Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
*Nazar Fareb-e-Qazaa~E. Danish Jee**
Old
  (#1)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Post *Nazar Fareb-e-Qazaa~E. Danish Jee** - 25th January 2006, 05:24 PM

Nazar *Fareb-e-Qazaa* khhaa gayii to keyaa hogaa
Hayaat maut se Takraa gayii to keyaa hogaa
*Illusion of death**


Nayii sahar ke bahut log muntazir hain magar
Nayii sahar bhii kajalaa gayii to keyaa hogaa


Na rahanumaaon kii majalis mein le chalon mujhko
Main be-adab houN haNsii aa gayii to keyaa hogaa


Gham-e-Hayaat se beshaq hai Khudakushii aasaaN
Magar jo maut bhii sharmaa gayii to keyaa hogaa


*Shabaab-e-Laalaa-o-Gul* ko pukaarnewaalon
*KhizaaN-e-Sirisht* bahaar aa gayii to keya hogaa
*Beauty of flowers**
*In the form of fall/winter**



Ye fikar karr ki iss *Aasoudagii ke dhoke mein
Terii Khudii ko bhii maut aa gayii to keyaa hogaa
*Contentment**


Khushii chhinii hai to Gham kaa bhii *aitamaad na karr
Jo Ruuh Gham se bhii ukataa gayii to keyaa hogaa
*Trust**


*Writer: Ehsaan Danish Jee**


*Keep Smilling.......**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
25th January 2006, 08:14 PM

Thx Shimul
bohat umda ghazal hai Ehsan Daanish saheb ki.
kya ghazab ka matla hai!
Nazar fareb-e-qazaa khhaa gayii to keyaa hogaa
Hayaat maut se takraa gayii to keyaa hogaa

thanks again, for sharing this with all of us.

khair andesh


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
:)
Old
  (#3)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
:) - 9th March 2006, 03:23 AM

Quote:
Originally posted by Daanish_ Hyd
Thx Shimul
bohat umda ghazal hai Ehsan Daanish saheb ki.
kya ghazab ka matla hai!
Nazar fareb-e-qazaa khhaa gayii to keyaa hogaa
Hayaat maut se takraa gayii to keyaa hogaa

thanks again, for sharing this with all of us.

khair andesh
Dear Daanish, Hope You Are Well Jaankar Dil Ko Bohot Achchha Laga...**Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se Dher Saare Phoul,Shukriya **Khush Rahiye ye Duwaaon ke saath ijaazat... **Duwaaon Mein Yaad Rakhhiyega...**Khush Rahiey ye Duwaaon ke saath ijaazat...**Take Care**...*God bless You.**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
balvinder
Registered User
balvinder has a spectacular aura aboutbalvinder has a spectacular aura aboutbalvinder has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 226
Join Date: Jan 2006
Location: indore(mp)india
Rep Power: 21
10th March 2006, 11:55 PM

shimul ji mujhe yakeen hai ke aap jahaan bhee hain khush hongee aour bahut khush rahiye.ab ek ghazal daanish sahab kee hamaaree jaanib se aap ke liye.......

kabhii mujh ko saath lekar, kabhii mere saath chal kar
vo badal gaye achaanak merii zindagii badal kar

huye jis pe meharabaa.N tum ko_ii Khush_nasiib hogaa
merii hasarate.n to nikalii.n mere aa.Nsuuo.n me.n Dhal ke

terii zulf-o-ruKh ke qurbaa.N dil-e-zaar Dhuu.NDhataa hai
vahii champa_ii ujaale vahii surama_ii dhu.ndalake

ko_ii phuul ban gayaa hai ko_ii chaa.Nd ko_ii taaraa
jo chiraaG bujh gaye hai.n terii a.njuman me.n jal ke

mere dosto Khudaaraa mere saath tum bhii Dhuu.NDo
vo yahii.n kahii.n chhupe hai.n mere Gam kaa ruKh badal ke

terii bejhijhak ha.Nsii se na kisii kaa dil ho mailaa
ye nagar hai aa_iino.n kaa yahaa.N saa.Ns le sambhal ke


mazahab ko_ii lauTaale aur uskii jagah de-de
taHzeeb saleeke kee, insaan qareene ke
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tujhase milane kii sazaa de.nge tere shahar ke log.. Danish Aligarhi naresh_mehra110 Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 20th August 2010 06:24 PM
kya-kya fareb detii hai merii nazar mujhe.. ISHIQA AGGARWAL Shayri-e-Mashahoor Shayar 3 22nd January 2007 11:09 PM
~*Tujhse Milne Ki Saza - DANISH ALIGARHI*~ farhana Shayri-e-Mashahoor Shayar 9 20th December 2005 02:50 PM
Jeene waale qazaa se darrte hain karan q Anjuman-e-Shayri 2 25th February 2005 12:00 PM
Danish Proverb Shayar 4ever Quotable Quotes 0 2nd December 2002 08:14 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com