Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 23 votes, 5.00 average. Display Modes
Ek kahaani.. ek sawaal... hindustan ki ek anokhi naari..
Old
  (#1)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Question Ek kahaani.. ek sawaal... hindustan ki ek anokhi naari.. - 25th October 2004, 03:48 AM

Yeh ek sachi kahaani hai mere kisi janne waale ki.. Aur hai ek sawaal.. jiska jawaab janna chaahti hun..

main janti hun mujhe koi hakk nahi kisi ki zindagi ke baare mein kuch bhi kehne ka.. but yeh ek baat jo main digest na kar paayi... aap sab ki raaye janna chaahti hun...



Ek aurat jo apne college mein padhti thi.. use apne teacher se pyar ho gaya.. aur teacher usse kuch 17 saal bada tha. dono mein pyar ho gaya,.. unki shaadi bhi ho gayi... shaadi ke pehle do saal woh bahut khush rahe.. par jhagda aksar hota rehta.. shaayad umar ke antar ke kaaran. phir unhe ek beti hui.. phir khushi se katne lage unke din... par phir ek din dono mein bahut jhagda hua.. itna jyada ki koi hadd nahi... baat talaak tak aa pohanchi.. Aur dekhte hi dekhte kuch hi mahino mein dono ne talaak le liya..

aurat apni bachi ke saath ek tarah se besahaara ho gayi... koi ghar nahi.. kuch nahi.. par usne himmat ki.. naya ghar liya.. nayi naukri li... sab theek ho gaya dheere dheere uske liye.

aur us aadmi ko bhi apni galati ka ehsaas hua shaayad.. aur woh apni bachi ko mile ke bahaane aurat se milne bhi aata raha... dono mein phir sulah hota nazar aane lagi.. kahin ghoomne jaate to aadmi aur aurat dono saath jaate.. unhone phir socha ki shaadi kar lein... ek baar phir shaadi ho gayi... ab aadmi aurat ke ghar mein aake rehne lag gaya..

aadmi jo ki ek acha teacher tha.. lekin thoda sunky, gusse vaala insaan tha. kab badhak jaata tha.. pata nahi chalta tha. aurat usse bilkul palat thi.. shaant... par jab aurat ko bhi gussa aata tha.. to woh aadmi ko us din ghar se baahar nikaal deti thi..

ek saal aur nikal gaya.. aur unhe ek aur beti hui.. ab phir se woh sab khush the... hum do humare do ka parivaar santusht aur khush nazar aata tha...

par shaayad unke jhagde kabhi khatam na hote.. ab to aurat ki nature bhi kaafi change ho chuki thi.. agar kabhi un dono ke jhagde hote to bahut hi rookhe hote... dono hi ek doosre ko kuch bhi kehne mein kasar na chodte..

unka talaak phir se hua... aur phir aise hi karte karte.. ek baar phir shaadi...

"at present woh shaadi shuda hain.. ya alag nahi jaanti..."

par ab aadmi alag rehta tha.. aur aurat apne usi ghar mein apni dono betiyon ke saath rehti thi.. aadmi kabhi kabhi unhe milne aata rehta tha.. ya kabhi kabhi betiyan weekend pe use milne jaati thi.

ab sab kuch lagta tha settle ho gyaa..

"par abhi kahan.. abhi to kahaani ka main twist aata hai.. aur jo mera sawaal hai.."

Aurat ek aur aadmi ke saath apne taalukaat badha rahi thi.. woh doosra aadmi.. jo pehle uska dost hi tha.. par ab kuch jyada ban gaya tha.. woh doosra aadmi jyada tar raat ko aata tha.. aur subah chale jata tha.. ya kabhi din mein aata tha.. aur dono ghanton baatein karte the.. aurat ko lagta tha uski zindagi mein ab khushi hai.. par is vakt bhi woh apne pati se judi thi.. use nahi bhoolti.. aur saath hi mein use apne sambandh is doosre aadmi ke saath bhi bahut pyare the.

yeh doosra aadmi aurat ki betiyon ko ek pal na bhaata tha.,. woh betiyan apne pita se bahut pyar karti thi. par shaayad unhe apni ma ke is naye sambandh ke baare mein jyada nahi pata..



