Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ek Ladki
Old
  (#1)
Adil
Registered User
Adil is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 73
Join Date: Oct 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 22
Ek Ladki - 3rd September 2004, 09:12 AM

Adil ka aadaab qubool karei.n,
Ek arse baad aapki khidmat main hazir hoon…darasal hua yun ke mirza ghalib ke ek sher par hum ne apni shayri daao par laga di,aur shart haar bhi gaye aur likhne ka silsila ruk gaya. Ab mere azeez ne apni shart wapas le li hai to hazir hoon………
Baharhaal ek safar ke dauran likhe chand misre apki khidmat main pesh hain………

Abhi nikli hai choo kar ke dil ki mere daali,
Woh ladki hai ya hai koi hawaa matwaali.

Khile poora badan zara jo muskara de woh
Dikhe masoom , chanchal, shokh adaa waali.

Woh gesu hain, ya badal athkheliyaan karte,
Surahidaar gardan bhi hai kya khoob niraali.

Gulaabon main bhi na dekha wo gulaabipan,
Jo lab se hai numaaya, gulaabi pankhudi waali.

Ghaneri palkon ka bhi johar kuch niraala hai,
Woh pal main din aur pal main raat hai kaali.

Chupa rakhe hain na jane kitne raaz aankhon main,
Woh jheel si gehri aankhein, jiski hain paataali.

Jo chaahe pad le chehre pe, bilkul saaf hai likha,
Na jaane kitni nazrein guzri hongi hasraton waali.

Mehektaa lamba tan jiski woh khudzaat hai maalik,
Chaal bhi kya khoob paai hai pagdandiyon waali.

Na tha ‘Adil’ iraada aaj nayaa kuch likhne ka,
Utha qalam jo dekhi shakhsiyat mukammal ghazal waali.

Rai se zuroor nawaziyega
Adil


"'Adil' ne zabaan kholi thi such bolne ke waste,
Bardasht na kar sake log shayar bana diya"



MOHD.ADIL QURESHI
Snowy Mountains Engg. Corporation(SMEC)
A-1, Ist Floor,Chiragh Enclave
New Delhi-48
Tring Tring-09350815681
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
shakil-jaan
Registered User
shakil-jaan will become famous soon enough
 
shakil-jaan's Avatar
 
Offline
Posts: 155
Join Date: Sep 2004
Location: karachi
Rep Power: 20
4th September 2004, 05:44 PM

Nice


Bhool Kar Zaat Tum Ko Yaad Kya
Baat Be Baat Tum Ko Yaad Kya
  Send a message via Yahoo to shakil-jaan  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Ricky_the_KAVI
Filtering the Thoughts
Ricky_the_KAVI is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 162
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 21
4th September 2004, 08:18 PM

good one !!
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Adil
Registered User
Adil is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 73
Join Date: Oct 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 22
9th September 2004, 04:23 PM

thanx shakeel and ricky sb


"'Adil' ne zabaan kholi thi such bolne ke waste,
Bardasht na kar sake log shayar bana diya"



MOHD.ADIL QURESHI
Snowy Mountains Engg. Corporation(SMEC)
A-1, Ist Floor,Chiragh Enclave
New Delhi-48
Tring Tring-09350815681
   
Reply With Quote
Nice
Old
  (#5)
Kavita
Log kehtai hain:'Kavita'
Kavita is on a distinguished road
 
Kavita's Avatar
 
Offline
Posts: 265
Join Date: Dec 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
Nice - 10th September 2004, 01:20 AM

Adil Ji,
Very nice.Khaaskar the last lines.Bohot khoob.Keep writing.

Quote:
Na tha ‘Adil’ iraada aaj nayaa kuch likhne ka,Utha qalam jo dekhi shakhsiyat mukammal ghazal waali
Khayal Rakhain,
Kavita


"Kavita"...bas ek kavita.
Toota hua dil aur hoton pai hassi.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
Pyaar wo nahi tha jo kisi nai kiya
Pyaar woh hai jo koi nibha raha hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
Maana ki woh log badnaseeb hotai hai
Jinhai pyaar milta to hai
par woh usai paichaan nahi paatai
par woh log aur bhi badnaseeb hotai hai jinhai pyaar milta hai,woh usai paichaaan bhi jaatai hai par paa nahi saktai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
Its better to have loved and lost
then to have ever loved before
so what if the heart breaks
at least you will know LOVE.
  Send a message via Yahoo to Kavita  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Adil
Registered User
Adil is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 73
Join Date: Oct 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 22
25th September 2004, 09:12 AM

shukriya kavita ji...........


