Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
meri nazar se......
Old
  (#1)
aamirfaraz
Registered User
aamirfaraz has a spectacular aura aboutaamirfaraz has a spectacular aura about
 
aamirfaraz's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Nov 2002
Location: surat-india
Rep Power: 23
meri nazar se...... - 31st January 2005, 02:45 PM

hi friends,main aap logo ke samne apni chand pasandeedah nazmein aur ghazlein pesh kar raha hu,ummeed karta hu in mein se koi ek to aapke dilon ko chhu zaroor jayegii.......

"BAARISH.........."
jalta hai ye dil ishq ki aatish mein,
yaad aata hai jab koi baarish mein

dil tadapta jata hai lamha - lamha ,
uske deedar ki bas ek khwahish mein

thandi thandi ye hawayein phir mujhe,
kyun jalati hain sard aatish mein

bhiga aasma aur bhiga-bhiga sa sama,
pyar barsata hai gulshan-o-aaraish mein

dhundta rehta hu har ghadi be chaini se ,
usse main rang aur noor ki numaish mein

itna tadpati hai q hume yeh raah-e-ishq,
mit-ti nahi q yeh dooriya is baarish mein

uska halka sa tasavvur bhi mujhe FARAZ,
qaid kar jata hai mujhe kai azmaish mein
................-AAMIR FARAZ


-AAMIR FARAZ

"do lamho ke hi waaste aa bazm mein FARAZ
sadiyon se yeh nigaahein hain muntazir teri"
   
Reply With Quote
27
Old
  (#2)
irfan_sh_27
Registered User
irfan_sh_27 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Jan 2005
Location: Bharuch
Rep Power: 20
27 - 31st January 2005, 03:03 PM

Hi,
amirfaraz,

H r U

Well very well written, bahot hi khoob likha ha aapne aapki jitni tareef ki jaye kam ha.

likhte rahiyega,

By take care

By freind


M.I. Shaikh
   
Reply With Quote
MUJHSE DOSTI KAROGE?
Old
  (#3)
aamirfaraz
Registered User
aamirfaraz has a spectacular aura aboutaamirfaraz has a spectacular aura about
 
aamirfaraz's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Nov 2002
Location: surat-india
Rep Power: 23
Cool MUJHSE DOSTI KAROGE? - 31st January 2005, 03:05 PM



"..........MUJHSE DOSTI KAROGE?.........."

teri nazar meri nazar se jab mili pehli baar
hone laga ye dil mera phir kyun beqaraar
teri nazar teer-e-nazar ban gayi e mere yaar
ghayal hua ye dil mera jeena hua dushwar

mere zakhmo mein chahat bharoge
kya mujhse dosti ...............karoge?
kya tum mere dil mein....... rahoge?
kya mujhse dosti................karoge?

mujhse wo pehli nazar..........., ek daastaan keh gayi
jo bhi zubaan keh saki na, yeh bezubaan keh gayi
phir mere khwabon mein aakar tune meri neendo ko churaya
phir mere dil mein samakar tune dil ko diwana banaya

teri yaadon mein tadpa hu main
tere pyar ko... tarsaa hu main
tu hi meri,............... aarzu hai
tujhse aaj yeh kehta hu main

dhoonda ye saara jahan na jaane tu thi kahan
tere hi armaan meri aankho mein the jaan-e-jan
kai barso tak, haan mainehi, kiya hai tera intezaar

meri hasrat ko puri karoge?
kya mejhse dosti karoge?
o jaana kya tum mujhse dosti karoge?
o jaana kya tum.........
..............PLZ TELL ME WILL U BE MY FRIEND......
..............-AAMIR FARAZ.


