Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
SDC ke members kii taarif meN (ruba'yaat)
Old
  (#1)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
Love SDC ke members kii taarif meN (ruba'yaat) - 10th September 2014, 04:51 PM

hamaare interview ke dauraan, Sunita dii ne arz kiya tha ki hum hamaare yahaaN maujud dostoN ke baare meN kuchh pesh kare... toH aaj yahaaN hum aap sabhii kii taarif meN ye ruba'yaat pesh kar rahe haiN..

Ummeed hai aapko pasand aayegii....

zaraa sun lo maiN laayaa hooN mere dil ka jo nazraanaa
sar-e-mehfil-e-shayri ke sitaaroN kaa hai afsaanaa
zaraa dil thaam ke baiTHo sabhii kii baateN karnii hai
yahaaN har shaks hai apnaa nahiN koii hai begaanaa

yahaaN ek shakhsiyat aisii jo hum sab kii dulaarii hai
sabhii sammaan dete haiN bulaate pyaar se dii hai
ye Sunita hai jinko hum sabhii dil meN basaate haiN
hameshaa khush rehnaa tum duaa tumko hamaarii hai

hai jauhar apne vaalid kii ye kaun hai hum bataate haiN
ye un meN se hi ek aisii jo ye mehfil sajaate haiN
hai Zainy naam uskaa jo naginaa bazm-e-shayri kaa
hamaaraa saath hai tumko ye hum vishvaas dilaate haiN

sabhii hum bazm daaroN meN hai ek apnaa dil-o-jaanaa
jo KHud ko kehte adnaa par samandar hai wo irfaaN* kaa
na jaao naam pe unke ye Zarraa ansh hamaaraa hai
hamaari hai duaa purii tumharii ho manokaamnaa
(*knowledge, wisdom)

kanval saa khiltaa jheel meN kanval saa naam jinka hai
bahot kam boltaa lekin pate kii baat kartaa hai
kahe Aru magar hai naam Arvind jo khile dil meN
hameshaa yuN rahe dil meN sabhii ke jaise rehtaa hai

rahe benaam sa lekin kare sirkat jo mehfil meN
machaaye dhoom kuchh aisii banaa le jaa sabhii dil meN
kahe Anjaan khud ko par ilmoN kaa khazaanaa wo
zaraa rakhnaa meri khaatir jagah apne baRe dil meN

agar likhooN koii tehriir magar unkii na taarif ho
lage aise zaraa humse unhe ruswaaii hai kuchh to
sharaarat unkii baatoN meN rahe wo Shaad hi hardam
duaa itnii KHudaa se wo hameshaa shaad rakhe tujhko

uDaaneN unchii hai jiskii jise paane ko chalde hum
vahaaN kaise koii pahunche jahaaN koii nahi aalam
Ufaq kehte haiN sab jisko falak se arsh mile jaise
sabhii kaa pyaar paanaa ye duaa meri tumhe hardam

kahaaN tu aa gayii leke zamiin pe aasmaaN jaise
sitaaraa bhii chalaa aayaa tera majnooN bane jaise
Parii KHud ko tu kehtii hai Ananth meN khoii rehtii hai
duaa dono ko khush rehna hameshaa aaj ke jaise

jo mastaanii kahe KHud ko wo divaanii bhii rehtii hai
magar wo hai jo divaanii to apne Mast kii kehtii hai
banaaii kya hai joRi aur naam bhi Mast aur Masti kaa
raho taa-umr tum yuN hi ye mehfil tumse kehtii hai

karo unse savaal koii javaab unkaa rahe sachchaa
kisii bhii uljhanoN kaa unse mil jaayega hal achchhaa
isii fitrat pe rakhkhaa hai unhoN ne naam Zidd yaaroN
merii arzoo rahe apnaa hameshaa hi hunar pakkaa

hamaari bazm meN hai ek phool aisaa khilaa yaaroN
jahaaN jaaye wo muskaaye machaaye dhuum kya yaaroN
hamaari naak hai wo to hamaari Naaz hai wo to
zaraa bachke hi rehnaa kab karegii kya pataa yaaroN

