithey rahe.. Asar ye huaa ke gham ko bardaasht naa kar paate hue ek shaam Haajra ko Paralysis attack huaaa aur fir naa to uth baith paateeN aur naa hi kuch bol paateeN... Bas Saara din khaat pe pade rahteeN aur Rab se rote hue apne gunaahoN ki muaafi maaangteeN..

Kehkashaan ne bhi shuru me bahot Rona dhonaaa machaayaa magar baad me us masoom ka dil khud hi bahel gayaa, ab bas saara din wo apne papa aur Chacha Chachii ke saath kheltee rahtee.. sab use behad pyaar karte , magar kehte hain na Maa ka pyaar bas Maa hi de paaati hai, uska koi badal nahii hotaa.. Magar ab na to wo Maaa ke baare me poochtee aur naa hi kabhii rotee... waqt ne us masoom sii bacchee ko bhi behad mazboot banaa diyaaa thaa..

Magar Aamnaa ko andar sse ye baat kachoT'tee rahtee aur wo yahi sochte hue apne shauhar se kahne lageeN.. "Allah jaaane is masoom si baaccchi ka khayaal kaun rakhegaaa.. abhi to Hum log hain, baad me na jaaane kiske aasre rahegeee.. "

Obaidullah khan kehte hain.. " Aamnaa main khud bhii behad pareshaan rahtaa hoon is masle ko le kar... Merii bhi kuch samajh me nahi aata..."

Yahii Guftgoo kaa daur chal raha tha ke itne me Aadil aaa gaye, aur saamne sofaa me baith gaye.. pahle to kuch pal khamosh rahe fir Aamna ki taraf dekhte hue kehne lage.. " Ammaa .. mere dil me ek khaayal aayaa hai.. gar ijaazat deiN to ek baat kahuN??"
" Bolo Aadil, ab tum pe bhi is ghar ki Zimmedaariyaan utni hi badh gain hain jitnii ki hamaari theeen, aur is ghar ke faisloN me ab tum bhi utne hi haqdaar ho jitnaa ke main hoon.." Obaidullah saaahab ne haree jhandee dikhaai to Aadil ne kahaa..

" Abbu , main soch rahaa thaa, ke bhai ki umr waise bhi koi zyaaada nahii hai, us par kehkashaaan bhi abhi bahot chotee hai, use is waqt apnii maa ki behad zaruurat hai.. Alllah ke karamm se wo baccheee behad hassaas hai, ek lafz muh se nahi nikaaaltee ke wo apni maa ke bagair kitneee sooni hai.. magar us maasoom ka drd uske chehre pe saaf nazar aata hai.."

Obaid saab ne tokte hue kaha.. " Aadil main tumhaara matab khoob samajh rahaa hoon.. aur beshaq main tumhaara baap hoon isliye ye khayaal pahle hi mere dil me aaya thaa... magar na jaaane kyon pahel hi na kar paaaya.. shaayad merii himmaat bhi na ho sakegee Mukhtaar se kuch kehne kii.."

"Abba , agar aap kaheN to main ek koshish karke dekhuN.. Ho saktaa hai bhai ko merii baat sahee lage.."

Aadil ki baat sun kar Abba ne haan ki shaql me gardan hilaai aur Aamna ki taraf dekhaa , jo na jaane kya dil hi dil me Allah miyaan se duaaae talab me laag gayeeN theen...

" Khudaa ke liye Aadil, ab ek lafz bhi Muh se na nikaalnaaa.. merii Muhabbat itnee kamzor nahii hai ke Farhaa ke jaate hi main doosri shaaadi kar loon.."
Mukhtaaar ne behad Naarazgee ke aalam me ye baat kahee to Aadil ne kahaa... " Bhaai, khud apne liye na sahee, magar us bacchee kaa to sochiye, kaise kaategee wo itnee lambi zindgeee bin maa ke.."

"Ab bas bahot ho gayaa Aadil, Ab ek lafz bhii tumne nikaala , to main bhool jaaaunga ke tum mere bhai ho... Aur haan tumhe merii bacchee ki fikr karne ki koi zaroorat nahii hai, main kaafi hoon uski parwarish ke liye.. aur jitna mujhse ho sakegaa main uske liye karoongaa... " majeed gussse ke aalam me wo na jaane kya kya Aadil ko kehte rahe....

Aadil jo ki umr me unse kaafi chotey they, aur jo unhone apne bhaaai ki ek bhi baat ka buraaa na maanaa to bas isliye ke unhe ye baat bahot acche se pataaa thee ke Mukhtaar ke dil ke haaal kyaa hain.. Aaj shaayd utnaa hi dukh Aadil ko bhi tha Farhaa ke jaane ka kyoNki bhale hi uski muhaabbaat ka gaalaa usne khud apne haaNthon se ghotaa ho, magar wo shakhs hi uski zindgee ki pahlee muhabbat thee, aur pahlee Muhabbat kabhii nahii martee, Dil me apnaa asar Qayaamat ke din tak barqaraar rakhtii hai....

Khair Aadil unse ijaazat lekar baahar nikalne lage magar ekdam se thahre aur mudkar bhai ki taraf dekhaaa aur kahaa... " Bhaaijaan abhi aaapko merii baat shaayd galat lagegii , magar jab aap Farhaa ki yaad ko ek kone me rakh denge, fir merii baat pe gaur kijiyegaaa, aapko zaroor is baat ki ahmiyat samajh me aa jaaayegii.."

Mukhtaar bas use dekhte hi rah gaye.... itne me hi phone ki Ring bajee aur wo palat gaye reeciever uthaaane ke liye....

Still to come............................................

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#110)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
6th August 2012, 11:25 PM

"Dekho Mukhtaar, main tumhaare jazbaat samajhtaaa hoon, Magar apne usoool aur apni zimmedaariyaan bhi to koi cheez hotee hain.." phone ke dusrii taraf Dr. Hashmi use samjhaae jaa rahe they..
"Dr. Hashmi, main aapki baat se sahmat hoon, magar main aapko kaise samjhaun apne haalaat.. jaanta hoon wahaan ke mareezoN ki behad zimmedaari hai mujh par, magar main kaise kahun me meraa dil uchat gaya hai har ek cheez se." Mukhtaar bhi bas apni taraf se baat waqaalat karne me lage they Dr. Hashmi se, jo unhi ke hospital me unke Senior they..