"Kahaani to yahin khatam hoti hai... "

Main.. jo in sab ko jaanti hun,.... ek aam insaan hun.. pehle aurat ke liye bahut izzat hoti thi.. ki usne apni betioyon ko paala.. bada kiya.. lekin ab... ab uski taraf dekh ke ghinn aati hai.. sharam aati hai...

jaanti hun woh akeli ho gayi thi aur sahaare ki zaroorat thi.. lekin ek hindustaani hone ke kaaran uska yeh roop main bardaasht nahi kar paayi.

us aurat se mera kuch kehna nahi banta.. kyunki itni ehmiyat nahi rakhti.. par yeh baat.. yeh baat to mere dil mein jaise baith hi gayi hai.. uski betiyon ke liye bahut taras aata hai...

Main aapse poochti hun.. kya woh aurat theek kar rahi hai??? kya is tarah ke relations humari society allow karti hai???

mere khayaal se to nahi.. shaayad woh aurat ek achi ma hone ke saath... ek characterless aurat banti ja rahi hai.. uski mamta kam to nahi hui.. par yeh relation use kahan tak le ke jaayega.. nahi jaanti...

aap sab ke jawaab, sab ki raai ka intzaar rahega..


~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
26th October 2004, 01:07 PM

Hmmm..

Shaadi koi khel ya mazaak nahi.. ki jab chaaha bandhan toD diya.. jab chaaha ise joD liya. Inki kahaani me hume ye baat bilkul samajhh nahi aayi.. Shayad inhone ek dooje ko aur khud ko waqt nahi diya sochne ke liye.. aksar dekha hai... jab talaakh hota hai, aur agar pati-patni ke jeevan me aur koi nahi.. to akelapan khalta hai.. aur phir yuN lagta hai ki humne ghalati ki.. but this is too much!! Unki beTiyoN par taras aata hai.. baar baar apne maa baap ka talaak sehna.. bohat bura asar paRta hai bachchoN par is sab ka.. hum sirf soch sakte hain ki shaadi ke bandhan ke baare me unki kya rai hogi.

Khair.. yahaan sawaal hai us aurat ke doosre sambhandh ka. To yahaan to wo beshaq ghalat hai. Agar uski zindagi me koi aur aa hi gaya tha, to phir usne apne pati se phir shaadi kyu ki? aur agar phirse shaadi karne ke BAAD ye rishta bana to phir ye aur bhi ghalat baat hai..

But now we have to be practical. Aise rishte society me bhale hi allowed na hoN, magar there is no denying ke aisa kaii baar hota hai. Ab is case me agar dekh jaaye, to pati-patni ki joDi shayad zyada din Tike nahi.. unme phirse jhhagRe hoN.. phirse talaak.. Ab us aurat ko ye decide karna chaahiye ki use kaunsa rishta zyada pyaara hai.. you cannot have the cake and eat it too. Dono rishte banaaye rakhna aur bhi ghalat hoga.. use apne pati aur premi ke beech chunna hoga.. Khudke aur apne parivaar ke bhavishya ka khayaal rakhte hue. Aur is baar wo jo bhi faisla rahe, us par puuri tarah amal kare.. is tarah to wo sabhi ke saath nainsaafi kar rahi hai. Rahi baat uski betiyoN ki.. to agar us aurat ne apne premi ko chuna.. to waqt ke saath saath shayab beTiyaan use accept kar lein.... ho sakta hai ki naa bhi karein, its a risk that the women will take if she chooses the OTHER man in her life.

Society aise rishte allow nahi karti.. isme koi shaq nahi.. lekin is kisse ko paRne ke baad lagta nahi ke pati ya patni, dono me se kisi ko bhi 'society' ki paRi hai..

Thanks for sharing this Priya.. it made a VERY interesting read!


