Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
shehar hans rahaa hai
Old
  (#1)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
shehar hans rahaa hai - 5th September 2015, 12:33 AM

Kuch likha hai jo aap sab ke saath share kar rahi hu. please suggestion dijiyega agar kuch kamii reh gayi ho...................

Shehar hans rahaa hai, nagar hans raha hai
Meri galtiyo.n par safar hans raha hai

jahaa.n tak nazar meri jaati hai dekha
ye barbaadiyon ka kehar hans raha hai

Ye jeewan kathin hai yahi soch kar hum
jo marne chale to zehar hans raha hai

Zamee.n bhi hai chup aur chup aasmaa.n bhi
ye khamoshiyon ka bhanwar hans rahaa hai

Bohut shounk tha humko shayar banenge
Ghazal jo likhi to behar hans raha hai............


-Apki Dost
Sarika

Last edited by masti; 5th September 2015 at 12:35 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
5th September 2015, 05:23 AM

aadaab-o-namaste Sarika jee

aapki yeh Ghazal padhi aur majbooran, ba'daulat aapke sukhan, aapko daad-o-mubarakbaad diye bina "champat hona " gaNwara na hua to khaaksaar ki duaayeN aur daad tasleem farmaiiye


aapki Ghazal "taqreeban" beher meiN hai iske liye "alag se" khaas mubarakbaad qabuul farmaiiye, do-ek baateiN jo zabaan aur takkhayul-o-taGhazzul se ta'lluq rakhtii haiN aapse kehna chaahuNgaa, kabhi waqt ne ijaazat di to


ba-har-haal, Ghazal par aapki fiqr aur mehnat saaf zaahir ho rahi hai aur aap bilaa-shaq mubarakbaad ki haqdaar haiN, qabuul kijiye


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
dil se pasand aaye gazal
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Love dil se pasand aaye gazal - 5th September 2015, 09:17 AM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Kuch likha hai jo aap sab ke saath share kar rahi hu. please suggestion dijiyega agar kuch kamii reh gayi ho...................

Shehar hans rahaa hai, nagar hans raha hai
Meri galtiyo.n par safar hans raha hai

jahaa.n tak nazar meri jaati hai dekha
ye barbaadiyon ka kehar hans raha hai

Ye jeewan kathin hai yahi soch kar hum
jo marne chale to zehar hans raha hai

Zamee.n bhi hai chup aur chup aasmaa.n bhi
ye khamoshiyon ka bhanwar hans rahaa hai

Bohut shounk tha humko shayar banenge
Ghazal jo likhi to behar hans raha hai............


areeee wahhhhh bahut khoob

Bhabhi, likha hai jo tune fasana apne dil ka,
usey padke mand-mand dil mera hans raha hai

Pyari Sarika...bahuttttt khoobsurat likha hai tumne, padne meiN bhi majja aaya, bade flow meiN padi gye gazal...dil se pasand aaye sabhi ashiyaar.

yu hi liklhti rho aur bazm ki ronak badati rho.

pyar ke saath


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
5th September 2015, 10:37 AM

ghazal dil se nikle aur dil tak na pahunche aisa nahi ho sakta kabhi...bahut alag andaaz aur khayaal rahe sarika....aur jis tarah aapne pesh kiya hai....har ek sher dil chhoo gaya....

Daad qubool kijiyega....
Aati rahiye..
Likhti rahiye....aur khush rahiye.



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
5th September 2015, 01:33 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab-o-namaste Sarika jee

aapki yeh Ghazal padhi aur majbooran, ba'daulat aapke sukhan, aapko daad-o-mubarakbaad diye bina "champat hona " gaNwara na hua to khaaksaar ki duaayeN aur daad tasleem farmaiiye


aapki Ghazal "taqreeban" beher meiN hai iske liye "alag se" khaas mubarakbaad qabuul farmaiiye, do-ek baateiN jo zabaan aur takkhayul-o-taGhazzul se ta'lluq rakhtii haiN aapse kehna chaahuNgaa, kabhi waqt ne ijaazat di to


ba-har-haal, Ghazal par aapki fiqr aur mehnat saaf zaahir ho rahi hai aur aap bilaa-shaq mubarakbaad ki haqdaar haiN, qabuul kijiye


rab raakha
maikash
Ahaaa......................

Somebody should pinch me today.........................