"Dekho Mukhtaar, mujhse zyaada tumhe kaun samjhegaa, aur fir main tumhaari hi bhalaai ke liye hi to keh raha hoon ke ek baar tum yahaan aa jaao kaam me dil lag jaaegaa to dheeere dheere wo baaten jo tumhaaare jeene ka aazaar banii haiN, unka asar kam hotaa jaaegaa.. "
"Theek hai Hashmi bhai, mujhe thodaa waqt dijiye, main Insha Allah zaroor is muaamle me kuch sochungaa." Bas itni baat ke baad Mukhtaar ne phone rakhaa aur kuch sochne lage...

udhar kehkashaaN ka bhi sab khoob khayaal rakhte, wo halaaki kehtee kuch nahii magar behad chup chup sii rahne lagee thee.. Na khel khilono ka koi shouk reh gaya aur na hi bacchon ki si zidd kartee.. Yoon lag raha tha wo 5 saal ki bacchi ke andar kitnii samajhdaari aaa gai ho.. Haalaki ye baat Mukhataar ne bhi kai baar gaur ki hai, magar na jaaane kya khayaaal aata ke har baar taaall jaaate..

Idhar Ammaa aur Abba bhi Mukhtaar pe dabaao daal rahe they, "beta itnii Lambii Zindgee akele basar karnaa behad mushkil hai, tuu khud koi faislaa kar , yaa hame karne de.."

Mukhtaar ka bhi in sab baaton se pahle to koi asar na hotaa tha aur behad naraaz bhi hote they magar ab na jaane kyon magar Kehkashaaan ko dekh kar unke dil ne bhi doosre pahloo ki taraf sochnaa shuru kar diyaa thaa, haan magar ye baat mahaz un ke dil tak hi rahee, kisi ko khabar bhi naa huii..

Zyaadatar Kehkashaan apni naani ke ghar pe hi hotee thee, kyonnki wahaan Samreen thee jo uska behad khayaal rakhtee thee, aur kisii ne kaha bhi to hai ke agar Maa ke baad koi dussrii maa hai to wo hai khaala.. Wo use saara din apne paas rakhtii aur uskaa khoob khayaal bhi rakhtee.. aur Ittefaaaq to ye thaa ke Kehkashaan bhi usse ab thodaa ghum mil gayee thee...

Kabhi to Samreen khud aa jaya kartee thee taai Amma ke ghar to bhi sabke saath bahot mastee kartii, ab dheere dheeere waqt ke saath Obaidullah house me fir se wahi raunak nazar aaane lagee thee, magar farq sirf itnaaa thaaa ke is baaar ye Raunak Farhaa ki wajah se naahii Samreen ki wajah se aai...

Us shokh 23 saalaa Samreen pe yoon to laakhoN Ladke marte they, aur marte bhi kyon nahi, Wo jitnee hi khoobsurat thee, utnii hi paaqeeezgii aur sadaaqat ki pujaaran thee.. behad saaadgee se rahtee aur pahneNe odhne me bhi uskaaa koi muqaabil na thaa Khaandaan ki laddkiyon se.. Aur isi wajah se Khaandaan ki sabhi Khuubsurat balaaeN uske Rashq Kartii theeN...

Aamnaa ko to khoob pasand thee Samreen, uske aane se us ghar ke sabhii gham ke andhere doob jaate they, aur har baar ek nayaa ujaala ho jaata tha Obaidulllah House me.. " Suniye, mujhe ye ladki bahot pasand hai.. Aap ek baar Firoz bhai se baat kyon nahi kar Lete.." Aamnaa ne behad utaawlepan se kahaa to Obaid saab Muskuraa diye aur kahaa " Samreen me mujhe Allah bakshe Farhaa Nazar aati hai.. Na jaane ise Allah ka Karishma samjhun ya uski hum besahaaron par mehar.. Ek betee cheen lee to uski badal doosri bhej dee hai... "

Is pe aamnaa Kehne lageeN, " Dekhiye naa kitne pyaar se Hamaari Kehkashaan ka khayal bhi rakhtee hai, aur waise bhi agar koi aur Ladkii aa gai wo kabhi bhi kisi aur kee betee ko apnaa Pyaar na de sakegee. Jabki yahaan to Samreen aur Farhaa ki muhabbat me mujhe koii kamii nazar nahii aatee... " Bas dono ne dil me faisle kar liye magar usko Zaahirii taur pe sacchaa muqaam dene ke liye abhi bahot waqt thaa...

2 mahine aur beet gaye, Idhar Dr. Haashmi se Mukhtaar ki lagaatar baat hotee, wo hospital ke saara din ka haal sunaate aur Mukhtaar se guftgoo aur Mashwaraa bhi lete..

isi Chalte ab Mukhtaar ka bhi dil ab lagne lagaa thaa, kaam me masroof rahte, aur ghar pe jab sukoon se baithte to kisii bade Doctor ki kitaaabon me khoye rahte.. ab unhone faislaa kar liyaa tha ke "ho na ho is eid ke baad Main waapas Dubai chalaa jaaungaa.. "

Eid aane me bas 1 haftaa reh gayaa thaa, ghar pe Ramzaan ka mahol thaa, saara din gharwaale Namaaz Roze me masroof rahte aur shaaam ko Aftaar ke waqt aur khaane peene ke waqt saath baithte.. ab Mukhtaar ne bhii gharwaalon se bolnaa chaalna kuch kuch shuru kar diyaa thaa.. ek dinRaat ke khaaane ke waqt Obaid saab se kahene lege,
" Abba , main sochtaa hoon, ab aur waqt yahaan rahaa, to baitha baithaa bekaar ho jaaungaa.. Maine sochaa hai Eid ke baaad main waapas Dubai Shift ho jaaauN.."

Abba ne bhi uski baaton ko theek samjhaa aur kahaa.. " Betaaa jaisaa tum theek samjho, khair kaam dhaaam me lag jaaoge to Dil khud tumhaare maazi ka peecha chhod degaa, Magar mujhe ek hi Fikar sataati hai.."

"Kaisii Fikar Abba..??" Mukhtaar ne pareshaan hote hue poocha to unhone jawaab diyaa.. " betaa us waqt frahaa thee tumhaare saath, ab Pardes me akele kaise rahoge, main to kehtaa thaa ke agar yahin reh jaaate to sabke saath rahkar Mann lagaaa rahegaa tumhaara.."

"Main akelaa nahi hoon Abbaa, Ab Farhaa ki Yaadon ke saath uski Nishaani bhi mere saath hai yaani ki Kehkashaan.. Wo bahot hai jiske saath rehkar mujhe kisi bhi tarah ki koi pareshaani nahi aaayegii, Aap Bilkul fikar naa karen Abba.."

Itna kehkar Mukhtaar ne Lambi saans lee magar Aamnaa aur Abbaa kii AankheN chalak padee theen, aur wo yahi Sochne lage they " Sach kitnaa badaa ho gayaa hamaara Mukhi... Allah ise hauslaa de.."

