Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Introduction Forum

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Talib sahab ke saath guftagu....
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Thumbs up Talib sahab ke saath guftagu.... - 1st January 2011, 11:56 AM

A very happy new year to you all..........

Aadaab DostoN

Aayiye is naye saal ki khoobsurat shuruaat kuch puraani yadoN se kareiN, Sdc ke kuch puraane members ko yaad kareiN...

TALIB SAHAB... shayed Sdc ke sabse purane members haiN..

Is mahine hum guftagu karenge Talib sahab ke saath...Inhe Sdc ka member bane 10 saal ho gaye haiN...10th August 2001 ko inhone sdc join kiya tha,

Meena didi, Parastar ji, Pulkit ji, Masoomshayer (Anil)ji,Aman rahi ji, Kshitiz ji,Mast(anu) ji,Shalini ji, Rohin ji,Kunal ji in sab members ke bohat hi khaas dost haiN..

7th april 2005 ko inki shadi huyi thi,inki shadi per Sdc ke kayi members ne shirkat bhi ki,ek bohat hi khaas thread bhi bani thi Sdc per, inki shadi per

http://www.shayri.com/forums/showthr...ht=talib+shadi

Yeh thread Sdc members ke pyar mohabbat aur khuloos ka gawaah hai...

As usual shadi ke baad Sdc per bohat kam nazar aane lage...

Per ab vaada kiya hai ke regular aayenge...

Chaliye is mahine hum inke saath guftagu karte haiN aur kuch puraani yadeiN taaza karenge...

Talib sahab kuch apne baare me bataiye, family, friends..

shayri.com per kab aur kaise pahunche..

Sdc per aapke sabse chahite shayer kauN haiN

In 10 saaloN ke apne Sdc ke safar ko describe kijiye...kya kya tabdiliyaaN mehsoos ki aapne,

Sdc ko behtar banane ke liye kya kiya jaana chahiye,

Kya yeh mumkin hai ke puraane members yahaaN dubaara laut aaye..??

Chaliye filhaal itna hi..phir haazir ho jaungi..

Happy interview and a Happy new year.....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st January 2011 at 12:00 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#2)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
1st January 2011, 01:12 PM

TALIB SAHAB... Sab se pehle naye saal ki aapko aur aapke pure ko bahut bahut mubaaraqbaad ... aapko nav varsh par interview ke katghare meN dekhkar bahut prasannta hui ... aapki shayri se main humesha mutacir hotaa raha hoon ... aapko padhnaa humeshaa bahut acchaa lagta hai mujhe ... !

Vaise jab se main yahaaN aaya hoon .... aapki nayi post bahut intezar ke baad aati hai ... yeh bhi sach hai ..... main aapki shaayri ke zariye hi jitna aap ko samajh paayaa hoon ...... utnaa hi jaanta hoon ... !

ab yahaaN sawaal-jawaab ke dauraan aapko aur kareeb se jaanne ka mauka milega ... jaise jaise interview aage baDhega ...

ishwar aapko har mukaam par safltaa deN ... iss duaa ke saath ...

aage phir milte hai ...

khush rahen ....
apnaa theek se khayal rakhen ...
duaaon ke saath ...

YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...

---Naresh Mehra----

Last edited by naresh_mehra110; 1st January 2011 at 01:14 PM..
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
1st January 2011, 04:53 PM

talib jee:

namaste!

mere Shaa'iiree ke safar ke Shuruaat ke dino.n se hi mai.n aapko paRhtaa aayaa huuN.. aapko paRh kar bahot kuChh seeKhaa bhee haii.. bahot hi KhuShii hu'ii naye saal ki Shuruaat aapke interview se ho rahii.n haii..! tah-e-dil se swaagat hai aapka !

KhuSH rahe.n... apnaa Khayaal raKhe.n

duaao.n ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
2nd January 2011, 03:58 PM

Sabse pehle 2011 ki aamad parr aap sabhi SDC ke members ko bohot bohot badhaai, ummeed hai ke hum sabhi ke liye yeh nayaa saal harr lihaaz se behtar hoga...sehat, sukoon aur sampatti sabb haasil ho...

Zainy Ji..aap yeh bataaye ke Aapne naye saal ki shuruuat pooraane se kyuN ki...? ha ha..waise khuskismati hai meri ke aap sabb ke beech abb bhi maujood hoon....koshish kartaa huun waqt nikaal ke aate rehen ki....bohot se dost naraaz bhi hai ..itni kam attendance ke liye maufi chaahta hoon..aap ne kuch sawaalaat kiye hain unkaa jawaab itminaan se likh kar haazir karr doonga..filhaal chalta hoon.

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#5)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
2nd January 2011, 04:00 PM

Naresh Ji aur Dhaval Ji..aapka bohot shukriya hauslaa afzaayee karne ke liye...Naaye saal ki shuraat mein hi..kaTghare mein daal diyaa..Saath dijiyega interview ke dauraan..

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Warm Welcome
Old
  (#6)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up Warm Welcome - 2nd January 2011, 08:57 PM

Talib jii namaskaar
bahut accha lag raha hai aapko es guftagu meiN shamil hote dekh kar, meri taraf se aapko naye saal ki hardik shub-kaamnaye, aur es guftagu meiN aapka dil se suwagat hai aapki es poetry ke saath.

har ek gaam pe ek lamhaa guzar jaata hai,
aur phir lauT ke aane se mukar jaata hai.

mein jisko ChahooN na dekhe mujhe woh ek nazar,
na chaho jisko woh kadmoN mein bikhar jaata hai.

mere armaan bhi kuch aise dil ko choD gaye,
jaise muD muD ke koi waqt-e-safar jata hai.

Doobte Shams ko dekha to mujhe aisaa laga,
Jaise mazdoor koi shaam ko ghar jaata hai.

ya khuda khel tera mein tau samajh naa paaya,
koi mar kar jiye koi jeete-jee mar jaata hai.

yeh kya "Talib" dum-e-aakhir bhi hai jaana jaana,
khaaye kuch zakhm to jaahil bhi sudhar jaata hai.

god bless u

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#7)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
3rd January 2011, 10:55 AM

Quote:
Originally Posted by talib View Post
Zainy Ji..aap yeh bataaye ke Aapne naye saal ki shuruuat pooraane se kyuN ki...? .

It's a simple approach. Sustainable architecture looks to the future by looking at the past. Stephen Gist quotes

Meri nazar meiN is site ko yahaaN tak pahunchane me puraane members ka bohat bada yogdaan hai,unhe bhool ker hum aagey nahi badh sakte, woh kisi bhi wajah se yahaaN nahi aate ho, hum unko hamesha yaad karenge...aur unke lautne ka intezaar karenge.....

KYA PATA AAPKA YEH INTERVIEW HI BAHAANA BAN JAAYE UNKE LAUTNE KA....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#8)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
3rd January 2011, 03:40 PM

talib bhayee, apne shayri ke safar ke bare maiN batayN. kaha se shuru, kaha kaha badlaab, utaar chadhaa,,, safar mai kaun kaun , mod aye, chahe woh insaan, ahbaab, ya zindgi ek pechy-kham ........

zara tafseel se sunayeN ..........
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#9)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
3rd January 2011, 04:09 PM

Zainy Ji ek baar phir se shukriya interview ke kaabil samajhne ke liye aur Sunita jee aapka bhi shukr guzaar hoon meri iss ghazal ko yaad karne ke liye and a Very Happy 2011 to you aswell.

