Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Woh Aisi Baatein Kyun karti Hai...
Old
  (#1)
Richie.2008
Love To Walk In The Rain
Richie.2008 will become famous soon enoughRichie.2008 will become famous soon enough
 
Richie.2008's Avatar
 
Offline
Posts: 58
Join Date: Sep 2007
Location: Ball Ground
Rep Power: 18
Woh Aisi Baatein Kyun karti Hai... - 28th September 2007, 06:54 PM

Bhool hai unki isliye hi to bhool jane ki baat karti hai,
Saza ke hakdaar hum hai, khata ki hai theek karti hai,


Ek ada samjhe is alvida kehne ke lihaaz ko huzur mere,
Ye chod jaane ke liye nahi, kareeb ane ke liye karti hai,


Hoti hogi jalan khuda ko bhi tere chahne ke tarike se,
Bata use teri mohabbat, doosro par kitna asar karti hai,


Mohabbat ka naam kaise paya jab intezaar hi na tha,
Wo tere khawb mein na aae, par tera intezaar karti hai,


Jalaade Kitaab-e-zindagi ke fasl mein se naam mera,
Naam hi jalati hai mera, itna to mera ehteram karti hai,


Na bhi mile Ijazaat unse guft-a-goo karne ki hume par,
Jab zarurat pade hamari, woh khud hi shuruat karti hai,


Kehne par kya karega tu jeekar sau saal tak
Jab is bat par hi tujhe, zaher pilane ki wo baat karti hai...


==============================================





Stone Heart



I Love To Walk IN The Rain, Because Nobody Can See Me Crying !!!
 Send a message via ICQ to Richie.2008 Send a message via Yahoo to Richie.2008 Send a message via AIM to Richie.2008  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 37
Thumbs up 30th September 2007, 11:38 AM

Quote:
Originally Posted by Richie.2008 View Post
Bhool hai unki isliye hi to bhool jane ki baat karti hai,
Saza ke hakdaar hum hai, khata ki hai theek karti hai,

Ek ada samjhe is alvida kehne ke lihaaz ko huzur mere,
Ye chod jaane ke liye nahi, kareeb ane ke liye karti hai,

Hoti hogi jalan khuda ko bhi tere chahne ke tarike se,
Bata use teri mohabbat, doosro par kitna asar karti hai,

Mohabbat ka naam kaise paya jab intezaar hi na tha,
Wo tere khawb mein na aae, par tera intezaar karti hai,

Jalaade Kitaab-e-zindagi ke fasl mein se naam mera,
Naam hi jalati hai mera, itna to mera ehteram karti hai,

Na bhi mile Ijazaat unse guft-a-goo karne ki hume par,
Jab zarurat pade hamari, woh khud hi shuruat karti hai,

Kehne par kya karega tu jeekar sau saal tak
Jab is bat par hi tujhe, zaher pilane ki wo baat karti hai...

==============================================

Richi ji Adaab..................Aaj apka likha hua ek kalaam pada accha likha hai apne ehsaas acchey lage ager aur dhyan de to aur accha likh sakte hain ese hi likhtey rahiye apna khayal rakhiye


"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"


Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.




  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Na Jane Kyun Mujhe Ussay Mohobbat Ho Jaya Karti Hai nalinmehra Aapki Shayri 9 20th August 2009 12:54 PM
Woh aisi baatein kyun karti hain... Abrarsworld Shayri-e-Dard 20 24th September 2007 02:17 PM
' Wo Aissi Aissi Baatein Karti Hai...! ' Amanush... Shayri-e-Dard 25 24th September 2007 05:44 AM
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain.... itschahat Shayri-e-Ishq 0 20th September 2007 12:53 PM
Baatein kertey ho kyun rulaaney kee aadi Anjuman-e-Shayri 0 2nd March 2006 12:30 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com