Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Meri taraf se...
Old
  (#1)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
Meri taraf se... - 13th November 2006, 09:36 AM

Aadab doston,

Is thread mein main meri shayri post karunga.. is ummeed ke saath ke aap sab ko pasand aayegi.

To shuru karta hoon,


Kaun kahega use, ke naacheez hai woh
Toote hue dilon ka tabeej hai woh
Hai sailaab-e-jawaani ya dariya ki tarah
wo khud hi na jaane, kya cheez hai woh
-Ziyaad.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#2)
bazm_e_bashar
Harsh Kohli
bazm_e_bashar is on a distinguished road
 
bazm_e_bashar's Avatar
 
Offline
Posts: 63
Join Date: Aug 2006
Location: Pune
Rep Power: 0
13th November 2006, 12:46 PM

Quote:
Originally Posted by qqplus View Post
Aadab doston,

Is thread mein main meri shayri post karunga.. is ummeed ke saath ke aap sab ko pasand aayegi.

To shuru karta hoon,


Kaun kahega use, ke naacheez hai woh
Toote hue dilon ka tabeej hai woh
Hai sailaab-e-jawaani ya dariya ki tarah
wo khud hi na jaane, kya cheez hai woh
-Ziyaad.
Waah Ziyaad ji waah.
Aapko padhna aajkal pasand padne laga hai.
Jaisa ki mai pehle bhi ke chuka hu... Aapka andaaz hi nirala hai.
Likhte rahiye... Intzaar rahega.
Waqt ki kami hai warna, aapke saath ek mushayra-e-guftgu karne ka man.
Ye alfaaz sirf isliye istemaal kiye, taaki mushayre ke saath kuchh guftgu bhi ho jaye.
-Aapka rafique..
Aman
  Send a message via AIM to bazm_e_bashar Send a message via Skype™ to bazm_e_bashar 
Reply With Quote
Old
  (#3)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
13th November 2006, 01:22 PM

Tuze main koi aur naam du,
ye mumkin nahi hai mere liye
Ha, tere muqable ka koi gar mile muze
to use tera naam zarur dunga.
-Ziyaad

Copyright @ Infinity, Ziyaad.

Last edited by qqplus; 13th November 2006 at 01:30 PM..
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#4)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
13th November 2006, 01:26 PM

Chaahat teri, zehen pe chhati hi jaa rahi,
Surat teri dilon me basti hi jaa rahi,
Tera pyar mile ab, ya tera gham mile muze,
aadat tere khayaal ki badhti hi jaa rahi..
-Ziyaad

Copyright @ Infinity, Ziyaad.

Last edited by qqplus; 13th November 2006 at 01:30 PM..
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#5)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
13th November 2006, 01:28 PM

aurr aap ka shukriya aman ji, aap jaise log muze aur inspire karte hai.
agar mauka mile to aap se zarur mulaqaat hogi. muze bhi bahut acchha lagega aap se milke.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Dil ko Choo gai
Old
  (#6)
TariqAhmadAzmi
Registered User
TariqAhmadAzmi will become famous soon enough
 
TariqAhmadAzmi's Avatar
 
Offline
Posts: 386
Join Date: Oct 2006
Location: Lucknow
Rep Power: 18
Thumbs up Dil ko Choo gai - 13th November 2006, 05:56 PM

Aapki Shayri mujhe bahut achee lagi or aap ke alfaaz bhi bahut achee the yakeen maniye dil ko choo gaye aap isee tarah likhte rahiyega mujhe aap ke Shayri ka intezaar rahega.
Best of luckD
Aapka naya dost
Shaan
   
Reply With Quote
Dil ko Choo gai
Old
  (#7)
TariqAhmadAzmi
Registered User
TariqAhmadAzmi will become famous soon enough
 
TariqAhmadAzmi's Avatar
 
Offline
Posts: 386
Join Date: Oct 2006
Location: Lucknow
Rep Power: 18
Thumbs up Dil ko Choo gai - 13th November 2006, 06:05 PM

Aapki Shayri mujhe bahut achee lagi or aap ke alfaaz bhi bahut achee the yakeen maniye dil ko choo gaye aap isee tarah likhte rahiyega mujhe aap ke Shayri ka intezaar rahega.
Best of luckD
Aapka naya dost
Shaan
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
13th November 2006, 11:20 PM

tah-e-dil se shukriya, shaan ji. padh ke acchha laga ke aap ko pasand aaya.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#9)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
13th November 2006, 11:24 PM

ye ghazal aur ek sher maine pehle bhi is forum pe post kiye the par, ab is thread me post karunga firse taake ek hi thread me jo bhi mera likha hai wo bana rahe.