Itne me hi Firoz chachu Samreen ko lekar aa gaye jo behad Muhabbat se Aamnaaa taai aur Parween bhabhi se milee, aur Obaid saab ne aage badhkar kahaa. " Aao Aao Firoz.. baitho yahaan sab kahiriyat.??"

"Alhum dulillaah bhaijaan, bas Samreen Zidd karne lagee ke use aap sab ki yaad aa rahi hai, to maine kaha ke mujhe baahar kisi kaam ke Silsile me Jaana hi tha use kuch der yahin chhodtaa chaloon.."

" ye to bahot accha kiyaa mere bhai ab aa gaye ho to khaana bhi khaate jaao, bhai Parween.... Zaraa Firoz aur Samreen ke liye Do plateN to lagaana.."
Firoz chachaaa ne bhi haskar jawaab diyaa, " bhaijaan Neki aur pooch pooch.. ab Samreen ka to pataa nahi magar Meri taraf se poori razaamnadii hai.."

Itna kehte hi poore ghar me thahaake lag gaye, Mukhtaar bhi us khushi ke mahoul me shaamil hue aur faqat muskuraane tak ki hi zimmedari uthaai..

To be Continued..........................

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#111)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
18th August 2012, 04:01 PM

hmmmmmmmm....bahut dino se soch rhi thi ki kahani ko paduN par waqt hi nahi mil rha tha...aaj hamne tasali se kahani padi hai...Shoaib bhai aap es kahani par film direct kar sakte ho....kahani bahut khoobsurati se kahin gudgudati to kahin udhas karti aage bad rhi hai...keep it up

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#112)
Kavita Negi
Registered User
Kavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to all
 
Kavita Negi's Avatar
 
Offline
Posts: 651
Join Date: Apr 2010
Location: Chandigarh
Rep Power: 19
16th September 2012, 08:52 PM

sabse pehle story restart karne ke liye bahut bahut mubarakbaad...
abhi puri story nahi padhi.... jab tym milega to araam se padhungi.... likhte rehna....

KAVITA NEGI

Hame ehbab ki lambi qataron sy nahi matlab..........!!
Jo dil sy hamara ho hame wo ik shaksh kaafi he......!!
  Send a message via Yahoo to Kavita Negi  
Reply With Quote
Old
  (#113)
Kavita Negi
Registered User
Kavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to all
 
Kavita Negi's Avatar
 
Offline
Posts: 651
Join Date: Apr 2010
Location: Chandigarh
Rep Power: 19
29th September 2012, 09:43 AM

ye kahani aage badhegiii ???

KAVITA NEGI

Hame ehbab ki lambi qataron sy nahi matlab..........!!
Jo dil sy hamara ho hame wo ik shaksh kaafi he......!!
  Send a message via Yahoo to Kavita Negi  
Reply With Quote
Part-24
Old
  (#114)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Part-24 - 16th November 2012, 03:16 PM

Eid ka din bhi aakar guzar gayaa, Sab ne is baar ki Eid me apne apne DiloN se gham ke bojh utaare aur ek nai subah ke aangan me daakhil hue, magar Mukhtaar hi ek aisaa shakhs thaa jiske dil se Gham ke baadal chatne ka naam hi nahi le rahe they.. uske dil se bas yahi ek aawaaz aati rahi..

Mujhko terii, na tujh ko meri khabar aayegi,
Eid is baar dabey PaaoN guzar jaaegi..

Ab kehkashaaN ne bhi jab apne dil ki khwaahish apne Papa ke saamne rakhi to unse raha na gaya, aur unke dil ko jaise ek hauslaa sa mil gaya ho faislaa lene ke liye. Kehkashjaan ka itna kehnaa ke, "Papa, mujhe school jaana hai." Is ek baat Ne Mukhtaar ke andar soye hue insaan ko jagaa diyaa, use ye mehsoos huaa ke jab ye choti si bacchi apni zimmedaariyon ko pehchanti hai, to main kyun in sab cheezon se muh chipaae bhaag raha hoon.. Bas ab unke Dil ne faislaa kar liya aur wo lapak kar uthey aur badh gaye Abba ke kamre ki taraf..

Kamre ke bheetar Obaid saab chaarpaai par lete Hukke ka lutf uthaa rahe they, bagal me Aamna zameen pe baithi sabziyaan kaatne me masroof theeN. Mukhtaar saaMne ke Kursi pe aage ki taraf thoda jhuke hue baithey, jaise Abba ke faisle ka intzaar kar rahe they..

Obaid saab ne kaha, " Dekho Mukhtaar, jaisaa ke main pehle bhi tumhe keh chuka hoon, mujhe isme kuch ghalat nahi dikhta ke tum Dubai jaao, beshaq jaao, tumhaara kaam, tumhara Aspataal tumhaara Muntazir hai, magar ek baar us masoom Kehkashaan ka to soch lo.." Mukhtaar pehle to khud bhi ghabraate they magar Kehkashaan ki us din ki baat ne Mukhtaar ke jaise bejaan ho chuke jism me nai jaan fooNk di thi, unhone kaha, " Abba ab jo hoga dekha jaega, maine faislaa kar liyaa hai, aur rahi kehkashan ki tanhaai ki baat to uska bhi ek tareeqa maine soch rakkha hai." Obaidullah khan aur Aamna bee ki tez nazreN jaise uske chehere pe gadd gain theen, magar Mukhtar ne mahaz muskuraate hue unki taraf yoN dekha jaise keh rahe hoN, ke waqt aane pe aap log khud mere is faisle ki kadr karenge..

"Betaa jaisaa tum theek samjho, magar meri ek raay hai agar tum gaur karna chaho to." Obaid saab ki is baat ne khoye hue Mukhtaar ka dhyaan apni or kheencha to unhone us taraf mukhaatib hote hue poocha, "Jee kahiye."
"betaa main chaahta hoon tumhari is tanhaai ko door karne ke liye kya main Firroz se baat karuuN, Samreen mujhe bahot laayaq ladki lagtii hai."
"Abbaa Plzzz...!! Main ab is mudde pe koi baat nahi karna chahta, Farhaa ki jagah koi nahi le saktaa.. koi bhi nahi.." itnaa keh kar wo uth gaye, magar unke dil se ye aawaz aai, kya Sach me koi nahi?? magar fauran unhone us anchaahe khayaal ko dimaag se nikaala aur baahar nikal gaye..

Aur idhar Abba aur Amma ke dil me jo ek choti si ummeed panap rahi thee, kisi ne badii berahmi se use jadd se ukhaad kar fenk diya tha...