-AAMIR FARAZ

"do lamho ke hi waaste aa bazm mein FARAZ
sadiyon se yeh nigaahein hain muntazir teri"
   
Reply With Quote
27
Old
  (#4)
irfan_sh_27
Registered User
irfan_sh_27 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Jan 2005
Location: Bharuch
Rep Power: 20
27 - 31st January 2005, 03:24 PM

Wah bhai wah
kya kehna kya likhte ha aap wah,

kisiko ghayal karne ke liye lkha ha kya, you are a any time welcome for dosti, dosti details are follows :-

Name : Irfan Shaikh
Add. : Sakar talao,
Ghans Mandai, Ghanchiwad,
Bharuch-392001.

Add. : ONGC, Ankleshwar,
Work shop building,
Shed-24, Production section,
Ankleshwar-393010.

By take care

By freind


M.I. Shaikh
   
Reply With Quote
hi irfan
Old
  (#5)
aamirfaraz
Registered User
aamirfaraz has a spectacular aura aboutaamirfaraz has a spectacular aura about
 
aamirfaraz's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Nov 2002
Location: surat-india
Rep Power: 23
Thumbs up hi irfan - 2nd February 2005, 09:20 PM

hi irfan, aap ka bahot bahot shukra-guzar hu ke aap ko mera kalaam pasand aya,isi tarah se mera housla badhate rehna.......

aap se wada hai mera ke bahot jald aapse contact karunga,tab tak pls keep reading my poetries,

dosti par se mujhe apne father ki ek ghazal yaad aa rahi hai.........

aap se dosti ho gayi
zindagi zindagi ho gayi

kaun jhanka khayalat mein
zahen mein chandni ho gayi

ek ulfat ka sooraj uga
har taraf roshni ho gayi

shabnami rut ka tha yeh asar
shaakh sookhi hari ho gayi

humse rukhsat koi kya hua
aankho me phir nami ho gayi

uska `anjum` yeh ehsaan hai
dhoop bhi chhaao si ho gayi
-ANJUM KANNAUJI....


-AAMIR FARAZ

"do lamho ke hi waaste aa bazm mein FARAZ
sadiyon se yeh nigaahein hain muntazir teri"
   
Reply With Quote
dil kya kare........
Old
  (#6)
aamirfaraz
Registered User
aamirfaraz has a spectacular aura aboutaamirfaraz has a spectacular aura about
 
aamirfaraz's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Nov 2002
Location: surat-india
Rep Power: 23
dil kya kare........ - 10th February 2005, 01:47 PM

hi friends,aap ke saamne apni ek romantic nazm pesh kar raha hu.......

...."DIL KYA KARE".....

ek ladki diwani si,khoi khoi si q rehti hai?
ek ladka diwana sa bechain sa q rehta hai?
yeh dil kya kare koi jab apna lagta hai,
yeh dil kya kare koi q apna lagta hai,

pehli nazar ka asar, chane lage dilon par,
saanse mahek jayein jab, mile nazar se nazar,
bechainiya badh jaye,har duriyan mit jaye,

phir suhana sa yeh manzar bag-bag lagta hai
saari khushiyan jhumti hain ,saara jahan b sajta hai
aur dil ke saaz par naya koi raag-e-ishq ubharta hai,
yeh dil kya kare koi jab apna lagta hai..........

aankho mein jab bhi kabhi chhane lage ek nasha
mehki si ho har fiza aur mehka sa ho har sama,
tab pyar ho jata hai aur ye dil bhi kho jata hai,

har ghadi phir pyasi nazre SANAM ko dhundti rehti hai,
dil tadapta jata hai aur dhadkane bhi badhti hai,
aankho me phir ishq ka haseen sa sapna jab sajta hai,
yeh dil kya kare koi jab apna lagta hai

ek ladki diwani si khoi khoi si q rehti hai?
ek ladka diwana sa bechain sa q rehta hai?
yeh dil kya kare koi jab apna lagta hai,
.......-AAMIR FARAZ


-AAMIR FARAZ

"do lamho ke hi waaste aa bazm mein FARAZ
sadiyon se yeh nigaahein hain muntazir teri"
   
Reply With Quote
27
Old
  (#7)
irfan_sh_27
Registered User
irfan_sh_27 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Jan 2005
Location: Bharuch
Rep Power: 20
27 - 10th February 2005, 02:08 PM

