Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
sahmaa huwaa gulaab hai kaaNtoN ke darmeyaaN
Old
  (#1)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
sahmaa huwaa gulaab hai kaaNtoN ke darmeyaaN - 27th December 2010, 05:33 PM

adaab
dosto
aiye is seekhne sikhaane ke aml ko aage darhaate hain ..ye mere ghazal jise main ne aaj ke 10 saaal pahle likhi thius waqt meraa takhallus masood hi huwaa kartaa thaa .. tamaam logon se guzaarish hai ki is pe apnee raaye den



sahmaa huwaa gulaab hai kaaNtoN ke darmeyaaN
jaise koi azeez ho aonoN ke darmeyaaN

naa paid ho gayee hai kiuN dunyaa se aashtee
kiuN izteraab hai bapaa logon ke darmeyaaN

insaaf ke wajood ko jab se lagaa gahan
rahne lage ameer haiN pahroN ke darmeyaaN

dil kee siyaah kaariyoN ke raNg dekhiye
cherey sajaa kea aye wo chehroN ke darmeyaaN

har faisley ko shoriye allaah pe hozoor
mat dhooNdhiye naseeb sitaaroN ke darmeyaaN

taptee huyi shaam magar magar dopahar hai sard
kaisaa ye inquilaab hai shahroN ke darmeyaaN

ouryaaniyat ke raqs ne aisaa acar kiyaa
poshaak bat ke rah gayee tukdoNke darmeyaaN

tanqeed ke sho”oor ki raftaar jab badhee
Hassaas ne panaah lee feqroN ke darmeyaaN

Last edited by zainy; 27th December 2010 at 05:40 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
27th December 2010, 05:44 PM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post

adaab
dosto
aiye is seekhne sikhaane ke aml ko aage darhaate hain ..ye mere ghazal jise main ne aaj ke 10 saaal pahle likhi thius waqt meraa takhallus masood hi huwaa kartaa thaa .. tamaam logon se guzaarish hai ki is pe apnee raaye den



sahmaa huwaa gulaab hai kaaNtoN ke darmeyaaN
jaise koi azeez ho aonoN ke darmeyaaN

naa paid ho gayee Hai kiuN dunyaa se aashtee
kiuN izteraab hai bapaa logon ke darmeyaaN

Na Paid Ho Gai Kiun Dunia Se Aashtee

insaaf ke wajood ko jab se lagaa gahan
rahne lage ameer haiN pahroN ke darmeyaaN

dil kee siyaah kaariyoN ke raNg dekhiye
cherey sajaa kea aye wo chehroN ke darmeyaaN

har faisley ko shoriye allaah pe hozoor
mat dhooNdhiye naseeb sitaaroN ke darmeyaaN

taptee huyi shaam magar magar dopahar hai sard
kaisaa ye inquilaab hai shahroN ke darmeyaaN

ouryaaniyat ke raqs ne aisaa acar kiyaa
poshaak bat ke rah gayee tukdoNke darmeyaaN

tanqeed ke sho”oor ki raftaar jab badhee
Hassaas ne panaah lee feqroN ke darmeyaaN
Janab Masood Hassaas Seheb.........!

Jawab Nahi Aap Ki Is Ghazal Ka..... Boht Aala,Umdah,Apnay Andar Aik Dars Liye Huye Hai........
Hr Sher Qabil-e-Taareef Hai..... Alfaz Ki Adayigi Kamal Hai...
Bs Aik Jaga Mujhy Thora Sa Theak Ni Laga Tha,Wo 2nd Sher Aap Dekh Lijiye Ga..........Agar Mere Mtabiq Aap Ko Theak Lagay To Sahee Warna Aap Mere Liye Mashal-e-Raah Hain

ALLAH AAP KO KHUSH RAKHAY




Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
27th December 2010, 06:33 PM

Quote:
Originally Posted by AHMAD SHAKIL View Post
Janab Masood Hassaas Seheb.........!

Jawab Nahi Aap Ki Is Ghazal Ka..... Boht Aala,Umdah,Apnay Andar Aik Dars Liye Huye Hai........
Hr Sher Qabil-e-Taareef Hai..... Alfaz Ki Adayigi Kamal Hai...
Bs Aik Jaga Mujhy Thora Sa Theak Ni Laga Tha,Wo 2nd Sher Aap Dekh Lijiye Ga..........Agar Mere Mtabiq Aap Ko Theak Lagay To Sahee Warna Aap Mere Liye Mashal-e-Raah Hain

ALLAH AAP KO KHUSH RAKHAY

aadaab
shakil bhai aap jaise maamilah fahm sanjeedah kalaam log hi mahfil ki jaan hain tamaaniyat ka ehsaas hota hai jab koi is tarah baareekee se ghazal ko dekhtaa hai

2nd sher me jahaan aap ne unglee rakhi hai kis bunyaad pe ? kaheen aisaa to nahi ki lafze ,,,,,, kiun,,,,,, saqeel mahsoos kar rahe hain yaa koi doosree wajah hai . zaraa wazaahat kar dete to maamilaa samajhne aasaani ho jaatee
mukhlis masood hassaas
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
29th December 2010, 04:07 PM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post
aadaab
shakil bhai aap jaise maamilah fahm sanjeedah kalaam log hi mahfil ki jaan hain tamaaniyat ka ehsaas hota hai jab koi is tarah baareekee se ghazal ko dekhtaa hai

