khoobsurti -
5th June 2001, 08:19 AM
-*-*-*-*-*-*-*-*-**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Yeh raat hai ya teri julfe khuli hui hain
hai chandani,
ya tumhari nazron se meri raatein dhooli hui hain
Yeh chand hai ya tumhara kangan
sitarain hain ya tumhara aanchal
Hawa ka jhoka hai, ya tumhare badan ki khusboo
Yeh pattiyon ki hai sarsarahat, ki tumne chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kabse gumsum
jabki mujhko bhi yeh khabar hai
Ki tum nahi ho, kahin nahi ho
Margar yeh dil hai ki kah raha hai
ki tum yahin ho, yahin kahin ho
-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*------*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-
--/\--
|