Kuch sawaal rakkhe the aapne..unka jawaab haazir hai..aur ummeed hai ke iss poore interview mein kahi suuni kisi baat se main kisi ke dil ya jazbaat ko thess nahi pohchaaoonga..

Q: Talib sahab kuch apne baare me bataiye, family, friends..

Mere baare mein kya likhoon zyaada kuch nahi.."Talib" mein Takhallus ke liye istemaal Karta hoon waise poora naam "Ismail Ebrahim Malam" hain...shehr-e-Mumbai se taalluq rakhta hoon lekin pedaayish Gujarat mein Surat ke kareeb choTe se gaanV Rander mein huee hai...Padhai aur parwareesh mumbai mein poore hue...Family mein Ammi hain, Do behne..Mujhse baDi behan hai uski shaadi ho chuki hain..uske baad main..phir choTi behan uske liye Groom Hunting chal rahi hai aur aakhir mein choTa bhai..he is a Banker.lekin Wohi hain jiss parr main sabse zyaada Bank karta hoon kyoN ke waalid sahaab ko faut hue aaj 7 saal ho gaye...my younger brother is the only one taking care of my Ammi n little sister. Friends bohot hai harr jagah hai..real hai virtual hai..lekin SDC parr..jo dost banaaye woh roohaani taur parr dost mehsoos hote hain..door ho karr bhi samajh lete hain..na keh karr bhi sunn lete hain...

Q: shayri.com per kab aur kaise pahunche..

ThoRi lambi kahaani hai lekin will try to make it short..Shayri.com par mein jab 2001 mein company ke kaam ki wajah se Calcutta mein transfer hua thaa..tab pehli baar ghar se duur hua, rehne ke liye Guest house aur khaane ke liye hotel...aur uspe yeh ki Ramazaan ka mahinaa chall raha tha..ba-khudaa mujhe ghar ki bohot bohot yaad aati thee..aur ek naye shehar mein na dost na rishtedaar kahaan jaata..aur kyoN ke shaayri ka thoDa shauq tha tau samjho ek sahaara hi mill gaya tha SDC parr mujhe..bass tabb se shareeq hota rehta hoon.

Q: Sdc per aapke sabse chahite shayer kauN haiN

Chahite shaayer ko chunn panaa tau as usual diplomatic answer hain ke..."Bohot mushkil hai"...lekin mein yeh kahoonga ke kisi ka andaaz pasand aata hai tau kisi ke khayaalaat, kahin kisi mahaul mein koi bilkool aapke dil ki baat keh deta hai tau koi puraani yaadeN tazaa karr deta hai...parr Maikash, Parastaar, Meena Ji, kshitiz, Dheer, Zainy Ji, Abdul Qadeer, Masood Hassaas, Shakil Ahmed..aur kuch ko shayad bhool raha hoon..inn shayaroN ko paDh karr mujhe hameshaa sukoon miltaa hai..kuch seekhne ko haasil hota hai aur ek nazaafat paayee jaati hai..yeh naam maine koshish ki hai as per DOJ ke hisaab se likhne ki..kisi ko kisi se kam yaa zyaada accha nahi keh raha main..

Q: In 10 saaloN ke apne Sdc ke safar ko describe kijiye...kya kya tabdiliyaaN mehsoos ki aapne,

In 10 saaloN mein zyaada tabdilyaaN tau nazar nahi aayee lekin agar kisi ko koi baat buuree na lage tau mujhe aisaa mehsoos hua ke inn dinoN bohot hi Daana, sanjheeda aur samajhdaar members shirkat farmaa rahe hain...jahaaN tak mujhe yaad hai shaayad 3-4 saaloN se iss forums ka control aur moderators ka ba-kamaal apni zimmedaari ko nibhaana isse pehle nazar nahi ayaa mujhe...umeed hai ke yeh silsilaa jaari rahega aur Allah aap ko aur bhi taufeeq aur qaabiliyat ataa farmaaye..lekin ek baat aur hai ke pehle kuch qurbat mehsoos hoti thi members ke beech..harr hafte Yahoo messenger parr Conference hua kartee thi members ki aur aapas mein meetings bhi arrange karte the..shaayad woh kuch kam ho gayee hain...ya phir im not aware about all the events being conducted...if so my apologies for that.

Q: Sdc ko behtar banane ke liye kya kiya jaana chahiye,

Filhaal tau kaafi saaf suthree aur dil kash bazm hai..kuch tanz-o-aitraaz bhi zaahir kiye jaate hai aaj kal jo pehle bilkool nahi hota thaa...aur yeh bohot acchi baat hai..iss silsile ko tuuTne na dein..ek healthy debate se kaafi seekhne ko haasil hota hai...agar ho sake tau ek alag section create karr sakte hain "Audio/Video Section" jahaan members sirf links submitt kar sakte hain aur Moderators ki manzoori haasil karne ke baad woh links ko activate karr diya jaaye. Aur be-shaq yeh Audio's/Video's hamaari bazm se mutaalliq honi chaahiye...i mean Urdu language ya educational etc..yeh sirf ek suggestion hain aage aap behtar judgement kar sakte hain.

Q: Kya yeh mumkin hai ke puraane members yahaaN dubaara laut aaye..??

Jee haan bilkool mumkin hai ke puraane members dubaara laut ke aaye..thoDi koshish karne ki zaroorat hai..maine tau koshish ki hai abb dekhiye kya ajar haasil hota hai..

chaliye aapke pehle round ko clear karr diya maine..milte hain ek choTe se wakfe ke baad..

Ta- Gor Tumhara

Talib.

Last edited by talib; 3rd January 2011 at 04:15 PM..
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#10)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
4th January 2011, 12:00 PM

Janu manu ji Salaam

Kaise hain aap..mauf kijiyega kal ki bajaay aaj jawaab de rahaa hoon..

Shaayri se pehle main yeh khaoonga ke mujhe puuraane geetoN ka bohot shauq tha..school ke dinoN ki baad hai hum bhai behan chotTiyoN mein naniyaal apne GaanV Rander jayaa karte the..ek din jab dopher ko sab so rahe the tau maine apne baDe mamujaan (Allah unko jannat ataa farmaaye)..unki meiz ke daraaz ki chaanbeen shuru karr di..aur haath lagi ek patli se puuraani si kitaab..uspe likha tha..."Meer ki shaayri"..aur main palang parr leTe huee paDhne lagaa..zyadaa tau yaad nahi lekin mujhe jo sher behad pasand aaye the woh kuch aisee the.....

jaata hai aasmaaN liye kuche mein yaar ke
aata hai jee bharaa dar-o-deewaar dekh kar,
socha tha usse miliye tau kya kya na kahenge,
dekha use tau reh gaye nachaar dekh kar.

yeh thi shuruuaat..