Maikash bhaiyaa

Main humesha sochti thi ki aap kabhi to aaoge kuch bhi kehne aur phir lagta tha ki shayad aapko mera likha kuch bhi pasand nahi aata hoga iss liye itne saalo.n mein aap kabhi bhi nahi aaye.


AApne yaha.n aakar mujhe kitna motivate kiya hai aap ko andaaza nahi hai. main iske liye aapki shukrguzaar hun.

aapko jab bhi waqt mile to mujhe zaroor sikhaiyega mujhe bohut khushi hogi aur main apki shukrguzaar rahungi.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
5th September 2015, 01:35 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post

areeee wahhhhh bahut khoob

Bhabhi, likha hai jo tune fasana apne dil ka,
usey padke mand-mand dil mera hans raha hai

Pyari Sarika...bahuttttt khoobsurat likha hai tumne, padne meiN bhi majja aaya, bade flow meiN padi gye gazal...dil se pasand aaye sabhi ashiyaar.

yu hi liklhti rho aur bazm ki ronak badati rho.

pyar ke saath
Shukriya didi............

AApko mera likha pasand aa gaya meri mehnat safal huyi.

yunhi aate rahiye aur housla badaate rahiye.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
5th September 2015, 08:23 PM

nayaab , ajoobaa mojezaaaa..... waah waahh wahhhh kyaa kyaa kah doon samajh me nahii aa raha hai......

bahut accchaa lagaa aapka ye andaaz.... aur jaisaa ke bade bhai ne farmaaya muqammal behar me likha gayaa kalaam hai.......


kuch sher dil ke bheetar tak samaa gaye mere..... aur kaafi der tak unhe mahsoos kiyaa hai maine yaqeen maniyegaa......

Allah kare ho zoore qaam aur zyaadaa,.... khush rahen, salaamat rahen......

Aur likhtii rahen....

Shaad.....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
5th September 2015, 11:30 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
ghazal dil se nikle aur dil tak na pahunche aisa nahi ho sakta kabhi...bahut alag andaaz aur khayaal rahe sarika....aur jis tarah aapne pesh kiya hai....har ek sher dil chhoo gaya....

Daad qubool kijiyega....
Aati rahiye..
Likhti rahiye....aur khush rahiye.
Madhu aapke dil ko chuu gayi to matlab mera likhna safal raha.

Isi tarah aati raho aur apni meethi baaton se mehfil mein madhu gholti raho.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
5th September 2015, 11:34 PM

Ye jeewan kathin hai yahi soch kar hum
jo marne chale to zehar hans raha hai

Bohut shoq tha humko shayar banenge
Ghazal jo likhi to behar hans


Sarika jee..

Kia kahoon....! Aap ne kehny ky liye koi lafz chhodhy hon to kuch kahoon!

Tamam ghazal behtareen khayalaat aur ehsaasat ka majmoo'a hy...
Lajawab peshkash..

Wese to saary ashaar dil se nikly hue lagty hain
Lekin quoted ashaar jigar ky aar paar gaye..

Likhty rahiye.

Salamat rahiye..

Aapka.,


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")

Last edited by Hassan; 5th September 2015 at 11:37 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Amanush...
Tanhaa Raahi
Amanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Amanush...'s Avatar
 
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 54
6th September 2015, 12:02 AM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Kuch likha hai jo aap sab ke saath share kar rahi hu. please suggestion dijiyega agar kuch kamii reh gayi ho...................

Shehar hans rahaa hai, nagar hans raha hai
Meri galtiyo.n par safar hans raha hai

jahaa.n tak nazar meri jaati hai dekha
ye barbaadiyon ka kehar hans raha hai

Ye jeewan kathin hai yahi soch kar hum
jo marne chale to zehar hans raha hai

Zamee.n bhi hai chup aur chup aasmaa.n bhi
ye khamoshiyon ka bhanwar hans rahaa hai

Bohut shounk tha humko shayar banenge
Ghazal jo likhi to behar hans raha hai............
Very nice creation, Sarika Ji...! PaDh kar bahut accha lagaa, tah-e-dil se daad qabool kareiN...!

Ye sochkar har shay kis kadar haNs raha hai
Amanush bhi khushi se idhar haNs raha hai...!




Likhti raheiN aur apna khayaal rakheiN, ok...!

