Mere collections se dosto - 53 -
24th August 2011, 04:48 PM
Zindagi hasin hai zindagi se pyar karo
hai raat subah ka intzaar karo
vo pal bhi aayega jiska intzaar hai aapko
rab par bharosa aur waqt pe aitbaar karo.
---
Lage na nazar is rishte ko zamane ki
pade na zarurat kabhi ek dujhe ko manane ki
tu na chhodna dosti kaa saath
varna tamanna na rahegi fir koi dost banane ki.
---
Kisi dard ko sambhal pana aasan nahi
haste huye har pal bitana aasan nahi
zindagi me har koi dil me bas nahi pata
aur jo bas jaye usko bhula pana aasan nahi.
---
Pyar se pyar karna ek nasha hai
dild deke dil lena bhi ek nasha hai
dil me dard to hota hi hai
magar us dard ko pina bhi ek nasha hai.
---
Har diya aapki dehleez pe jala kare
har phool aapke angan me khila kare
aapki zindagi ka safar ho itna hansi
ki har khushi aapke sath chala kare.
---
Uski khamoshi se dar sa lagta hai
dur na ho jaye aisa kyo lagta hai
duniya se cheen lene ka housla hai mujhe me
lekin wo saath na denge aisa kyo lagta hai.
---
Yado me aane wale tera sukriya
dil ko bahelane wale tera sukriya
kyo karta hai aaj ke zamane me itni dosti
hame dost kahene wale tera sukriya.
---
Ishq dariya hai jiska sahil nahi hota
har dil mohabbat ke kabil nahi hota
rota wi bhi jo duba ishq ke sagar me
or roya wo bhi jise ishq haisl nahi hota.
---
Kuch pal zindagi ki tasveer ban jati hai
or kuch pal se zindagi ki tasveer badal jati hai
kisi ko pake kabhi khona mat mere yar
ek judaai se zindagi yado ki zanjir ban jati hai.
---
Bhula de koi to dil tut jata hai
tod deti hai yade jab apna koi samjh nahi pata hai
such kahte hai duniya wale
insaan dimag se nahi dil se haar jaata hai.
---
Hamari khamoshi hamari aadat hai
in duriya me bhi hamari chahat hai
hamari zindagi agar khubsurat hai
to uski wajah aapki muskurarahat hai.
---
Ham maujood the raat me ujaalo ki tarah
unhone dhuda hi nahi dhudne walo ki tarah
dil to kya ham ruh me utar gaye hote
unhone chaha hi nahi chahane walo ki tarah.
Ajay Nidaan (09630819356)
http://www.anidaan.@gmail.com
All right reserved with Poet@Ajay nidaan
Kisi ek chehare ki talash me bhatakti rahee zindagi
par mila nahi zindagi ko apni pahchaan ka chehara.
|