mere ghar mein kisi ko likhne ka shauq nahi hai...sunne ka bohot hai..aur khaas karr meri ammi aur choTe bhai ko..ek dost hai mera jo ke unn dino..stage acting mein mukaam haasil karne ke liye struggle karr raha tha..he was an active member of NCPA. Woh bohot acchi shayri kehta thaa..kabhi uski khud ki tau kabhi dosre shayaron ki..ussne bhi kaafi muttaacir kiya mujhe...phir maine socha ke kyoN ka acche acche shayaroN ko paDha jaaye..tau unn dino internet was not a necessaty..aur jitni kitaabein thi woh urdu mein maujood thi...tabb apni galati ka ehsaas hua..galati yeh ke mere choTe bhai ko Quraan paDhaane ke liye jab janaab ghar mein aaya karte the..tau meri ammi chahti thi ke main unse urdu ki taleem haasil karoon..lekin kyoN ke mein jawaan ho gaya thai i guess i was in 11th those days..bacchoN ki tarah padhne mein sharm mehsoos hoti thi..janaab jee ghar ke ek darwaaze se daakhil hote the tau main doosre darwaaze se khaarij hota tha..lekin..abb afsos hota hai...aaj bhi mujhe urdu paDhna likhna nahi aata..

phir hua Calcutta mein job Transfer ka maslaa..unnhi dinoN Shayri.com ko join kiya..kuch dost bane..aur maine yeh mehsoos kiya ke Urdu Zubaan ka istemaal Mumbai se zyaada Calcutta mein hai..kuch waqt ke baad "Ghazal Transport" ke Owner Janaab "Munnavar Rana" sahab se ek choTi si mulaakaat huee..unka nephew mera dost tha..woh unki shayri ki kitaabein kabhi kabhaar de jaata aur mein padhta thaa..kaafi gehra asar hua uska mujh parr..unki ek ghazal hai..

Sab ke kehne se iraada nahi badlaa jaata,
Harr saheli se dupatta nahi badlaa jaata.

Humke shaayar hai siyaasat nahi aati humko,
humse muunh dekh ke lehjaa nahi badlaa jaata.

aisaa lagta hai ke woh bhuul gaya hai humko,
abb kabhi khiDki ka parDaa nahi badlaa jaata.

jab rulaaya hai tau hasne pe na majboor karo,
roz bimaar ka nuskhaa nahi badlaa jaata.

ghum se fursat hi kahaan hai ke tujhe yaad karoon,
itne laaseN hai tau kaandha nahi badlaa jataa.

Umr ek talkh haqeeqat hai "Munnavvar" phir bhi,
jitne tum badle ho utnaa nahi badlaa jaata.

SDC join karne ke baad main apne khayaaloN parr zyaada dhyaan dene laga kabhi kabhi unhe likh leta aur phir koshish karta sher bunne ki aap yeh keh sakte hain ke..yahaaN par thoDa badlaav aaya aur shayri ko sanjeedgi se paDhne samjhne lagaa main...lekin abb bhi seekh raha hoon...phir gum-e-rozgaar ne zindagi ke kuch saal churaa liye aur uske baad..abba ka inteqaal huaa..mein Dubai mein tha aur sad-afsos hai ke apne walid sahaab ke aakhri safar mein unke saath nahi tha...sirf phone parr hi gharwaaloN se Ro Ro karr baat karr payaa main....iss haadse ka kaafi asar hua aur mein dard bhari shaayri hi likhta thaa...phir ammi ki tabiyat na-saaz rehne laagi..mijaaz mein kaafi tabdili aa gayee thi unke.. uss waqt tak chaar bacchoN mein se kisi ki bhi shaadi nahi huee thi..aur itni baDi zimmedaari akele nibhaana asaan tau nahi hai...phir kuch waqt baad maine shaadi ke liye haan kardi..aur ammi ke chehre par khushi jhalakne lagi..Allah ka karam aur app logoN ki dua hai ke meri Begum iss kadar ghar mein sabse mill-jhull ke rehti hai ke main aur mera bhai ek taraf aur poori ladies team ek taraf...shaadi huee tau zimmedaariyaN daaman se lipaT gayee...lekin behnoN ki bhi shaadi baaki thi..aur beshaq yeh meri hi responsibility thi ke unke ghar bass jaaye..yeh bhi ek pareshaani thi aur shayri-e-dard jaari rahi...phir baDi behan ki shaadi ho gayee..aisa mehsoos hua ke kuch haasil karr paya hoon zindagi mein..dheere dheere waqt bohot kam nikaal pataa thaa..kaam ki wajah se..aur aaj bhi wohi haal hai..

subha hoti hai shaam hoti hai,
zindagi yuuN hi tamaam hoti hai.

lekin jo waqt SDC par guzraa jo dostoN ne himmat afzaayee ki aur rahbaree ki uske bina shayri se juDe rehna shaayad mushkil tha. Yahaan se bohot kuch seekha hai, aur umeed hai ke aage bhi seekhta rahoonga..chaliye filhaal chataa hoon..bohot lambi kahaani ho gayee..apna khayaal rakhiyega..

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#11)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
4th January 2011, 04:25 PM

Accha lagaa aapke baare me jaanker Talib sahab,

Aapne audio-visual section ki baat ki,us per hum zarur ghaur karenge, aur bohat jald admin sahab se bhi is mutalliq baat karenge

Sdc ke kin kin members se aapki mulaqaat huyi, agar koi pictures ho aapke paas, un mulaqaatoN ki tou zarur paste kijiye yahaaN,

Agar munasib samjhe to, interview ke dauraan apne avtaar me apni picture laaayen..

chalte chalte ek aur sawaal aapse,..dard aur shayri ka itna gehra rishta kyuN hai...??

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#12)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
5th January 2011, 11:49 AM

zainy ji...shukriya aapka..mere mashware ko kaabil-e-gaur samajhne k liye...aur koshish karr raha hoon apni tasveer badalne ki...

rahi baat aapke sawaal ki..dard aur shaayri ka rishta...?

dekhiye baat yeh hai ke agar aapke dil ki baat kisi ko kehni ho tau ya aap sirf sidhe sidhe ru-ba-ru keh dijiye ya khat likh dijiye...aur ummeed kijiye ke saamne waale pe uska gehraa asar ho...chaahe woh pyaar ka izhaar ho, apne mehboob ki khubsuurati ki tareef ho ya apne dard ka bayaan....

lekin agar aap ko apni baat ke asar hone ke chances baDhaane hai, tau sidhe saadhe lehje se baat nahi banegi..aapko iss tarah apni baat rakhni hogi ke sunne waale ke dil par asar fauran ho jaaye..aur kyoN ke "sukh ke sabb saathi, dukh mein na koii" iss chalte..khushi ki baatoN par log asaani se aapke saath ho lenge..haan mein haan milaayenge..saath nibhaayenge..lekin dard-o-ghum mein shareek bohot kam aur kareeb ke log hote hain...aur issi liye..alag alag insaan apne alag alag dukh dard ko shaayri ke zariye ek behtar lehje mein ek kareene se pesh kartaa hai taake saamne wale parr asar ho..uske dukh ka charaa shayad mil jaaye..aur dil ki baat keh daalne se jii bhi halkaa hota hai..aur harr insaan ko yeh salaahiyat naseeb nahi hoti ke shaayri kar paaye..jaise ke main...LoL...tau doosroN ke ashaar padh kar aksar lagta hai ke jaisee hamaare dil ki baat keh di ho shaayar ne...bass mere hisaab se iss liye dard ka aur shaayri ka rishtaa kaafi gehraa hai..