DuaaoN ke saath




Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai

  Send a message via Yahoo to Amanush... Send a message via MSN to Amanush...  
Reply With Quote
Bohat khoob!
Old
  (#11)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Bohat khoob! - 7th September 2015, 08:34 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Kuch likha hai jo aap sab ke saath share kar rahi hu. please suggestion dijiyega agar kuch kamii reh gayi ho...................

Shehar hans rahaa hai, nagar hans raha hai
Meri galtiyo.n par safar hans raha hai

jahaa.n tak nazar meri jaati hai dekha
ye barbaadiyon ka kehar hans raha hai

Ye jeewan kathin hai yahi soch kar hum
jo marne chale to zehar hans raha hai

Zamee.n bhi hai chup aur chup aasmaa.n bhi
ye khamoshiyon ka bhanwar hans rahaa hai

Bohut shounk tha humko shayar banenge
Ghazal jo likhi to behar hans raha hai............
Aadab Sarika ji

Bohat umda kalaam se nawaaza aapne bazm ko. Mubarakbaad! Padhi to iss par likhe bina raha nahiiN gaya.

Jaisa ke Maikash sahab ne kaha aapki Ghazal taqreeban behr meiN hai aur aapki sanwarti ghazalgoi ki misaal bhi hai. Haan ek do observations maiN aapse abhi share karna chaahuuNga.

Matle ke pehle misre meiN lafz shahar fit nahiiN ho raha hai kyuNki sahi lafz Shahr(without "a") hota hai aur aise meiN aapka misra bahr se Khaarij ho jaata hai. YahaN ke liye koi aur lafz socheN. Lafz 'galti' nahiN Ghalati hai. Misra bahr meiN hai. Khayal bohat achcha hai.


Teesre she ke Doosre misre meiN bhi lafz Zahr (without "a") hona chahiye. Isse karne se bahr ka masla ho jaata hai. Iss par bhi ghour kareN. Ye bhi khayal bohat achcha hai.


Aakhiri sher meiN shounk ko shauq kar leN. Aur agla misra badleN. Bahr "hota" nahiiN "hoti" hai.

Maine itna sab issliye likha ki aapke fikr aur lehje se maiN kaafi mutassir hua aur laga ke kyuN na ek khoobsoorat kalaam ko aur khoobsoorat banane ki baat ki jaaye. Ummed karta huuN aap tanqeed ka bura na maneiN gi. Mujhe ek umda shayra in the making dikh rahi hai.

Abhi filhaal yahi.

DuaoN ke saath

Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi

Last edited by prasaxena; 7th September 2015 at 08:39 PM..
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#12)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
7th September 2015, 09:54 PM

Sarika jee khoobsoorat ehsaas rahe aapki is rachna me
likhti rahen
duaon ke saath


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
7th September 2015, 10:14 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Kuch likha hai jo aap sab ke saath share kar rahi hu. please suggestion dijiyega agar kuch kamii reh gayi ho...................

Shehar hans rahaa hai, nagar hans raha hai
Meri galtiyo.n par safar hans raha hai

jahaa.n tak nazar meri jaati hai dekha
ye barbaadiyon ka kehar hans raha hai

Ye jeewan kathin hai yahi soch kar hum
jo marne chale to zehar hans raha hai

Zamee.n bhi hai chup aur chup aasmaa.n bhi
ye khamoshiyon ka bhanwar hans rahaa hai

Bohut shounk tha humko shayar banenge
Ghazal jo likhi to behar hans raha hai............
Speechless and proud of you



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#14)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
7th September 2015, 10:22 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Kuch likha hai jo aap sab ke saath share kar rahi hu. please suggestion dijiyega agar kuch kamii reh gayi ho...................

Shehar hans rahaa hai, nagar hans raha hai
Meri galtiyo.n par safar hans raha hai

jahaa.n tak nazar meri jaati hai dekha
ye barbaadiyon ka kehar hans raha hai

Ye jeewan kathin hai yahi soch kar hum
jo marne chale to zehar hans raha hai

Zamee.n bhi hai chup aur chup aasmaa.n bhi
ye khamoshiyon ka bhanwar hans rahaa hai

Bohut shounk tha humko shayar banenge
Ghazal jo likhi to behar hans raha hai............
Wah Sarika ji Wah bahut Khubsurat Ghazal Inayat Ki Appne. Iss Purasar intekhaab par merii jaanib se Dili Daad Qubool Kijiye, Umeed karta huN aise hi ahsaas baar bar padne ko mileNge...

