Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri Ki Paathshaala

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 30 votes, 4.87 average. Display Modes
Old
  (#81)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
30th July 2011, 02:13 AM

Quote:
Originally Posted by abdulqadeert View Post
aadab ,,,

yahan sub ne gaagar me sagar bhar diya hai ,, yaqeenan ye thread layaq-e-sad sataish hai ,, taham intezaar ab bhi sahebe ghazal ka baaqi hai jiske baad humse mubtadi o talib-e-ilm hazrat ke ilm kasrat se izafa hone ke imkanat hai ,,

masood bhai aur zidd bhai ka nazriya apni jaga bilkul durust hai ,, ab maikash sahab se bhi adban guzarish hai ke jald az jald apna tabsere yahan chaspa kare.N taake sabhi hazrat chai.N ki saan's aur mustafeed o mahezooz ho sake ...allah sub ko shad o aabad rakhe ...


khadim ul khaddam

qadeertoopchi


aadaab Qadeer saheb


maiN faqat taalib-e-ilm huuN, puraani Ghazal hai aur jaisa ke ehbaab ko shubah hai har misra khaariz-az-beher hai ab chooNke maiN taKhtee ke istemaal se na'waaqif huuN isliye maine yeh Ghazal ustaad-e-muhtarim ke paas islaah ke liye bhej di hai, kal raat un se phone par guft'gu bhi hui, ab adab ka taqaaza hai ke maiN israar ki baja'ye zabt se kaam luuN

dostoN se iltijaah hai do-ek din ka waqt deiN, unka jawaab jaise hi aayega maiN yahaaN chaspaaN kar duuNga


bohat shukriya


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#82)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
30th July 2011, 05:23 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
taslee'maat masood bhai


aapki inaayat hai bhai jo mujh na'ehl ko itni izzat se nawaaz rahe haiN go aapke lehje meiN jo taQalluf nazar aaya voh zara sa chubh raha hai bara-e-mehr'baani paraaya na samjheiN


aapki daad aur duaayeiN sar-aaNkhoN par

khuda ne chaaha aur tabiyat ne saath diya to aage baat hoti rahegi



rab raakha
maikash

aadaab
maikash bhai ... takalluf ka dar aanaa eyk amr e fitree thaa aouwal ki ham donon me kabhi koi mokhaatebat na huyi is liye eyk dosrey ke taqreeban mezaaj naa aashnaa hain ,,,,,, doosreey baat ,,,,, main hun bhi to luknow ke atraaf kaa to aisaa ho jaanaa koi baeed az qeyaas baat nahi ...... waisy main apnet rab ka shukr adaa jarta ahun ki main har shaayir ko apnaa samajhtaa thaa hun is waastey aap bhi merey apney hain ,,, taaham abhi to guftagoo ka aaghaaz hai shaayad ham be takallufee ki tamaam hodood phalaaNg jaayen .... bahar haal main aap ko dobarah is qadar khoobsoorat nacr pe mobaarak baad detaa hun ... sacchi me aap is ke mustahiq hain
masood
   
Reply With Quote
Old
  (#83)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
30th July 2011, 05:25 AM

Quote:
Originally Posted by abdulqadeert View Post
aadab ,,,

yahan sub ne gaagar me sagar bhar diya hai ,, yaqeenan ye thread layaq-e-sad sataish hai ,, taham intezaar ab bhi sahebe ghazal ka baaqi hai jiske baad humse mubtadi o talib-e-ilm hazrat ke ilm kasrat se izafa hone ke imkanat hai ,,

masood bhai aur zidd bhai ka nazriya apni jaga bilkul durust hai ,, ab maikash sahab se bhi adban guzarish hai ke jald az jald apna tabsere yahan chaspa kare.N taake sabhi hazrat chai.N ki saan's aur mustafeed o mahezooz ho sake ...allah sub ko shad o aabad rakhe ...


khadim ul khaddam

qadeertoopchi

ahlan ahlan ahlan yaa shaikh
tum aa gaye ho to noor aa gayaa hai
bhai apnaa to kahnaa yahee hai ki seekhtey raho jahaan se bhi miley
rab raakhaa
allah haafiz
   
