Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Old
  (#1)
koi to ho
Registered User
koi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to behold
 
koi to ho's Avatar
 
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 31
Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya - 14th June 2008, 01:45 PM

Kahan aakey Ruknay thaay Rastey,Kahan Morr thaa usey Bhool Ja
Vo jo Mil Gaya usey Yaad rakh,Jo nahin mila ,Usey Bhool Ja

Vo Teray Naseeb ki Baarishein kisi Aur chatt pay baras gaein
Dil-e-Bekhabar meri baat Suun,Usey bhool ja ,Usey bhool ja

Mein tou Guum thaa teray he Dihan mein,Teri Aas Teray Guman mein
Saba keh gaye hai Meray Kaan mein,Meray Pass aa usey bhool ja

Kisi aankh mein nahin Ashke gham,Teray baad bhi nahin hai Kamm
Tujhay Zindagi nay Bhula Diya,Tu muskura Usey bhool ja

Na Vo Aankh hi teri aankh thee,Na Vo khwab hi tera khwab thaa
Dil Muntazir hai tu kis liye Tera jaagna ,Usey bhool ja

Ye Jo Raat Din ka hai Khail sa,Usey daikh kay Uus pay yakeen na ker
Nahin Aks koi bhi Mustakil Sarr-e-Aaena usey bhool ja

Vo Jo Bisat-e-Jaan he ulat gaya ,Vo jo raastey say Palat Gaya
Usey rokney say husuul kiya ,Usey matt Bula usey Bhool ja


..............................

Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya

Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya

Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya

Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya

Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya ...

.....................

yahi bahut hai ke dil us ko Dhoondh laya hai
kisi ke saath sahi vo nazar tu aya hai

karoon shikayatien takta rahoon ke pyar karoon
gaye bahar ki soorrat vo laut aya hai

woh samney tha magar ye yaqeen na ata tha
woh app hai ke meri Khahishoon ka saya hai

azab hein ke kaisey hein barishein kya hein
faseel-jism giri jub to hosh aya hai

main kya karoon ga agar woh na mil saka 'Amjad'
abhi abhi mere dil mein Khayal aya hai


..................................................

muhabbat zaat hoti hai
muhabbat zaat ki takmeel hoti hia
koi jungle main ja therey kisi basti main bas jaye
muhabbat sath hoti hai
muhabbat khushboouon ki ley
muhabbat mausamon ki dhun
muhabbat aabshaaron ke nikherte paniyon ka mann
muhabbat junglon main raqskerti morni ka tann
muhabbat chilchilatey garam sehraaon main thandi chaoon ki manand
muhabbat baraf parrti serdiyon main dhoop banti hai
muhabbat dil muhabbat jaan
muhabbat rooh ka dermaan
muhabbat moorti hai
aur kabhi
dilke mandir main kahin pe toot jaye to
muhabbat kaanch ki gurriya
aur fizaoon main kisi kehath se gar choot jaye to
muhabbat aabla hai karb ka
aur phoot jaye to
muhabbat rog hoti hai
muhabbat sog hoti hai
muhabbat sham hoti hai
muhabbat raat hoti hai
muhabbat jhilmilati aankh main bersat hoti hai
muhabbat neend ki rut main haseen khuwab ke raaste per
sulagte jaan ko aatey ratjagon ki ghaat hoti hai
muhabbat jeet hoti hai muhabat maat hoti hai
muhabbat zaat hoti hai.........!!!!!


................................

boson ki halawat se jab hont sulagte hon
saanson ki tamazat se jab chand pighalte hon
aur haath ki dastak per
jab band quba uske khulne ko machalte hon
Ishq aur hawas ke beech kuch farq nahi rehta
kuch farqagar hai bhi uswaqt nahi rehta
jab jisam karain batain dariya bhi nahi behta
main jhoot nahi kehta
aye shaam gawahi de..............!!!!


jo tumne thaan li hai
humare dil se nikloge
to itna jaan lo pyare
samander saamne hoga agar saahil se nikloge
sitarey jin ki aankhon ne humain aik sath dekha tha
gawahi dene ayenge
purane kaghazon ki balcony se bohat selafz jhankainge
tumhe wapis bulayenge
kaye waade fasadi qarz khuwahon ki tarah raastey main rokainge
tumhe daaman se pakrrainge
tumhari jaan khayenge
chupa ker kis tarah chehra
bhari mehfil se nikloge
zara phir soch lo jana
nikal to jaoge shayad
mager mushkil se nikloge




Amjad Islam Amjad


Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin

Last edited by koi to ho; 14th June 2008 at 01:53 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
mudassir
Registered User
mudassir is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 10
Join Date: Jun 2008
Rep Power: 0
14th June 2008, 11:56 PM

salaam, h r u. bohat khubsoorat hai
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
koi to ho
Registered User
koi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to behold
 
koi to ho's Avatar
 
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 31
17th June 2008, 12:06 PM

Quote:
Originally Posted by mudassir View Post
salaam, h r u. bohat khubsoorat hai
wasalam shukriya


Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Prince Jain
Registered User
Prince Jain is a jewel in the roughPrince Jain is a jewel in the roughPrince Jain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 417
Join Date: May 2008
Location: Gamoo Kay Saath
Rep Power: 18
17th June 2008, 01:58 PM

h r u all
Shayad fir se wohi takdir mil jaye,
jiven ka sab se hasin wo pal mil jae....
Chal fir se banaye sagar kinare ret ka makan,
Shayad vapis apna BACHPAN MIL JAYE.......
prince


"MAY AUR MERI TANHAIA "
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 21
18th June 2008, 06:26 PM

gr8 sharing


ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Old
  (#6)
koi to ho
Registered User
koi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to behold
 
koi to ho's Avatar
 
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 31
20th June 2008, 09:01 PM

shukriya aap sab ka


Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Laut Kar Aaya Hoon Phir Woh Gali Aashique Shayri-e-Dard 9 8th December 2010 06:26 PM
wo jab aaya kabhi nazam kabhi gazal ban ke aaya rajveeer Shayri-e-Dard 15 27th June 2008 03:24 PM
Na jaane kyun woh khauf phir lauT ke aaya... chaahat Shayri-e-Dard 7 3rd September 2006 06:51 AM
mai laut aaya MAI Aapki Shayri 0 26th July 2006 01:00 AM
*~*Pyaar Karne Waalon Ka Din Aaj Phir Laut Aaya Hai*~* farhana Shayri-e-Dard 12 18th February 2006 01:04 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com