tujhi se hi hogi har baat umr bhar
rahega yu apna ye saath umr bhar
main ungli ko thaame, chalta rahun sanam
yun haathon mein rehne do haath umr bhar
falak se churaa lu main, taaro ko sabhi
ulfat ki agar ho barsaat umr bhar
salaamat hinaa.ii* mein, teri ab rahun
dua hai rahein yeh haalaat umr bhar
*color of Henna
hai do jism par hum ek jaan ho gaye
rahe ishq ke yeh jazbaat umr bhar
na beetein yeh lamhe din raat umr bhar
muhabbat ke goonje nagmaat umr bhar