badan mein aag sii cheharaa gulaab jaisaa hay - Ahmed Faraz -
27th March 2003, 09:12 PM
badan mein aag sii cheharaa gulaab jaisaa hay
ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhee sharaab jaisaa hay
kahaan woh qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhee Khwaab jaisaa hay
magar kabhii koie dekhe koie paRhey to sahee
dil aayinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hay
woh saamane hai magar tishnagi naheen jaatee
yeh kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hay
'Faraz' sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahee
hamein aziiz hai haanaa_Kharaab jaisaa hay
|