Ab yehi dua hai ke meri dua ka kabhi asar na ho
Is Dil-e-nadan ki wajah se duniya me koi kasar na ho

Dhundhta chalu khushi ko par aisa kabhi manzar na ho
Main kisi aur ka gham banu aur muze koi khabar na ho

Kaarwa mere saath chale ye laazim nahi hai lekin
Manzil jise na mile kabhi aisa koi safar na ho

Teri yaad qayamat tak mere dil ke saath rahegi
Kaandhe pe mere shayad kabhi tera sar na ho

Ek raaz ban chuki hai daastan-e-zindagi meri
Ye raaz hi reh jaaegi; khabar tuze agar na ho

Mar jaaun main Ziyaad; aisa bhi jo din aaye
Ke apni hi nazar se girne ka muze koi dar na ho
-Ziyaad



Har shakhs ki yahaan muktalif muraad hai,
Bas maangne waalon ki chaarsu tadaad hai
Doob chuke hai saare, apne hi khayalat me
Kahaan ye duniya ab qaabil-e-'Ziyaad' hai?
-Ziyaad.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#10)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
15th November 2006, 06:52 AM

Meri bazm-e-dil mein tum ho jao shareeq
ke abtak tumhe theek se dekha hi nahi,
Pyar karna to ab aa gaya humein,
par jataana to abhi seekha hi nahi.
-Ziyaad
Copyright @ Infinity, Ziyaad.

Last edited by qqplus; 15th November 2006 at 07:00 AM..
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#11)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
15th November 2006, 07:00 AM

Jo kaam zubaan na kar paaye, karti wohi shayari,
darta hai zameer zamaane se, darti nahi hai shayari,
Gar ek shama bhi ho dil mein, to julus-e-lafz aa jayega,
jab dil mein nahi ho aag to, banti nahi hai shayari.
-Ziyaad.
Copyright @ Infinity, Ziyaad.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#12)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
15th November 2006, 11:40 PM

Ae khuda, bhala hota, gar tu sirf ghum hi deta
Use khushi ke saath jodne ki kya zarurat thi..
Bana deta muze uski zulfon ka koi gesu,
Aashiq ya dost bananeki, kya zarurat thi..

-Ziyaad.
Copyright @ Infinity, Ziyaad.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#13)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
15th November 2006, 11:42 PM

ye sher thoda galat post hua tha but main delete nahi kar paaya. so phir se correct kar ke post karta hoon.

Jo kaam zubaan na kar paaye, karti wohi hai shayari,
darta hai zameer zamaane se, darti nahi hai shayari,
Gar ek shama bhi ho dil mein, to julus-e-lafz aa jayega,
jab dil mein nahi ho aag to, banti nahi hai shayari.
-Ziyaad.
Copyright @ Infinity, Ziyaad.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#14)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
21st November 2006, 08:15 PM

Aaaj mere internet connection ki problem ke wajah se; meri kisise chatting nahi ho paa rahi thi. To us waqt muze ye chaar line suuzi.. thodi comic hi sahi but post kar raha hoon.

Ghanti bajaayi speaker ne jab login mera yaar hua
Saare kaam chhodke main chatting ko tayyar hua
Par na uska msg muze mila, na mera msg paar hua,
Duniya to farebi hai; ab yahoo bhi gaddaar hua..

-Ziyaad.
Copyright @ Ziyaad, Infinity.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#15)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
22nd November 2006, 04:50 PM

Jiye hai jabtak, to jaana hai bahut
jaana hai kya, ye jaante nahi,
Jabtak jiyenge, ladte rahenge,
zindagi se haar, hum maante nahi

-Ziyaad.
Copyright @ Infinity, Ziyaad.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#16)
yogesh "DARPAN"
Registered User
yogesh "DARPAN" is on a distinguished road
 
yogesh "DARPAN"'s Avatar
 
Offline
Posts: 18
Join Date: Nov 2006
Location: in the soul of my MAHI
Rep Power: 0
23rd November 2006, 09:51 PM

Quote:
Originally Posted by qqplus View Post
Jo kaam zubaan na kar paaye, karti wohi shayari,
darta hai zameer zamaane se, darti nahi hai shayari,
Gar ek shama bhi ho dil mein, to julus-e-lafz aa jayega,
jab dil mein nahi ho aag to, banti nahi hai shayari.
-Ziyaad.
Copyright @ Infinity, Ziyaad.
Bahot khub likhte hai ziyaad sahab. Hume sher o shayri ke bare me zyada kuchh to malum nahi hai par ye line

"jab dil mein nahi ho aag to, banti nahi hai shayari"

sach me aapke dil ki gehrai bayan karti hai.