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
27th October 2004, 02:18 PM

Chaahat..

Maine aap ka likha hua yah kahaani pahle hi padh liya.. Usi din jis din aap ne post kiya tha.. HaaN reply nahi kar paaya thaa..

Jitna aap ne apne iss story par waakaya bayaan kiya hai uss se.. Pahli baar meN ek aisi aurat ki chhabi hi nazar aati hai.. Jo do naao par per rakh rahi hai.. us ko tou doobna hi hai.. aur saath mai apni betioN ki zindagi ko bhi andhkaar mai dhakel rahi hai.. Aur dusri aur ek besahaaara aurat ki chhabi.. jo gir gir ke sambhli hai.. Apne bachchoN ko ek sahaara di hai.. ek sahaare se door ho kar.. Wo baar baar apni pati ko maaf karti hai..par pati kisi bhi baar us ki umeedoN par khara nahi utarata… Har baar asfal hota hai.. Har baar us ka dil todta hai.. ho sakta hai usay apni pati se har wo sukh nahi mil raha ho.. jo ek aurat chaahti hai.. KyuN ki umar mai itna bada antar hai.. ho sakta hai….

Chaahat.. aap ne khud hi likha hai ki yah kahaani nahi hai.. agar kahaani hoti tou ham kuch bhi likh dete us mai kisi ki zindagi ko koyi fark nahi padta.. Par yah hakikat hai.. aur kisi adhuri jaankaari mai kisi ray par pahunchna.. shaayad Jaldbaazi hoga.. Kuch bura laga ho to plz. Maaf karna..

MayanK..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Mera khayaal
Old
  (#4)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Mera khayaal - 27th October 2004, 03:39 PM

Priya...yahaaN ye kis.sa parhkar...kuchh keh paane ki koshish kar raha hooN...haalaat...or khayaalat me bahut fark hota hai weise...!

Sabse pehle aapse....agar wo aadmi bhi yahi sab karta ho...I mean....avidh sambandh( extra marital affiars)...rakhta ho...to kya aap us.se bhi ghrina karti...ya sirf ek ek female kar rahi hai aap is liye naaraaz haiN..(kyoNki hamaare samaaj me ye theka...(izaat or sanskaar bachane ka) sirf female hi uthati haiN....so be honest.

Shaadi sachmuch ek majaak nahi hai jaisa ki Afshan ne kaha......karna tod dena...phir karna phir tod dena...ye donoN ki bevkoofi darshata hai...

age differences bhi aapne mention kiya hai....per Prem jahaaN hai ye maayne nahi rakhta....even prem na bhi ho...understanding honi chaahiye...to bhi chalta hai...

Ab jabki wo married nahi hai..(I think so..because aapne mention nahi kiya hai)....to uske is taraah ke relations...shaayad itne bure na ho..(koi bhi insaan intimate relations me kisi bhi waqt pad sakta hai..phisical needs ya kahiye ke emotional needs ke chalte)....per asar daalte haiN uski ladkiyoN ki jindgi per....so....ye kuchh galat sa lagta hai.

Ham paristithiyoN se itni achchhi tareh se waakib nahi haiN...so...itna sahi judge nahi kar sakte..per aapne jo dekha maine bhi wahi dekha hai shaayad....or phir kahooNga...ek female ne kiya isi liye jiyada khalta hai...aaj ke daur me Mother India ki ummeed karna...ya ....saavitri ki kalpana karna thoda...mushkil hai wo bhi har ek se.

Per ant me kahooNga...ke har cheez ki ek seema...hoti hai...ek samay hota hai...wo us.se baahar ho jaaye to bhad.da dikhne lagta hai...

Jeise ki ....badi thin line hoti hai ...hamaare Adhkaar or kartavyoN ke beech...(kahaaN aapka adhikaar kshetra khatm hota hai or kartavya shuru ho jaate haiN) uski sahi pehchan hona jaroori hai ..bas.

Jiyada keh gaya aadat ke mutabik...

Chalta hooN...

