Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Khushiyon ka dil meiN har pal ek intezaar rakh
Old
  (#1)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
Khushiyon ka dil meiN har pal ek intezaar rakh - 11th June 2002, 09:08 PM

adaab doston....yeh kalaam humne urdustan ke pichle mahine ke misre ("Paiwasta raah shajar se ummeed-e-bahaar rakh") par likhi thi....aur humare guruji (yaani praveen ji) ki madad se is ghazal ko sudhaarke yahan post kar rahe hai...aap sab ki rai/salaah ka intezaar rahega....

Khushiyon ka dil meiN har pal ek intezaar rakh
Jab tak wajood hai tu laboN pe bahaar rakh

Kismat ka kya bharosa kabhi saath de na de
Ae dost zindagi par yaqeeN be-shumaar rakh

Har gham ko saath lekar chalna sahi nahiN
Beete dinoN ki dil meiN bus yaadgaar rakh

Poori ho ya nahiN wo khwahish to dil meiN rakh
Chahat ka phir bhi dil meiN tu aabshaar rakh

Kismat meiN dhoondta hai kyun har ghadi khushi
Paiwasta raah shajar se ummeed-e-bahaar rakh

Dil hi ke raastoN meiN hai kahiN sukooN tera
Ae dost 'Anamika' par kuch etbaar rakh


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?

Last edited by Anamika; 14th June 2002 at 08:07 PM..
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
Wahh
Old
  (#2)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Smile Wahh - 11th June 2002, 10:58 PM

Hi Anamika!!

How r u?Bade din baad nazar aayiN aap aur itne acche kalaam ke saath...pata hai humne bhi pehli dafa isi mushaire meiN shirkat li thi aur hamara kalaam post bhi huya...kya aapne paRha??Agar nahi to is forum meiN bhi maine post kiya hai...waqt mile to zaroor paRhna aur apni ray se aagah karna

Coming to ur ghazal...islaah ke baad to mashallah ghazal nikhar gayi haiye ashaar pasand aaye...

Khushiyon ka dil meiN har pal ek intezaar rakh
Jab talak wajood hai tu laboN pe bahaar rakh

Har gham ko saath lekar chalna sahi nahiN
Beete dinoN ki dil meiN bus yaadgaar rakh

Kismat meiN dhoondta hai kyun har ghadi khushi
Paiwasta raah shajar se ummeed-e-bahaar rakh

KEEP IT UP!!

Hope to hear more from u!!

Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
KHOOB ... BUHUT KHOOB ...
Old
  (#3)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
Thumbs up KHOOB ... BUHUT KHOOB ... - 12th June 2002, 12:28 AM

ANAMIKA ..

TASLEEMAT .....

KESE HO ? AAP KI GHAZAL PARHI ...BEHAD PASAN AAI ... ALFAZ KAFI ACHE OR AASAN HEN ....

Khushiyon ka dil meiN har pal ek intezaar rakh
Jab talak wajood hai tu laboN pe bahaar rakh

AGAR LOG AISA KARNE LAGEN TO DUNYA KA NAQSHA BADAL JAE ...KHOOB KAHA AAPNE ....

Har gham ko saath lekar chalna sahi nahiN
Beete dinoN ki dil meiN bus yaadgaar rakh

ACHA HE BUHUT ACHA HE ..

Kismat meiN dhoondta hai kyun har ghadi khushi
Paiwasta raah shajar se ummeed-e-bahaar rakh

WAH ...WAH ...
BUHUT KHOOB ANAMIKA JI ...AAINDA BHI INTIZAR RAHE GA .....

OK , BYE

SAGAR KASHMIRI
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
shukriya shumaila ji...
Old
  (#4)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
shukriya shumaila ji... - 12th June 2002, 04:12 AM

hi shumaila ji....hum bilkul maze me hain.....pehle to hum aapko mubaarakh-baad dena chahenge ki aapki ghazal urdustan par post ho gayi!...humne padh li thi, lekin uspar apni rai pesh karne ka time nahi mila....kaam mein kaafi masroof ho gaye the....aur yehi vajah hai ki hum itne dino baad yahan kuch post kar paaye hain.....lekin regularly aapke naye posts padhe hain....unpar hum fursat se apne comments post karenge......

aapko yeh ghazal pasand aayi hume bahut achcha lagaa...lekin is tareef mein praveen ji bhi shaamil hain, unhi ki salaah se yeh ghazal tamaam ho paayi hain....likhne ke liye to khayaal bahut hai lekin bas beher/meter ko samajhne mein bahut mushkil ho rahi hain....hopefully jald hi aap sab ki madad se hum woh seekh payenge aur behtar likh payenge (aapki tarah!) ..... aashaa hai ki aapse mel-jhol hota rahega....tab tak ke liye humari duaaye aapke saath hain....


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
shukriya saagar ji....
Old
  (#5)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
shukriya saagar ji.... - 12th June 2002, 04:24 AM

adaab saagar ji....sab ki duaon se hum ek-dum first class hain....aapki hausla avzai ka tahe dil se shukriya.....vaise aapke bhi kuch qualaam humne padhe hai aur bahut pasand bhi aaye hain...unpar hum apni rai post karenge kaam se fursat nikaalke....filhaal to aap bahut achchi ghazal likhne par mubarakhbaad qubool kijiye......aasha hai ki shayri.com ki galiyon mein milte rahenge....duaon ke saath...