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#13)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
5th January 2011, 12:21 PM

Zainy Jii..woh pictures ki size ka maslaa hai....100X100 ka iss liye link submitt karr raha hoon..this is me..the latest version..LoL...i mean the pic was taken a few days back...

http://www.4shared.com/photo/MqNRatjP/DSC04822.html

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#14)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
10th January 2011, 12:23 PM

Quote:
Originally Posted by talib View Post
Janu manu ji Salaam

Kaise hain aap..mauf kijiyega kal ki bajaay aaj jawaab de rahaa hoon..

Shaayri se pehle main yeh khaoonga ke mujhe puuraane geetoN ka bohot shauq tha..school ke dinoN ki baad hai hum bhai behan chotTiyoN mein naniyaal apne GaanV Rander jayaa karte the..ek din jab dopher ko sab so rahe the tau maine apne baDe mamujaan (Allah unko jannat ataa farmaaye)..unki meiz ke daraaz ki chaanbeen shuru karr di..aur haath lagi ek patli se puuraani si kitaab..uspe likha tha..."Meer ki shaayri"..aur main palang parr leTe huee paDhne lagaa..zyadaa tau yaad nahi lekin mujhe jo sher behad pasand aaye the woh kuch aisee the.....

jaata hai aasmaaN liye kuche mein yaar ke
aata hai jee bharaa dar-o-deewaar dekh kar,
socha tha usse miliye tau kya kya na kahenge,
dekha use tau reh gaye nachaar dekh kar.

yeh thi shuruuaat..

mere ghar mein kisi ko likhne ka shauq nahi hai...sunne ka bohot hai..aur khaas karr meri ammi aur choTe bhai ko..ek dost hai mera jo ke unn dino..stage acting mein mukaam haasil karne ke liye struggle karr raha tha..he was an active member of NCPA. Woh bohot acchi shayri kehta thaa..kabhi uski khud ki tau kabhi dosre shayaron ki..ussne bhi kaafi muttaacir kiya mujhe...phir maine socha ke kyoN ka acche acche shayaroN ko paDha jaaye..tau unn dino internet was not a necessaty..aur jitni kitaabein thi woh urdu mein maujood thi...tabb apni galati ka ehsaas hua..galati yeh ke mere choTe bhai ko Quraan paDhaane ke liye jab janaab ghar mein aaya karte the..tau meri ammi chahti thi ke main unse urdu ki taleem haasil karoon..lekin kyoN ke mein jawaan ho gaya thai i guess i was in 11th those days..bacchoN ki tarah padhne mein sharm mehsoos hoti thi..janaab jee ghar ke ek darwaaze se daakhil hote the tau main doosre darwaaze se khaarij hota tha..lekin..abb afsos hota hai...aaj bhi mujhe urdu paDhna likhna nahi aata..

phir hua Calcutta mein job Transfer ka maslaa..unnhi dinoN Shayri.com ko join kiya..kuch dost bane..aur maine yeh mehsoos kiya ke Urdu Zubaan ka istemaal Mumbai se zyaada Calcutta mein hai..kuch waqt ke baad "Ghazal Transport" ke Owner Janaab "Munnavar Rana" sahab se ek choTi si mulaakaat huee..unka nephew mera dost tha..woh unki shayri ki kitaabein kabhi kabhaar de jaata aur mein padhta thaa..kaafi gehra asar hua uska mujh parr..unki ek ghazal hai..

Sab ke kehne se iraada nahi badlaa jaata,
Harr saheli se dupatta nahi badlaa jaata.

Humke shaayar hai siyaasat nahi aati humko,
humse muunh dekh ke lehjaa nahi badlaa jaata.

aisaa lagta hai ke woh bhuul gaya hai humko,
abb kabhi khiDki ka parDaa nahi badlaa jaata.

jab rulaaya hai tau hasne pe na majboor karo,
roz bimaar ka nuskhaa nahi badlaa jaata.

ghum se fursat hi kahaan hai ke tujhe yaad karoon,
itne laaseN hai tau kaandha nahi badlaa jataa.

Umr ek talkh haqeeqat hai "Munnavvar" phir bhi,
jitne tum badle ho utnaa nahi badlaa jaata.

SDC join karne ke baad main apne khayaaloN parr zyaada dhyaan dene laga kabhi kabhi unhe likh leta aur phir koshish karta sher bunne ki aap yeh keh sakte hain ke..yahaaN par thoDa badlaav aaya aur shayri ko sanjeedgi se paDhne samjhne lagaa main...lekin abb bhi seekh raha hoon...phir gum-e-rozgaar ne zindagi ke kuch saal churaa liye aur uske baad..abba ka inteqaal huaa..mein Dubai mein tha aur sad-afsos hai ke apne walid sahaab ke aakhri safar mein unke saath nahi tha...sirf phone parr hi gharwaaloN se Ro Ro karr baat karr payaa main....iss haadse ka kaafi asar hua aur mein dard bhari shaayri hi likhta thaa...phir ammi ki tabiyat na-saaz rehne laagi..mijaaz mein kaafi tabdili aa gayee thi unke.. uss waqt tak chaar bacchoN mein se kisi ki bhi shaadi nahi huee thi..aur itni baDi zimmedaari akele nibhaana asaan tau nahi hai...phir kuch waqt baad maine shaadi ke liye haan kardi..aur ammi ke chehre par khushi jhalakne lagi..Allah ka karam aur app logoN ki dua hai ke meri Begum iss kadar ghar mein sabse mill-jhull ke rehti hai ke main aur mera bhai ek taraf aur poori ladies team ek taraf...shaadi huee tau zimmedaariyaN daaman se lipaT gayee...lekin behnoN ki bhi shaadi baaki thi..aur beshaq yeh meri hi responsibility thi ke unke ghar bass jaaye..yeh bhi ek pareshaani thi aur shayri-e-dard jaari rahi...phir baDi behan ki shaadi ho gayee..aisa mehsoos hua ke kuch haasil karr paya hoon zindagi mein..dheere dheere waqt bohot kam nikaal pataa thaa..kaam ki wajah se..aur aaj bhi wohi haal hai..

subha hoti hai shaam hoti hai,
zindagi yuuN hi tamaam hoti hai.

lekin jo waqt SDC par guzraa jo dostoN ne himmat afzaayee ki aur rahbaree ki uske bina shayri se juDe rehna shaayad mushkil tha. Yahaan se bohot kuch seekha hai, aur umeed hai ke aage bhi seekhta rahoonga..chaliye filhaal chataa hoon..bohot lambi kahaani ho gayee..apna khayaal rakhiyega..
bhayee bahut shukriyaa aapne detail mai bataya, mai soch raha tha koe aur aapse saal kare..

aapne jo bhi mode liye hai shayeri mai, unke according .. ghazale bhi suna deN....
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#15)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
11th January 2011, 08:29 AM

talib ji,

aap to hamesha se hi dil par alag sa iktheaar banaye baithe hai..bahut aacha laga aapko wapas yahan dekhkar...infact mera bhi majraa aap jaisa hi hai bas kya kahun...par aaj yeh pura post padhaa...

