pattaa pattaa buutaa buutaa - "Mir" Taqii Mir -
21st October 2013, 09:28 AM
-- 4th Sheyr really impressed me. Kya khub farmaaya hai "Mir" saab ne!
Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai
Chaaragari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin
Warna dilbar naadaan bhi is dard ka chaara jaane hai
Mehr-o-wafa-o-lutf-o-inaayat, ek se waaqif in mein nahin
Aur to sab kuch tanz-o-kanaya, ramz-o-ishaara jaane hai
Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai
Aashiq saa to saada koi aur na hoga duniya mein
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai
Aashiq to murda hai hamesha ji uthta hai dekhe use
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai
Kya kya fitne sar par uske laata hai maashooq apnaa
Jis bedil betaab-o-tavaan ko ishq ka maaraa jaane hai
Tashna-e-khun hai, apna kitna 'Mir' bhi naadaan, talkhi-kash
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai
~"Mir" Taqi Mir
ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता
|