Eid ke theek 10 din ke baad Mukhtaar kaa waapas jaana tay huaa, Aadil aur Zareena ke alawa jitne khaas rishtedaar they wo sab aaye Mukhtar aur kehkashaan ko vidaa karne, unki ik aur nai shuruaat ke liye, jo naa aai to Samreen, mumkin tha ke Mukhtaar se Obaid saab ki guftgoo ke baare me Use khabar ho chuki thee, yaa phir koi aur baat, magar is waqt us ke dil me kya thaa ye sivaay uske sirf khudaae-paak ko khabar thee...

Dheere dheere waqt beetne lagaa, Mukhtaar waapas se apne hospital me masroof ho gaye they.. shuru me kuch dino ke liye to unhone Kehkashaan ko Hashmi bhai ke ghar pe chhodna hi munaasib samjhaa, Din me use wahin chhod aate, jahaan Mrs. hashmi (Rehana bhabhi) uska khoob khayaal rakhti aur shaam ko jab hospital se waapas aate to kehkashaan ko saath le jaate..

Haalaki Mukhtaar ko ye pasand na thaa ke har roz wo apni beti ko kisi aur ke ghar pe zimmedari ki tarah rakkheN magar kya karte , majboori bhi koi cheez hoti hai...

Aakhir waqt aa gaya jab Mukhtaar ko wo faislaa lenaa padaa, jiskaa sabse zyaada gham beshak unhe hi ho rahaa tha, magar wo kya karte, waqt ki maanG filhal yahi thee, aur Kehkashaan ke liye sabse sahi raasta dar-asal unhe yahi nazar aa raha thaa..

Us raat wo Lawn me baithey koi kitaab padh rahe they, ke itne me maasoom si kehkashaan unke paas aai aur apne papa ke pet me sar rakh kar khadii ho gayee... Mukhtaar ko achaanak se bahot pyar aaya us maasoom si bacchi par, unhone dheere se use upar uthaya aur uske bhole se chehre ka bosaa lete hue poocha... "Tum theek to ho na betii"

Kehkashaan ne Aansu se bharee aankheN upar uthaain aur kuch der ki khamoshi ke baad dheere se kehne lagee... " Papa main aapko chhod kar nahi jaaungii, Mujhe Boarding School mat bhejo.... plzz Papa."
Itnaa sunte hi Mukhtaar ke dil ka baandh laakh koshishon ke baavjood dhah gaya, aur AansuoN se unki aankhen dabdabaa gayeeN...

Unhone Kehkashaan ke sar par pyaar se haath pheraa.. aur apne dil hi dil me kehne lage,
" Mujhe maaf kar do meri betii, main majboor hoon, tumharaa gunahgaar hoon, ho sake to mujhe maaf kar dena.."

To be Continued...............................

Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 16th November 2012 at 03:25 PM..
   
Reply With Quote
Part 25
Old
  (#115)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Part 25 - 17th November 2012, 10:25 AM

Wo sardiyoN ki ek kadaakedaar shaam thii, akelepan aur sannaton ne Obaid house ko gher rakhaa thaa, yooN lagta tha maano jis ghar me bahaaroN ka taanta laga rahta tha, aaj wahaan koi bashar to door parinda tak par maarne nahi aata... Isi akelepan se uktaa kar na jaane kab Aadil ne gaadi nikaal li aur may parveen aur apne Abba ammi ko lekar nikal gaye Firoz chachu ke ghar..

"Khush-aamdeed aaiye bhaijaan, achaanak kaise?? sab kahiriyat?? hame khabar karwa di hotii" Firoz miyaan ke sawaal pe Obaid saahab ne bas itna hi kaha, " Amaa Firoz aisi koi baat nahi thee, bahot dino se tumse mulaaqat bhi nahi hui to socha chal ke mil len. tum sunaao sab theek thaak to chal raha hai na."

"bhaijaan ab kya bataauN , farha ke baad zindgi ki gaadi ruk si gai hai, aur ab sab se badi chintaa jo khaae jaa rahi hai wo hai Samreen ko leke."
Obaid sab choukte hue pooche, " kon aisaa kya ho gaya hai, Samreen masha Allah bahot nek ladki hai use lekar tum kyon bad-gumaan hue jaa rahe ho."

"Bhaijaan ladki jab jawaan ho jaae to sab se zyaada maa baap hi fikrmand hote hai, sabse ahem sawaal ab hame uski shaadi ka sataata rahta hai, par wo ladki ko bhi na jaane kya hua hai jab bhi is baare me baat karo, 2 took jawaab de detii hai ke use shaadi hi nahi karni hai.."

"Firoz, bahot dino se mere mann me bhi ek baat thee, agar tumhe buraa na lage to..."

"Bhaijaan aap kaisi baat kar rahe hain, buraa kyon lagegaa, huqum karen."

"Firoz dar-asal main ye soch raha tha ke agar tumhe koi aetraaz na ho to .. "
2pal ki khamoshi ke baad Obaid saab ne aage kaha...

"Main Mukhtaar ke liye Samreen ko maangnaa chahta hoon, uski zindgi pe mujhe bahot dukh hota hai, aur kehkashaan bhi abhi behad chotii hai , usse is waqt ek maa ki sakht zarurat hai... Samreen bhi kehkashaan ko apni jaan se zyaada muhabbat kartii hai, to agar tumhe koi etraaz naho to..??"

"Bhaijaan aapne mere muh ki baat cheen li hai, Kehkashaan hamaari farha ki ek nishaani hai, aur hum us nek dukhtari ko aise tanhaa itni choti si umr me nahi chhod sakte... to meri taraf se to koi etraaz nahi bas hum bacchon se zaraa is baare me ek baar baat kar lete to behtar hoaa.."

"Bilkul Firoz, wo to sabse ahem hai, Mukhtaar se main kal khud is baare me baat karunga, tum jab tak Samreen ka Mann le lo."

"Jee bhai... Allah raheem hai, us pe bharosa rakhiye.."

Idhar guftgoo ka daur chal raha tha, usi waqt kahin door, ek baap apni choti si bachi ka dil bahlaane ki ek nakamyaab koshish me laga hua tha, is waqt bhi dono sath me kisi mall me they, kehkashaan unki God me chadhi ice cream khaane me lagi thee.. tabhi Dr. Hashmi aur unki begum se mulaaqaat ho gai..

"Aswkum bhabhi kaisi hain, "

"W salaam Mukhi main ekdam theek thaak, Allah ka karam hai, aur hamaari pyaari Kehkashaan kaisi hai, papa ko zyaada tang to nahi kartii na.."

itna kehkar Rehana ne bacchi ke gaal Noch liye aur kehkashaan hasne lagi..