yun to kaafi yaadgar lamhe aur baatein hai jo zehan mein aa rahi hai yeh post likhte hue...kuch sawaal nahi hai bas yahi dua hai aap jahan rahe khush aur abaad rahe aur humse yun rubaruu hote raha karein..

aapka apnaa

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#16)
prem_anjana
man ki kalam.....
prem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to all
 
prem_anjana's Avatar
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Dec 2009
Location: lucknow
Rep Power: 21
12th January 2011, 02:47 PM

talib bhai ko prem anjana ka salaam,
bhai aapke bare mein jo maine oopar padha us se yeh toh mujhe pata chal gaya hai ki aapme sher o shayari ka gajab ka hunar hai.........
ab ki jab aap katghare mein ho toh sawal karne ka haq toh banta hi hai na .bade bhai, .......kyun galat kah raha hoon mai!!
mera sawal hai ki......
Q >> ik dost ki ahmiyat aapki jindigi mein kya hai? aur usse bhi badhkar ik dhokhebaaz mitr ki ahmiyat aapki nazron mein kitni hai ?
talib bhai ab yeh mat kehna ki mera koi bhi mitra dhokhebaaz ya____ ____ (dash dash) nahi hai.........

aapke vichar sunne ke intizaar mein ......

kush rahen ,swasth rahen
aapka ......... prem anjana

anjana prem
sab meri muskurahat se jalte hai,
mai sabko hasata chala gaya.
pasand thi jamane ko meri barbadi,
mai unpe dil-o-jaan lutata chala gaya.
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
12th January 2011, 03:59 PM

aadaab
taalib bhai
aap ko parh ke bahot achhaa lagaa aor haalate zindagee jaan kar yak gonah khushi bhi milee aap ke khiyaalaat buland hai jo qaabil e taqleed hain alfaaz ka chunaao bhi aap bade shandaar tareeqe se karte hain jo ki aap ka hi apnaa andaaz hai
taakheer ki ma"azarat
inshallah phir haazir hotaa hun
masood hassaas
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
13th January 2011, 02:27 AM

Fikr Saheb Adaab,

Aapne waqt nikaal kar phir mukhaatib ho kar izzat bakshi hai uskaa shukr guzaar hoon...Shaayri mein koi khaas moD nahi liye maine..Suhel Ulfat sahaab hamaari bazm ke member hua karte the..woh aur main dono Abu Dhabi mein hi job karte the..unse aksar mulaakaat hoti thi..unhone mujhe ek mashwaraa diyaa tha ke apne likhe ko gaa ke, gunngunaa ke aazmaaya karo..agar zabaan kaheen aTakti hai tau samjho ke jhol hai..bass main wohi nuskhaa apnaata hoon...wazan, meter, behar..nahi seekhe maine..tau mere saath aisaa hai ke zindagi ke Mod ke saath saath shaayri bhi muDti gayee..aur kuch badlaav hote rahe shaayri parr...lekin pehle pehal ki jo shaayri thi meri woh kuch aisee thi..

Sau baar jaaN nisaar unki ek baat par,
lete hain naam unhi ka dua-e-hayaat par.
Har baar laDkhaRaaye dekh chehra woh purr-nuur,
darte hain kahiin mill na jaaye pull-siraat par.

aur ek hain ke..

zamaane bahr ki muraadoN ko dil mein rehne do,
shikasta ishq ke waadoN ko dil mein rehne do,
jalaa duun duniya mein taare bhi toR laaoonga,
fizool aise iraadoN ko dil mein rehne do.

...basss iss tarah se chand lines likh ke bohot khush hota thaa main...LoL..lekin phir dheere dheere online paDh kar, aur SDC ke zariye thoDi behtari ho paayee..aur shayad theek thaak likh paataa hoon..

Waise bohot maazrat chaahta hoon ZAINY ji see ke unhone poocha tha kaunse member se meri mulaakaat huee tau..pehle maufi chaata hoon..aur yeh batlaate hue fakr mehsoos hota hai ka khush kismati se..Parastaar Ji se meri Dubai mein mulaakaat huee thi...bohot ba-waqaar member hain SDC ki..kuch arse tak Moderator reh chuki hai..shaayri ke saath saath novel bhi likhti hai..aur phir Suhel Ulfat sahab se....woh ek bohot acche Graphic Desinger hai aur Computer mein expert hain...

Janumanu ji...aur kya likhooN...bass takhallus ke taur parr "Talib" ikhtiyaar kiya aur jo likha iss bazm mein maujood hain...filhaal chalta hoon...ek awaaz lagaa dijiyega..haazir ho jaoonga.

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#19)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
13th January 2011, 02:29 AM

Anu Bhai kaise hain aap...?

SaaloN baad aapse baat ho rahi hai...ummeed hai ke aap bilkool khairiyat se honge. Jee haan aapse baat huee tau puuraane din yaad aa gaye aur kuch puuraane members bhi..aap aate jaate rahaa kijiye. Apna khayaal rakhiyega..

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#20)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
13th January 2011, 02:31 AM

Prem Anjana Sahab Adaab,

Aap bilkool bajah farmaa rahe hain..beshaQ haQ bantaa hai sawaal karne kaa aur meri koshish rahegi fauran jawaab dene ki...waise dost agar aap kehte ho kisi ko tau pehle tau uss par aitbaar hona chaahiye..agar aapko uss par aitbaar nahi hai tau woh sirf aapka aashna kehlaayega naake dost..aur agar kisi dost ne aapko dhoka diya hai tau usski wajah jaanni bohot zaroori hai..kyoN ke aapko uss par bilkool aitbaar thaa..ussne aisa kyoN kiya..?majboori bhi ho sakti hai..aur agar koi majboori nahi thi tau usse jhagRaa karo..daanTo..phaTkaaro..kyoN ke ho sakta hai usse galati huee ho..aur saccha dost tau wohi hai jo aapki galati parr aapko daaNte, aur aapke sahi hone parr aapki tareef karein..aapka hauslaa baDhaaye...aap usko agar apnaa dost kehte ho tau usko ek mauka aur do..saaf saaf baatlaado ke ussne aapka dil dukhaaya hai..samjhaaO use..ke tu mera dost hai..aur dost bohot ehmiyat rakhte hai hamari zindagi mein..unka asar hota hai hamaare mijaaz parr hamaari adatoN parr..yahaaN takk ke hamaare ghar parr aur shaadi byaah parr bhi..kyoN ke kehte hain na ke laDke ke baare mein jaanch karni ho tau uske dostoN ko parkho..ha ha ha..

prem bhai..meri tau dua hai ke aapke saaRe dost har waqt aapke saath ho..aur aap bhi unkaa saath ba-khoobi nibhaa sakeN..aur agar khaiiN kisi se koi galati ho jaaye tau saaloN ki dosti ko, jazbaatoN ko aur dil ke riste ko...zayaa na kijiyega.. Insaan ka jism zyaadatar paani se banaa hua hai..iss liye laRne jhaGhane ki fitrat zyaada hoti hai insaan mein, mera matlaab paani ki tarah asaani se machal jaata hai insaan.....aage aap khud samajhdaar hai..main kya likhoon..Apnaa khayaal rakhiyega..

