Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Abhi kahan ..........
Old
  (#1)
Adil
Registered User
Adil is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 73
Join Date: Oct 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 22
Abhi kahan .......... - 30th June 2003, 02:18 PM

Aadaab doston,
ek baar phir aapki khidmat main hazir hoon..doston hum main se
aksar o beshtar apni kisi na kisi tay ki hui manzil ki taraf
gaamzan hai.........kuch usi pasmanzar main ek nazm qalamband ki
hai....aap baashaoor hazraat ki nazr e inayat
chaahoonga...mulahiza farmayein.......

"Abhi kahan neendon ka silsila, abhi jaana hai bohat door tak,
Abhi jism mera thaka nahin , abhi jaana hai bohat door tak.

Yahan rukoon, wahan rukoon,kyon ho qadam qadam pe ehtiyaat,
Mere dil main hai hausla , abhi jaana hai bohat door tak.

ehtiyaat------ caution

Yeh hikaayatein,yeh khwahishein,yeh mohabbatein,yeh chhahatein,
Abhi mujh se rahein door hi, abhi jaana hai bohat door tak.

hikayatein----- stories

Mera zikr na kar abhi, rakh door mujhe apni soch se,
Rahoon door nigaah se teri,abhi jaana hai bohat door tak.

Yeh khalaa tere mere beech ka ise faasle ka na naam de,
Yeh hain waqt ki maslihatein, abhi jaana hai bohat door tak.

khalaa------- gap, maslihatein-- desirableness,expedience

Yeh rishton ke bandhan 'Adil' pakeeza to zuroor hain,
Na karein maazoor mujhe, abhi jaana hai bohat door tak.

pakeeza--- pure, neat mazoor--weak, excusable

NAzm ko mehsoos karne ki koshish kijiyega aur agr islaah mumkin ho to main behad shukrguzaar rahoonga..
mukhlis
Adil


"'Adil' ne zabaan kholi thi such bolne ke waste,
Bardasht na kar sake log shayar bana diya"



MOHD.ADIL QURESHI
Snowy Mountains Engg. Corporation(SMEC)
A-1, Ist Floor,Chiragh Enclave
New Delhi-48
Tring Tring-09350815681
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Abhi dekhi kahan hai tum ne Hindustan ki chahat! By Jakmi silent-tears Anjuman-e-Shayri 3 12th July 2009 07:39 PM
abhi abhi mere dil ko ye khabar lagi hai naresh_mehra110 Shayri-e-Ishq 2 17th May 2009 06:16 PM
Abhi abhi to pyaar ka pc kiya hai chaaloo.. chaahat Humourous Shayri 7 11th October 2007 11:14 PM
kaya tumne mujko yaad kiya abhi abhi sunita thakur Shayri-e-Dard 12 13th October 2006 09:34 AM
Paani ka ek katra aankh se gira abhi abhi sahilmehta111 Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 24th September 2005 07:53 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com