KHuda kaa wo parastaar hai khuda ka naam letaa wo
ibaadat hi muhabbat aur muhabbat meN ibaadat ho
Hassan bandaa hai parvar kaa hamaarii aaNkh ka taaraa hai
hameshaa khush rahe tu aur KHuda kii rehmateN bhii ho

sitaaroN kii ye mehfil meN kaii aise bhii taare haiN
chamakte haiN magar gumnaam se phir bhii hamaare haiN
sabhii ke kuchh apne bhii yagaane se thikaane haiN
sabhii se bantii ye dunya sabhii yaa-rab hamaare haiN

Ki hamdam ho Ki mujeeb ho Ki Ahmed ho Ki sukanya
Naresh bhi aur harash bhii hai harek naam meN hai bas maayaa
sabhii kii hai jagah dil meN kisii ko bhuul nahi paauuN
rubaaii ke hi avval aur aakhir meN bayaaN aayaa
~ Adil

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif

Last edited by sunita thakur; 11th September 2014 at 03:06 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
10th September 2014, 04:59 PM

bahut umdah !!!

kharree tareef kii appne sabhee dostoN kee , mazaa aa gayaa peRHny mai .

keep it up
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#3)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
10th September 2014, 05:00 PM

WAH WAH ! ....Bohat khoob...super duper ruba'yaat of the year!........

Per jinke naam nahi unse pitne ke liye tayyar rahiye...

Kidding!..

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#4)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
10th September 2014, 05:03 PM

waah waah adil jee......kya adbhut kalaam pesh kiya hai aapne.....kya adayegi aur kya bayangi hai......sach me padkar maja aa gaya.....dil se nikke jajbaat.....

एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#5)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
10th September 2014, 05:21 PM

Quote:
Originally Posted by Mujeeb View Post
bahut umdah !!!

kharree tareef kii appne sabhee dostoN kee , mazaa aa gayaa peRHny mai .

keep it up
Quote:
Originally Posted by zainy View Post
WAH WAH ! ....Bohat khoob...super duper ruba'yaat of the year!........

Per jinke naam nahi unse pitne ke liye tayyar rahiye...

Kidding!..
Quote:
Originally Posted by aru View Post
waah waah adil jee......kya adbhut kalaam pesh kiya hai aapne.....kya adayegi aur kya bayangi hai......sach me padkar maja aa gaya.....dil se nikke jajbaat.....
Mujibbhai, Aruji aur Zainyji...

aap sabhi kaa teh-e-dil se shukr guzaar hooN...

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Love 10th September 2014, 05:40 PM

Adil bhai,

sacch meiN aap ne aaj aik karishma kar dikhaya....
dil ki gehraaiyoN se bas wah wah hi nikal rahi aur
aap ne jiss mohabbat se nawaaza hai apne dostooN ko
uss liye bas duayeN hi nikal rahi haiN mann se....
Ishq hi ishq hai kalaam meiN ... pyar hi pyar hai alfaazoN meN....
bas bhai Allah se dua hai ke aap hamesha khush raheN aabaad raheN (ameen)..
aur aap ne mujhe jo izzat bakhshi hai maiN aap ka qarz-daar
ho gaya hooN... waqt aane pe zaroor yeH qarz chukaoN ga insha Allah..

Reps pending.

apna khayaal rakhiye ga!

duaooN ke saath,

Khaaksaar,

*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")

Last edited by Hassan; 10th September 2014 at 05:43 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
10th September 2014, 07:16 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
WAH WAH ! ....Bohat khoob...super duper ruba'yaat of the year!........

Per jinke naam nahi unse pitne ke liye tayyar rahiye...

Kidding!..
Aadeil.Bhai ...

Kya baat hai , aap ki koshosh kabile tareef hai...

Arz kiya hai ..

Aap ka ye dilchasp andaaz humein bahut bhaya:
Naraz hai aapse ki humara naam nahi aya.

shayad hum aap ke tareef ke kaabil na.thhe
ya phir aap doston ko kojne mein uljhe hue the.