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#21)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
13th January 2011, 02:33 AM

Masood Sir AsSalaam Vaalekoon,

Aapne meri zindagi ki dastaan par nazr-e-karam farmaayee, janaab naaz ho raha hai apni kismat parr...main samajh sakta hoon aap masroof rehte hain aur aap humse maazrat talab karr sharmindaa na karein huzoor. Aap aaye yeh hi ganimat hai. Insha Allah phir milte hain jabb aapko waqt mile..Allah Hafiz.

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#22)
prem_anjana
man ki kalam.....
prem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to all
 
prem_anjana's Avatar
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Dec 2009
Location: lucknow
Rep Power: 21
13th January 2011, 12:47 PM

Quote:
Originally Posted by talib View Post
Prem Anjana Sahab Adaab,

Aap bilkool bajah farmaa rahe hain..beshaQ haQ bantaa hai sawaal karne kaa aur meri koshish rahegi fauran jawaab dene ki...waise dost agar aap kehte ho kisi ko tau pehle tau uss par aitbaar hona chaahiye..agar aapko uss par aitbaar nahi hai tau woh sirf aapka aashna kehlaayega naake dost..aur agar kisi dost ne aapko dhoka diya hai tau usski wajah jaanni bohot zaroori hai..kyoN ke aapko uss par bilkool aitbaar thaa..ussne aisa kyoN kiya..?majboori bhi ho sakti hai..aur agar koi majboori nahi thi tau usse jhagRaa karo..daanTo..phaTkaaro..kyoN ke ho sakta hai usse galati huee ho..aur saccha dost tau wohi hai jo aapki galati parr aapko daaNte, aur aapke sahi hone parr aapki tareef karein..aapka hauslaa baDhaaye...aap usko agar apnaa dost kehte ho tau usko ek mauka aur do..saaf saaf baatlaado ke ussne aapka dil dukhaaya hai..samjhaaO use..ke tu mera dost hai..aur dost bohot ehmiyat rakhte hai hamari zindagi mein..unka asar hota hai hamaare mijaaz parr hamaari adatoN parr..yahaaN takk ke hamaare ghar parr aur shaadi byaah parr bhi..kyoN ke kehte hain na ke laDke ke baare mein jaanch karni ho tau uske dostoN ko parkho..ha ha ha..

prem bhai..meri tau dua hai ke aapke saaRe dost har waqt aapke saath ho..aur aap bhi unkaa saath ba-khoobi nibhaa sakeN..aur agar khaiiN kisi se koi galati ho jaaye tau saaloN ki dosti ko, jazbaatoN ko aur dil ke riste ko...zayaa na kijiyega.. Insaan ka jism zyaadatar paani se banaa hua hai..iss liye laRne jhaGhane ki fitrat zyaada hoti hai insaan mein, mera matlaab paani ki tarah asaani se machal jaata hai insaan.....aage aap khud samajhdaar hai..main kya likhoon..Apnaa khayaal rakhiyega..
janaab talib saheb ko prem ka .........pranaam!!
aapne mere prashn ka bakhoobi jabaab diya !! bhai santust hoon mai aapke uttar se........
lekin woh toh nahi jaanta ki mai usse kitna chahata hoon.....
ab aap hi dekhiye aapse bhin usi ki baat kr raha hoon..... ik baar daanta bhi tha toh kehne laga ki "tum bade ho itna nahi jhel paate"...
.use kya pata ki mai bhi mitti ka hi bana hoon.......
jald hi aapko phir pareshaan karunga .......

swasth rahen , khush rahen
aapka......... prem anjana

anjana prem
sab meri muskurahat se jalte hai,
mai sabko hasata chala gaya.
pasand thi jamane ko meri barbadi,
mai unpe dil-o-jaan lutata chala gaya.
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
14th January 2011, 12:04 AM

A very happy birthday to you Talib sahab...........

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#24)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
14th January 2011, 01:06 AM

khodaa shahrat bulandee fikr me yaktaa karey tum ko
radeef o qaafiyah ki sh"eri paimaaish mobaarak ho
meraa hassaas dil hassaas saa"at pe doaa go hai
merey taalib tumhe yeh yaom e paidaaish mobaarak ho
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
14th January 2011, 02:27 AM

Thanx a Lot Zainy Jee....You were the first one to Wish me...Thanx once again.

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#26)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
14th January 2011, 02:33 AM

Masood Bhai Salaam.

Aap ki mubaarakbaad aur duaoN ka shukriyaa kaise adaa karoon...? Iss kadar izzat nawaazi hai aapne ke rooh tak sukoon mehsoos karr rahaa hoon. Aap issee tarah apni duaoN ka aur rehnumayee ka saaya sarr pe rehne dijiyega..yeh iltejaa hai.. Allah aapko woh sab ataa farmaaye jiski aap khwaahish karein...Allah Hafiz.

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
..........happy birthday talib bahi.......
Old
  (#27)
prem_anjana
man ki kalam.....
prem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to allprem_anjana is a name known to all
 
prem_anjana's Avatar
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Dec 2009
Location: lucknow
Rep Power: 21
Smile ..........happy birthday talib bahi....... - 14th January 2011, 11:46 AM

janab talib saheb ko prem ka salaam,......... kaise hai aap!!

bhai jis tarah aapki umr mein ooparwale ne ik saal badhaya hai usi tarah wohi aapko din par din bulandiyon par pahuncha dein.............
isi hasrat ke saath aapko janamdin ki haardik shubhkaamnaayen
khush rahen, sehatmand rahen
hamesha muskarate rahen

aapka mitra ................prem anjana

anjana prem
sab meri muskurahat se jalte hai,
mai sabko hasata chala gaya.
pasand thi jamane ko meri barbadi,
mai unpe dil-o-jaan lutata chala gaya.

Last edited by prem_anjana; 14th January 2011 at 11:55 AM.. Reason: text missing
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
14th January 2011, 12:18 PM

Janaab Talib saahab ko hamara aadaab peshe khidmat hai..sabse pahle aapko naya saal aur janm din ki behad behad mubarakbaad ...
Bhaii muaafi chahta hoon ki aapki mahfil me itni deree se aana huaa.. ye nahi kahungaa ki waqt ki kami ke chalte naa aa paya.. kyonki aata to main har roz hi thaa. aapke baare me padhta bhi raha , lekin sach kahun to koi sawaal naa sujh raha tha ki main aapse kya poochun.. kyonki aapne sabkuch pahle hi itna tafseel me bayana kar diya hai.. ki baaki kuch poochne ko raha hi nahi...

Aaj se kareeb, 4,5 saal pahle jab maine apna shayri ka safar shuru kiya tha us waqt aap bhi active huaa karte the, aapko bahot padhta tha main, aapke jazbaat behad pasand aate the mujhe, sach kahun to bahot kuch seekha bhi hai maine aapse..

Janaab ek soch ek khayal dimaag me aata hai kabhi un members ko lekar jo aaj kal active nahi hain.. lekin kisi waqt me wo saare log active huaa karte the... kahte hain na waqt kisi ke liye nahi ruktaa log aate jaate rahte hain.. kal wo active the aaj kuch aur log active hain aur kal kuch aur alag log ho jaaenge.. lekin SDC wahi rahegee...