Aasha hai aage bhi kuchh achchha parhne ko milega aapse.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
27th October 2004, 03:59 PM

chaand,
aakhir fir poorani aadat tumhari................

mail box khali karo[ yaha par gusse ki koi face hai kya? ]

meena


fir add kar rahi hu........

chaand bahut gusse hu aaj................

meena

Last edited by meena chheda; 27th October 2004 at 04:05 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
27th October 2004, 04:03 PM

priii,

chaand ki baat se poori tarah sahemat hu....
jyada kah paana nahi hoga kyun ki jyada jaana bhi nahi oonko..


di
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
30th October 2004, 06:03 PM

priya behna ....

wakai main kahani intresting thi maine bhi pehle padh li thi .. usi din ... par tum to janti ho mere hath ka hal ... khai aaj main theek hun ... to hazir hai aapki kahani pe kuch alfaz hamare bhi ....

jaisa ki afsan ji ne kaha ki ... shadi majak nahi ... sahi kaha ek dum .... majak to unhone apne jeewan se kiya lekin ... unhone kabhi is rishte ko jana hi nahi ... kya shikwa kya shikayat ... sab tak pe the shuru se .. mere maine main ye love marrige thi hi nahi ... bas attraction aur jaldbazi main kiya gaya faisla tha .., jo bar bar dohraya gaya ... kyunki woh kabhi samjhe hi nahi kuch ... aur shayad samajhte bhi nahi ... kyunki jiski shurwat hi neenv ke bina ho to ... us ghar ko chahe hazar bar tudwa ke bana lo ... kabhi khadqa nahi reh sakta ... .. aur woh aurat jisne ek aadmi se samabadh rakhe ... use sahi manna kabhi theek nahi hoga ... agar woh us professer ko pyar karti thi to kabhi nahi soch sakti thi doosre ke bare main ... woh bhi umra ke aise mod pe jahan uski do betiyan jawan hai ... ye bas hawas thi ... kyunki pyar khali sambando ka nam nahi ... ye dilon se jana jata jhai... na hi woh us doosre aadmi se pyar karti thi... jo uske ghar aata tha ... warna uske sath humbister hone se pehle woh apni dono betiyon ke bare main sochti... chalo in sabko jhutla dete hai ... mante hai use sahare ki jaroorat thi ... apni betiyon ke future main khushi dekhti apni ... par nahi use ek aisa aadmi chaiye tha... jo use nahi mila use poora kar sake ...apne liye jeene lagi woh ... jo mahanta nahi ... jo doosron ke liye jiye usi ko jeewan kehte hai ... aur hindustani hokar aisa karna gunah nahi ... gar ye ek theek wqt pe kiya jaye ... jab wakai main use sahara chaiye ho ... par usne apni betiyon ke vishwash ko khoya ... unka ghar basane se pehle apne arman poore karne ki sochi ... jo meri nazar main to galat hai ... aur hindustani cuture kehisab se bhi ... aur main indian culture kabhi galat nahi ho sakta ... baki meena ji ka kehna bhi theek hai ... jyada nahi jante to jyada keh bhi nahi sakte ... par apni rai har koi rakh sakta hai ...

priya wakai main kahani acchi thi ... aur sacchi thi is liye aur bhi acchi lagi ... shukriya mujhe man dene ke liye jo tumne mujhe iske bare main bataya .... aise hi likhti raho ...

tumhara apna

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#8)
professor
Registered User
professor is on a distinguished road
 
professor's Avatar
 
Offline
Posts: 105
Join Date: Oct 2004
Rep Power: 20
31st October 2004, 06:28 PM

Bada Hi Senti, section Ho gaya yaar..........
  Send a message via Yahoo to professor  
Reply With Quote
hi
Old
  (#9)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
hi - 26th April 2005, 10:29 AM

okkkkkkkkkk.............sabse pehli baat hum kisi ko keval dekh kar ya uske baare main sunnkar unka charecter disscuss nahi karsakte ...........haryek ke gharr main problemsss toh hote hin hai ,,problems hona or rishta hoke bhi na hona yaani uss rishte main kooi jaan hin na ,,,,,,laakh koshish ke baad bhi unkee beech kutch bhi theek na ho ,,,,,,,,,,,,,,ek problem ho toh theek ho ......choti si umar main laakh problem ho .........kisi ko nahi pata kisko kya gumm hai or ladies ka problem toh wo marte dumm tak kisi se share nahi kar paati toh kaise pata chale kya hua hoga unn donoke beech .........................