"Mashallah kitni pyaari bacchi hai, Mukhtaar bhai ab aap ise laate Nahi hain hamaare ghar.."

"Jee bhaabhi, abhi kuch dino ke liye maine ek aaya rakh li hai ghar pe jo iska khoob dhyaan deti hai, aur wese bhi bas kuch dino ki baat reh gai hai, maine iska daakhila shahar ke sabse acche boarding school me karwa diyaa hai, ab ye wahaan rahkar taleem haasil karegi aur baaki bacchon ke saath rahegii to iska bhi mann laga rahegaa."

"Kyaa.....????" itna sunte hi Rehana ka muh khula ka khula reh gayaa..
Agle din jab Mukhtaar ghar pe hi they ke unke phone ki ghantii ghanghanaa uthii. wo bhaagte hue jab phone par lapke to doosri taraf Aadil they..

"Aadab bhai ki jaan, kaise hain.."

"Amaa Aadil tum.....??? aur sunaao, itne din kahaan rahe."

"Are bhai kya bataaN, bas kaam ke silsile me hi masroof rahta thaa, acha bhai ijaazat chahunga ek meeting me bhaagnahai office.. Abbu baat karenge.. meri taraf se Allah hafiz"

toofaan se kam na rahi hogi Aadil ki raftaar, udhar Abba ne bade itminaan se Mukhtaar ke salaam ka jawaab diyaa aur baaton ka silsilaa badhaate ue dheere se wahi baat keh di jo unke dil me kisi nashtar ki tarah chubh rahi thii..

"Mukhtaar aaj fir main tumse wahi sawaal dohraane aaya hoon, betaa Samreen ko haan keh do, Apne liye naa sahi apni nek dukhtar ke baare me to socho.." itna kehte hi Obaid saab gham me doob gaye to aawaaz bhari ho gayee..
mukhtaar bole

" Abba main aapke jazbaatoN ki kadr karta hoon, aur jaanta hoon ke aap ye sab meri bhalaai ke liye hi keh rahe hain, magar ab mujh se nahi ho paaega abba, Farha ki jagah main kisi ko nahi de sakunga, Samreen maanta hoon bahot nek hai, kehkashaan ko bahot chahati bhi hai, par Abba aap hi abtaaiye kya farha ke haq me ye sahi hoga?? main Farha ka Gunehgaar ho jaaunga abba , Qayaamat ke roz use kya muh dikhaaungaa..??"

"Aur waise bhi kehkashaan ka naam maine yahaan ke ek jaane maane boarding school me likhwaa diyaa hai jahaan uski acchi dekhbhaal ho jaaya karegi.."

Abba khamoshi se sab sunte rahe ...
Dono taraf se daleelon par daleelen pesh huin aur ant me Obaid saab ne hi shaayad apni haar maan li aur kehne lage.. " theek hai beta , mera kaam tha tumse mashwara karna, baaki zindgi tumhaari hai, tum jaisa behtar samjho.."
phone ke rakhne ki aawaaz aati hai... aur fir kuch der ke liye dono taaraf sannaata chaa jaata hai.

Aaj Kehkashaan subah se hi kaafi khush thee, naye naye kapde pehne hue they, school dress me ekdam pari jaisi lagne lagi thii, 2nd class me direct admission hona tha boarding school me, halaaki wo pehle thoda pareshaan zaroor thii magar ab usne apna man pakka kar hi liya thaa, aur use sab se zyaada khushi is baat ki thee, ke uske Papa uske sath hain, aur isi khushi ke mahoul me wo ghar ko vidaa karti huii apne papa ki car me nikal gayee thee Anjuman Boarding school ki taraf...

To be Continued...............................

Shaad...
   
Reply With Quote
Part-26
Old
  (#116)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Part-26 - 19th November 2012, 05:22 PM

Aadil ke ghar ek naya mehmaan paidaa huaa tha, sab parveen ke gher ke baithey hue they, Aadil khushi se phoola nahi samaaa raha tha, sab taraf bhaga bhaga fir raha tha, Aamna ne poore muhalle me bataashe aur Laddu batwaae, Obaid saahab to saara din apne Pote ko Godd me liye rehte aur jee bhar duaaen dete rahe, poore ghar me arse baad ek khushi ki laher daud gayee thee, Allah ne unke sabr ka imtehaan diyaa thaa, aur gham ki kaali ghataa hatne ke baad ab un sab ke chehroN par muskuraahat ne nai lakeer kheench di thi..

Mukhtaar ko chutti na mil sakee thii is wajeh se wo ghar waapas aa nahi sake, dusri wajeh ye bhi thii ke abhi haal hi me kehkashaan ka daakhila karaane ke baad wo uske liye aur bhi fikrmand ho gaye they, uske saath india aana thoda mushkil tha kyonki boarding waale itni aasani se chhodte kahan hain? aur doosra use chhod kar akele india jaana to lagbhag namumkin thaa... bas inhi sab baaton ko lekar wo aa nahi paaye magar phone par aadil ko itni mubaarakbaad aur duaaen dete, ke unki khushi ka koi thikaana na rehta...

Firoz bhi aaye hue they inke ghar khushi ke is mubaarak mauqe pe.. Dono bhaiyon me Samreen ko lekar guftgoo huii magar koi nateeja na nikalte dekh dono ne khud ko shaant kar liyaa thaa.. Samreen to khud bhi yahi chahati thee ke wo apni kehkashaan ke paas rahe uska khoob khayaal rakhe, magar majaal hai jo uske dil ki ye baat koi jaan bhi saka ho.. Par wo Mukhtaar ko aaj se nahi poore 24 saalon se jaanti aai hai, use pata hai ke Mukhtaar jo Zidd karte hain wahi karte hain, koi unke faisle badal nahi sakta... bas inhi sab baaton ko soch kar na jaane kitni raateN wo roi aur bil-aakhir usne bhi ye maan liyaa ke kehkashaan ka saath shaayad ab uske liye yahin tak thaa..