Hi,
Amirfaraz

yaar tumne to mera add. leliya no problem ab dosti to ho gayi ha per yaar apana add. to batao me aapko milne aasakta hu.

aapka dost Irfan shaikh

by take care

by friend


M.I. Shaikh
   
Reply With Quote
hi dost
Old
  (#8)
aamirfaraz
Registered User
aamirfaraz has a spectacular aura aboutaamirfaraz has a spectacular aura about
 
aamirfaraz's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Nov 2002
Location: surat-india
Rep Power: 23
hi dost - 29th March 2005, 10:14 PM

yaar irfan,i m changing my home,and i will b shifted 2 new home within very short time,so i`ll tell u later,if u have any prob. u can msg me on private msgs box. o.k. allah hafiz...........

this is just 4 u.........

ishq be-ghar kare,ishq be-dar kare,
ishq ka sach hai koi thikana nahi,
pehle hum bhi thikane ke the aadmi,
aap se milke kaise thikane lage!

pehle mash-hoor thi apni sanjidgi,
ab to jab dekhiye muskurane lage,
aap se milke hum kuch badal se gaye,
sher padhne lage gungunane lage..........
-JAVED AKHTAR


-AAMIR FARAZ

"do lamho ke hi waaste aa bazm mein FARAZ
sadiyon se yeh nigaahein hain muntazir teri"
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#9)
ajmal
Registered User
ajmal is on a distinguished road
 
ajmal's Avatar
 
Offline
Posts: 204
Join Date: Dec 2004
Location: india
Rep Power: 20
hi - 30th March 2005, 11:27 AM

Assalamo alaekum Aamir bhai....
Aji apki Baarish ne to kamaal kar diya....

Keep writing Dost....

Ajmal


Dil to kya Cheez hai, Hum Rooh mein Utre Hote...
Tumne Chaha hi nahin Chahne Walon ki Tarha...
  Send a message via Yahoo to ajmal  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
30th March 2005, 01:00 PM

Dear Aamir!!

Aapko padhna humesha se hi accha laga hai... apne nageene dobara saath share karne ke liye shukriya...janaab likhte rha kariye...


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
thanks very much
Old
  (#11)
aamirfaraz
Registered User
aamirfaraz has a spectacular aura aboutaamirfaraz has a spectacular aura about
 
aamirfaraz's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Nov 2002
Location: surat-india
Rep Power: 23
thanks very much - 31st March 2005, 10:31 PM

dear friends,ajmal and pulkit,aap logon ki hausla afzai ke liye bahot bahot shukriya,INSHA-ALLAH BAHOT JALD HI AAPKE SAMNE APNA NAYA KALAM PESH KARNE WALA HU,jiska unwan hai,"MUSKURAHAT" ummeed hai abhi tak ki meri shayri me se sab se zyada pasandeedah kalam hoga.........

sirf aaghaaz bayan kar deta hu.........

tera muskurana mere dil ko bha gaya,
tera sharmana mere dil ko bha gaya,
yu nazrein milake phir sharm-0-haya se,
palkein jhukana.....mere dilko bha gaya


-AAMIR FARAZ

"do lamho ke hi waaste aa bazm mein FARAZ
sadiyon se yeh nigaahein hain muntazir teri"
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
soni_sonal
kuch baatein kuch yaadein
soni_sonal is on a distinguished road
 
soni_sonal's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: May 2003
Rep Power: 22
1st April 2005, 05:53 PM

hi

achcha likhte hain aap

sonal
   
Reply With Quote
thanks
Old
  (#13)
aamirfaraz
Registered User
aamirfaraz has a spectacular aura aboutaamirfaraz has a spectacular aura about
 
aamirfaraz's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Nov 2002
Location: surat-india
Rep Power: 23
thanks - 22nd May 2005, 08:20 PM

thanks very much sonal,aapko mera kalaam pasand aaya, chalo ek aur dost deewan-e-khas ka mehmaan hua..........
plz keep reading my shayri....RAZ