Reply With Quote
Old
  (#84)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
24th October 2011, 02:35 AM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post
aadaab
maikash bhai ... takalluf ka dar aanaa eyk amr e fitree thaa aouwal ki ham donon me kabhi koi mokhaatebat na huyi is liye eyk dosrey ke taqreeban mezaaj naa aashnaa hain ,,,,,, doosreey baat ,,,,, main hun bhi to luknow ke atraaf kaa to aisaa ho jaanaa koi baeed az qeyaas baat nahi ...... waisy main apnet rab ka shukr adaa jarta ahun ki main har shaayir ko apnaa samajhtaa thaa hun is waastey aap bhi merey apney hain ,,, taaham abhi to guftagoo ka aaghaaz hai shaayad ham be takallufee ki tamaam hodood phalaaNg jaayen .... bahar haal main aap ko dobarah is qadar khoobsoorat nacr pe mobaarak baad detaa hun ... sacchi me aap is ke mustahiq hain
masood
Masood bhai aadaab,


adab ka taqaaza tha ke maiN aapke khat ka jawaab fauran se peshtar haazir karta go haalaat kuch aise the ke waqt na mila....tah-e-dil se mazrat'khwaa huuN

aapne jis apne-pan ka hawaala diya dil ko bohat achcha lagaa aur yaqeenan aap ek suljhi hui shaKhsiyat ke maaliq haiN is liye aapse muKhaatib hote hue bhi faKhr mehsuus ho raha hai

ummiid karta huuN ke ab taqalluf aaRhe nahiiN aayega


mehfil meiN ab se shikrat baqaayda ho iska iraada to kiya hai aage dekhiye ooNth kis karvaT baith'ta hai, ummiid hai aapse mulaqaat hoti rahegi


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#85)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
25th October 2011, 05:08 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
Masood bhai aadaab,


adab ka taqaaza tha ke maiN aapke khat ka jawaab fauran se peshtar haazir karta go haalaat kuch aise the ke waqt na mila....tah-e-dil se mazrat'khwaa huuN

aapne jis apne-pan ka hawaala diya dil ko bohat achcha lagaa aur yaqeenan aap ek suljhi hui shaKhsiyat ke maaliq haiN is liye aapse muKhaatib hote hue bhi faKhr mehsuus ho raha hai

ummiid karta huuN ke ab taqalluf aaRhe nahiiN aayega


mehfil meiN ab se shikrat baqaayda ho iska iraada to kiya hai aage dekhiye ooNth kis karvaT baith'ta hai, ummiid hai aapse mulaqaat hoti rahegi


rab raakha
maikash

koi baat nahi bhia masroofiyat kisee ko bhi pesh aa saktee hai main to yahee kahun gaa aap aaye bahaar aayi
   
Reply With Quote
shayri .. ek khushnuma safar
Old
  (#86)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
Smile shayri .. ek khushnuma safar - 8th March 2013, 07:49 PM

adaab dostoN ..

bahut dinoN se dil meiN kuch baateiN thi jinhe aap saahebaan ke saath baaNtna chaah raha tha ..

mere shayri ke safar ko kareeb kareeb 17 saal hone waale haiN aur apne tajurbe se maine jo seekha kahiN na kahiN mera farz banta hai ki maiN use aap dostoN ke saath baaNtuu ..

yahaaN maiN ek baat saaf karna chaahunga ki maiN kisi ko kuch bhi sikhaane ki koshish nahi kar raha huN
haaN ..shayri ka safar shuru karne wale kisi bhi dost ko agar iss se faaida hota hai to mere liye ye fakR ki baat hogii


shayri naam zehan meiN aate hi ek alag sii romaaniyat aur khoobsoorat juzbaat ka aihsaas aapki shakhsiyat meiN juzb hone lagta hai ..

shayri ki iss buzm meiN mauzood har sukhanwar apne aap meiN Qaabil e taareef hai kyuN ki duniya meiN har shakhs ko ye aamad nahi ki vo apne dil ki baat shayri ke zariye bayaaN kar sake aur agar aap khudgo( shayar ) haiN to yaQeenan khuda ne aapko iss duniya meiN makhsoos rakha hai !

badi zaahir sii baat hai ki har cheez ko karne ka ek Qaaida hota hai to issi ke chalte shayri ke bhi kuch adaab haiN

amoonan .. SHER , QITA , GHAZAL aur NUZM shayri meiN sabse zyada pasand kii jaane waalii kism haiN

mere khyaal se jo aihbaab parhne ke saath saath khud bhi shayri karna chaahte haiN unhe shuruaat sher aur Qita kahne ki koshish karni chaahiye !

wajeh maiN saaf karna chaahunga ..

sher meiN 2 misreiN ( lines ) hote haiN aur unhi meiN apnii baat kahnii hoti hai ! to mere khyaal se chote se shuruaat karna zyada asaan hai ..

sher kahne ke kuch Qaaide haiN jinpe zaroor tavajjoh chaahunga

(1) sabse pehli aur zaroori baat ki sher ka mazmoon hona chaahiye ..
mani aap jo sher kah rahe haiN uska kuch matlab nikalna chaahiye !

