Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
birthday......
Old
  (#1)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
birthday...... - 2nd September 2016, 05:03 PM

kuch dhashak pahle tak middle class family me birthday celebfrate karna koi zaroori baat nahi hoti thi..vo vaqt bhi shayad aisa tha ki bachche bhi kab do se chaar ho jate the pata nahi chalta tha…koi rishtedaar agar kuch saal baad aya to koi badi baat nahi thi ki use ek member ghar me zyada mile..iski kai vajha hoti thi.khair ye ek alag baat hai aur ye alag baat hai ki jitne bhi bachche hon sabke janmdin yaad rakhein jayein..par ye kaam bhi kon kare..maa ko bachche palne se fursat nahi..aur pita ka sara vaqt unki zarooraton ke liye paise kamane me jata tha..

na koi birth certificate zaroori hota tha na vaccination card ki koi ahmiyat .aise me teej tyohar pe koi bachcha hua to vo zaroor yaad rahta tha…aur agar koi khaas mauka na hua uske janm din par to bhala kaise kisi ko yaad rahe….janm din kab hai ye sawaal maa baap ke liye utna khaas hota tha ki nahi pat nahi par bachche ke liye zaroor hota tha..
Admission ke time bhi saal yaad tha to koi bhi mahina tareekh likh ke dakhila kara diya jata tha….aur ek baar likhwa diya bas phir chutti…
Us chhote se Bachche ko shayad hee kabhi pata ho ki kya likhwa diya maa baap ne..kyun ki tab to kG me hee ""myself'" pe lines yaad karna bhi zaroori nahi hota tha..to aise me agar uske nanhe se man me kisi doosre bachche ka janm din manta dekhkar sawaal aaye ki mera janm din kab hota hai to kya kare vo…
Aisa hee kuch meri dost ragini ke sath hua jab vo class 5 me thi pahli baar uska bhi dil hua ki mere bday par bhi tohfe mile ,sab mujhe wish karein…

Aa gayi vo bhi apne maa papa ke paas poochne ab unhe yaad hota to bata dete..so yaddaasht par zor daala to ye yaad aaya ki us saal indira gandhi ko goli lagi thi vahi mahina tha ..
Ek koi aur rishtedaar thiin maa ke sath unhone kah diya falaa.n tareekh thi ja khel lo ji ho gaya bday…har saal usi tareekh pe sabhi dost clas me wish kar dete the..tab ghar me aakar bata deti thi aaj mera janm din tha……ajeeb hai na…school college sab ho gaya..ab aayi shadi ki bari to asli baat yahaan atki kyun ki ladke walon ko janmdin ki tareekh chahiye thi kundli ke liye..par kaise batayein..ghalat tareekh se to kundli bhi ghalat milti..phir ek din ragini ki bua ne baton baton me asali tareekh batayi kai subooton ke sath ki mujhe achche se yaad hai kyun ki unka beta bhi ragini ke sath ka hee tha umra me,,,to unhe dono ka janm din yaad tha…
Kundli mili shadi bhi ho gayi ab sasuraal me usi tareekh pe har saal janm din manaya jata aur doston ke beech kisi doosre mahine ki doosri tareekh par..ek din uske pati ne poocha to usne poora kissa sunaya…unhone hans ke taal diya..lekin ragini ko laga chalo doston ko bhi asli tareekh bata di jaye…

Usne jab ye baat sabke samne rakhi..sab hairaan the..asani se mante bhi kaise itne salon se use wish karte aa rahe thr..uska zodiac sign bhi nikal liya tha aur characters bhi match kara diya tha ab ye twist nahi nhi ham to usi purani date pe wish karenge..kah diya sabne…lekin unki muhabbat thi vo ab har saal dono tareekh par wish kar dete the…lekin bina tana diye nahi ki tune itne saal hame bevkoof bana ke rakha ragini……
kissi ko kya samjhati vo..aur samjhati bhi to kya vo log samajh pate., bas sun leti thi aur hans ke Taal deti thi..yahi kya kam tha ki akhir 25 saal baad use apne janm din ki tareekh sahi sahi pata chal gayi thi ………





अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..