Kuch maheene beete aur ek roz Obaid saahab ko khabar mili ke Firoz bhai ne Samreen ke liye, Saad ko pasand kar liyaa hai, Pados mehi rahtii hai Saad ki family, Baap Docter hain aur maa Lecturer, Seedhe saade se log they aur ladka to jaise sone pe suhaaga, bahot hi nek, kam bolne waala, sharmela sa ladka tha Saad, Abhi 2 Saal pehle hi padhaai poori ki thee aur filhaal Bangalore me Software Engineer hai.. Samreen ke gharwale to kaafi khush they is rishte ko lekar, magar Obaid sahab aur Aamnaa ko to yooN laga maano unki aakhir ummeed bhi ab jaati hai.. Bechaare man masos kar reh gaye..

idhar Kehkashaan ka bhi hostel me man lag gaya thaa, wo apne papa se roz shaam ko phone par baat karti, aur apne saare din ki baat kehti, use khush dekhkar Mukhtaar bhi sach maayne me bahot khush huye they, aakhir aulaad ki khushi hoti hi aisi hai ke maa baap ka jee khud ba khud pighal jata hai.. Ab unhe kisi baat ka na koi gham reh gaya aur na koi malaal bas Mutmaeen se ho gaye they, yaa yoon keh sakte hain ke unhone jeena seekh liya thaa..

Bas yoonhi Zindgi ne Naya Rukh le liyaa thaa, behad Maatam-pursi ke baad sabke Dil mutmaeen hue they, Haalaki agar dekhaa jaae to Zindgi me sukh dukh ka aana jaana to laga hi rahta hai magar Mukhtaar ki zindgi se agar mukhaatib hoeN to zyaadatar faisle khushiyon ki chaadar odhe hue aate aur jaate to ghamon ki lambi dhundh peeeche chhod jaate.

Ab Zindgi apni rawaani pe thi, Aadil ke bete hone se jahaan ek taraf Obaid house me khushiyon ki laher daud padii thee, aur Firoz saab ke bhi ghar pe aman aur sukoon ki ghataa chaa gayee thii, Samreen ke nikaah ke baad..
WaheeN Dusri taraf Kehkashaan ko bhi boarding me dalne ke baad Mukhtaar ne chain ki saans li, haalaki shiqve to unhe bahot they Zindgi se magar ab sukoon sabse zyaada is baat ka tha, ke Zindgii Rawaan hai, aur sab kuch apni raftaar se fir se pehle ki tarah chalne laga thaa..

Magar is kahaani ka ant yahaan pe hi nahi hona likha thaa, intezaar kareN agli kisht ka aur dekhen, fir kis tarah se Zindgi ka kaarwaan mukhtaar ko ek nae Raaste ek nai manzil ki taraf le jaata hai..

Filhaal ijaazat........... Phir Milenege..

Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 19th November 2012 at 05:24 PM..
   
Reply With Quote
Bhaagti kahaani me do Lamhe sukoon ke...
Old
  (#117)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Bhaagti kahaani me do Lamhe sukoon ke... - 22nd November 2012, 03:34 PM

Koi baat aesi kiya karo, koi lafz aesa likha karo,
Miley jis se dil ko qaraar sa, koi shair aesa parhaa karo,

Sadaa dukh main hi na rakha karo, kabhi sukh bhi us ko diya karo,
Yeh udaas hai keyi roz se, mere dil main aa ke raha karo,

Jo kathan kathan se hain rastey, yeh sabhi hain kyon mere wastey,
Yeh jo jal raha hoon main aag main kabhi tum bhi is mein jala karo,

Mujhe ab bhi teri hi aas hai, mera dil tumhare hi paas hai,
Hai yeh jaan tere hissaar mein is se meri jaan rihaaa karo,

Mera din ho ya meri raat ho, tere hath mein mera hath ho,
Abhi jese tum mere sath ho, yunhi sath mere chalaa karo..

NM

Shaad...
   
Reply With Quote
Part 27
Old
  (#118)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
Part 27 - 26th November 2012, 12:12 PM

Dekhte hi dekhte 15 saal beet gaye they, is beech kuch khatte aur kuch meethe pal Obaidullah house ke baashindo pe beete hain, Filhaal abhi aapko Sultanpur ki jaanib lekar chalta hoon jahaan bahot se naye puraane log aapke intzaar me hain..

Obaidullah Import Export ke Chairman Aadil Nazar jo ki kaafi kadak aur mizaaj ke sakht Insaan they, aaj kaafi khush mizaaji me Office aaye, sab ke istaqbaal ka badi narmi aur muskuraate hue jawaab diyaa.. Sab unke is naye rawaiye se kaafi hairaan they

pareshan na hoeN, kahaani koi duusri nahi, Ye janaab Aadil Nazar Apne wahi Aadil Miyaan haiN, jo kabhi itne shokh aur sharaarati huaa karte they, aaj is ohde pe baithne ke baad kaafi tabdeel ho chuke hain, Aadil ka karobaara itnaa badha ke International level pe unki company ne bahot achha Rutbaa aur naam qaayam kiyaa, Accha khaasa turnover hone laga, Aadil saahab ne bade paimaane me office ka kaam shuru kiya aur ab wo is Company ke Chaiman aur Managing Director bhi hain. Khair Waqt ki taaqat hoti hi aisi hai, aur 10 saal maayne rakhte hain kisi ki Zindgi ka takhta palat karne ke liye..

Asal me wajah hairaani ki ye thi, ke jo Aadil saahab kisi se seedhe muh baat na karte, har waqt gussa aur khaa jaane waale alfaaz unki zubaan pe hote they, aaj aisaa kya huaa ke wo khud chaashni bahaae hue chale aa rahe they.. "Bhai Rashid, hame to kisi baba ka chamatkaar lagta hai, warna ye miyaaN aur ye Nazaaqat..Mumkin hi nahi..."

"Sahi kehte ho faizaan , baat zaroor kuch na kuch hai.."
Rashid ke itna kehte hi ek taraf se Maherukh ne sabka dhyaan apni taraf ye kehte hue kheench liya..

"Agar koi Boss ke mood ka raaz jaan na chahae to shahzaadi maaherukh ki taraf mukhaatib hoe.."

Sabke chehere na chaahte hue bhi us cahanchal baala ki taraf takne lage...
"Pareshan hone ki baat nahi hai, aur na hi kisi baba ka chakkar hai faizaan miyaan, asal me baat ye hai ke aaj kareeb 15 saaloN ke baad janaab ke bade bhai aur ek behad khubsurat si bhatiji India waapas aa rahe hain, to bas isi wajeh se tevar kuch badle badle se nazar aa rahe hain.."

"Ohh to kon si badi baat hai, Tu na batati Rukh to hame wese hi pata lag jaana tha, tu khud ko zyada aqalmand na samajh." itna kehte hi faizaan ne uska mazaaq bahot zor se hans kar udaaya, to usne unhe khaa jaane waali nazron se ghooraa aur kaha, bete khair to tum apni manaao , boss ki ye narm dili bas kuch dino ki hai, aur waaps unhe waise hi ho jana hai, baad me main hi unki PA rahungi, bas phir tum apni kahir manana."

itna kehkar wo maare ghamand ke sar taan ke baith gai, aur yaqeenan uske is jumle ne rashid aur faizaan ko dara kar hi rakh diyaa, bechaare dono apne apne kaamo me chupchaap masroof ho gaye...

