Koi, Din, Gar Zindagaani Aur Hai.... (Mirza Ghalib) -
19th September 2014, 01:12 PM
koi, din, gar zindagaani aur hai
apne jee meN hum ne thaani aur hai
aatish-e-dozakh meN ye garmi kahaN
soz-e-gham-e-nihaani aur hai
soz-e-gham-e-nihaani : internal burn
baar-ha dekheN haiN un ki ranjisheN
par kuch ab ke sar-giraani aur hai
baar-ha : generally
sar-giraani : naarazgi
de ke khat moonh dekhta hai naama-bar
kuch to paigham-e-zabaani aur hai
naama-bar : postman
ho chukiN "Ghalib" balaayeN sab tamaam
aik marg-e-naagahaani aur hai
balaayeN : troubles
merg-e-nagahaani : sudden death
-Mirza Asadullah Khan Ghalib
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|