Last edited by Madhu 14; 6th September 2016 at 03:39 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
3rd September 2016, 01:11 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
kuch dhashak pahle tak middle class family me birthday.........

.......... akhir 25 saal baad use apne janm din ki tareekh sahi sahi pata chal gayi thi ………





claps claps claps.......

woww madhu , din ba din aapki lekhnii me itnaa sudhaar itnaa mature hotaa jaa raha hai ke lagtaa hai kisii bahut bade professional writer ko padh rahaa hoon....

aapki har laghu kathaa apne aap me bahut badee maha katha hotiii hai asal me..... itne emotional hote hain ke yaqeen nahi hotaa ke itne kam waakyon me aapne itne bhaawaarth kaise samjhaa diye....

mere dil ki gahraaiyon tak pahunchii hai aapki ye kahaanii madhuu ji... aur man gadgad ho uthaa hai aapke is pahal ko dekh kar....

bas ab yahi tamanna hai ke aap ghazal ke saath saath isme thodaa aur waqt diyaa karen taaki ham sab ko aapki likhi manmohak kahaaniyaan padhne ko miltee rahen....

bahut bahut shukriyaa ise likhne aur saajha karne ke liye..... khush rahen, salaamat rahen... aur

likhtii rahen...............

Shaad.........



Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
5th September 2016, 04:03 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
claps claps claps.......

woww madhu , din ba din aapki lekhnii me itnaa sudhaar itnaa mature hotaa jaa raha hai ke lagtaa hai kisii bahut bade professional writer ko padh rahaa hoon....

aapki har laghu kathaa apne aap me bahut badee maha katha hotiii hai asal me..... itne emotional hote hain ke yaqeen nahi hotaa ke itne kam waakyon me aapne itne bhaawaarth kaise samjhaa diye....

mere dil ki gahraaiyon tak pahunchii hai aapki ye kahaanii madhuu ji... aur man gadgad ho uthaa hai aapke is pahal ko dekh kar....

bas ab yahi tamanna hai ke aap ghazal ke saath saath isme thodaa aur waqt diyaa karen taaki ham sab ko aapki likhi manmohak kahaaniyaan padhne ko miltee rahen....

bahut bahut shukriyaa ise likhne aur saajha karne ke liye..... khush rahen, salaamat rahen... aur

likhtii rahen...............

Shaad.........

Dil ki gahraiyon se shukriya shaad...meri chhoti si kahani ko itna apna pan diya aapne...mujhe bahot khushi hai apko pasand aayi ye laghukatha...aapne vaqt nikala padha aur mera hausla badhaya....iske badle shukriya kahna bhi kam hai.....

Bas ye sath yun hee banaye rakhiye...main koshish karoongi aur kuch likh payi to phir aap sab se share karungi...

Hamesha khush rahien. ...

Madhu...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
6th September 2016, 08:19 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
kuch dhashak pahle tak middle class family me birthday celebfrate karna koi zaroori baat nahi hoti thi..vo vaqt bhi shayad aisa tha ki bachche bhi kab do se chaar ho jate the pata nahi chalta tha…koi rishtedaar agar kuch saal baad aya to koi badi baat nahi thi ki use ek member ghar me zyada mile..iski kai vajha hoti thi.khair ye ek alag baat hai aur ye alag baat hai ki jitne bhi bachche hon sabke janmdin yaad rakhein jayein..par ye kaam bhi kon kare..maa ko bachche palne se fursat nahi..aur pita ka sara vaqt unki zarooraton ke liye paise kamane me jata tha..