Idhar Aadil ke Saahabzaade usmaan bhi Masha Allah se kaafi bade ho gaye they, aur apne naye navele Obaid Castle me khushi khushi aur behad chahekte hue sab ke paas ja ja ke bas yahi sawaal poochte, bade Abba kaise hain? Kya Kehkashaan baaji bhi mujhe yaad karti hain aur bhi na jaane kya kya...??

(yahaan main bataana chahunga ke jaise jaise family badhne lagi aur waqt badalne laga to Zarurat thi naye ghar ki jisme jagah ke izaafe ke saath nai takneekiyon ki bhi zarurat thii.. Obaid saab aur Aamna ki bahot si yaaden us ghar ke saath judi hui theeN, isliye unhoene wo jagah chhod kar naya ghar jaane ka faisla wahin khatam kar diyaa magar Aadil ki is raay pe zaroor taiyaar ho gaye aur ghar me majeed tod phod, sajaawat aur kai imaarateN aur badhaa kar bilkul nayaa rang roop de diyaa gaya, Obaid House kab puraani haveli se Royal castle ban gayaa kisi ko apni aankhon pe yaqeen hi an aata tha.. )

Haan magar waqt ke badalne ke saath jahaan kuch naye log is parivaar me shaamil hue wahin kuch logoN se hamesha ke liye saath chhod diyaa.. barsoN se beemaar rahene ki wajaeh se pehle to Haajra taai Allah ko pyaari ho gayeeN, chand saaloN ke baad Ghar ke mukhiyaa yaani ke janaab Obaidullah saahab ka bhi inteqaal ho chukaa hai... Ye sab ki bayaani tafseel me bas is wajeh se na ho paai ke ye 15 baras itni jaldii beete ke kab is ghubaar me kuch ghar ki chhateN udd gayeen, kuch pataa hi na chal sakaa...

Khair, Is waqt ghar me sabse badii hain Daadi, jinke huqum ki sab aankh moond kar tameel karte hain.. Daadi koi aur nahi hamaari wahi Aamna bee hain, Usmaan ke dadi dadi karne se poore ghar aur aas pados me ab wo isi Naam se mashhoor ho chalee hain.. Aamnaa ki boodhi haddiyon me pahle jaisi wo jaan to ab baaki na rahi, magar majaal hai ke unki roubdaar aawaaz me nuqta bhar ki kami aai ho, ghar ki kaam-wali, naukraani aur bahueN ab bhi unke bulaane se tharra jaati hain..

Magar aaj na jaane sabke gusse aur fikr ko taala lagaa hua tha, poore ghar pe tyoharon jaisa mahol thaa, Parveen jahaan subah se pakwaano ki thal sajaa rahi thee, wahin Daadi ne bete ke aane ki khushi me muhalle bhar ko daawat de daali thee..

Still to come...............................

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#119)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th November 2012, 12:30 AM

Not even a single reply..... ???? i think ke ab koi ise padh hi nahi raha hai....???

Last edited by sameer'shaad'; 28th November 2012 at 12:35 AM..
   
Reply With Quote
part 28
Old
  (#120)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
part 28 - 10th December 2012, 02:59 PM

Idhar Flight Lucknow ke Amausi international Airport par land hone ja rahii thi,, wahin doosri taraf Kehkashaan aur Mukhtaar ki Zindgi bhi nai karwat lene ke liye utaaru hotee ja rahi thee.. Air port par Aadil aur driver unhe lene pahoch
gaye they, behad muhabbat se miley dono bhai, Kehkashaan ko dekha, to usne jhhatt se salaam thok diyaa chachu ko...

Aadil muskuraate hain aur kehte hain, "Walekum Assalaam, Masha Allah ye kehkashaan hai?? khudaa ki kasamm bhaijaan, main ise agar aapke saath na dekhtaa to shaayd pehchan hi na paata.."

raste bhar chachu bhatiji me bahot baateN huin, Mukhtaar bhi ab pehle se thodaa free ho gaye they, aur raste bhar unki nigaaheN baahar tiki raheeN, ye sochte jaate they ke ye wahi raste hain, jahaan unka bachpan beeta, in 15 saalon me sab kuch kitnaa badal chukaa thaa.. isi udhedbun me wo apne maazi me khoe hue na jaane kab neend ki aagosh me kho chuke they..
aur neend tab tooti, jab Aadil ne ghar ke gate khulwaane ke liye horn pe horn daag rahe they..

Neend khulte hi unki nazar pahle to us Aalishaan ghar ke gate pe padee, aur uske baad ghar ke name plate par , jis jagah pe kabhi "Obaid house" likhaa hota thaa aj wahaan "Obaid castle" likhaa huaa hai, unhone ise bhi waqt ka badlaaw samjhaa aur unki hairaan nazren, us naye gahr ko tatolne lageen..

Ghar pe sabne un dono ka istaqbaal kiyaa, aur kehkashaan ko sabne bahot pyaar diyaa, wo itnii pyaari thi ke Daadi ke muh se yahi nikal aaya, "Masha Allah, hamaari potee pe Noor khudaa ka utar aaya hai, Farhaa ki hubahoo nakal maloom padtee hai."
Wo bhi bas muskuraa deti hai aur apnii daadi se lipat jaati hai..

wahin thodii door pe khadaa usmaan jo ki apne bade abba aur kehkashaan baaji ke aane se pahle khushi se ucchal kood machaa raha tha, unke aa jaane ke baad bas chupchaap khadaa muh me unglii daale bas unhe dekhe jaa raha hai aur beech beech me na jaane kyaa soch muskuraa raha hai.. kabhi uske saamne se daudtaa kabhi cycle leke aa jaata, magar na to paas jaata na hi
baat kartaa..

Kehkashaan ki nazren Usmaan pe gayee to wo boli." Arre ye janaab kaun hain dekhe to.." itnaa kehnaa hi thaa ke wo daud lagaa kar andar bhaag gayaa.. sab uski is harkat pe hasne lage to Aamnaa balaaen lete hue kehtii hain, "bahot shararati baccha hai..Masha Allah.. ye hai to ghar pe raunak hai."

