Jaane kya baat hai....Nind nahi aati
Aur sapnae dastak de rahae hai...
Ek to kalam maie hai...shyahi kam
Aur jubaa.n bhi hai choop
Aise maie ...jaane kya baat hai
Man de raha hai dastak tere dar par
N saans le pati hu...
N saans bandh hoti hai...
Aise maie jaane kya baat hai
Yah kis safar par chalae hai ham
Tum ne yunh munh fer liya hai..
Jaise kabhi pahchan n thhi
Aur ham hai ki raah maie aankhe
Bichhayae hai....
Jaane kya baat hai...
Yah kis goonah ki saja hai
Jo hamne sar jookaye kubul ki
Sirf is liyae ki.....????
Yah aapne soonaai hai.
HI meena ji
how r u?
aap bohat acha likhti hain,,hamesha ki tarah yeh nazm
bhi bohat hob hay,,keep it up
hmain aap ki nazm ka ikhtitam bohat acha laga
YEH KIS GUNAH KI SAZA HAY
JO HAM SAIR JHUKAYE KABOL KI HAY
SIRF IS LIYE K,,,,,?
YEH AAP NE SUNAI HAY......
bohat khoob likte rahiye ga
khan banjara''''
banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
bahut hi accha likha hai apnee... padh kar meri... jaban chup si hoogai .. hai samaj nai ata iski tareef kaise karun..bahut hi accha.. likhe hai apne..specially these lines..-->
Tum ne yunh munh fer liya hai..
Jaise kabhi pahchan n thhi
Aur ham hai ki raah maie aankhe
Bichhayae hai....
Jaane kya baat hai...
Yah kis goonah ki saja hai
Jo hamne sar jookaye kubul ki
Sirf is liyae ki.....????
bahut khoob.. aise hi likhte rahiye...
Lamha Lamha...saSein Khatam hoo rai hai...
Zindagi Maut ke pehlu mein soo rai hai...
Us bewafa se na pucho meri maut ki wajah...
Woh to bus zamane ko dikhane ke liye roo rai hai...
jazbe ki sachchaaee aur alfaz ki masoomiat donon is nazm ka aur lagta hai aap ka bhi turra e imtiaz hain.
meena ji bohat khoob.
mein jo aksar kehta hoon shaiyeri ki naheen jaati hai, yeh khud ba khud hoti hai.
voh mein aise hi kalam ke baare mein kehtaa hoon.
alfaaz khud ba khud uterte hain aur nazam yah ghazal ho jaati hai.
bohat mehsoos ki jaane wali nazam hai yeh. umeed kerta hoon aisa hi aap likhte rahen gi.
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
27th May 2003, 01:24 PM
kitni sachchaii hai is kalaam me..
Sanam jo kahe manzoor karte,
Unki har baat sahi,
humara har sach ghalat,
Phir bhi hum unse pyaar karte,
Unki har baat swikaar karte.
Kitni sachchai hai
is kalaam me,
Sachchai khubsoorat hai,
is kalaam me.
Tareef qubool kijiyega Meena ji..
Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
afsanji,
aap ne meri nazam ko apna wakt diya.... apni raay di..oose saraha aapka tahe dil se shukria.
aapne to char line maie hi mera haal bayaan kar liya. aap ne sahi kaha...
jise pyaar karte hai oos ki sari baate sar aankho par ..
khan banjara ji,
jiiiiii jaroor maie likhti rahungi.... aap jaise dosto ke bich aa kar meri nazam ko jo jivan milta hai... oosi ke huaslae se maie likhti rahungi...
varinderji,
aap ne meri nazam ko saanse di hai ... meri nazam dil ko chhu jaati hai yah kaha aapne... aap sahi ho.. dil se tees oothh ti hai aur jo bhi kalam par ootarta hai aap jaise dost oonhe saans dete hai aur meri nazam ji jaati hai. ab hamesha aapki raah maie rahungi.... salaah bhi dijiyaega.
hi meena ji
kya ehsas hain aapke...bahot khoob...dil ko choo
lene layeq likha hai aapne...
kabhi kabhi to aisi ghazal padhne ko milti hai....
keep writing
take care....