Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
hum aur kya haiN bas armaan tum shaheedoN ke
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
hum aur kya haiN bas armaan tum shaheedoN ke - 29th January 2022, 03:00 AM

हमारी हस्तियां एहसान तुम शहीदों के
हम और क्या हैं बस अरमान तुम शहीदों के

इसी के वास्ते ख़ुद को सुधारना है हमें
फुज़ूल जाएँ न बलिदान तुम शहीदों के

बस अपना फ़र्ज़ ही देखा न मुश्किलें देखीं
हुए यूँ रास्ते आसान तुम शहीदों के

अदू तो क्या है कि ख़ुद मौत भी परेशां थी
लबों पे देख के मुस्कान तुम शहीदों के

तुम्हीं ने तन्हा शहादत नहीं अदा की है
कि साथ घर हुए क़ुर्बान तुम शहीदों के

हमारी आँख में आँसू हैं दिल में यादें हैं
यहीं पे रह गए सामान तुम शहीदों के

तुम्हारे दम से ही आबाद सब के घर हैं मगर
मज़ार फिर भी हैं वीरान तुम शहीदों के

शहादतों पे चढ़ाते सियासतों के फूल
चुका रहे हो यूं एहसान तुम शहीदों के

गरज के जंग की तोपों ने हैं क़सीदे पढ़े
ये “ज़र्रा” क्या करे गुँड़गान तुम शहीदों के

- ज़र्रा

humaari hastiyaaN ehsaan tum shaheedoN ke
hum aur kya haiN bas armaan tum shaheedoN ke

isi ke vaaste KHud ko sudhaarna hai humeN
fuzool jaaeN na balidaan tum shaheedoN ke

bas apna farz hi dekha na mushkileN dekheeN
hue yooN raaste aasaan tum shaheedoN ke

adoo to kya hai ki KHud maut bhi pareshaaN thi
laboN pe dekh ke muskaan tum shaheedoN ke

tumheeN ne tanha shahaadat naheeN ada ki hai
ki saath ghar hue qurbaan tum shaheedoN ke

humaari aaNkh meN aaNsoo haiN dil meN yaadeN haiN
yaheeN pe reh gae saamaan tum shaheedoN ke

tumhaare dam pe hi aabaad sabke ghar haiN magar
mazaar phir bhi haiN veeraan tum shaheedoN ke

shahaadatoN pe chaDHaate siyaasatoN ke phool
chuka rahe ho yooN ehsaan tum shaheedoN ke

garaj ke jaNg ki topoN ne haiN qaseede paDHe
ye “zarraa” kya kare gungaan tum shaheedoN ke

- zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com