Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 6 votes, 5.00 average. Display Modes
Father ki Yaad Main
Old
  (#1)
Abid_Majaaz
Registered User
Abid_Majaaz will become famous soon enough
 
Abid_Majaaz's Avatar
 
Offline
Posts: 40
Join Date: Apr 2010
Location: Peshawar Pakistan
Rep Power: 0
Father ki Yaad Main - 9th July 2011, 06:10 PM

Beethi Zindagi main mehrbaan Paapa tha,
Meri Raat-o- Nagehbaan Paapa tha,
Kuch to Ammi Ki Mehrbaani thi,
Kuch meri Rooh o Jaan Paapa tha,
Meri Khuahishon Pe Qurbaan hazaar baar,
Aur wajood pe bhi Qurbaan Paapa tha,
Main to kuch bhi na tha na pehchaan thi meri,
Meri zameen mera Aasman Paapa tha,
Wo parhaya bhi mujhe wo likhaya bhi,
Meri chaahat ka kaarwan Paapa tha,
Mera kaaba mera imaam paapa tha,
Meri Azmat ka ik Nishaan Paapa tha,

Mere Paapa tujhe Salam kehta hun,

Khud ko main tera Ghulaam kehta hun,

Teri ULfat main ek sakoon sa tha,
Tere Ghussay main ek junoon sa tha,

Teri Chaahat main Raahnumayi thi,
Tere ghussay main bhi bhalayi thi,

Phir na jaane ye kya howa mujhko,
Shikva Paapa se bhi howa mujhko,

Apne Paapa ko main bhool gaya,
Apni dhun main hi mein jhool gaya,

Apne baazo ki taaqatein dekh kr,
is khushi se hi main phool gaya,

Phir main logon ko bhi gur sikhane laga,
Apne Paapa ko rasta dikhane laga,

Haaye meri bewaqofi k kehne hain kya?
Apni jannat ko main Aazmane laga,

Jisko dekhne ka Sawaab tha Haj jesa,
Ab usi Baap ko main Satane laga,

Mere Allah meri badnaseebi ko dekh,
Apni Ammi ko bhi main Rulane laga,

Ab mujhe hosh Aaya to kya faayida??
Mera Paapa to dunya se Jaane laga,

Apne Paapa k Paaon main jhukte Raho,
Main sabhi ko ye Naghme Sunane laga,

Khuda sb k Paapa ko Salamat Rakhe Majaaz,
is Dua main,main jeevan bitaane laga,

Roshni Sooraj ki Mehtaab Paapa tha,
Meri Khaatir to Betaab Paapa tha,

Kuch to Ammi ki Mehrbaani thi,
Kuch meri Rooh o Jaan Paapa tha...

The Poet;
Abid Afzal Majaaz S/O Khana Gul..Now a days Teaching in Al Khalid Grammar High School Karachi Pakistan.
Poetry book:
"Adhuray Khwaab"
Email:
AbidAfzal2011@gmail.Com
Phone:
+923149815410.
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com