(2) sher ke dono misre ek hi beher (rythem) meiN hone chaahiye !

(3) sher ko donoN misroN meiN rabt (relation) honi chaahiye aur aapki baat ka matlab dosra misra kahne ke baad nikalna chaahiye !

jahaaN tak maiN samjhta huN inke alawa agar aapko sher kahne ke liye kisi cheez ki zaroorat hai to vo hai .. aapki fikR

zaahir hai ki agar aap kuch kahna chaah rahe haiN to zaroor aapke dil meiN kuch hoga aur yaQeen maaniye fikR hona sher kahne ke liye sabse zaroori hai !

maiN QaaidoN ki gehraai meiN nahi jana chaahta kyuN ki shayri karne ke liye gehraai juzbaatoN ki honi chahiye .. aihsaasoN ki honi chaahiye aur phir shayri to khud ek khoobsoorat aihsaas hai to use kasrat kyuN banaya jaaye..

baaki chizoN pe bhi hum baarii baarii se baat karenge .. shayad maiN is post ko edit kar ke apnii baat wahiN se shuruN karuN jahaaN pe khatm kar raha huN !

is silsile meiN agar aapka koi sawaal ho to use bejhijhak rakhiye inshallaaH maiN aapko mutmain karne ki har mumkin koshish karunga ..

filhaal ijaazat chaahunga

zor e Qalam aur ziyada !!!


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#87)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
9th March 2013, 10:43 AM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
adaab dostoN ..

bahut dinoN se dil meiN kuch baateiN thi jinhe aap saahebaan ke saath baaNtna chaah raha tha ..

mere shayri ke safar ko kareeb kareeb 17 saal hone waale haiN aur apne tajurbe se maine jo seekha kahiN na kahiN mera farz banta hai ki maiN use aap dostoN ke saath baaNtuu ..

yahaaN maiN ek baat saaf karna chaahunga ki maiN kisi ko kuch bhi sikhaane ki koshish nahi kar raha huN
haaN ..shayri ka safar shuru karne wale kisi bhi dost ko agar iss se faaida hota hai to mere liye ye fakR ki baat hogii


shayri naam zehan meiN aate hi ek alag sii romaaniyat aur khoobsoorat juzbaat ka aihsaas aapki shakhsiyat meiN juzb hone lagta hai ..

shayri ki iss buzm meiN mauzood har sukhanwar apne aap meiN Qaabil e taareef hai kyuN ki duniya meiN har shakhs ko ye aamad nahi ki vo apne dil ki baat shayri ke zariye bayaaN kar sake aur agar aap khudgo( shayar ) haiN to yaQeenan khuda ne aapko iss duniya meiN makhsoos rakha hai !

badi zaahir sii baat hai ki har cheez ko karne ka ek Qaaida hota hai to issi ke chalte shayri ke bhi kuch adaab haiN

amoonan .. SHER , QITA , GHAZAL aur NUZM shayri meiN sabse zyada pasand kii jaane waalii kism haiN

mere khyaal se jo aihbaab parhne ke saath saath khud bhi shayri karna chaahte haiN unhe shuruaat sher aur Qita kahne ki koshish karni chaahiye !

wajeh maiN saaf karna chaahunga ..

sher meiN 2 misreiN ( lines ) hote haiN aur unhi meiN apnii baat kahnii hoti hai ! to mere khyaal se chote se shuruaat karna zyada asaan hai ..

sher kahne ke kuch Qaaide haiN jinpe zaroor tavajjoh chaahunga

(1) sabse pehli aur zaroori baat ki sher ka mazmoon hona chaahiye ..
mani aap jo sher kah rahe haiN uska kuch matlab nikalna chaahiye !

(2) sher ke dono misre ek hi beher (rythem) meiN hone chaahiye !

