Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > English/Hindi/Other Languages Poetry > Hindi Kavitayen

 
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 27 votes, 5.00 average. Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Hindi Kavita / Chhand Ke Niyam
Old
  (#1)
arvindvyas
Registered User
arvindvyas is just really nicearvindvyas is just really nicearvindvyas is just really nicearvindvyas is just really nice
 
arvindvyas's Avatar
 
Offline
Posts: 60
Join Date: Jul 2006
Location: abu dhabi
Rep Power: 21
Hindi Kavita / Chhand Ke Niyam - 20th February 2007, 10:26 PM

hindi Chhnad / Kavita Ke Niyam / Rules: Sankxept Me (Introduction)

(if Needed In English…….please Write)

Hindi Bahut Se Chand Hote Hai….
Badi Muskil Se Likha Jata Hai…..niyamo Ke Saath…..
Aage Details Diye Gaye Hai……

Mene Koshis Ki He Ke Equivalent Urdu Ke Sabd Du.

“chhand”:

“yati”, “gati”, Var.n Ya Matra Ki Gadna Ke Vichhar Ko Chhand Ya Paddh Kahte Hai.

Panktiyo Ko “charan” Ya “pad” Kahte Hai……(urdu…misra)

“yati”: Chand Padhate Samay…jo Bich Bich Me Rukna Padhta Hai Use Yati Kahte Hai.

“gati”: Chand Padhte Waqt……jo Utaar Chadhav Aata , Ek Lay Deta Hai, Use Gati Kahte Hai.

Tuk : (tuk-bandi)…..charan (misra) Ke Ant Me Ju Samaan Sabd Aate Hai (urdu Me…….radeef, Kaafiyaa)………tuko Se Chhand… Lay, Sunne Me Priy V Rochak Ho Jata Hai……

“matra”: Kisi Ver.n Ke Uchcharn Me Jo Samay Lagta Hai……use Matra Kahte Hai…….

“matra” Do Prakar Ki Hoti Hai……..”laghu” Aur “guru / Dirgh”

Laghu Matra: Samay Thoda Lagta Hai Jaise A, E, U, Ri (ka, Ke, Ki, Ku, K’r…… )
Guru / Dirgh: Ee, Ii, Uu, Ye, Yee, O, Ou (kaa, Kee, Kii, Kuu, Kaye, Ko, Kau…….)

Matra Ki Gad.na (meter, Urdu—beher, Yeh Chhand Ke Prakar Nirdharit Karti Hai)

Sayukta Vyanjan Me Pahla….laghu Bhi Guru Mana Jata Hai

Visarg Aur Anuswar….se Yukt….vern Bhi Guru Mana Jata Hai

Ga.n: Hindi Me 8 Ga.n Hote Hai……jo 3-3 Akxaro Ke Samuh Hote Hai….
Yaga.n (1 2 2), Maga.n (2 2 2), Taga.n (2 2 1), Raga.n(2 1 2), Jaga.n(1 2 1), Bhaga.n(2 1 1), Naga.n(1 1 1), Saga.n(1 1 2)

Chhand Kayi Bhed / Prakaar Ke Hote Hai…unka Aadhar Niche Diye 3 Hote Hai……

1..var.n Vritta: Var.no Ke Unusar Gadna Hoti Hai
2.. Mantrik: Cahrno Ki Gadna Matrao Per Adharit Rahti Hai
3.. Muktak: Inme Upar Ka Koyi Niyam Nahi Hota

Sabse Pahle Me…….

1.. Mukt Chhand / Kavita Ke Bare Me Kahumga……

“atukanty Chhand” Ye Sab Gadanao Se Aajad Hai…..per Sundarta Ke Liye……lay, Utar Chadhav Ka Prayog Ho Sakta Hai, Tuk Ka Ho Sake To Prayog Hota Hai……inme “vichhar” Ahem Hai…… Aaj Kal Jyada Tar Yahi Rachnaye Hindi Me Milti Hai……dusari Log Ghazal Keh Dete Hai……..

2..“chaupaye”:4 Charan, Her Me 16 Matraye, Jag.n, Tag.n…ant Me Nahi Hota

3..“rola”: Kul 24 Matraye, 11 Vi Aur Baab Me 13 Per Viram, Ant Me Do Guru Hona Jaroori Hai.

4..”doha”: 1 Le Aur 3 Re Charan Me 13 Matraye, 2 Re Aur 4 The Me 11 Matraye…. 1 Le 3 Re Charan Jaga.n Se Suru Nahi Hota, Aur 2 Re, 4 The Ka Anr Sam Aur Laghu Hona Chahiye.

5..”sortha”: 1 Le 3 Re Charan Me 11 -11 Matraye, 2 Re Aur 4 The Charan Me 13-13 Matraye Honi Chahiye….isme 1 Le Aur 3 Re Charan Ke Tuk Milte Hai.

6..”kundaliya.n”: Suruat Me Ek Doha, Baad Me 6 Charan Hote Hai…dohe Ka Antim Charan..rola Ka Pehla Charan Hota Hai…pahla Aur Antim Sabd Ek Hota Hai….

7..”savaiya”: Partek Charan Me..7 Bhaga.n Aur Do Guru Var.n Hote Hai.

8..”kavit’ta”: 4 Charan Hote Hai, Pratek Charan Me 16, 15, Aur 31 Ver.n Hote Hai,
.. Pratek Charan Ke Ant Me Guri Ver.n Hona Chahiye….gati Thik Karne Ke Liye…8..8..8..ayr 7 Ver.n Per Yati Rahna Chahiye………


Pyas

Last edited by arvindvyas; 20th February 2007 at 10:29 PM..
   
Reply With Quote
 

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Hindi kavita by mahamazmi MahamAzmi Hindi Kavitayen 3 17th February 2010 08:03 AM
Hindi Kavita By Maham Azmi...Just a venture! MahamAzmi Hindi Kavitayen 21 26th December 2009 09:49 AM
pyar ke niyam samaj na payee !!!!!!! Hum-Tum Shayri-e-Dard 0 3rd November 2004 06:25 PM
yeh chhand sa roshan chera**** mohitmoradabadi Humourous Shayri 4 5th June 2004 07:13 PM
pyar kia niyam samajh na payee arooba Shayri-e-Dard 1 26th January 2004 02:43 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com