padhi likhi ladki ya ladies agar galtiyaana kare ....haan agar wo ekdum hincharecterless hai harek ke saath uska uthna bethnaa ..ghumna firna or galtiyaana karna ,tab keh sakte hian ki wo galat hai usse charecterless keh sakte hain ........but yahan toh aisa kutch nahi hai ...she still love him thats y usne fir shaadi ki but fir bhi baat nahi bani its means kutch anddoorni problem hoga hin..................

maine ek aisi wife ko bhi jaanti hoon ...jo ek aam gharr se hai ...na kooi bade bade khwaab na kooi kooi shookh .....jo parents ne kaha sir jhuka ke maan liye pure dill se ........shaadi hui .....shaadi ki kya umaang hoti hai usse wo tak khbar nahi thi bas ho gayi shaadi .........shaadi ke baad pata chala uske pati kisi or ko pyaar karte hain .......yahan tak ki saaphsaaph keh bhi diya usne ki maine tumhaine life main kabhi pyaar de hin nahi sakta .......socho uske baare main jise pyaar ki paribhaasha hin nahi pata tha ......khair ussne kabhi sapne dekhe hinnahi the issliye usse jada dukh nai huaa ...hota tha jab wo uske guunn gaye uske saath ghume fire or wo akele gharr maine 20 logo ka bas khana hin pakaate rahe .....khana banaana nahiaata tha but ....sauraal kya hai wo usse pata tha ..........sauraal waale bhi bas usko ek made ki tarah treat kare .......par wo ladki itni bholi thi ki kabhi kisi ke baat ka bura maanti hin nahi thi .......uska pati usse bas use karta tha ..........................kisi ne kaha bachche ho jaayega toh sudharr jaayega .but wo toh chaahta hin nah itha wo toh plan kar raha tha usse talaak dene ka ............................fir ek baar jaan bujh kar uss ladki ne socha aab kya maa baap ko baataane se unko dukhh hoha .......aab toh haarr haal main bas aise hin jina hai .........fir ek jaan bujh kar usne family planning ke rules tode or ...or pata chala khushkhbari ka ...fir kya tha uska pati naaraj ho gaya .........bachche ko girane ki baat hiu but ......kutch dino maine hin uske dad aa gaye or usse le gaye ..........jaane se pehle ek baar keval usne apne hubby ki gf ko kaha ...........ki maine usse talaak nahi dene waali .........
bas fir kya 4 mahine ho gaye usse mayke maine ..........uska chupp chaap rehna uke papa ko dukh deta tha but wo kisi ko kutch keh nahi sakti thi .........................

ek dinn khbarr aai ki wo lene aane waala hai ..........
fir kya wo usse le gaya tabb pata chla ki uski fg ki shaadi hone waali hai ................or wo kutch nahi kar paa raha hai ....bewakooph ki tarah apni hin wife ke paas ro raha ki wo ussko behad pyaar karta or wo uski shaadi nahi dekh paaye ..........wife chupp thi .......dill patthar ka ho chuka th auska .......beti huiiiii wo behad khushh thi ........apni chaad si beti ko dekh kar bas aab use kisai ki jaroorat nahi thi ...........

or dimm gujar gaye saal gujar gaye ........unn dono ka rishta bas u hinnaam ka tha ........sex life kya hoti hai pyaar kya hota hai usse pata nahi tha ......wo apne hin beti ke saath behad khush thi ........apni beti ko har khushi wo deti thi

sabke kathorr shabdoo ko sunte huye .........par fir bhi khush thi ......haan ek suna pan tha jivan main jab wo dusroono ko dekhti ki wo log kitne pyaar se rehte hain ..............