(3) sher ko donoN misroN meiN rabt (relation) honi chaahiye aur aapki baat ka matlab dosra misra kahne ke baad nikalna chaahiye !

jahaaN tak maiN samjhta huN inke alawa agar aapko sher kahne ke liye kisi cheez ki zaroorat hai to vo hai .. aapki fikR

zaahir hai ki agar aap kuch kahna chaah rahe haiN to zaroor aapke dil meiN kuch hoga aur yaQeen maaniye fikR hona sher kahne ke liye sabse zaroori hai !

maiN QaaidoN ki gehraai meiN nahi jana chaahta kyuN ki shayri karne ke liye gehraai juzbaatoN ki honi chahiye .. aihsaasoN ki honi chaahiye aur phir shayri to khud ek khoobsoorat aihsaas hai to use kasrat kyuN banaya jaaye..

baaki chizoN pe bhi hum baarii baarii se baat karenge .. shayad maiN is post ko edit kar ke apnii baat wahiN se shuruN karuN jahaaN pe khatm kar raha huN !

is silsile meiN agar aapka koi sawaal ho to use bejhijhak rakhiye inshallaaH maiN aapko mutmain karne ki har mumkin koshish karunga ..

filhaal ijaazat chaahunga

zor e Qalam aur ziyada !!!

BOHAT KHOOB KSHITIZ JI.

Beginners ke liye bohat hi laabhdaayak thread banaya hai aapne...ummid hai ke hamare kuch dost is thread se faida uthayenge...

very good work...




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#88)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
9th March 2013, 11:30 AM

shukriya zainy saahiba ..

maiN koshish karunga ki iss agaaz ko anjaam tak pahucha sakuN ..

filhaal to shuruaat kii hai .. aage aur bhi baateiN hongi aur bahut jald hongi

maiN darkhwaast karunga ki jo bhi aihbaab sher kehna shuru karna chaah rahe ho ..vo bejhijhak apna sher yahaN chaspa kareiN ..

baaki

aap apna khyaal rakheiN


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#89)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
9th March 2013, 11:47 AM

Masha Allaah Kshitij bhai.....


bahot hi khoobsurat aur zaruuri thread post ki hai aapne..... mujhe sabse zyaada mutasssir aapke lahze ne kiyaa,... aapki baat kahne ka andaaz hame bahot pasand aaya janaab... Allaah kare aap apne is maqsad me qamayab hoN.... aur agar is mas'ale me humaari koi bhi zaruurat ho to bejhijhak keh deIn....

ye bahot acchi shuruaat hai ghazal, shaayri seekhne waalo ke liye... aur hum log bhi taliboN ki fehrist me shumaar hain...

aapki agli post ka intzaar rahegaa... inshallah

Apna khayal rakkheN... khush raheN.. and keep posting the valuable information like this... take care bro

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#90)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
9th March 2013, 12:20 PM

shukriya sameer bhai ..

issliye bhi ki .. aapke Qeemtii waQt ka ek bada hissa shayri ko mayassar hai ..

mere khyaal se aapko daawat dene ki koi zaroorat nahi hai .. ye aapka bhi farz hai ki barabar yahaaN bane rahiye .. aapki bahut zaroort parne waali hai yahaaN

aapki nazare inaayat ka tah e dil se shukrguzaar huN

apna khyaal rakhiye


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#91)
Ahmad Hyderabadi
Registered Member
Ahmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant futureAhmad Hyderabadi has a brilliant future
 
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 31
9th March 2013, 11:02 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
adaab dostoN ..

bahut dinoN se dil meiN kuch baateiN thi jinhe aap saahebaan ke saath baaNtna chaah raha tha ..

mere shayri ke safar ko kareeb kareeb 17 saal hone waale haiN aur apne tajurbe se maine jo seekha kahiN na kahiN mera farz banta hai ki maiN use aap dostoN ke saath baaNtuu ..

yahaaN maiN ek baat saaf karna chaahunga ki maiN kisi ko kuch bhi sikhaane ki koshish nahi kar raha huN
haaN ..shayri ka safar shuru karne wale kisi bhi dost ko agar iss se faaida hota hai to mere liye ye fakR ki baat hogii


shayri naam zehan meiN aate hi ek alag sii romaaniyat aur khoobsoorat juzbaat ka aihsaas aapki shakhsiyat meiN juzb hone lagta hai ..