DARPAN. THE MIRROR.......
  Send a message via Skype™ to yogesh "DARPAN" 
Reply With Quote
Old
  (#17)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
24th November 2006, 01:51 AM

shukriyaa janaab. shukriya.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#18)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
24th November 2006, 01:52 AM

Hum tanhaa hue to kya hua;
teri yaad se dil behlaayenge
tere mehboob nahi to kya hua
tere aashiq zarur kehlaayenge

-Ziyaad
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#19)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
24th November 2006, 01:53 AM

Main teraa na hua haqeeqat me
ek fasaana magar chaahunga
jhooth hi kehde ke tu meri hai
taa-umr meri jee jaaunga

-Ziyaad
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
good
Old
  (#20)
priya mittal
Registered User
priya mittal will become famous soon enoughpriya mittal will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 41
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 0
Thumbs up good - 25th November 2006, 01:03 PM

aapne bahut bahut aacha likha hai,hum umeed karte hain ki yun hi sda likhte rahenge
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
26th November 2006, 04:33 AM

Zarur likhenge priya ji..
shukriya aap ka.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#22)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
26th November 2006, 04:34 AM

Chahhahati dhun me mobile mera shor kare
Button dabaaun main aur aankhe meri gaur kare
Message to aaye, par jo chaahu wo na mile,
Main sochta rahu tuze, aur message koi aur kare

-Ziyaad
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
zindagi
Old
  (#23)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
zindagi - 26th November 2006, 04:40 AM

ek naya sher haajir hai donston; gaur farmaaiyega

Ajeeb nuskhe sikha rahi hai zindagi
khwaab-e-dildaar ki parchaai me raho
Ek sadak ki tarah jaa rahi hai zindagi
Mod lo; ya khaai me giro
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#24)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
26th November 2006, 04:45 AM

aur ek sher arz hai;


Hajam nahi hota, agar koi behad pyaar kare;
Barsaat bhi agar had se gujre; barsaat nahi rehti
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#25)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
3rd December 2006, 07:01 AM

Hajam nahi hota agar koi behad pyaar kare,
barsaat bhi agar had se guzre; barsaat nahi rehti..

tod sake jo laathi ko, na tod sake gucchha,
aawaam bhi agar ek na ho; aabad nahi rehti...

Faasla gar dilon me ho to mitata nahi aasaani se
Arson tak rehtaa hai saath; mulaqaat nahi rehti..

Gar dil se dil ka rishta ho, to tod nahi sakta koi..
Phir Maut ki bhi utni auqaat nahi rehti..

Socho kya hoga Ziyaad, gar khudsehi koi haar gaya,
Khuda bhi sath nahi rehta aur Khudii bhi saath nahi rehti.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#26)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
3rd December 2006, 07:07 AM

Ek chhoti si rachna pesh hai doston.. reply kijiyega..

Ghar the apne jahaan pe wo wahi khade hain,
bas apne qadam aaj kahii aur badhe hain,
khud se bhi paar hum jaa hi rahe hain,
kya haqeeqat mein aaj, hum jee rahe hain?

Kya jo main karta hun wo main chaahata hun?
Kya chaahata hun main wo main kar sakta hun?
Kya jaam mein bharaa hai aur kya pee rahe hain?
Kya haqeeqat mein aaj, hum jee rahe hain?

Kuchh sapne honge sach, ye hum jaante hain,
Kaii sach hai jinko sapna, hum maante hain,
Kya neend mein hain hum, kya soo rahe hain?
Kya haqeeqat mein aaj hum jee rahe hain?
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#27)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
6th December 2006, 09:58 PM

Zamee pe nahi yaar, dilon pe raaj kar
Har soorat-e-wafaa ka hardam riyaaz kar
naa paa sakaa muhabbat iska na gham banaa
jo de saka muhabbat uspe tu naaz kar..
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#28)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
6th December 2006, 10:00 PM

Jo gham hai mere dil mein, kaise bayaa karu
dhoop bhi jab sard ho to dil ghabraata hai
dikhta nahi jo jakhm, use kya dawaa karu,
hamdard ko jab dard ho to dil ghabraata hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#29)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
6th December 2006, 10:01 PM

Ek khalbali machi hai mere andar hi andar,
sham ko tufaan se hue manzar hi manzar,
kaise main chain paau aise samay ziyaad,
hawaa thami to dil mein bawandar hi bawandar
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#30)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
6th December 2006, 10:02 PM

