Beautiful work by munavvar Rana -
8th September 2003, 12:45 PM
simply Outstanding...
Safed Poshi tera Etbaar jaata hai,
Agar charag hawaon se haar jata hai.
Kadam badhane mein khatra hai Maut ka lekin,
Mein LauTta hoon to sara waqar jata hai.
waqar = image
Karen naseeb se shikwa ya mausamon ka gila,
Badal ke raasta Abr-e-bahaar jata hai.
Abr-e-bahar = could responsible for spring/rain.
Mein apna lehza to tabdil kar nahi sakhta,
balaa se jaaye agar Karobaar jata hai.
|