2nd sher me jahaan aap ne unglee rakhi hai kis bunyaad pe ? kaheen aisaa to nahi ki lafze ,,,,,, kiun,,,,,, saqeel mahsoos kar rahe hain yaa koi doosree wajah hai . zaraa wazaahat kar dete to maamilaa samajhne aasaani ho jaatee
mukhlis masood hassaas

naa paid ho gayee hai kiuN dunyaa se aashtee
kiuN izteraab hai bapaa logon ke darmeyaaN


Janab Masood Hassaas Saheb....!
Aap Ka Ye Shaer Bhi Bilkul THeak Hai...... Magr Mere Kehnay Ka Maqsad Ye Tha Ke Is Sher Ke Pehlay Misray Me " Na-Paid Ho Gai Hai Kiun Dunia Se Aashtee" " Lafz Hai Or Kiun Istemaal Kia Gaya Hai....... Mujhy Aisay Lag Raha Hai Ke Agar In Dono Me Se Aik Lafz KHatam Kr Dia Jaye To Sher Ziada Rawani Or Theak Bahar Me Aa Jaye Ga.......
Aisay Parhnay Me Kuch Rukawat Feel Ho Rahi Hai.......Ye Sirf Mera Mushahida Hai ... Lazim Nahi Ke Theak Bhi Ho .... Bahrhaal Aap Aik Dafa Khud Tawajjo Farma Lijiye Ga.....

ALLAH Aap ko Khush Rakhay






Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st January 2011, 01:06 PM

Bohat khoobsurat ghazal hai Masood sahab,


naa paid ho gayee hai kiuN dunyaa se aashtee

kiuN izteraab hai bapaa logon ke darmeyaaN


zara is sher ke mayine samjhayiye..





Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#6)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
1st January 2011, 04:57 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Bohat khoobsurat ghazal hai Masood sahab,


naa paid ho gayee hai kiuN dunyaa se aashtee
kiuN izteraab hai bapaa logon ke darmeyaaN


zara is sher ke mayine samjhayiye..
aadaab
inshallaah parson faarigh ho jaun gaa to sabhi ke jawaabaat dun gaa aor tabserey bhi karun gaa .............aap ka jawaab chun ki mukhtacar hai is liye jawaab de detaa hun

ye mokammal sher .. sawaaliyaha .. hai
pahlaa micra .......... dunya se amno amaan kiun ghaayeb ho gayaa hai ?
doosraa micara ........ logon ke darmeyaan kiun be chainee paaye ja rahee hai ?

masood hassaas
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
1st January 2011, 06:59 PM

taptee huyi shaam magar magar dopahar hai sard
kaisaa ye inquilaab hai shahroN ke darmeyaaN

ouryaaniyat ke raqs ne aisaa acar kiyaa
poshaak bat ke rah gayee tukdoNke darmeyaaN


Bahut Pasand aaye aapke Yeh do khayaal ... Masood Bhai ... !

ek dam tarotaazaa ehsaas ... ek umdaa soch ... iske pichhe nazar aati hai ... bahut khoob .. Bhai .. ! aur sab ashaar ki peshkash bhi pur asar rahi ...

tahe dil se daad hazir hai ... qubuul ki jiye ...

yunhi aate rahen aur likhte rahen ... khush rahen ... !

Happy New Year ... !
duaaon ke saath ... !




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#8)
Praneeta
~"REBELLIOUS IN LOVE"~
Praneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Praneeta's Avatar
 
Offline
Posts: 3,264
Join Date: Feb 2008
Location: Ruatonga, Cook Islands
Rep Power: 52
Love 5th January 2011, 07:46 AM

har faisley ko shoriye allaah pe hozoor
mat dhooNdhiye naseeb sitaaroN ke darmeyaaN

waise toh puri ghazal pasand aayi par upar diye do lines khaas rahe
shukriya Masood sahab is ghazal ko humare saath share karne ke liye

Regards


_______________________________________________
PRANEETA

Kaash k khamoshi bhi ek zabaaN hoti
Main dekta rehta unhe aur haal-e-dil bayaaN hota
Ananthpak
  Send a message via Yahoo to Praneeta Send a message via Skype™ to Praneeta 
Reply With Quote
Old
  (#9)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
5th January 2011, 12:02 PM

insaaf ke wajood ko jab se lagaa gahan
rahne lage ameer haiN pahroN ke darmeyaaN

Kya gehri baat kahi hai mere bhai aur kya khoobsurti se kahi hai...........bemisaal raha aapka yeh tanz.

dil kee siyaah kaariyoN ke raNg dekhiye
cherey sajaa kea aye wo chehroN ke darmeyaaN

Wah wah phir ek baar kamaal kar diya aapne..........Subhan_Allah kya nishaan_dehi ki hai aapne janab maza aa gaya.


har faisley ko shoriye allaah pe hozoor
mat dhooNdhiye naseeb sitaaroN ke darmeyaaN

Sach aur sach ke siwa kuch nahi mere bhai............Allah se dua hai ke woh aapke is sher ke sadke aapke tamaam Gunaah maaf kar dein.

taptee huyi shaam magar magar dopahar hai sard
kaisaa ye inquilaab hai shahroN ke darmeyaaN

Mere bhai jaha se aapne yeh sher kaha hai waha tak pohachne meri hasiyat ke baher zaroor tha par ek adna ki koshish zaroor ki hai aur jo samjha hai usse apni zaat par hi sharminda hua hu...........Allah se dua hai ke yeh inquilaabi andaaz badle aur ek badlaav aaye zamane me.

Is shaandaar peshkash par karodo daad kabool kare mere bhai.

Reps+++++


Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com