Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
~A beautiful Ghazal from Mir Sahab~
Old
  (#1)
aman_suhan
Registered User
aman_suhan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 60
Join Date: Feb 2005
Location: Ahmedabad, India
Rep Power: 20
~A beautiful Ghazal from Mir Sahab~ - 17th February 2005, 08:26 PM

Here is a beautiful Ghazal from Mir Sahab...I hope you will like it.

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.

Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.

Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.

Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.

Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.

Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq?

-Mir Taqi Mir


~Aman
   
Reply With Quote
Re: ~A beautiful Ghazal from Mir Sahab~
Old
  (#2)
ruhani
Registered User
ruhani is a jewel in the roughruhani is a jewel in the roughruhani is a jewel in the rough
 
ruhani's Avatar
 
Offline
Posts: 1,499
Join Date: Feb 2005
Location: punjab
Rep Power: 23
Re: ~A beautiful Ghazal from Mir Sahab~ - 17th February 2005, 08:29 PM

Quote:
Originally posted by aman_suhan
Here is a beautiful Ghazal from Mir Sahab...I hope you will like it.

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.

Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.

Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.

Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.

Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.

Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq?

-Mir Taqi Mir


~Aman
aman ji,
thx so much for posting this post for us. well i loved reading it. had never heard abt it before bt u brought this for us. thx so much.
   
Reply With Quote
~Another from Mir Sahab~
Old
  (#3)
aman_suhan
Registered User
aman_suhan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 60
Join Date: Feb 2005
Location: Ahmedabad, India
Rep Power: 20
~Another from Mir Sahab~ - 17th February 2005, 08:30 PM

Here is another one from Mir Sahab...

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai.

Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai.

Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai.

Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai.

Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai.

Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai.

Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai.

-Mir Taqi Mir

~Aman
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
ruhani
Registered User
ruhani is a jewel in the roughruhani is a jewel in the roughruhani is a jewel in the rough
 
ruhani's Avatar
 
Offline
Posts: 1,499
Join Date: Feb 2005
Location: punjab
Rep Power: 23
17th February 2005, 08:33 PM

wah aman ji. well seems tht u are a great fan of him. well this one i heard it earlier too, bt u posted n i cud read each word. thx so much for posting it here for us.
   
Reply With Quote
~Mirza Ghaalib on Mir~
Old
  (#5)
aman_suhan
Registered User
aman_suhan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 60
Join Date: Feb 2005
Location: Ahmedabad, India
Rep Power: 20
~Mirza Ghaalib on Mir~ - 17th February 2005, 08:38 PM

Once Mirza Ghaalib has said this for Mir Sahab...

"miir ke sher kaa ahvaal kahuu kyaa Gaalib,
jis kaa diivaan kam az-gulshan-e kashmiir nahii..."

[what can I say about the state of Mir's verse, Ghalib!
whose divan is not less than a garden of Kashmir]


~Aman
   
Reply With Quote
Ghaalib on Meer..
Old
  (#6)
aman_suhan
Registered User
aman_suhan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 60
Join Date: Feb 2005
Location: Ahmedabad, India
Rep Power: 20
Ghaalib on Meer.. - 18th February 2005, 03:35 AM

Mirza Ghaalib Saab ne unke ek sher mein, Meer saab ke liye kuchh yun farmaya tha...

rekhta ke tum hi ustaad nahiN ho "GHalib"
kahte haiN agle zamane meN koi Meer bhi thA

[rekhta = Urdu]

It shows, how great Meer was. he is called the Imam (Pioneer, Leader) of Urdu Shayri...

Instead of using high-falutin' Urdu, Meer would use a common and easy to understand style of narration which not only increased the simplicity and beauty of GHazal, but also magnified it's effect to an extent that would leave the listener spell-bound.

That is why I love Meer Saab's Shers than Ghaalib's.

~Aman
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
A Beautiful Ghazal AHMAD SHAKIL Shayri-e-Ishq 13 11th November 2010 08:31 PM
ek Ghazal....''Zaheer'' Kashkiiri sahab kii balvinder Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 5th September 2009 08:53 PM
ek Ghazal....''JamaaN'' Kunjaahii sahab kii balvinder Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 29th August 2009 08:55 PM
ek Ghazal....''Jamal'' Panipati sahab kii balvinder Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 25th August 2009 08:58 PM
ek Ghazal....Zahoor ''Nazar'' sahab kii balvinder Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 23rd August 2009 04:52 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com