Lekin Kuch to baat hai jiski wajah se wo kal ke log aaj hichkichaate hain.. aur jo aaj hain ho sakta hai kal wo katraaen warna kya wajah hotii ki aaj hum logon me wo shumaar nahi hain.. Aapko kya lagta hai zahni soch me wo kal ke log aur aaj ke naye members me kya farq hogaa.. aapne itne din se SDC ko dekha hai kitne hi log dost bane honge kuch choot gaye honge. kuch naye ban rahe honge.. Aapke hisab se wo kya cheez hogi jo is generation gap in SDC ke darmiyaan aa rahi hai.. aur aage bhi aati rahegii.... agar munasib samjhen to raushni daalen..

Duaaon me yaad rakkhen.. aapka bhai

shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#29)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
15th January 2011, 01:29 AM

Prem Anjana Jee.. Namaste,

Aapke pyaar aur apnepann se dil pur kaif ho utthaa...bohot bohot shukriya aapka BirthDay wishes aur DuaoN ke liye aap bhi apna khayaal rakhiyega...filhaal chalta hoon...TkCr.

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#30)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
15th January 2011, 01:51 AM

Sameer Bhai Salaam,

JanmDin ki aur naye saal ki mubaarakbaad ke liye shukr guazaar hoon aur yeh jaan kar khushi huee ki aapko mera likha pasand aataa hai. Aap ki nawaazish hai janaab...

Rahi baat puuraane logon ke iss mehfil mein shareek na hone ki..tau isski bohot saari wajah ho sakti hai...koi unn dinoN kaafi udaas rehta tha samjho ghum-e-ishq tha ya ghum-e-rozgaar hua karta tha..girl/Boy friend ne dil toD diyaa tha..aaj kal nayee Girl/boy Friend mill gayee hai ya Shaadi ho gayee hai..din badal gaye hai tau shayri likhne paDhne ki fursat nahi..koi hai ke iss site ko bekaar samjhta ho.. kuch members bohot zyaada busy ho gaye hain aur kuch shayad likhne se parhez karte ho..woh apne aap se kehte ho ke "main kuch accha nahi likhtaa..mujh se bohot accha likhne waale maujood hain SDC parr" ya phir.."main tau bohot accha likhta hoon..SDC is not the forum for me.."..shayad iss liye bhi kuch members na aate ho.

lekin sameer bhai..mere hisaab se..sabse baDi wajah hai..URDU zubaan ka dhundhlaaya huaa wajood..Shayri ka Dhundhlaaya hua wajood.. kaun hai aajkal jo URDU seekhna chaahta hai...? Kaun hai aajkal jo riwaayati Shayri likhne ki koshish karta hai..? aur agar koi karta bhi hai tau use haasil kya hota hai...? chalo kisine mehnat mashakkat karr ke Khaalis Urdu seekh li aur be-hadd acchi Riwaayati shayri karne lagaa tau usse kya hoga..? gine chune log hain aise jo unki kaDr karenge...baki saare log chaate hain.."Shielaa ki jawaani"....ya phir.."Go Go Go Golmaal"....

Huzoor..ZyaadTar logon ko josh chaDhta hai..Shayri paDhne ka likhne ka kuch din mein josh utar jaata hai..aur SDC parr hota hai SannaaTa..phir kuch din baad kuch aur logoN ko josh uthTa hai..and the cycle goes on...

Yeh meri samajh hai...ho sakta hai mujhse zyaada tajurbekaar member behtar tareeke se samjha paaye..aapka sawaal sanjeeda aur eham hai...agar koi baat giraaN guzri ho tau Maazrat chaahta hoon..filhaal izaazat dijiye..phir milenge.

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#31)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
15th January 2011, 12:55 PM

Talib bhai, Assalamoalaikum.

Aapka reply msg padha, msg kya tha yooon smaajh lijiye bhanumati ka pitara tha, mere jitne sawaal the sab ke sab aapne baakaayda bayaaani ke saath jawaab diya hai samjh lijiye mutmaeen huaa hoon main aapke jawaabon se..

Ye baat khatak rahi thi dil me lekin jawab na suujh raha tha, aapne jaise mere dil me dabee baaton ko highlight kar diya, har ek point mukammal hai , sahi hai.. beshaq yahi wajha hogi. lekin jo bhi wajah ho, par yaaad to aati hai us waqt ki un logon ki, khair.. aapke jawab padhke kahi kahin mujhe hasee aa gai maslan, go go go golmaal, ya kisi ne nai gf bana lee.. lekin kahin kahin bahot gahree baat kahi hai aapne jaise ki urdu zabaan ka dhudhlaya hua hona.. bahot shukriya aapka jo aaapne is khubsurti se sabhi jawab diyaa.

Bhaot khushi hui jo aapne apna keemti waqt nacheez ke liye nikaala... keep in touch always. apna khayaal rakhiye, aur duaaon me yaad rakhiye hamesha apne is chote bhai ko... likhte bhi raha kijiye kabhi kabhar.

mukhlis

shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#32)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
16th January 2011, 02:14 AM

Quote:
Originally Posted by talib View Post
Masood Bhai Salaam.

Aap ki mubaarakbaad aur duaoN ka shukriyaa kaise adaa karoon...? Iss kadar izzat nawaazi hai aapne ke rooh tak sukoon mehsoos karr rahaa hoon. Aap issee tarah apni duaoN ka aur rehnumayee ka saaya sarr pe rehne dijiyega..yeh iltejaa hai.. Allah aapko woh sab ataa farmaaye jiski aap khwaahish karein...Allah Hafiz.

aadaab
taalib bhai
janaab doaa to hama waqt hai aap ke liye sdc ke liye yahaan ke mimbaraan ke liey ............... haan magar ye baat ajeeb si lagee ki mere jaise aam aor gumnaam insaan aor buddhu insaan se aap rahnymaayi ki iltejaa kar rahe hain .......... aap yaqeen karen merey qareebi dost mujhe buddhu hi kahaa karte hain is me main kisee tasanno yaa reyaakaari se kaam nahi le rahaa hun to buzurg ab aap mujh se rahnumaayi kiyaa haasil karen ge ?
masood hassaas
   
Reply With Quote
Old
  (#33)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
16th January 2011, 01:36 PM

Janaab Masood Sahab Adaab,

ek mashoooor sher hai ke..

Chalta hoon thoDi duur har ik tej rau ke saath,
Pehchaanta nahiN Hoon abhi raahbar ko main.

Abb rehnumaayee tau sahib-e-ilm aur tajurbekaar shaks hi karr sakta hai..aur mere hisaab se inn dono hi muaamloN mein hum se zyaada aap maaldaar hai..koi aur nahi lekin Urdu Zubaan aur shaayri ke pehloo ko lekar tau yeh baat bilkool durust hai..aur mujhe yakeen hai ke baaki membaraaN bhi iss baat se ittefaak rakhte hain..