shayri ki iss buzm meiN mauzood har sukhanwar apne aap meiN Qaabil e taareef hai kyuN ki duniya meiN har shakhs ko ye aamad nahi ki vo apne dil ki baat shayri ke zariye bayaaN kar sake aur agar aap khudgo( shayar ) haiN to yaQeenan khuda ne aapko iss duniya meiN makhsoos rakha hai !

badi zaahir sii baat hai ki har cheez ko karne ka ek Qaaida hota hai to issi ke chalte shayri ke bhi kuch adaab haiN

amoonan .. SHER , QITA , GHAZAL aur NUZM shayri meiN sabse zyada pasand kii jaane waalii kism haiN

mere khyaal se jo aihbaab parhne ke saath saath khud bhi shayri karna chaahte haiN unhe shuruaat sher aur Qita kahne ki koshish karni chaahiye !

wajeh maiN saaf karna chaahunga ..

sher meiN 2 misreiN ( lines ) hote haiN aur unhi meiN apnii baat kahnii hoti hai ! to mere khyaal se chote se shuruaat karna zyada asaan hai ..

sher kahne ke kuch Qaaide haiN jinpe zaroor tavajjoh chaahunga

(1) sabse pehli aur zaroori baat ki sher ka mazmoon hona chaahiye ..
mani aap jo sher kah rahe haiN uska kuch matlab nikalna chaahiye !

(2) sher ke dono misre ek hi beher (rythem) meiN hone chaahiye !

(3) sher ko donoN misroN meiN rabt (relation) honi chaahiye aur aapki baat ka matlab dosra misra kahne ke baad nikalna chaahiye !

jahaaN tak maiN samjhta huN inke alawa agar aapko sher kahne ke liye kisi cheez ki zaroorat hai to vo hai .. aapki fikR

zaahir hai ki agar aap kuch kahna chaah rahe haiN to zaroor aapke dil meiN kuch hoga aur yaQeen maaniye fikR hona sher kahne ke liye sabse zaroori hai !

maiN QaaidoN ki gehraai meiN nahi jana chaahta kyuN ki shayri karne ke liye gehraai juzbaatoN ki honi chahiye .. aihsaasoN ki honi chaahiye aur phir shayri to khud ek khoobsoorat aihsaas hai to use kasrat kyuN banaya jaaye..

baaki chizoN pe bhi hum baarii baarii se baat karenge .. shayad maiN is post ko edit kar ke apnii baat wahiN se shuruN karuN jahaaN pe khatm kar raha huN !

is silsile meiN agar aapka koi sawaal ho to use bejhijhak rakhiye inshallaaH maiN aapko mutmain karne ki har mumkin koshish karunga ..

filhaal ijaazat chaahunga

zor e Qalam aur ziyada !!!
Tasleemaat Janab Khshitiz Saahab!

Buhat buhat shukriyaa janaab is khoobsoorat wa mufeed pahal kay liyay! InshaAllah aapkay is amal say bayhad faayda hoga talabaa e shayree ko! Thank You once again janab! Waiting for the next one...


Duagoh

Ahmad
   
Reply With Quote
Old
  (#92)
harish k thakur
Registered User
harish k thakur is on a distinguished road
 
harish k thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 58
Join Date: Sep 2009
Rep Power: 15
18th April 2013, 12:35 PM

Lahad se nikal kar thaam leta daaman unka
Itna bhi gamgeen na tha zanaaze mein mere koi


Lahad se nikloon aur daaman ko thaam loon
Itna bhi gamgin na tha janaze me mere koi


thakur
   
Reply With Quote
Re:
Old
  (#93)
nishasharma1490
Registered User
nishasharma1490 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 19
Join Date: May 2013
Rep Power: 0
Thumbs up Re: - 8th June 2013, 03:58 PM

very nice thread... nice way to teach the technical aspects and meaning of Shayri...Impressive forum must say....
   
Reply With Quote
Old
  (#94)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
11th June 2013, 05:54 PM

Quote:
Originally Posted by nishasharma1490 View Post
very nice thread... nice way to teach the technical aspects and meaning of Shayri...Impressive forum must say....
Many thanks Nisha jii..................................... these all efforts are done by our Sr. members for newer members to learn the basic guidelines of shayri.

thanks you like that, our efforts are successful...........


Shaad...
   
Reply With Quote
Simple steps to write a Ghazal
Old
  (#95)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
Simple steps to write a Ghazal - 17th October 2013, 10:30 AM

To write a Ghazal, one must understand what is a ghazal.