Tadpaa na yu kisiko, ae khuda ye hai kharaab
chahe khushi to mile gham, chahe gham to mile sharaab
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#31)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
6th December 2006, 10:03 PM

Nazre bhi kya cheez hai ye aaj dekh liya,
palke jhukaake usne teh-e-dil ko chhu liya
Khuli aankh pe bhi hum bharosaa na kar sake,
sapne mein isliye use fir se chhu liya..
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#32)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
6th December 2006, 10:05 PM

Jaan chuke hum aaj, ke kyu khote rahe muhabbat ko,
wo saamne rehte to hum khwaab dekhte the.
Usko na mila apna chehra meri nazar mein,
aur uske chehre ko hum khwaabo mein dhoondhte the
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#33)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
8th December 2006, 11:51 PM

Lafz;
sukoon hota hai jo koi aap ke ek lafz ko, dastaan ki tarah samazta hain,
aur dard bhi hota hai jo ek lafz hi har kahaani bigaad deta hai

zindagi;
ek lafz jo kisi ke liye sapna hai, to kisi ke liye hai haqeeqat,
haqeeqat to khair apnaani padti hai; magar sapne ki hoti hai qeemat

insaaf;
yahaa kanoon ko haath mein lete hai insaan, kyu ki insaaf denewale jaanwar hai,
jagahe aisi bhi hai jahaa jaanwaron ke apne haq hai, kyu ki insaaf denewale insaan hai,
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#34)
Pyarali Rajan
Registered User
Pyarali Rajan is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 403
Join Date: Oct 2001
Location: Copenhagen, Denmark
Rep Power: 23
9th December 2006, 01:10 AM

Ziyaad Ji!

Aapkey likhey huvey sarey kalam padhey aur tajub sa huva ki ees young age mey aap itni khubsurat shairi ker saktey ho! Umeed hai aapka naam bhi ek deen badhey aur mashhoor shairon mey liya jainga!!

Faasla gar dilon me ho to mitata nahi aasaani se
Arson tak rehtaa hai saath; mulaqaat nahi rehti..

Wah!!

Rajan!!


cool
   
Reply With Quote
Old
  (#35)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
9th December 2006, 10:48 PM

shukriya rajan ji...
shukriya.

young age ki baat nahi hai.. bas dil mein kuch na kuch khalbali rehni chahiye.. usse shayri ki lehre aati hai.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#36)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
10th December 2006, 12:24 PM

Muhabbat ke paath saare humne bhi padhe hai,
Aajmaayein kaise ye koi to bataaye
Manaane ko hum dil-o-jaan lutaa denge
sataane ka haq koi to jataaye..
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#37)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
10th December 2006, 03:16 PM

'Haq' pe ek aur sher pesh karta hun,

Dosti ya muhabbat se haq kitno pe hai hamara
Hum bhala nahi jaante, haq hum pe magar hai kiska
Kaii log base hai iss dil mein, hai thikana ye kitnon ka
Hum bhala nahi jaante hai kahaa thikaana iska..
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#38)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
10th December 2006, 03:28 PM

Main SMS isliye nahi karta ke muze aadat hai iski
Meri koi icchha nahi tere Inbox ko stress karne ki
Baat ye hai ke mere mobile ko tere mobile se ishq hai,
Aur ye iski koshish hai use impress karne ki..
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#39)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
12th December 2006, 10:06 PM

Wo har ek pal mein muhabbat ka naya paath sikha deti hai,
gusaa bhi hoti hai to khubsurti ka naya rang dikha deti hai.

Ek hi nazar mein woh qayaamat bhi dhaa deti hai,
Aur dusre hi pal mein saare gile mitaa deti hai,

Wo kehne ko hoti hain dil ki baat apni;
aur neend hai kambakht ke sapna bigad deti hai.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#40)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
12th December 2006, 10:07 PM

Maane na maane ye aage ki baat hai
Par kabhi apni baat koi sun to le
jaane ye naa jaane ye alag baat hai
par kabhi koi humko chun to le
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tum ne kabhi dekha hi nahi meri taraf pyar se itschahat Shayri-e-Ishq 0 2nd April 2007 10:54 AM
Kuchh meri taraf se... qqplus Aapki Shayri 2 14th September 2006 06:08 AM
har taraf nicky Shayri-e-Dard 2 8th March 2004 07:03 PM
ek gum meri taraf se.. shayrana_khayal Shayri-e-Dard 1 11th January 2004 05:16 PM
ex sher meri taraf se......... shayrana_khayal Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 10th January 2004 03:35 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com