masumiyat se bhari woh pehli mulaqaat -
11th October 2008, 12:46 PM
Pehli mulaqaat Thoda sa ghbarana ,thoda sa nazrein churana, Thodi si betabi to thodi si khumaari, Kuch na keh paana, Har baat pe muskaana , Phir thoda rukna aur is dil ko sambhalana, Palko ke iss ghunghat se nazro ko uthana, Uski nazro pe padte hi phir in nazro ko yaha waha ghumana, Sabkuch masumiyat se bhara, Ek pyari si bechaini se bana, Khayal hamesha uska hain, Baat bhi uski hain, Par use hi na keh paana, Sabkuch gadbad ,phir bhi har baat use samajh aana, Chahat ki rangat mein dono ka ghul jaanaa Who pehli mulaqaat ki gudgudi se unke ehsaaso ka takrana, Phir kuch kehne ka hausla karna ,aur phir dono ka har baat ko saath mein kehna,
Pyar to hain, Aur woh dono is baat se anjaan bhi nahin hain, Lab jitna chahe shabdo ki chori kare ,par pyaar shabdo se nahin bana hain,ye to sirf ehsaaso ki masumiyat ki ladi mein piroya gaya hain, Jo aankhon mein kaajal ban samaata hain,un pyarwaali nazro ke khud pe padte hi lajja se dub jaata hain, Ye pehli mulaqaat achho achho ke chehre se pasina nikaalti hain, Pyar ki masumiyat se woh do dilo ko bhigo jaati hain
haan thoda ajeeb hai
par khud ki tarif karna pasand hain
waise bhi mujhe laga koi karega nahin
abhi sirf koshish kar rahi hoon
ite achhe reply aayenge ye nahin socha tha
thnx
gili gili mehndi jab haanthon ko chhuti hain.
us waqt ajeeb si gudgudi hoti hain,
ek mitha sa sukun milta hain,
usi tarah jab pyar ki mehndi haanthon pe ehsaaso ka rang bhar deti hain,
usi waqt masumiyat ka ghunghat aud chahat dhak dhak ki aawaz mein muskaati hain,
aur na jaane kab kaise saanso mein ghulkar ek kasak si jagaaati hain,