na koi birth certificate zaroori hota tha na vaccination card ki koi ahmiyat .aise me teej tyohar pe koi bachcha hua to vo zaroor yaad rahta tha…aur agar koi khaas mauka na hua uske janm din par to bhala kaise kisi ko yaad rahe….janm din kab hai ye sawaal maa baap ke liye utna khaas hota tha ki nahi pat nahi par bachche ke liye zaroor hota tha..
Admission ke time bhi saal yaad tha to koi bhi mahina tareekh likh ke dakhila kara diya jata tha….aur ek baar likhwa diya bas phir chutti…
Us chhote se Bachche ko shayad hee kabhi pata ho ki kya likhwa diya maa baap ne..kyun ki tab to kG me hee ""myself'" pe lines yaad karna bhi zaroori nahi hota tha..to aise me agar uske nanhe se man me kisi doosre bachche ka janm din manta dekhkar sawaal aaye ki mera janm din kab hota hai to kya kare vo…
Aisa hee kuch meri dost ragini ke sath hua jab vo class 5 me thi pahli baar uska bhi dil hua ki mere bday par bhi tohfe mile ,sab mujhe wish karein…

Aa gayi vo bhi apne maa papa ke paas poochne ab unhe yaad hota to bata dete..so yaddaasht par zor daala to ye yaad aaya ki us saal indira gandhi ko goli lagi thi vahi mahina tha ..
Ek koi aur rishtedaar thiin maa ke sath unhone kah diya falaa.n tareekh thi ja khel lo ji ho gaya bday…har saal usi tareekh pe sabhi dost clas me wish kar dete the..tab ghar me aakar bata deti thi aaj mera janm din tha……ajeeb hai na…school college sab ho gaya..ab aayi shadi ki bari to asli baat yahaan atki kyun ki ladke walon ko janmdin ki tareekh chahiye thi kundli ke liye..par kaise batayein..ghalat tareekh se to kundli bhi ghalat milti..phir ek din ragini ki bua ne baton baton me asali tareekh batayi kai subooton ke sath ki mujhe achche se yaad hai kyun ki unka beta bhi ragini ke sath ka hee tha umra me,,,to unhe dono ka janm din yaad tha…
Kundli mili shadi bhi ho gayi ab sasuraal me usi tareekh pe har saal janm din manaya jata aur doston ke beech kisi doosre mahine ki doosri tareekh par..ek din uske pati ne poocha to usne poora kissa sunaya…unhone hans ke taal diya..lekin ragini ko laga chalo doston ko bhi asli tareekh bata di jaye…

Usne jab ye baat sabke samne rakhi..sab hairaan the..asani se mante bhi kaise itne salon se use wish karte aa rahe thr..uska zodiac sign bhi nikal liya tha aur characters bhi match kara diya tha ab ye twist nahi nhi ham to usi purani date pe wish karenge..kah diya sabne…lekin unki muhabbat thi vo ab har saal dono tareekh par wish kar dete the…lekin bina tana diye nahi ki tune itne saal hame bevkoof bana ke rakha ragini……
kissi ko kya samjhati..aur samjhat ibhi to kya vo sajh pate., bas sun leti thi aur hans ke Taal deti thi..yahi kya kam tha ki akhir 25 saal baad use apne janm din ki tareekh sahi sahi pata chal gayi thi ………


kahaani likhnaa to koi aapse seekhe, bahut jakad kar rakhti hai kirdaar ko aap aur poora padhe bina raha nahi jaata...raagini ki agli kisht ka intezaar rahegaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
7th September 2016, 11:15 AM

Quote:
Originally Posted by Qasid View Post
kahaani likhnaa to koi aapse seekhe, bahut jakad kar rakhti hai kirdaar ko aap aur poora padhe bina raha nahi jaata...raagini ki agli kisht ka intezaar rahegaa
Inayat hai huzoor..zyada kuch nhi janti...bas bhawnao ke sailab ko kalam shabson me baandh deti hai..

Aur aap doston ka karam hai jo padhte hain aur hausla badhate hain....

Phir hazir hone ki koshish karoongi..

Begad Shukriya..
salamat rahein...

Madhu
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com