Aisaa socha hai, ke kabhi waqt milegaa tau aapko takleef doonga aur kuch seekhne ki koshish karoonga..Insha Allah..lekin filhaal tau masroof hoon.. chuTTiyoN ki taiiyaariaN ho rahi hai...Phir Milenge..Filhaal Ijaazat leta hoon.

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#34)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
16th January 2011, 04:29 PM

aap ka sher kahtaa hai kiabhi aap raahbar ki talaash me bhatak rahe hain aor us me kaheen se kahaan tak ki khaak chhaan rahe hain .... janaab yahee to meraa kahnaa thaa .....
ek sher hai

uljhaa huwaa hai dard nasheb o faraaz me
khanjar bakaf radeef meree daastaaN ki hai
thithraa huwaa hai raastah maanind e zamhareer
larzish me kaaenaat merey kaarwaaN ki hai

( masood hassaas )

zamhareer ....... jahannam ka wo hissaa jahaan sardee ka azaab diyaa jaataa hai

janaab .. man aanam ki man daanam ..... taaham aap tamaam hazraat ka husz e zan allaah brqaraar rakhe yahee doa hai
jaaye chhutti pe khoob maoj mastee karen ek ek lamhe se khushi kasheed karen
dher saaree doaaon ke saath
masood hassaas
   
Reply With Quote
Old
  (#35)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
16th January 2011, 07:45 PM

Talib sahab,...chaliye kyuN na ek rapid fire round hojaaye.....

1)Do you think that you are strong?

2)What is your least favorite thing in the world?

3)Who do you miss most right now?

4)Have you ever been on radio or television?

5)Are you a dare devil?

6)Have you ever told a secret you swore you wouldn't?

7)Have you ever misused a word and it sounded
absolutely stupid?

8)Do you think there is a pot of gold at the end of the rainbow?

9)How do you release anger?

10)What was your favorite toy as a child?

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#36)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
17th January 2011, 01:33 AM

Masood Sir SalaamVaalekoom,

Huzoor pehle tau aap se aur moderator saahiba se maufi chaahta hoon...woh jo mashooor sher maine chaspan kiya tha woh mera nahi..Janaab Asadullah Khan "Ghalib" ka hai....sher ke baad mein Not Mine likhna bhool gayaa..

Abb dekhiye..aapne jo sher arz kiya hai woh kahaaN aur hamaara lim-e-mahdood-o-tang kahaan..agar gustaakhi na ho tau tafseel mein samjhaa dijiye yeh sher meharbaani hogi.....urdu kaafi bhaari hai...

aap ki duaeN niyaaz ki maanind lagti hai...aapka bohot shukriya..Apna khayaal rakhiyega...

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#37)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
17th January 2011, 01:50 AM

Zainy Ji..how r u doing..?

Rapid Fire.. theek hai..

Answers

1) YES I think that I am Strong.

2) Least Favorite thing in the world...is "Materialism"

3) Right now I Miss my Family the most.

4) Never been on AIR.

5) Not a Dare Devil...but i do take Calculated Risks..

6) I dont tell secrets normally..thay stay wid me quite safely.

7) Yeah...its a long story..but just to tell you the word was "Endoscopy"..LoL.

8) I dont think so.. if so..people would find the End of the Rainbow and Take turns in waiting for the pot to fill up.

9) I dont get angry that often..but if i do..its really bad..and i need to Kick or Punch something to release the rage..my mom says its really Scary..LOL.

10) Fav toy as a Child was always Kites..it still is..I Love Kites.

There u are.....this was cool..i guess.. thanx for the Rapid Fire..gtg now Tk Cr.

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#38)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
18th January 2011, 12:32 AM

Quote:
Originally Posted by talib View Post
Masood Sir SalaamVaalekoom,

Huzoor pehle tau aap se aur moderator saahiba se maufi chaahta hoon...woh jo mashooor sher maine chaspan kiya tha woh mera nahi..Janaab Asadullah Khan "Ghalib" ka hai....sher ke baad mein Not Mine likhna bhool gayaa..

Abb dekhiye..aapne jo sher arz kiya hai woh kahaaN aur hamaara lim-e-mahdood-o-tang kahaan..agar gustaakhi na ho tau tafseel mein samjhaa dijiye yeh sher meharbaani hogi.....urdu kaafi bhaari hai...

aap ki duaeN niyaaz ki maanind lagti hai...aapka bohot shukriya..Apna khayaal rakhiyega...

adaab
ab aap mujhe baar baar SIR kahke plz sharmindah na karen ( MAINIS LAFZ KE LAAEQ APNE AAP KO NAHI SAMAJHTAA )

uljhaa huwaa hai dard nasheb o faraaz me
khanjar bakaf radeef meree daastaaN ki hai

thithraa huwaa hai raastah maanind e zamhareer
larzish me kaaenaat merey kaarwaaN ki hai

nashebo faraaz se muraad halkore lenaa hai
khanjar bakaf se muraad khatarnaak hai
radeef se muraad har wo shai jo har aadmee me mushtarak ho
larzish .............. meree dunyaa dagmagaa rahee hai

ab aage aap ke zimmedaaree hai aap bhi kuchh sochen naaa
taaham itnee bhi gaarhee urdu nahi thee shaayad aap maslehatan aisaa kah gaye hain ..... hai ki nahi

masood
   
Reply With Quote
Old
  (#39)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
19th January 2011, 08:13 PM

Masoos Bhai Adaab,

Abb jaa ke iss kam-samajh ko samajh mein aayaa aapka sher. Mauff kijiyega aap ko takleef dii..ummeed hai mijaaz ba-khair honge aapke....ek baar aur maafi chahta hoon..aur yakeen jaaniye meri urdu kuch zyaada hi kamzor hai..apna khiyaal rakhiyega..aap ki 16th Dec ke din bbc parr on Air wali gazlein suni maine..huzoor paDhne main aur aapke muunh se sunne mein bohot farq hai janaab..Allah aapko aur nawaaze..duaoN ka mohtaaj.

Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#40)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
20th January 2011, 11:11 AM

Talib jee:

Kem Chho?

aapke interview se maalUm huaa ki aap Gujarat se hai.n.. mai.n bhee haazir huuN apne kuChh sawaalo.n ke saath

1>> Shaa'iree aur ehsaas ek doosre se juDe huye hai.n aapka kyaa kehna haii ees par

2>> jab hum mehsoos karte hai.n kisii ehsaas ko to kyaa fir uss ehsaas par liKhanaa aasaan ho jaataa haii?

3>> jo hamen pasand ho.n wo hamen nah mile.n.. to kismat.. bhagvaan ya hum Khud zimmedaar hai uss ke liye?

4>> "zindagee" kuChh lafz aapki aur se

ab chalte hai.n aapki bachpan ki yaado.n ki aur..

5>> bachpan mei.n aap Sharaarati the ya Shaant? aapki koii Sharaarat jo bahot hi yaadgaar rahi.n ho?

6>> School ke dino.n mei.n aapka pasandeeda subject kaun sa tha aur wo subject jise aap na-pasand karte the aur kyuuN?

7>> School ke dino.n mei.n koii aisi Shaitaani jiss se aapko DaaNT ya maar paDi ho.n

8>> aaj aur kal ke "Bachpan" mei.n aap kya farq mehsoos karte hai.n?

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com