Not going too much into the history and the technical aspects (which are already explained in other threads here, I will try to put here only the basic simple steps a beginner can and should follow.

So back to the first question; what is a ghazal?
A ghazal is a poem. Like we have couplets in a poem, so does a ghazal has couplets which are known as ashaar (pl. for sheyr).

Now, what is a sheyr?
The same way as couplets have stanzas, a sheyr will have stanzas (misraa).

Now let us remember our nursery rhymes to understand couplets and stanzas.

We will take the most famous nursery rhyme to understand that:
Twinkle twinkle little star
How I wonder what you are?

Up above the world so high
Like a diamond in the sky.

Now, we are taught only this much, however, this is a full poem with 12 couplets.

So, what is most important in a ghazal?
1. It should have ashaar (couplets). You can't have a ghazal with a single sheyr.
2. So traditionally, there should be minimum 4 ashaar in a ghazal.
3. Each sheyr should have only 2 misraa.

Now, looking back at our nursery rhyme, did you observe that each stanza has a rhyming word at the end in a couplet and each couplet has the same rhythm? Same rule stands for a ghazal (Its a poem after all). But still it is not a ghazal. Why? Let's look into that now:
1. Ghazal should have minimum 4 ashaar. (Now, if you refer to the whole poem, then this is a ghazal)
2. The ghazal should have rhyming ashaar. (This is also present)

But, here is why the above is not a ghazal.
3. First sheyr should have a rhyming misraa (This sheyr is a matlaa) followed by minimum 3 ashaar where only the second misraa should rhyme.
4. Each rhyming misraa should end with the matching words (Radeef). Though this is an exception. Ghazal which has a radeef missing is known as a gair-muraddaf ghazal. But it is still considered as a ghazal.
5. Each radeef should be preceded by a rhyming word. This is known as kaafiya. It is a must to have a kaafiya in a ghazal, else it is not a ghazal.

So, if I want to convert the above poem to make it a ghazal; then I will change it as follows:

Twinkle twinkle little star
How I wonder what you are?

Up above the world so high
How do I reach you so far?

I wish I could drive up there
and bring you back down in a jar

But my papa said to me
There, 'Safeer', you can't take the car

Now this becomes a gair-muraddaf ghazal as the radeef is missing, yet it is a ghazal as we have 4 ashaar, first sheyr ending with rhyming words, followed by each sheyr where the second misraa has words rhyming.

So, let us now look at some more terms which we will use while writing a ghazal.

In the above modified poem; let us look at the words:
star, are, far, jar, car.
These are kaafiya of the ghazal.

The first sheyr has kaafiya in both its misraa, this sheyr is called a matla.
The last sheyr has my alias in it 'Safeer'. This sheyr identifies the end of the ghazal. This sheyr is known as makta.

Each sheyr maintains the rhythm throughout. That is you can sing it with the same rhyme. This is known as beh'r. Beh'r is the metre which is maintained through out the ghazal. Ofcourse, we can't have a poem which will not rhyme? Similarly, metre or beh'r is important to keep the rhythm of the ghazal.

Now, since here we do not want to get too much into the explanation of beh'r, as this will make it more complicated for beginners, I will just stop here with this particular term. Just to elaborate a bit, there are 19 beh'rs which are based on the measurements of the syllables used in each misraa. You can refer to other topics here for detailed information, but that is later.

So, how will you start writing a ghazal? First start by singing your most favourite nursery rhymes or poems and try to identify the radeef, kafiya and beh'r of that nursery rhyme or poem. This will give you an idea of how you can frame your own stanzas. (Just to remind you, a ghazal is not restricted to any language; so don't think that an English or a Hindi or a poem in any other language won't fit in a ghazal.)

Now, to write a ghazal, first think of a topic on which you want to write a ghazal. Here, we are taking freedom to use a single topic, however, one should note that a true ghazal talks on different topics in each of its sheyr. However, for now, we will leave that for the great masters of ghazal. Writing such a ghazal needs lots of practice.

Then start by writing down the radeef that you want to use in your ghazal; e.g. hai, me'n, hota, meel jata, etc. Remember, this is the word that you are going to repeat at the end and should appear in the first 2 misraa of the ghazal and in the second misraa of each of the other ashaar.

Now, think of several kaafiya which will fit with the radeef. e.g. dekhA, likhA, rakkhA, etc. You will need minimum 5 kaafiya to complete a ghazal, how?
2 in first sheyr and 3 for second misraa in other ashaar.

