Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
aye zindagi tujh se naa iss tarah bejaa hua kare koi
Old
  (#1)
rumi
Registered User
rumi has a spectacular aura aboutrumi has a spectacular aura about
 
rumi's Avatar
 
Offline
Posts: 80
Join Date: Dec 2002
Location: Ab Tak Isi Duniya Me...
Rep Power: 23
Sad aye zindagi tujh se naa iss tarah bejaa hua kare koi - 14th March 2003, 05:03 PM

aadab arz hai dosto
shayri ke mahfil maujud mere dosto mai aaj jo ghazal psh kar raha hoon wo kisi ke dil kee tadap dekh kar likhi gayi hai,aur mujhe ummid hai ke aap logon ko uss dil tadap ka bayan zaroor pasand aayega.
==============================================
Quote:
pesh hai ek dil kee tadap jo aapse dekha naa jayega
==============================================paid a to pehle taab-e-nazara kare koi.
fir uske baad tera tamasha kare koi.

roye na zaar-zaar na tadpa kare koi.
jab dil hi toot jaye to kya kare koi.

zakhm-e-jigar ka mere madava kare koi.
meri bhi shame-gham ka savera kare koi.

duniya bahut badi hai,samjha kare koi.
apne hisare-waham se nikla kare koi.

sab ko na ek nigah se dekha kare koi.
apne nazar ka zaviya badla kare koi

jana hi chahta hai to jaya kare koi.
mud-mud ke iss tarah na dekha kare koi.

kab tak sare nigah ko ruswa kare koi.
kis-kis sada ke samne sajda kare koi.

raftaar uske tez bahut tez ho gayi.
kaise samandre waqt ka picha kare koi.

tere tasaw-warat se raushan hai zindagi.
aye chand kioun teri tamanna kare koi.

hai doobna to dil ke samandarme doob jaye.
aankho ke qastioun me na dooba kare koi.

tera husool jabke hai maqsood-e-zindagi.
kioun-kar khuda se tujhko na maanga kare koi.

mumkin nahi ke waqt se kar loon mufahamat.
mujh se ruthna hai ti rutha kare koi.

dil kya hai,jaan ko bhi karoon nazr-e-dosti.
bas dost banke mujhko dikhaya kare koi.

chodunga naa mai daaman sabro-qarar ka.
jitna bhi jis tarah sataya kare koi.

ye bhi to apne-apne muqaddar ki baat hai.
chaha kare koi aur paaya kare koi.

uss ka khayal dil me, tasvir nazar me hai.
mujh ko aise haal me naa cheda kare koi.

itna bhi naa ho jaye koi hud se badguman.
kuch ayetabar-e-qalb-shakasta kare koi.

mai ne ksi ke waste sab kuch luta diya.
abb to meri wafa pe bharosa kare koi.

suljha hai naa, suljhega ye aqdaa hayat ka.
kah do iss tarah naa kawish-e-bejaa kare koi.

mushkil bahut hai fan-e-ghazal-goee aye 'rumi".
ustaadi sukhan ka naa daawa kare koi.

==============================================
==============================================
to janab abb batayiye kiasi lagi aapko ye tadap,

aapke jawab ka muntazar aaj bhi hoon



Dilon Ki Imaaraton Mein Kahin Bandagi Nahi….................
Aur Pathar Ki Masjidon Mein Khuda Dhoondtey Hain Log............

(ALLAMA)

Last edited by rumi; 14th March 2003 at 05:19 PM..
  Send a message via Yahoo to rumi  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
royaa kare.nge aap bhii paharo.n isii tarah (MOMIN KHAN MOMIN) anish_ekshayar Shayri-e-Dard 4 3rd December 2005 08:14 PM
zindagi tujh se Qasid Shayri-e-Dard 3 1st September 2004 12:02 AM
Zindagi Tujh bin Pulkit_gupta Shayri-e-Ishq 0 13th September 2003 12:00 PM
zindagi tujh bhi ummeed e wafa kia rakhoon By Muzaffar Saab Sawerah Hayat Shayri-e-Dard 0 7th May 2003 10:55 AM
zindagi, na pukar mujhay keh tujh say rooth gaya hoon main romance Shayri-e-Dard 12 9th March 2003 01:39 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com