Last edited by Harash Mahajan; 7th September 2015 at 10:24 PM..
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote
Old
  (#15)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
9th September 2015, 10:25 AM

Ise kehte hai shayri .. bohat hi aala .. bohat hi shaandaar.. praveen ji ki baaton se main ittefaq rakhta hun .. par wo language ki jaankaari ka abhaav se hai.. jise samajhne main waqt lagta hai.. beharhaal .. maine takneek pe nhi taula ise kyunki hindvi ke hisaab main aaj kal ki bhasha pe lete hue ye lajawab hai aur bohat hi kamaal hai.. meri aur se dher saari mubarakbaad

Sifar


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#16)
rajinderseep
Registered User
rajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud of
 
Offline
Posts: 748
Join Date: Oct 2009
Location: new york U.S.A.
Rep Power: 28
18th September 2015, 08:23 AM

originally posted by Sarika

Bohut shounk tha humko shayar banenge
Ghazal jo likhi to behar hans raha hai............

bahut khoob Sarika ji daad hazir hai.

Rajinderseep
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
24th September 2015, 06:00 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
nayaab , ajoobaa mojezaaaa..... waah waahh wahhhh kyaa kyaa kah doon samajh me nahii aa raha hai......

bahut accchaa lagaa aapka ye andaaz.... aur jaisaa ke bade bhai ne farmaaya muqammal behar me likha gayaa kalaam hai.......


kuch sher dil ke bheetar tak samaa gaye mere..... aur kaafi der tak unhe mahsoos kiyaa hai maine yaqeen maniyegaa......

Allah kare ho zoore qaam aur zyaadaa,.... khush rahen, salaamat rahen......

Aur likhtii rahen....

Shaad.....
aa
shukriya Shaad ji

Isii tarah housla badhaate rahiye.

Bohut acha lagaa apko yahaa dekh kar.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
24th September 2015, 06:05 PM

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
Ye jeewan kathin hai yahi soch kar hum
jo marne chale to zehar hans raha hai

Bohut shoq tha humko shayar banenge
Ghazal jo likhi to behar hans


Sarika jee..

Kia kahoon....! Aap ne kehny ky liye koi lafz chhodhy hon to kuch kahoon!

Tamam ghazal behtareen khayalaat aur ehsaasat ka majmoo'a hy...
Lajawab peshkash..

Wese to saary ashaar dil se nikly hue lagty hain
Lekin quoted ashaar jigar ky aar paar gaye..

Likhty rahiye.

Salamat rahiye..

Aapka.,

shukriya Hassan ji

Aap ne meri choti si koshis2h ki itni tareef ki ki dil khush ho gaya.

Umeed hai ki aapka saath aur prem isi tarah bana rahega.

Waise kaafi dino.n se apka koi kalaam humein padhne ko nahi mila to jald apni attendance lagaiye, humein intezaar rahega.



-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
24th September 2015, 06:08 PM

Quote:
Originally Posted by Amanush... View Post
Very nice creation, Sarika Ji...! PaDh kar bahut accha lagaa, tah-e-dil se daad qabool kareiN...!

Ye sochkar har shay kis kadar haNs raha hai
Amanush bhi khushi se idhar haNs raha hai...!




Likhti raheiN aur apna khayaal rakheiN, ok...!

DuaaoN ke saath


Shukriya Amanush ji

Apki tareef se ek nayi urjaa mehsoos ki maine. Housla badhaane ke liye shukriya.

aate Rahiye,likhte rahiye.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
24th September 2015, 09:58 PM

Wah Sarika ji.
Bohot baDhiya kalaam hua hai.
Daad qubuul farmeiN.
Aise he likhte rahiye.


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
29th September 2015, 02:51 AM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
Ahaaa......................

Somebody should pinch me today.........................

Maikash bhaiyaa

Main humesha sochti thi ki aap kabhi to aaoge kuch bhi kehne aur phir lagta tha ki shayad aapko mera likha kuch bhi pasand nahi aata hoga iss liye itne saalo.n mein aap kabhi bhi nahi aaye.