-AAMIR FARAZ

"do lamho ke hi waaste aa bazm mein FARAZ
sadiyon se yeh nigaahein hain muntazir teri"
   
Reply With Quote
TERA MUSKURANA.........A SONG OF LOVE
Old
  (#14)
aamirfaraz
Registered User
aamirfaraz has a spectacular aura aboutaamirfaraz has a spectacular aura about
 
aamirfaraz's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Nov 2002
Location: surat-india
Rep Power: 23
TERA MUSKURANA.........A SONG OF LOVE - 22nd May 2005, 09:03 PM

HI friends, bahot dino ke intezaar ke baad aapke samne ek naya "naghma" pesh kar raha hu....umeed karta hu ke aap log isse pasand karenge, iss kalaam ki khaas baat yeh hai ke mujhe apni shayri me sabse zyadah yeh naghma pasand hai......
pesh kar raha hu....

"TERA MUSKURANA..........."
Tera muskurana mere dil ko bha gaya
tera sharmana mere dilko bha gaya,
yun nazrein mila ke phir sharm-o-haya se,
palkein jhukana.....mere dil ko bha gaya.

tune meri aankho se phir neendein churali,
mere dilko jane tune yeh kaisi saza di,
yu raton mein aksar mere khwabon mein aakar,
mujhe tadpana........ mere dil ko bha gaya.

tujhe chedta tha,teri main taarif karke,
mehfil mein jab aati thi tu banke-sanwarke,
yun baato hi baato mein phir naz-o-ada se,
tera rooth jana mere dil ko bha gaya.

tu kehti thi mujhse ishq-o-mohabbat ke qisse,
mai puchta tha tujhko mohabbat hai kis se?
naam uska lekar ke,dupatte mein apna....
tera chehra chupana mere dilko bha gaya.

nazar ke milane se bhi darrti hai ye nazar,
raah mein tujhse ab jo mulakat ho agar,
aankho se jab haal-e-dil bayan karke tujhse,
mera,dil haar jana,mere dilko bha gaya.

yeh sach hai ke main tera sanam to nahi hu,
magar main sanam se tere kam to nahi hu,
yadon mein sanam ke yunhi ro-ro ke khud bhi,
mujhko rulana..........mere dilko bha gaya.

khata ki nahi phir bhi khata-var jaana,
jaan kar bhi tune mujhko kyu na pehchana,
teri ek zidd ke........ be-jaan sabab se,
mera chot khana,.... mere dil ko bha gaya.

dil mein hai qaid yu to kai RAAZ tere,
ishq me pareshan hai kyu ab "FARAZ" tere,
teri yaad mein,.... mera tanhaaiyon mein.
aansu bahana,....... mere dil ko bha gaya
-AAMIR FARAZ.


-AAMIR FARAZ

"do lamho ke hi waaste aa bazm mein FARAZ
sadiyon se yeh nigaahein hain muntazir teri"
   
Reply With Quote
plz reply
Old
  (#15)
aamirfaraz
Registered User
aamirfaraz has a spectacular aura aboutaamirfaraz has a spectacular aura about
 
aamirfaraz's Avatar
 
Offline
Posts: 120
Join Date: Nov 2002
Location: surat-india
Rep Power: 23
plz reply - 29th May 2005, 10:00 PM

plz reply,if u like it.............
plz encourage me..............
dont disappoint me............

plz reply friends..........


-AAMIR FARAZ

"do lamho ke hi waaste aa bazm mein FARAZ
sadiyon se yeh nigaahein hain muntazir teri"
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho Mohammad Kashif Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 23rd June 2010 09:01 PM
Mile Kabhi Gar Nazar To Meri Nazar Padhlena nihar Shayri-e-Ishq 9 20th January 2009 01:48 AM
meri nazar raj_cute20 Shayri-e-Ishq 0 17th January 2005 07:00 PM
meri nazar saimrulzzz Shayri-e-Dard 0 8th January 2004 12:45 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com