"'Adil' ne zabaan kholi thi such bolne ke waste,
Bardasht na kar sake log shayar bana diya"



MOHD.ADIL QURESHI
Snowy Mountains Engg. Corporation(SMEC)
A-1, Ist Floor,Chiragh Enclave
New Delhi-48
Tring Tring-09350815681
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
UDAS
Registered User
UDAS has a spectacular aura aboutUDAS has a spectacular aura about
 
UDAS's Avatar
 
Offline
Posts: 652
Join Date: Aug 2004
Location: India
Rep Power: 21
28th September 2004, 05:29 PM

Adil sahab...adaab baza laate hai...

ham pehli baar aapke kalaam par aaye to resp. diye bina raha na gaya...apne itna bariya likha ki ham apki gazel wali larki main hi kho gaye...bari mushkil se kalpna lok se nikal paaye hai...aur us per aapne jis tareh se apne jazbaato se us lari ko nikhaara hai...to ek baar dil kiya ki kash vo larki ham hote...magar is burape main to bas us larki wala khwaab hi dekh sakte hai...hamari tareef ka tokra sambhaliye..janaab.

izazet dai...

udas


DARD JAB HAD SE GUZERTA HAI TO GAA LETI HOO
ASHK AANKHO ME CHHUPA KER GAM PE MUSKURA LETI HOO
********
"Haale dil to dil me hi rakhte hai, in ankho ka kya karai.n
Jinse yaad main tumhari hardam aansu behte hai"
~~~~~
**
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Adil
Registered User
Adil is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 73
Join Date: Oct 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 22
14th October 2004, 03:12 PM

yaqeenan durust farmaya...shayri ahsaasaat aur jazbaaton ko alfaz mein pirone ka naam hai....lekin main nahi samajhta is mein umr ki koi bandish hai.....ye to mehsoos karne wale par munhasir hai.......aapne achi tarah mehsoos kiya iske liye shukrguzaar hoon........
shukriya
Adil


"'Adil' ne zabaan kholi thi such bolne ke waste,
Bardasht na kar sake log shayar bana diya"



MOHD.ADIL QURESHI
Snowy Mountains Engg. Corporation(SMEC)
A-1, Ist Floor,Chiragh Enclave
New Delhi-48
Tring Tring-09350815681
   
Reply With Quote
likhte t achcha ho magar..........
Old
  (#9)
amaan7am
Registered User
amaan7am will become famous soon enoughamaan7am will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 187
Join Date: Mar 2004
Location: in indore
Rep Power: 22
likhte t achcha ho magar.......... - 20th October 2004, 05:49 PM

miyan adil .........likhte achcha ho....alfajon ke mani bhi saaf hai tum par ...jazbaaton ko dhal bhi lete ho ...magar ye kya kiya miaya........"kafia radeef " aawali chal rahe the magar aakhir mein tumne ghazal bidhane ke liye.........ghazal wali likha ...bhai tumse aisi ummeed nahui thi.........bura mat mamana bewajah tareef nahin kar sakta ...........aur jab tum bhi jante ho.....aur main bhi wakif hoon ke tum achcha likhte ho to........phir kuch gum-e-duinya par halat-e-insaan par likho ..........jaise fazli sahab ne likha hai........."jab kisi se koi gila rakhna
samne apne aaeena rakhna "
kuch aisa likho na miyan.....


usne chukar mujhe pathar se insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansoon aaye
dr.bashir badr
 Send a message via ICQ to amaan7am  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ek Ladki junoonilover Shayri-e-Dard 2 22nd February 2006 02:24 PM
Woh ladki joe_arg261986 Humourous Shayri 0 18th September 2003 01:52 PM
Ek Ladki BHAVNEET Shayri-e-Dard 10 28th August 2003 12:12 AM
aaj ki ladki nitin_g420 Humourous Shayri 3 25th July 2003 02:16 PM
ek ladki thi....................... shayar88 Hindi Kavitayen 0 29th March 2003 08:34 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com