Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Mujhse mat puuchh ki kyun aankh jhuka li maine
Old
  (#1)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
Smile Mujhse mat puuchh ki kyun aankh jhuka li maine - 6th October 2008, 11:36 PM

Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,

jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,

har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,

mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,

ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,

jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine.



aur ek ghazal


Sochata hoon ki use neend bhi aati hogi


Sochta hoon keh usay neend bhi aati hogi
Ya meri terha faqat ashq bahati hogi

Wo meri shakal mera naam bhulanay wali
Apni tasweer se kya aankh milati hogi

Is zameen per bhi hai sailaab mere ashkoon se
Mere matam ki sada arsh hilati hogi

Sham hotay hee wo chokhat pe jala ker shamein
Apni palkon pe kayi khaab sulati hogi

Us ne silwa bhi liye hongay siyah libaas
Ab mohram ki terha eid manati hogi

Hoti hogi mere bosay ki talab mey pagal
Jab bhi zulfon mey koi phool sajati hogi

Mere tareek zamanon se nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate hogi

Dil ki masoom ragein khud hee sulagti honngi
Jonhi tasweer ka kona wo jalati hogi

Roop de ker mujhe us mey kisi shahzaday ka
Apnay buchon ko kahani wo sunati hogi



Not mine both are received from Ebazam mail

reagrds
manu
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Old
  (#2)
koi to ho
Registered User
koi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to behold
 
koi to ho's Avatar
 
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 31
7th October 2008, 11:35 PM

nice sharing manu ji donon hi bohat achi hain


Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 37
9th October 2008, 09:14 PM

Manu ji lajawaab sharing ese hi aachi acchi gazle hamse bantte rahiye


"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"


Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.




  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Mujhse milta hai to woH itna bahekta kyuN hai kwahish Shayri-e-Sharaab 5 30th June 2010 03:01 AM
Har Sakhs Mujhse Naraj Sa Kyun Hai akhilesh gupta Shayri-e-Dard 0 6th October 2007 08:40 PM
kyun aankh jhuka li maine Lailaa Shayri-e-Dard 5 13th May 2005 11:01 AM
Teri mujhse PEHCHAN kyuN hai (Sunday_Ishq)... KunaaL Shayri-e-Dard 28 26th March 2005 10:00 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com