9 y bas palak jhpkte hin katt gaye .......................

fir na jaane kya hua kaise hua or kyoun hua ...........kooi toh flirt karne ki mansa se aaya mithi mithi baate karke uska mann chura gaya ...ye toh hona hin tha ..jivan maine pehli baar kisi ne usse sunder kaha ...achcha kaha ........time diya .....pyaar ki baateine ki ...........jabki usse pura pata tha its wrong usne kaaphi kooshish bhi ki durr jaane ki but wo usse dost maan kar usse khona nahi chaahti thi but wo ladka keval dosti nahi kutch or hin chahte the ..haan ye sach hai usne kabhi usse ye nahi kaha ki wo usse pyaar karta hai .........but fir bhi pyaar diya karta wo mana bhi karti parr usse dill churaana aata tha ...............or fir usee usss ladki ki aadat ho gayi usse baat karna achcha lagta tha ..harr pal wo usseke baare main sochti or kush rehti .........sab bhull gayi thi .........par phir bhi usse apni maryaada pata tha .....ussne kabhi kooi galat kaam nahi kiya .........but wo usse dill de bethi thi usko pyaar karti thi ..........uska pehla pyaar ek daga baaz tha but wo decent bhi tha kisi achche gharr se tha shayad .............fir kya huaa bina ek dusre ko dekhe pyaar ka daawa tha .........wo milne ki zidd karne laga or ye mana karti rahior bas khtam huaa ek or safar wo roti reh gayi bilkhti reh gayi usko kooi asar nahi hua ..........fir isne ek baar khudd hin keh diya aabb jaao hamesha ke chalejaao ....usse toh bass iss baat ki taalaash thi or wo chala gaya ...........par wo usse nahi bhula paai ..........wo aaj bhi usse dill ke kisi kone main chipaai hui hai but .......wo apne iraade pe atal hai ki kooi galtiii toh usse har haal main nahi karni hai .........caahe umar u hin kyoun na gujar jaaye uske diye mitthe paloo main ...............2 y ho gaya aaj wo normal hai .............jo do saal gujra usmmaine usne duniyaa bharr ke dukkh paa liye ..............

KAHIYE AISE INSAAN KO KYA KAHOGE ............PURI JINDGI BASS GUMM HIN MILA USSE ............BAHOOT KUTCH DIYA SABKO BAS KHUDD KE LIYE KABHI KUTCH CHAAHA HIN NAHI ..............

AAJ BHI WO APNE HUBBY KE SAATH AHI PAR ...........PYAR KHUSHI USS GHARR MAIN NAHI HAI ......EK VIRAANA PAN ............SAB KUTCH AHI PAR KUTCH BHI NAHI ......................

YE USKI NASEEB KI USSE WO ACHCHA LADKA MILA KOOI BURA SA HOTA TOH USKA KYA HOTA ...............

ISSLIYE KISI KE BAARE HUM KUTCH NAHI KEH SAKTE ..........DUSROO KO BURA KEHNE SE PEHLE KHUDD KO DEKHNA JAROORI HAI .....KISI NE EK GALTI KI HO OR KOOI TOH
BURAAIYOUNO SE HIN DUBAA HUA HO ...........


PYAAR KOOI GUNAAH NAHI ...........




.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae





.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
hindustan habib.monu Shayri-e-Ishq 0 16th September 2009 11:26 PM
SAWAAL pe SAWAAL...only questions?...no answer... Mahuaa Chit-Chat & General Discussion Forum 60 18th May 2008 10:01 PM
Ghairay Rehti Hai Mujhe Ek Anokhi Khushboo DreamHealer Shayri-e-Ishq 2 25th January 2007 10:51 PM
Narak Ka Dwar,,, Naari ya Purush Chaand Anjuman-e-Shayri 6 7th August 2003 10:18 PM
hindustan rohan love Humourous Shayri 0 27th December 2002 08:13 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com