Jaate jaate bus aap se guzarish karte hain
Agli kaavish mein pehle no hone ki umeed rakhte hai

Vaise aap ne akhri pehre mein Chamakte gumnaam taaron mein humara naam likh diya hai

khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.

Last edited by Hamdam; 10th September 2014 at 07:38 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
10th September 2014, 07:51 PM

Ki hamdam ho Ki mujeeb ho Ki Ahmed ho Ki sukanya
Naresh bhi aur harash bhii hai harek naam meN hai bas maayaa
sabhii kii hai jagah dil meN kisii ko bhuul nahi paauuN
rubaaii ke hi avval aur aakhir meN bayaaN aayaa

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif

Last edited by aadeil; 10th September 2014 at 07:54 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
10th September 2014, 08:04 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
Ki hamdam ho Ki mujeeb ho Ki Ahmed ho Ki sukanya
Naresh bhi aur harash bhii hai harek naam meN hai bas maayaa
sabhii kii hai jagah dil meN kisii ko bhuul nahi paauuN
rubaaii ke hi avval aur aakhir meN bayaaN aayaa
Aadeil Bhai ,

Aap bus aap hi hain .. itna prompt jawab aa gaya aapka , main aapka mushkoor ho gaya ....

regds
Sanjay Sehgal
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
ananthpak
~“ REBELLIOUS IN LOVE “~
ananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud of
 
ananthpak's Avatar
 
Offline
Posts: 492
Join Date: Dec 2011
Location: Ruatonga,Cook Islands
Rep Power: 24
11th September 2014, 01:50 AM

Bohat bohat shukriya Aadeil sahab is izzat affzaayi aur duaon k liye....thanx a lot

Stay happy n blessed

Mohabbat ke ye silsile na the
Jab tak tum hum mile na the

*pari*
  Send a message via Yahoo to ananthpak  
Reply With Quote
Old
  (#11)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
11th September 2014, 09:06 AM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Wow! what a pleasant surprise, this is so touching adil....u r just amazing mere dost...well done

Kuch meri tarafse tumhare liye........

Wo dost hai sabka aur yaaroN ka yaar hai
Hai sabko wo pyara aur usey sabse pyar hai
Ghalib ka deewana FusooN apna chalata hai
DiloN ko jeet leta hai wo Aadeil 'safeer' kehlata hai
..............................................

Naaz,
I am touched by this gesture......
bahot hi khub rubaa'i likhii hai......
I accept this invaluable gift of yours..

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
11th September 2014, 09:10 AM

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post

Adil bhai,

sacch meiN aap ne aaj aik karishma kar dikhaya....
dil ki gehraaiyoN se bas wah wah hi nikal rahi aur
aap ne jiss mohabbat se nawaaza hai apne dostooN ko
uss liye bas duayeN hi nikal rahi haiN mann se....
Ishq hi ishq hai kalaam meiN ... pyar hi pyar hai alfaazoN meN....
bas bhai Allah se dua hai ke aap hamesha khush raheN aabaad raheN (ameen)..
aur aap ne mujhe jo izzat bakhshi hai maiN aap ka qarz-daar
ho gaya hooN... waqt aane pe zaroor yeH qarz chukaoN ga insha Allah..

Reps pending.

apna khayaal rakhiye ga!

duaooN ke saath,

Khaaksaar,
Hassanbhai,
apne aap ko karz-daar keh kar hameN sharmindaa na kareN.... bas aap logoN kaa pyaar aur dostoN se jo izzat milii hai wo hamaare liye sabse baRaa nazraanaa hai

aap hameshaa khush raheN, yehi duaa hai

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
11th September 2014, 09:12 AM

Quote:
Originally Posted by Hamdam View Post
Aadeil Bhai ,

Aap bus aap hi hain .. itna prompt jawab aa gaya aapka , main aapka mushkoor ho gaya ....

regds
Sanjay Sehgal
Sanjayji,

bas yuN hi aapki duaa hamaare saath banii rahe......