Now start forming each sheyr and set the metre by singing them in rhythm. If you find that a word is not fitting and your rhythm is going off track, you can omit that word or change the position in the stanza. With some practice and dedication, you have written your first ghazal.

With more and more practice, you can write splendid ghazals.

Hope this helps the newbies here.



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#96)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
18th October 2013, 11:00 AM

laajawaab peshkash Aadeil saahab........... bahot acchi koshish rahi hai aapki...
ghazal ko is tarah se bhi define kar sakte hain, ye apne aap me ik misaal hai.. bahot acche.. lage rahiye ghazal aur uske chaahne waalon ki khidmat me..

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#97)
Salman Ahmed 12121
Registered User
Salman Ahmed 12121 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2015
Rep Power: 9
18th November 2015, 12:55 AM

i am totally confused....
kuch samjh me nhi aa rha....


Kash k is jindgi me tumhari mohabbat ki roshni
aa pati.
Fnah ho jate tujhme hum parvana ban kar agar
tu mere liye shma ho jaati.
احمد.

Last edited by Salman Ahmed 12121; 18th November 2015 at 12:57 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#98)
Salman Ahmed 12121
Registered User
Salman Ahmed 12121 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2015
Rep Power: 9
18th November 2015, 12:56 AM

i am new n mene abhi abhi likhna shuru kiya hai....
agar koi galti ho jaye to maafi chata hun....
but me itne sari baaten padh kar confuse hi gya hun k gajal kya hai....
kya meri gajlen galat hain....
i dont know....
plssss reply den....
koi ek mukammal javab batyen jis par sab sehmat hon....


Kash k is jindgi me tumhari mohabbat ki roshni
aa pati.
Fnah ho jate tujhme hum parvana ban kar agar
tu mere liye shma ho jaati.
احمد.
   
Reply With Quote
Old
  (#99)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
20th November 2015, 02:12 PM

Salman saahib pehle sawaal to karen. Main samajh gaya ki aap confused hain par confusion kya hai ye batayen aur haan behr wali post pe is post ko samajhne ke baad jaayen nahi toh ulajh jayenge aap...



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Last edited by Taish; 20th November 2015 at 02:15 PM..
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#100)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
20th November 2015, 03:54 PM

Quote:
Originally Posted by Salman Ahmed 12121 View Post
i am new n mene abhi abhi likhna shuru kiya hai....
agar koi galti ho jaye to maafi chata hun....
but me itne sari baaten padh kar confuse hi gya hun k gajal kya hai....
kya meri gajlen galat hain....
i dont know....
plssss reply den....
koi ek mukammal javab batyen jis par sab sehmat hon....
Aap agal tafseel se batayein ki aap ki confusion kya hai to aapko yakeenan madad milegi...



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#101)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
23rd November 2015, 06:43 AM

Salman ji main apka prashn samajh gayi.

Shayri ek kala hai. Magar har kala mein nipun hone ke liye takneeki gyan awashyak hai. To yahaa wahi gyan ko sabse baantne ki koshish ki gayi hai.

Ab aapka prashn ki kya aapki ghazal ghalat hai?

Agar aapne jo likha usey ghazal ka naam denge to log usey in sab maapdando mein tolenge.to uss hisaab se woh ghazal hai hi nahi.

Apne vichaaro.n ko iss tarah se vyakt karna ki saamne wala ussey relate kar paaye aur sunne mein lutf aaye ye bhi lekhan kala ki shuruat hai to aapne shuruat kar di hai. Magar abhi manzil door hai.

All the best.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#102)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
23rd November 2015, 07:00 AM

Maine kuch kuch padaa aapko mujhe to sirf kuch sher hi dikhey. Aap agar Kisi particular Rachna Ki baat kar rahe hain to usey yahaa share kijiye.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Guidelines for writing a ghazal/shayari Tausif shaikh Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 29th May 2010 11:56 AM
Rules for Ghazal Of The Month zainy Ghazal Section 31 4th February 2009 07:55 AM
Love In Terms Og Accounts veryvir Chit-Chat & General Discussion Forum 0 12th January 2006 12:04 PM
technical answers for ........ mohitmoradabadi Humourous Shayri 0 12th May 2004 03:28 PM
Economic terms mohammed Quotable Quotes 1 25th March 2003 11:03 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com