Mere ansuoon pe nazar na kar mera shikwa sun ke Khafa na ho
use zindgi ka bhi haq nahi jise dard-e-ishq mila na ho
Yeh inayatain ye nawazishain mere dard-e-dil ki dawa nahi
mujhe us nazar ki talash hai jo ada shanas-e-wafa na ho
tujhe kya bataon mai beKhabar ki hai dard-e-ishq main kya asar
yeh hai wo latif si kaifiyat jo zuban tak aye ada na ho
yeh sharab rez-e-hasi ghata jo hai "Kaif" nazish-e-maykada
kisi tashna-kam ki arzoo kisi tashna-lab ki dua na ho
Kaif Akrami