Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
suroor-e-nazar, wajd-e-qalb-o-jigar ho to ghazal hoti hai
Old
  (#1)
fersahab
Registered User
fersahab is a jewel in the roughfersahab is a jewel in the roughfersahab is a jewel in the roughfersahab is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 82
Join Date: Oct 2002
Location: india
Rep Power: 26
suroor-e-nazar, wajd-e-qalb-o-jigar ho to ghazal hoti hai - 8th July 2004, 07:38 PM

Azeezaan-e-mehfil, nacheez ka aadaab qubool farmaayen, guzashtaa dinon mohtaram irfan sahib ne ek dil-kash zameen maen apne hi makhsus andaaz maen ek shaandaar ghazal pesh ki aur yakbayak deegar shohraa ne bhi is par taba-aazmayee ki ….….maen amooman taba-aazmaayee se gurez karta hun lekin pata nahi is martaba be-ikhteyaar tabiyat is jaanib mael hui … …aur nateejan ek ghazal tashkeel paayi …..aap sabhi se pur-khuloos darkhwaast hai k apni besh-qeemti araa, tabsire, tanqeed-o-islaah se bharpur nawaaziyegaa…….inaayat hogi ……haalanke maine sahal alfaaz istemaal kiye hain phir bhi baaz doston ke liye sahulat ka baais bane….. lihaazah chand alfaaz ke maine bhi darj kiye hain…...maen hamesha hi ke manind muntazir-o-mamnuun rahungaa……......




suroor-e-nazar, wajd-e-qalb-o-jigar ho to ghazal hoti hai
kuch is tarah ki kaifiyaat se guzar ho to ghazal hoti hai

badli maen chipa nazar aata qamar ho to ghazal hoti hai
zulmat-e-shab maen umeed-e-sahar ho to ghazal hoti hai

kuch faiz-e-khudaai kuch fikr-o-nazar ho to ghazal hoti hai
kuch aisa muqaddar, kuch aisa hunar ho to ghazal hoti hai

gham-e-hastee kaa tanhaa safar ho to ghazal hoti hai
dil gham-zadaa aur diidaa-e-tar ho to ghazal hoti hai

raahat-e-shorish-e-zeest muyassar ho to ghazal hoti hai
aaghosh maen khalvat ke jo ghar ho to ghazal hoti hai

harsoo sanaatta na apni khabar ho to ghazal hoti hai
saaye se bhi apne lagtaa dar ho to ghazal hoti hai

raah-e-bekhudee kaa koi safar ho to ghazal hoti hai
manzil bhi apnee teri raahguzar ho to ghazal hoti hai

radeef bhi ho qaafiya aur behr ho to ghazal hoti hai
ehsaas tahreer kaa koi daftar ho to ghazal hoti hai

aap puchtey hain kyun aisaa agar ho to ghazal hoti hai?
jee haan, tamaam baaton kaa asar ho to ghazal hoti hai

Jis bazm maen ham jaison ka basar ho to ghazal hoti hai
Qaari ho tumsaa shayar agar fer ho to ghazal hoti hai


chand alfaaz ke maine:
suroor-----joy
wajd------ecstasy
qalb----heart
kaifiyat----condition
qamar---moon
zulmat-e-shab-----darkness/oppression of the night
faiz-e-khudai---grace/blessing of god
fikr-o-nazar-----deep introspection
hunar----skill
shorish-e-zeest------turbulence of life..
muyassar-----to obtain
aaghosh----embrace
khalvat-----solitude
gham-e-hastee----sorrows of life
gham-zadaa------grief stricken
diidaa-e-tar----moist eyes
bekhudi-----rapture
raahguzar----a path
sanattaa-----howling wilderness
harsoo----every direction
radeef-----after qaafiya
qaafiya----rhyme
behr-----meter
tahreer-----description
daftar------ register/collection
qaari-----reader
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 34
8th July 2004, 09:45 PM

Aadaab,
Bohot khub, dilse shukriya aur dilse nikli houi Daad ko bhi kubool kijiyega...jee haan, ab bilkul samajh aa gaayi hain ke Gazal kisse kehte hain. Badehi khubsurti se aapne alfazon ka istemal ki hai,
Younhi likhte rahiyega. Aur haan, kuch kami rehgaayi thi...Gazal ke sath phool bhi honi chahiye...for your writing some flowers....... white Lily theek rahegi... Mujhe bohot pasand hain.......Khush rahiye yeh Duwaon ke sath ijaazat chahoungi. Take care. God bless you. Allah Hafiz.

Keep smilling.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Lab khaamosh rehte hai Nazar se baat hoti hai...! naresh_mehra110 Shayri-e-Ishq 34 21st February 2010 08:06 AM
Kab hoti hai mayasaar-e- nazar teri ajay nidaan Anjuman-e-Shayri 0 9th October 2009 10:55 AM
Jalwa baqadr-e- zarf-e-nazar dekhte rahe...... by JIGAR M. dard_aashna Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 15th October 2006 05:44 PM
suroor-e-nazar, wajd-e-qalb-o-jigar ho to ghazal hoti hai fersahab Aapki Shayri 1 19th July 2004 10:12 AM
suroor-e-nazar, wajd-e-qalb-o-jigar ho to ghazal hoti hai fersahab Shayri-e-Ishq 0 8th July 2004 07:34 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com