AApne yaha.n aakar mujhe kitna motivate kiya hai aap ko andaaza nahi hai. main iske liye aapki shukrguzaar hun.

aapko jab bhi waqt mile to mujhe zaroor sikhaiyega mujhe bohut khushi hogi aur main apki shukrguzaar rahungi.

Namaste Sarika behn,


ab dekho, is forum ka ithihaas gawaah hai ke maine aaj taq kisi bhi post par "rasmii" waah-waah darj nahiiN ki hai, picchle kuch saaloN se haalaat kuch aise rahe haiN, kuch kaarobaari aur kuch sehat ke mas'aley, ke forum par ba'qaayda haaziri nahiiN de paa raha hooN lekin phir bhi koshish karta hooN ke gaah-e-ba-gaahe aata rahuuN

sach maano, maine nazar-aNdaaz nahiiN kiya aur yeh tasleem karte hue mera kaleja phaTT raha hai ke maine tumhe pehle bohat hi kamm paDha hai,ab is meiN jo nuqsaan hua hai voh sar-a-sar mera hai tumhaara nahiiN hai kyoNke maiN tumhaari behtareen kaavishoN se mehroom raha, ek baat to tay hai ke gustaakhi dobaara bilkul bhi nahiiN hogi!

maiN tumhaari yeh Ghazal paDh kar jitna hairaan hua us se kahiiN zyada, bohat hi zyada, khush hua hooN

mashq jaari rakkho, mehnat aur lagan ek din raNg zaroor laate haiN


khush raho, bacchoN ko pyaar dena aur bhai saahab ko DaaNT


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#22)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
5th October 2015, 09:51 PM

Quote:
Originally Posted by prasaxena View Post
Aadab Sarika ji

Bohat umda kalaam se nawaaza aapne bazm ko. Mubarakbaad! Padhi to iss par likhe bina raha nahiiN gaya.

Jaisa ke Maikash sahab ne kaha aapki Ghazal taqreeban behr meiN hai aur aapki sanwarti ghazalgoi ki misaal bhi hai. Haan ek do observations maiN aapse abhi share karna chaahuuNga.

Matle ke pehle misre meiN lafz shahar fit nahiiN ho raha hai kyuNki sahi lafz Shahr(without "a") hota hai aur aise meiN aapka misra bahr se Khaarij ho jaata hai. YahaN ke liye koi aur lafz socheN. Lafz 'galti' nahiN Ghalati hai. Misra bahr meiN hai. Khayal bohat achcha hai.


Teesre she ke Doosre misre meiN bhi lafz Zahr (without "a") hona chahiye. Isse karne se bahr ka masla ho jaata hai. Iss par bhi ghour kareN. Ye bhi khayal bohat achcha hai.


Aakhiri sher meiN shounk ko shauq kar leN. Aur agla misra badleN. Bahr "hota" nahiiN "hoti" hai.

Maine itna sab issliye likha ki aapke fikr aur lehje se maiN kaafi mutassir hua aur laga ke kyuN na ek khoobsoorat kalaam ko aur khoobsoorat banane ki baat ki jaaye. Ummed karta huuN aap tanqeed ka bura na maneiN gi. Mujhe ek umda shayra in the making dikh rahi hai.

Abhi filhaal yahi.

DuaoN ke saath

Praveen
Bohut bohut shukriyaa Praveen ji

Aapne itna waqt nikala mujhe samjhaane ke liye, iske liye main aapki aabhaari. pichle ek mahine se thodi busy ho gayi hoon to computer se log in nahi kar paa rahi thi. aur mobile se zyada type nahi ho paata.

aapne jo kuch mujhe samjhaya wo mujhe samajh mein aaya aur waqt milte hi aise edit bhi karungi. tab tak aap bhi mujhe suggest kijiye agar correction aapke dimaag mein aaye koi.

isi tarah aate rahiye aur samjhaate rahiye. aap sabki nishaandehi hi to humein acha likhne ke liye prerit karti hai.

Sadar Aabhar.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
5th October 2015, 09:53 PM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
Sarika jee khoobsoorat ehsaas rahe aapki is rachna me
likhti rahen
duaon ke saath
Namaste Rajinder ji..

Bohut shukriya pasandagi ke liye.

Aate rahiye.

Radhe radhe


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
5th October 2015, 09:55 PM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Speechless and proud of you
Thank you Anu............................................... ...........