Kehkashaan behad tabdeel ho chukii thii, jawaani ka Noor us pe yoon utar aaya tha ke jo dekhtaa to bas dekhtaa reh jaata, jitna haseen naak naksha tha usse bhi zyaada khoobsurat uski baateN hoteeN.. kisi ko bhi apnee baaton se kab wo apnaa mureed kar le khabar hi na ho paati.. Magar dil ki badee nek thee, isiliye us raat jab sab khana peena khaa ke faarig hue to apne kamre me daadi ke paas baithi sabke liye jo gift lekar aai thee, wahi dikhaane me lagee thee..
is waqt Usmaan kehkashaan ke paas thaa, aur jo khilone wo uske liye lekar aai thee, use hi bahot shouk se dekhe jaa raha thaa..

Mukhtaar ko Abba ki kami bahot khatak rahii thee, lekin jab aadil ne unhe bataaya ke ab to haajra tai ke binaa bhi ye ghar kaatne daudtaa hai, to is baat ko ansunaa karte hue Mukhtaar unse karobaar ke silsile me baat karne lage... Aadil ne unhe badee ajeeb nazron se dekhaa magar apne dil ki baat labon tak laane ki unki himmat na ho sakee..

Ek shaam Aadil, kehkashaan aur parween ko lekar Firoz chachu ke yahaan chal diye, raste bhar kehkashaan ko bahot excitement rahaa apni nani ke ghar jaane ka wahaan bhi khoob dulaar kiyaa gayaa use.. Rukhsana jo ki apni nawaasi ko dekh kar pahle to use gale se lagaa kar khoob roin, magar fir uski khaatir me jo jo kiya use bataane me bahot waqt zaaya hoga...

Rukhsaana ne kaha, "Acchaaa hai tum log is waqt aa gaye, imraan ki bhi baat pakki ho gayee hai, aur Jumme ki shaam ko uski mangni tay ho gayee hai, main chahti hoon betaa tuu yahin rukk aur apne mamu ki mangni me shareeq ho.."
Itnaa sunte hi kehkashaaN chachek uthii, " kyaa Imran mamu ki mangni... wooww, arre mamujaan, zaraa tasweer to dikhaana hamari hone waali mumaani ki." is zindadil aur khushgawaar ladki ki baat sun kar imran ke gaalon pe sharam ki wo laali phooti ki koi ladki maat kha jaae... wo uth ke bhaahar jaane lagaa to Rukhsaana cheekheen, "Are Imraan ab bacchi zidd kar rahi hai to gulnar ki tasweer dikhaa de, aise bhaage kahaan jaa raha hai?"

"Jee Ammi" itnaa kehkar usne issharon se kehkashaan ko baahar bulaa liyaa.. Imran aur kehkashaan me umr ka farq to tha magar aisaa aksar hota hai ke chote mamu hamesha dost bankar hi rehte hain bhanje bhanjiyon ke..

"Wowww mamu hamaari mumaani to masha Allah kaafi khoobsurat hain, imran mamu kahin love shove ka chakar to nahi.." usne chutkee li to Imran ne daat diyaa, "dhatt paagal, teri naani ke hote aisaa ho paaega kyaa.." dono hasne lage.
isi guftgoo ke darmiyaan, imraan ne to gaur nahi kiya , magar us group photograph me ek chehraa aisaa bhi thaa jispe kehkashaan ki nigaaheN atak gayee theeN..

us sham to wo log lout gaye, magar 2 din baad hi kehkashaan apna bag uthaa ke naani ke ghar transfer ho chuki thee, 2 din ke baad Imraan ki engageMent thee, magar uski zidd thee ke wo thodaa pehle se jakar nani ki madad kare, ab wo sabki itnii chahetii ke uski baat koi taal nahi saktaa thaa, magar daadi ne kaha "betaa , tum akeli kya karogi, Zarro phuphi ko saath le jaao, tumhara bhi dil laga rahegaa.."

Asal me zareena bhi bhai se milne aa chuki thee, ashraf ne seedhe mangni ke din aane ka plan banaya tha, ke function bhi attend kiya jaaega aur Mukhtar bhai se mulaqat bhi ho jaaegii..

Mangni ka din bhi aaya, sab ladkiyaan khoob taiyaar ho ho ke pahochee Neel gagan hotel, jahaan pe program hona tay kiyaa gaya thaa, Firoz sahab ne sabke istaqbaal ki zimmedari uthai thee, Mukhtaar bhi unhi ke sath enterance pe khade they, dono taraf se log aa chuke they, aur ab kuch der me anguthee pehnaane ki rasm shuru hone ko thee..

kehkashaan ki nazren bhi kisi anjaan se shakhs ko dhundne me lagee thee, use to ye bhi nahi pataa tha ke wo shakhs yahaan aaega bhi ya bas ye uske dil ka wahem hai.. Achaanak se use ek dhakka lagaa aur wo ghoorti hui jaise paltee, saamne se aawaaz aai.." I am sorry miss, main dekh nahi saka." ye kehtaa hua wo badaa sa box jisme shaayd Phal aur mithaaiyaan theen, lekar aage badh gayaa..

kehkashaan ke muh me maano zabaan nahi, ye wahi to they janaab jinke intzaar me ek ek pal saalon ki tarah beet raha thaa, wo bas unhe ek Takk dekhti rahee, na kuch kahaa aur na hi shaayd kuch sunaa.. wo saaya ekdam se aage badh gayaa binaa is baat ka dhyaan diye ke uske guzar jaane se kisi ke biyabaan dil me bahaar aa chukii thee...

Function jab tak chalaa uski chor nazren kisi ko dhundteee raheen, magar wo aisaa gayab huaa ke fir na dikhaa, anguthi pehnaani ki rasm shuru ho chuki thee, dono taraf se mazaaq mastii chal rahi thee, koi keh raha tha ladka pehle pehnaae koi keh rahaa thaa ladki.. bas isi me dono party apne apne teer chood rahe they.. kehkashaan ne sabko shaant karaate hue kaha,

"Ladies first.."

sunte hi ek pal ke liye khamoshi chaai fir na jaane kahaan se aawaaz aai, "Gulnaar haaNth aage badhaao" kehkashan ki nazreN jaise hi ghoomiN stage ke peeche khada wo shakhs dulhan ke saamne aakar khadaa ho gayaa aur uska haath pakad ke Imran ke haathon me soup raha thaa, bina ye dekhhe ke kisi ki bechain nazren ab tak usi pe tikii hui hain, aur uskaa muh khulaa ka khulaa reh gayaa hai.... function bhar wo khamosh rahi aur is baare me kisi se baat nahi ki, magar uskaa dil use khaae jaa raha thaa, aur ye sawaal use paareshaan kiye ja raha tha, "aakhir ye shakhs kaun hai, aur isne kyaa jaadu kar diyaa hai tum pe kehkashaan???"

to be continued.........................................

Shaad...

Last edited by sameer'shaad'; 10th December 2012 at 03:13 PM..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com