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
11th September 2014, 09:13 AM

Quote:
Originally Posted by ananthpak View Post
Bohat bohat shukriya Aadeil sahab is izzat affzaayi aur duaon k liye....thanx a lot

Stay happy n blessed
................................................ .....

Thanks Ananthji for such nice words.....

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
dil se shukriya bhai
Old
  (#15)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Love dil se shukriya bhai - 11th September 2014, 09:58 AM

Aadeil bhai muje lafz nahi mil rhe, ki kaun se lafzoN se aapke en ehsaasoN ki tareef karuN, aik aik lafz apne-pan aur pyar se bharpoor hai, sacchi keh rhi hu...muje lafzoN ki kami mehsoos ho rhi hai...!

aap reps deserve karte hai reps added +++

kya kahuN aapke bare meiN, muje to kuch samaj nahi aata hai,
SDC par aakar sabse jud jata, koi na koi rishta nata hai,
aap neik-dil ensaan ho, sabse rishta nibhana aapko aata hai,
aap jaise shayroN se hi SDC ka gulshan harpal mehkata hai

Aadil bhai...aapne kuch dosto ke bare meiN apne ehsaas alag post meiN likhe hai, agar aap manjoori de to maiN unko maiN rubaye meiN add karna chahti hu, taaki usko bhi sab dost pad sake.
DuaoN ke saath

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#16)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
11th September 2014, 01:33 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post

Sunita dii,
aap iise ehsaan na kahiye... ye to aap sabhii kii mohabbat hai.....
aur hamaaraa farz hai...........

duaaoN ke saath........
Adil

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#17)

11th September 2014, 01:35 PM

ye toh bahot hi achchhaa hoga agar aap mere alag se likhe misroN ko bhii original post meN shaamil kar deN......

aapka teh-e-dil se shukr guzaar hooN.....

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
11th September 2014, 03:04 PM

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
Sunita dii,
aap iise ehsaan na kahiye... ye to aap sabhii kii mohabbat hai.....
aur hamaaraa farz hai...........

duaaoN ke saath........
Adil
Aadeil bhai maine ehsaas likha hai shayad aapne us ehsaaN pada hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Thanks
Old
  (#19)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
Thanks - 11th September 2014, 09:07 PM

Quote:
sitaaroN kii ye mehfil meN kaii aise bhii taare haiN
chamakte haiN magar gumnaam se phir bhii hamaare haiN
sabhii ke kuchh apne bhii yagaane se thikaane haiN
sabhii se bantii ye dunya sabhii yaa-rab hamaare haiN

Ki hamdam ho Ki mujeeb ho Ki Ahmed ho Ki sukanya
Naresh bhi aur harash bhii hai harek naam meN hai bas maayaa
sabhii kii hai jagah dil meN kisii ko bhuul nahi paauuN
rubaaii ke hi avval aur aakhir meN bayaaN aayaa
~ Adil
Adil

First I would like to clap for the breathless poetry you have composed.I know its really tough.Chalo abb Rachna ki baat karein.I would like to convey my big thanks to you for giving me place in your poetry.Kitni khoobsurti se sab ka varnan kiya hay.Sada Kush Raho

Last edited by sukanya; 11th September 2014 at 09:22 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
12th September 2014, 01:25 AM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Wow! what a pleasant surprise, this is so touching adil....u r just amazing mere dost...well done

Kuch meri tarafse tumhare liye........

Wo dost hai sabka aur yaaroN ka yaar hai
Hai sabko wo pyara aur usey sabse pyar hai
Ghalib ka deewana FusooN apna chalata hai
DiloN ko jeet leta hai wo Aadeil 'safeer' kehlata hai
Waah !! Bahaut hi khoob kaha hai aap ne N@zneen ji. Aur bahaut achchha kiya ye misre keh kar, kyunki Aadeil bhai ne sab ke liye jo itni khoobsurat mehnat ki to hamaari bhi zimmedarai hai ki hum bhi un ki shaan mein kuchh kehne ki mehnat karein.