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
5th October 2015, 10:02 PM

Quote:
Originally Posted by Harash Mahajan View Post
Wah Sarika ji Wah bahut Khubsurat Ghazal Inayat Ki Appne. Iss Purasar intekhaab par merii jaanib se Dili Daad Qubool Kijiye, Umeed karta huN aise hi ahsaas baar bar padne ko mileNge...
Shuriya Harsh Sir.

Bohut khushi hoti hai jab aap aate hain aur tareef karte hain.

Mujhe acha laga ki aap ko pasand aayi meri koshish.

Mujhe khed hai ki aapka interview beech mein ruk gaya . mere sawaal karne ka mouka hi nahi aaya...


Aate rahiye..


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
5th October 2015, 10:04 PM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Ise kehte hai shayri .. bohat hi aala .. bohat hi shaandaar.. praveen ji ki baaton se main ittefaq rakhta hun .. par wo language ki jaankaari ka abhaav se hai.. jise samajhne main waqt lagta hai.. beharhaal .. maine takneek pe nhi taula ise kyunki hindvi ke hisaab main aaj kal ki bhasha pe lete hue ye lajawab hai aur bohat hi kamaal hai.. meri aur se dher saari mubarakbaad

Sifar
Thanks Kunaal,

Acha laga ki tumhe mera likha pasand aaya. aur sahi kahaa ki abhi bhasha par pakad kaafi kamzore hai. koshish karoongi aap sab se seekhne ki aur apne aapko improve karne ki.

Tumhari Bhabhi
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
5th October 2015, 10:07 PM

Quote:
Originally Posted by rajinderseep View Post
originally posted by Sarika

Bohut shounk tha humko shayar banenge
Ghazal jo likhi to behar hans raha hai............

bahut khoob Sarika ji daad hazir hai.

Rajinderseep
Bohut Bohut Shukriya Rajinder ji

Aap yaha aaye aur mera badaa housla badhaaya.

koshish karungi aage bhi kuch behtar likhoon.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
5th October 2015, 10:15 PM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Wah Sarika ji.
Bohot baDhiya kalaam hua hai.
Daad qubuul farmeiN.
Aise he likhte rahiye.
Bohut shukriya Saagar ji

aap aaye.......................

Bohut acha laga.

yunhi aate rahiye.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#29)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
6th October 2015, 12:00 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
Namaste Sarika behn,


ab dekho, is forum ka ithihaas gawaah hai ke maine aaj taq kisi bhi post par "rasmii" waah-waah darj nahiiN ki hai, picchle kuch saaloN se haalaat kuch aise rahe haiN, kuch kaarobaari aur kuch sehat ke mas'aley, ke forum par ba'qaayda haaziri nahiiN de paa raha hooN lekin phir bhi koshish karta hooN ke gaah-e-ba-gaahe aata rahuuN

sach maano, maine nazar-aNdaaz nahiiN kiya aur yeh tasleem karte hue mera kaleja phaTT raha hai ke maine tumhe pehle bohat hi kamm paDha hai,ab is meiN jo nuqsaan hua hai voh sar-a-sar mera hai tumhaara nahiiN hai kyoNke maiN tumhaari behtareen kaavishoN se mehroom raha, ek baat to tay hai ke gustaakhi dobaara bilkul bhi nahiiN hogi!

maiN tumhaari yeh Ghazal paDh kar jitna hairaan hua us se kahiiN zyada, bohat hi zyada, khush hua hooN

mashq jaari rakkho, mehnat aur lagan ek din raNg zaroor laate haiN


khush raho, bacchoN ko pyaar dena aur bhai saahab ko DaaNT


rab raakha
maikash
Kaise hain Bhaiyya,

Suna tha aapki tabiyat ke baare mein, apna khyaal rakhiye.

Arrey main gilaa nahi kar rahi thi apni khushi bayaa.n kar rahi thi. aapka aana mere liye bohut matter karta hai kyunki aap jaante hain ki main aur anu aapke kitne bade fan hoon...................

seriously, aap jo bhi likhte hain mere dil ki gehraaiyon ko choota hai. iss liye mann mein ye chahat hona to lazmi hai ki aap kabhi aayein chaahe daantne ke liye hi sahi, chahe sikhaane ke liye ya phir samjhaane ke liye hi sahi.

isi liye us din aapko dekh kar senti ho gayi thi........

Rab Raakha...........


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com