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Uday
Registered User
Uday is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 72
Join Date: Jul 2001
Rep Power: 23
Thumbs up 12th June 2002, 05:43 PM

kamaal ki ghazallikhi hai aapney anaamika ji!
aur mey aapkaa khaas taur par shukriyaa ada karnaa chahungaa!
mein bahut mayus thaa jab mainey yeh ghazal padhi,
aur ghazal itni achhi hai key dil khushi sey bhar gayaa,aur mayusi dil sey bhaag gayi!
thank you for such an inspirational post!I am pasting it on wall of my room.


jai bharat
   
Reply With Quote
Hum khush Huve
Old
  (#7)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Hum khush Huve - 12th June 2002, 06:58 PM

Anamika Sahiba


Badi khushi hui yeh dekh kar ke aapne apni ye ghazal aakhir post kar hi di. Aur us sey bhi zyada khushi hui iski tareef meiN aayi poasts ko dekh kar. Zahir hai shishya ki kaamyabi jo hai. Ab dekhna ye hai ke aap yun hi apni qalam ki ravani banayen rakheN. Aisey hi umda ashaar kehti raheiN aur tareef paati raheiN.

Aur Bade dinon ke baad aap yahaan tashreef layeeN yeh bhi ek badi achchi baat hai. Umeed hai ke aapka aana aisey hi jaari rahega apni nayee se nayee kavshoN ke saath.

Bahut khoob!

Bahut duaaon ke saath

Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
nice
Old
  (#8)
Mahek
Registered User
Mahek will become famous soon enoughMahek will become famous soon enough
 
Mahek's Avatar
 
Offline
Posts: 166
Join Date: May 2002
Location: US
Rep Power: 23
Thumbs up nice - 12th June 2002, 09:57 PM

hi Anamika jee - achcha likha hai - very uplifting - yeh waale sher bahut pasand aaye -
Quote:
Khushiyon ka dil meiN har pal ek intezaar rakh
Jab talak wajood hai tu laboN pe bahaar rakh

Kismat ka kya bharosa kabhi saath de na de
Ae dost zindagi par yaqeeN be-shumaar rakh

Kismat meiN dhoondta hai kyun har ghadi khushi
Paiwasta raah shajar se ummeed-e-bahaar rakh
- likhte rehna.
- Mahek -


zindagI jab bhI terI bazm mein LAtI hai hamein
ye zamIn chAnd se behatar nazar AtI hai hamein

surkh phUlon se MAHEK uThatI hain dil kI rAhen
din Dhale yUN terI AvAz bulAtI hai hamein
----------------------------------------------
taeray Gham ki KhuShbu say jism-o-jaaN MAHEK uTThay
saaNs ki havaa jab bhi Choo kay maeray lab guzri

aek saath reh kay bhi, door hi rahay ham bhi
dhoop aur Chaa'ooN ki dosti ajab guzri
  Send a message via Yahoo to Mahek  
Reply With Quote
shukriyaa Uday ji...
Old
  (#9)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
shukriyaa Uday ji... - 13th June 2002, 01:40 AM

adaab Uday ji....arre wah!....chalo achcha hai humari ghazal aapko khush karne me kaamyaab rahi....is-se badh-kar kya tareef ho sakti hai....aapka bahut bahut shukriya....aashaa hai ki aap humesha khush rahe....duaon ke saath...


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
shukriya Mahek ji....
Old
  (#10)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
shukriya Mahek ji.... - 13th June 2002, 01:44 AM

adaab aur hausla avzai ka bahut shukriya.....


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
adaab guru ji!...
Old
  (#11)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
adaab guru ji!... - 13th June 2002, 01:50 AM

[Badi khushi hui yeh dekh kar ke aapne apni ye ghazal aakhir post kar hi di.]
ji haan...aakhir me mauka nikaal hi liya!...

[Aur us sey bhi zyada khushi hui iski tareef meiN aayi poasts ko dekh kar. Zahir hai shishya ki kaamyabi jo hai. Ab dekhna ye hai ke aap yun hi apni qalam ki ravani banayen rakheN. Aisey hi umda ashaar kehti raheiN aur tareef paati raheiN.]
sab aapki mehrbaani ki vajah se....in tareefon ke haqdaar aap bhi hain....

[Aur Bade dinon ke baad aap yahaan tashreef layeeN yeh bhi ek badi achchi baat hai. Umeed hai ke aapka aana aisey hi jaari rahega apni nayee se nayee kavshoN ke saath.
Bahut khoob!
Bahut duaaon ke saath
Praveen]
ji haan bas is hafte humara ek badaa project khatam ho jayega fir uske baad hum yahan par jyada waqt de sakenge....tab tak ke liye aapko aur aapke parivaar ko humara namaskaar...


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
~*~KhUsHiYoN mEiN bHi ChUpI rUsWaYi HaI~*~ kuhulika Shayri-e-Dard 8 11th April 2010 04:22 PM
Khushiyon ke registan mein.... Ritu18525 Shayri-e-Dard 3 2nd October 2008 09:26 AM
**Tere Dil Mein Main Apne Armaan Rakh Doon- CHANDNI**~~A Dedication @}-; farhana Hindi/Urdu Lyrics 7 23rd December 2005 12:17 PM
AankhoN meiN zindagi ke sapney hazar rakh prasaxena Aapki Shayri 7 18th June 2002 12:13 AM
ashq aankhon mein sajaaye rakh maikasH Shayri-e-Dard 1 4th December 2001 12:25 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com