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
12th September 2014, 01:32 AM

Aadeil bhai

aap ke khoosburat aur hairat anghez qalaam par daad doon, ki aap ke beinteha khuloos ka shukriya ada karoon, ki aap ne jo itni dariyadilee se pazeeraayee ki hai us le liye ehsaanmand ho jaaoon !!! to main n sirf ye sab bhi hoon, balki in se bhi kaheen zyada mashqoor o mamnoon hoon. Aur saath mein is qadar hairaan bhi hoon ki ek hi dil mein itna hunar aur itni mohabbat ek saath kaise bas rahi hai !!!

to bas aap ki shaan mein kuchh misre kehne ki koshish kar raha hoon, ye jaante huwe bhi ki aap ki shakhsiyat itni vishaal hai, ki ye misre suraj ko diya dikhaane ke jaise hain ...

kaho shaahon ka shah us ko faqeeron ka faqeer us ko
adab ki maano sargoshi ke aawaaz-e-zameer us ko
kamaan-e-ilm meiN jaane n teer-e-fiqr kitne haiN
nichhaavar jis pe ahl-e-bazm kehte haiN "Safeer" us ko

tah e dil se dheron daad ke saath
aap ka dost
zarraa

maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
12th September 2014, 11:04 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Aadeil bhai maine ehsaas likha hai shayad aapne us ehsaaN pada hai
OOOOOOOOOOPssssssssssssssssssssss!!!!!!.....

Sorry Sorry! Dii.... jii maine jaldbaazi meN galat paRH liya

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
12th September 2014, 11:06 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
[B]
aap reps deserve karte hai reps added +++

kya kahuN aapke bare meiN, muje to kuch samaj nahi aata hai,
SDC par aakar sabse jud jata, koi na koi rishta nata hai,
aap neik-dil ensaan ho, sabse rishta nibhana aapko aata hai,
aap jaise shayroN se hi SDC ka gulshan harpal mehkata hai
Sunita dii,

These lines are really touching... And also thanks for the REPS......

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
12th September 2014, 11:07 AM

Quote:
Originally Posted by sukanya View Post
Adil

First I would like to clap for the breathless poetry you have composed.I know its really tough.Chalo abb Rachna ki baat karein.I would like to convey my big thanks to you for giving me place in your poetry.Kitni khoobsurti se sab ka varnan kiya hay.Sada Kush Raho
Sukanyaji,

aapka bahot bahot shukriya...... bas yuN hi aap sab ke dil meN hamaari jagah banii rahe ....

duaaoN ke saath,

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
12th September 2014, 11:12 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
Aadeil bhai

aap ke khoosburat aur hairat anghez qalaam par daad doon, ki aap ke beinteha khuloos ka shukriya ada karoon, ki aap ne jo itni dariyadilee se pazeeraayee ki hai us le liye ehsaanmand ho jaaoon !!! to main n sirf ye sab bhi hoon, balki in se bhi kaheen zyada mashqoor o mamnoon hoon. Aur saath mein is qadar hairaan bhi hoon ki ek hi dil mein itna hunar aur itni mohabbat ek saath kaise bas rahi hai !!!

to bas aap ki shaan mein kuchh misre kehne ki koshish kar raha hoon, ye jaante huwe bhi ki aap ki shakhsiyat itni vishaal hai, ki ye misre suraj ko diya dikhaane ke jaise hain ...

kaho shaahon ka shah us ko faqeeron ka faqeer us ko
adab ki maano sargoshi ke aawaaz-e-zameer us ko
kamaan-e-ilm meiN jaane n teer-e-fiqr kitne haiN
nichhaavar jis pe ahl-e-bazm kehte haiN "Safeer" us ko

tah e dil se dheron daad ke saath
aap ka dost
zarraa
Zarraasaab,

I am left speechless with all the love and respect that you have showered on me... aapke misroN ne hamaare dil ko chhuu liya hai........ yuN hi aapke dil meN hameN jagah dete rahiyegaa....

duaaoN ke saath................

ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता

http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com